Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Introduction Forum

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Priya (chahat) Ji Ka Interview
Old
  (#1)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Priya (chahat) Ji Ka Interview - 1st April 2009, 10:20 AM

Doston chaliye is mahine hum interview karenge Priya (Chahat) ji ka,

Priya ji Shayri.com ki ek bohat is purani member hain.ye na sirf yahan ki moderator hain, balki ek bohat acchi shayera bhi hain,bohat hi khushmizaj aur sabki chahiti dost bhi hain,..

chaliye aaj hum inke baare me inse kuch sawaal poochte hain..

priya ji aapka interview me swagat hai..sawalon ke daur shuru karte hain..

1.Mera pehla sawaal wahi hai jo main sabse poochti hoon..apne baare me kuch bataiye...apki education,family friends, hobbies..etc..

2..In saat salon me shayri.com per aapne kya kya tabdeeliyan mehsoos ki.

3.Ek moderator ke naate shayri .com ki bhalai ke liye aap kya changes karna chahengi yahan per....

4.Sdc per aapke sabse favorite shayer kaun hai.......

chaliye filhaal itna hi...aapse dubara mulaqat hogi


_ZAINY




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
2nd April 2009, 11:09 AM

Dear Priya,

aap ka interview ke kaTghare me.n swaagat hai

jald se haazir ho.n

-Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
2nd April 2009, 11:34 AM

Priya didi:

Kem chho

sab se pehle to Guru g ko chele ka salaam !! SDC ke kaTh-Ghare meiN maiN aapka swaagat kartaa huuN Darriye nahiiN abhii sawaal leke nahiiN aaya maiN ,ab aap haaZir ho jaayeN jaldi jaldi!

ShubhakaamnaayeN!

aapka

~ Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
3rd April 2009, 06:27 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Doston chaliye is mahine hum interview karenge Priya (Chahat) ji ka,

Priya ji Shayri.com ki ek bohat is purani member hain.ye na sirf yahan ki moderator hain, balki ek bohat acchi shayera bhi hain,bohat hi khushmizaj aur sabki chahiti dost bhi hain,..

chaliye aaj hum inke baare me inse kuch sawaal poochte hain..

priya ji aapka interview me swagat hai..sawalon ke daur shuru karte hain..

chaliye filhaal itna hi...aapse dubara mulaqat hogi


_ZAINY
Sabse pehle to Zainy ji ka is zzarranawaazi ke liye shukriya ada karna chaahungi, ki unhone itne pyar se yeh interview shuru kiya hai.

Poori imaandaari aur sachaai ke saath sabhi sawaalon ke jawaab dene ki koshish karungi.

1.Mera pehla sawaal wahi hai jo main sabse poochti hoon..apne baare me kuch bataiye...apki education,family friends, hobbies..etc..

Apne baare me... I'm 26yrs young ( old nahi kehte hehehe) Happily married for 4 yrs now with the love of my life Tanesh (very loving and caring hubby). Aur meri family me mere parents and my brother and sister-in-law, and on my inlaws side my mum-in-law, my hubby's brother and his wife and their beauiful 5 yrs daughter Rabiya (apple of my eye).

I'm a Cosmetologist now, but before that I was a computer crazy programmer.

Rehne vaali Ludhiana (Punjab) ki hun, kabhi kabhi Amherst (NY) bhi. dono hi ghar hain, kabhi yahan to kabhi vahan.

Hasna, khelna, masti karna meri fitrat hai.. doston ke saath hassi thitholi karte hi waqt beet jaata hai. Doston ki list behad lambi hai.. shuru nahi karungi.. kyunki khatam honi mushkil hogi

Meri hobbies.... hm music... music ke bina to jaise zindagi zindagi na ho... Singing, painting, dance pehle karti thi ab nahi. Badminton behad pasand hai.. College time me State level badminton aur table tennis player thi.


2..In saat salon me shayri.com per aapne kya kya tabdeeliyan mehsoos ki.

