Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
mere dar se uth kar agar ja rahe ho
Old
  (#1)
mujib66
Registered User
mujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 409
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 26
mere dar se uth kar agar ja rahe ho - 28th August 2014, 05:00 PM

mere dar se uth kar agar ja rahe ho
bata kar to jao kidhar ja rahe ho

bhari hain nami se tumhari bhi aankhen
bure haal men ho magar ja rahe ho

wafa hi wafa main ne ki hai hamesha
mujh hi se chura ke nazar ja rahe ho

zara main bhi janu ke kis ghum ko lekar
idhar ja rahe ho, udhar ja rahe ho

khuda se dua main eh hi maangta hun
udhar khush raho tum jidhar ja rahe ho

mujhe zher de kar abhi mar dalo
agar waqai chod kar ja rahe ho

hai Parwaaz ko bas isi baat ka ghum
ke apni qasam tod kar ja rahe ho

Last edited by mujib66; 28th August 2014 at 05:02 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
28th August 2014, 06:49 PM

mujhe zher de kar abhi mar dalo
agar waqai chod kar ja rahe ho

waahhhhh

janaab ye faqat ghazal nahii ek daastaan hai..... ek afsaana... ek risaalaa hai......

bas noor hi noor jhalak rahaa hai mere bhai.. daad qubool kijiye...

duaago

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
mujib66
Registered User
mujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 409
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 26
2nd September 2014, 05:11 PM

Bohut bohut shukriya Sameer Saheb....Age bhi sath dete rahiyega. main inshallah age aur bhi kalam pesh karta rahun ga.

Khuda hafiz.
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
31st August 2014, 08:42 PM

wafa hi wafa main ne ki hai hamesha
mujh hi se chura ke nazar ja rahe ho

Waaaaaaaaaaaaaaahh! Mujeeb saheb,

Dard aur ishQ ka imtezaaj khoob kiya hai aap ne...
dherooN dherooN daad iss besh-qeemati ghazal ke liye!
reps added.

Likhte rahiye,

DuaooN ke saath,


*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
mujib66
Registered User
mujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 409
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 26
2nd September 2014, 05:12 PM

Sorry for belated response Hassan Saheb.

Aap ka bohut bohut shukriya.
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
31st August 2014, 09:12 PM

mujib sahab .... ye ghazal zabaan ke meethe paani aur bayaan ki rawaani ka ek jharna hai jis ki ek ghoont le kar tishna-e-sukhan ko masarrat aur itmenaan ka ehsaas hota hai. agar baat karein is ke ehsaasaat ki, to waaah ... kayee kism ke jazbaat ... shikayat naarazgi supurdgi intesaab .... ka taana baana buna hai .... in sab jalwon se beintehaayee zauq-e-sukhan haasil hota hai. beshaq ek laajawaab pur-jamaal qalaam hai .... aap ko bahaut bahaut mubaarakbaad aur dheron dheron daad !!!!


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
mujib66
Registered User
mujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 409
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 26
2nd September 2014, 05:19 PM

My dear Zarraa ji,

Jitni khoobsurat meri Ghazal hai usse bhi kahin ziyadah khoobsurat aap ka eh bayaan(Comment) hai.

I feel humble of being heard to your such amazing comment. It is so nice of you.

Lots of thanks to you.

Take care
Khuda Hafiz.
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
2nd September 2014, 05:43 PM

Quote:
Originally Posted by mujib66 View Post
mere dar se uth kar agar ja rahe ho
bata kar to jao kidhar ja rahe ho

bhari hain nami se tumhari bhi aankhen
bure haal men ho magar ja rahe ho

wafa hi wafa main ne ki hai hamesha
mujh hi se chura ke nazar ja rahe ho

zara main bhi janu ke kis ghum ko lekar
idhar ja rahe ho, udhar ja rahe ho

khuda se dua main eh hi maangta hun
udhar khush raho tum jidhar ja rahe ho

mujhe zher de kar abhi mar dalo
agar waqai chod kar ja rahe ho

hai Parwaaz ko bas isi baat ka ghum
ke apni qasam tod kar ja rahe ho
Wah wah! Mujeeb ji

Apne itna khoobsurat likha hai ki koi kahin bhi ja raha ho yahin aaker theher jaayega.

Likhte rahiye. Khush rahiye.


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
mujib66
Registered User
mujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 409
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 26
3rd September 2014, 11:39 AM

Bohut bohut Shukriya

Hanste hue daad qubool kar raha hun.
Kyon ki is bhagti hui duniya men koi Ghazal sunkar theher jaye to bohut badi baat hogi.

Isi tarah saath dete rahiye.

Cheers!
Mujeeb
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
mujib66
Registered User
mujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 409
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 26
3rd September 2014, 01:23 PM

Oh very very sorry Nazneen ji.

Beintehah office ke kamon men phans gaya hun...is liye shayad acknowledgement dena bhool gaya.

Waise aap ko jaan kar taajub hoga ke peshe main Sr. Scientist hun ....magar ek zamane se zauq-e-shayeri rakhta hun....lekin bohut ziyada nahin.

Aap se mazrat chhata hun......is baat ka phir se shukriya ada karta hun ke aap ne meri Ghazal ko meticulously padha, samjha aur sincerely comment bhi kiya.

Aap ka nacheez dost
Mujeeb Parwaaz.
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
mujib66
Registered User
mujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 409
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 26
4th September 2014, 12:57 PM

Dear Nazneenji...aap se mukhatib ho kar ..ap ke message padh kar...kalam padhkar ek andruni khushi hoti hai mujhe....pata hai !!

main aksar ghazal isi purani beher ( rythm) "faulun faulun faulun faulun" men likhta hun.

Purani ( Traditional) beher is liye ke.....Jeegar Muradabadi ki ek mashhoor Ghazal bhi isi beher men hai.

Is Ghazal ka ek matla aur do sher .....arz kar raha hun..

jo ab bhi na takleef farmayiyega
to bas haath malte hi reh jayiyega

ham hi jab na honge to kya rang-e-mehfil
kise dekh kar aap sharmayiyega.

bhoolana hamara mubarak mubarak
magar shart eh hai na yaad ayiyega......By Jeegar Muradabadi



do filmi geet bhi isi beher main....aur bhi kai honge...

1. Ajee rooth kar ab kahan jayiyega....jahan jayiyega hamen payiyega

2. bane chhahe dushman zamana hamara..salamat rahe dostana hamara.

Ok. Cheers!
With best wishes.
Mujeeb Parwaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
9th September 2014, 10:22 PM

Quote:
Originally Posted by mujib66 View Post
mere dar se uth kar agar ja rahe ho
bata kar to jao kidhar ja rahe ho

bhari hain nami se tumhari bhi aankhen
bure haal men ho magar ja rahe ho

wafa hi wafa main ne ki hai hamesha
mujh hi se chura ke nazar ja rahe ho

zara main bhi janu ke kis ghum ko lekar
idhar ja rahe ho, udhar ja rahe ho

khuda se dua main eh hi maangta hun
udhar khush raho tum jidhar ja rahe ho

mujhe zher de kar abhi mar dalo
agar waqai chod kar ja rahe ho

hai Parwaaz ko bas isi baat ka ghum
ke apni qasam tod kar ja rahe ho
Its simply awesome mujib ji......bas padte rahne ka dil karta hai.....aise hi likhte rahein...taki hame aapko padne ka aur seekhne ka mauka milta rahein....



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
mujib66
Registered User
mujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 409
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 26
10th September 2014, 12:44 PM

Bohut bohut shukriya Madhu ji.

Aap ki kavitayen bhi kafi asardaar hoti hain. Main to forum men dhoond dhoond kar aap ki kavita padhta hun. Bade khule dil se aap likhti hain...aur rawani bhi khoob achhi.

Bye for now.
Mujeeb Prwaaz
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com