Tabdeeliyan to bahut hain.. pehle site ka format hi kuch aur tha.. golden yellow aur dark blue color ki hoti thi.. jab vaisi thi tab bhi yahan se jaane ka dil nahi karta tha.. itna apnapan milta hai yahan ki kya kehna. Ab is naye format ki bhi utni hi habbitual ho chuki hun.. nayi nayi options se bahut user friendly aur hip ho gayi hai SDC


3.Ek moderator ke naate shayri .com ki bhalai ke liye aap kya changes karna chahengi yahan per....

Kuch aise log jo site ka maahaul bigaadne ki koshish karte rehte hain, unse request karungi ki aisi koi bhi harqat na karein, kyunki phir majbooran hum sab mod's ko milke strict actions lene padte hain, in the favor of the site.

4.Sdc per aapke sabse favorite shayer kaun hai.......

yeh bahut hi khatarnaak sawaal kiya hai aapne.. Acha o sabhi likhte hain, infact jo bhi shaks apne dil se likhta hai, usse jyada khoobsoorat aur kuch nahi hota... Dhaval, Mayank Bhai, Sunita Di, Kunal Bhai, Tilak ji, Adhuri Heer... unme se kuch naam hain.. par sabhi bahut hi acha likhte hain

Chaliye ab aapke sawaalon ki list to solve kar di... baakiyon ke sawaalon ka intzaar rahega..

~Priya





"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#5)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
3rd April 2009, 06:34 PM

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post
Dear Priya,

aap ka interview ke kaTghare me.n swaagat hai

jald se haazir ho.n

-Mayank
Ji............ main haazir hun....



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#6)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
3rd April 2009, 06:37 PM

Quote:
Originally Posted by dhavalrami4you View Post
Priya didi:

Kem chho

sab se pehle to Guru g ko chele ka salaam !! SDC ke kaTh-Ghare meiN maiN aapka swaagat kartaa huuN Darriye nahiiN abhii sawaal leke nahiiN aaya maiN ,ab aap haaZir ho jaayeN jaldi jaldi!

ShubhakaamnaayeN!

aapka

~ Dhaval
Main majja ma...

Chele ka pranaam sweekaar hai heehehhehe

Darrti nahi hun.... teri to vaise bhi pitaai ho jaati hai easily tujhse kaise darrna hehhehe

Intzaar rahega nanhe shaitaan tumhare sawaalon ka..

~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
3rd April 2009, 11:29 PM

Priya didi:

Pranaam!

maiN haaZir ho gayaa kuch sawaaloN ke saath:

1>> " Pyaar " kyaa maa'iine raKhta hai yeh lafz aapki ziNdagee meiN ?

2>> bachpan meiN aap kyaa bannaa chaahte the?

3>> Shaa'iiree se lagaav kis tarah huaa ?

4>> jijju ko jab aap Shaa'iiree sunaate haiN apni to uNkaa jawaab kya hotaa haii

5>> mujhe pataa hai aap ek bahot hi paDhaaku student huaa karte the.. par kabhee exam meiN chori-chhupe liKhaa haii kii nahiiN apne dostoN ki answer sheets meiN se

6>> ko'ii aisaa kissa jise yaad kar ke aap aaj bhee bahot haNSte hoN wo jaannaa chaahuNgaa.

7>> ziNdagee meiN Gar kisi moD par hum Khud ko kamzor mehsoos kareN to hame kyaa karnaa chaahiYe?

8>> filhaal ke liye aaKhiri sawaal KhaaS aapke liye Guru Jee

iNdia ki colgate meiN aur videSh kii colgate meiN kya farQ haii

fir se aauNgaa maiN...

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
4th April 2009, 02:32 AM

Meri gudiya sach maiN badi ho gayi ..

isi post pe pata laga old wali baat pe .. par usi ke sath apne girebaaN main bhi jhaankna pada ...

aauNga baad maiN .. kyuNki mere paas tumse poochne ko kuch hai nahi .. kaafi kuch pata hai.. kuch samajhta bhi huN ... par sabke sawaaloN maiN kahiN laga ki kuch jaan-na reh gaya hai to poochuNga ... thoda waqt bhi na-saaz hai ...

Tumhara bhai

Kunaal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#9)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
4th April 2009, 07:00 PM


List kaafi lambi le kee aaye tum Shaitaan... chalo ek ek karke koshish kart hun jawab dene ke...

1>> " Pyaar " kyaa maa'iine raKhta hai yeh lafz aapki ziNdagee meiN ?

PYAAR, kehne ko to yeh hindi ka shabd ek adhure shabd se banta hai, lekin is adhure shabd ke bina zindagi ke koi maayene nahi hote. Tum maanoge nahi, par yeh sach hai ki tumhare jiju ko milne se pehle main is shabd ko mazaak samjhti thi.. sochti thi aisi koi cheez nahi, aisa koi jazba nahi jiske liye main marne maarne pe aa sakun.... lekin main galat thi. jab pyaar ki hawa ne chua, to pata nahi itni shakti khud me kahan se paayi. Sankshep me bas itna hi kahungi ki pyar zindagi hai, aur pyar ke bina meri zindagi ke koi maayene nahi.


2>> bachpan meiN aap kyaa bannaa chaahte the?

Bachpan me main Doctor banna chaahti thi, lekin badi hoke science se nafrat ho gayi, aur computers se pyar


3>> Shaa'iiree se lagaav kis tarah huaa ?

Shayri ki abc bhi nahi aati thi mujhe, aur na hi shauk tha 10th standard tak. Phir ek din maine internet pe kuch shayri's padhi.. padh ke achi lagi. Poetry karti thi main pehle bhi but woh shayri nahi thi. 11th tak pohanchte pohanchte shayri apna gehra rang chhhod chuki thi mere dil pe, ki aise hi kuch likhne ki koshish ki... to woh koshish ab tak chal rahi hai. apni woh diaries abhi bhi sambhaal ke rakhi hai maine, aur college me pohanch ke to shayri.com se hi naata jud gaya...


4>> jijju ko jab aap Shaa'iiree sunaate haiN apni to uNkaa jawaab kya hotaa haii

Shuru shuru me to woh yakin hi nahi karte the ki maine likha hai.. phir mere kehne pe unhone meri diaries padhi, aur bahut khush hue... unhe shayri nahi aati, par jab bhi main unhe kuch bhi kehti hun to uska jawaab mujhe ek pyara sa gaana suna ke dete hain.. aur kahenge jhhalli itna pyar mat kiya kar mujhse.


5>> mujhe pataa hai aap ek bahot hi paDhaaku student huaa karte the.. par kabhee exam meiN chori-chhupe liKhaa haii kii nahiiN apne dostoN ki answer sheets meiN se

Nahi maine kabhi cheating nahi ki, infact main to humesha apne aas paas vaale bachon ko cheating karvaati thi. Mere aas paas itne intellegent bache hote the humesha ki agar kuch poochoongi to mere number zaroor kam aayenge. isliye yeh risk kabhi nahi liya. haan cheating karvate hue bhi meri heartbeat itni tez ho jaati thi ki kya bataaun. par luck acha tha, kabhi kisi teacher ne kuch nahi kaha.


6>> ko'ii aisaa kissa jise yaad kar ke aap aaj bhee bahot haNSte hoN wo jaannaa chaahuNgaa.

College me second year me, hume Software Engineering padhaane ke liye ek naye teacher aaye.. actually aaya.. he was just 24 yrs old, aur hum sab bhi 20 ke aas paas.. to use teacher kisne samjhna tha. Saari class ne milke uske liye pyari pyari baatein likhi board pe.. i mean cheap funny romantic type. aur maine uski funny pic bhi draw ki. jab woh class me aaya to hairaan pareshaan ho gaya, ki yeh sab kya hai.. lekin koi nahi bola ki kisne kiya, as everyone was involoved. bichara itna besharam hua, ki board rub karke class se chala gaya, aur agle din humne phir se chits banaayi.. aur uski pag pe land karvaayi.. chits khaali thi, kuch nahi likha tha. par woh itna pareshaan ho gaya humari class se ki bichare ne keh ke apna section hi change karva liya.. jab bhi kbahi corridoors me mil jaate to uski aankhein neechi ho jaati... heheheeeee


7>> ziNdagee meiN Gar kisi moD par hum Khud ko kamzor mehsoos kareN to hame kyaa karnaa chaahiYe?

Zindagi me agar kabhi bhi khud ko kamzor mehsoos karte ho, to sabse pehle aise koi mushkil haalaat yaad karo jinme se tum ubhar ke aaye ho, aur apne aap ko himmat aur housla dono do, ki yeh dukh ke baadal chhat jaayenge, aur khushi ka sooraj phir chamkega. U have to be very optimistic in life. maayoos hone se guzaara nahi, agar problem hai to uska solution bhi zaroor hoga, bas milne ki baat reh jaati hai.

8>> filhaal ke liye aaKhiri sawaal KhaaS aapke liye Guru Jee

iNdia ki colgate meiN aur videSh kii colgate meiN kya farQ haii


Yeh sawaal to mere mann me kabse ghoom raha tha, ki jab bhi nanha shaitaan aayega yeh question zaroor karega.. Fark to kuch bhi nahi hai, fark to daanton ki chamak me hai jo mere humesha safed aur chamakte rahenge, aur tumhara humesha hi yellow yellow dirty fellow rahenge.. hehehhee


Chalo sab ke answers ho gaye.. uff.. kitna kaam karvaate ho tum Dhaval.

Take Care...
~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#10)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
5th April 2009, 11:51 AM

Quote:
Originally Posted by sacccha_pyar View Post
Meri gudiya sach maiN badi ho gayi ..

isi post pe pata laga old wali baat pe .. par usi ke sath apne girebaaN main bhi jhaankna pada ...

aauNga baad maiN .. kyuNki mere paas tumse poochne ko kuch hai nahi .. kaafi kuch pata hai.. kuch samajhta bhi huN ... par sabke sawaaloN maiN kahiN laga ki kuch jaan-na reh gaya hai to poochuNga ... thoda waqt bhi na-saaz hai ...

Tumhara bhai

Kunaal
Aapko yahan dekh ke bahut khushi hui Kunal Bhaiya.. haan woh sab beeti baatein, bahut yaad aati hai.. especially woh masti jo humne ki thi paabo ni paabo vaali post pe.. aapki aur mast bhai ki pyari pyari kavitaayein.. bahut hi acha time tha woh. Haan badi to ho gayi thodi si

Aapke sawaalon ka intzaar rahega bhaiya!

Take Care..
~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
7th April 2009, 09:06 PM

Priya jee,

hello......

chaliye kuchh sawaaal haamaari aur se, ab aap se thodi bohat guftaguu ho jaaye!

1) pareshaan karne ki degree aap ko kaise lagii............


2) jab aap ko is college se yeh degree mili to aap ne kaisa mehsoos kiyaa.....

3) jab aap ko koii sawaal ka jawaan nahii.n aata thaa to kaise lagtaa thaa......


3)aap ke zindagii ka sab se pyaara aur mazedaar pal........

to be continued.........

-Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#12)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
8th April 2009, 01:29 AM

hello dear.......kaisi ho ????

kya sawaal karuN tumse...abhi to koi sooj nahi raha...abhi to maine sabke sawaal aur tumhare jawaab padey haiN aur ek baat mujhe maloom thi ki CHOTTU jab bhi aayega Daanto.n ki safai ki baat jaroor karega

phir aauNgi

kush raho


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#13)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
8th April 2009, 09:57 AM



Aapke sawaal kaafi dilchusp lag rahe hain, answer dene me bhi maza aayega.


1) pareshaan karne ki degree aap ko kaise lagii............

Pareshaan karne ki degree sabse mazedaar post thi. Bahut bahut enjoy kiya vahan sab ne aur maine bhi.. answer jaldi dene ki ghabraahat me bahut maza aata tha


2) jab aap ko is college se yeh degree mili to aap ne kaisa mehsoos kiyaa.....

Officially kahan di aapne... woh to beech me hi band ho gayi post. Milte milte reh gayi na.. jab officially doge tabhi to emotions express kar paaungi.


3) jab aap ko koii sawaal ka jawaab nahii.n aata thaa to kaise lagtaa thaa......

Kaisa kya lagna, pehle to khud pe gussa aata tha, ki yeh mujhe kaise nahi pata, aur phir kya, internet pe us sawaal ka har possible answer dhoond ke sahi jawaab jab tak na paa lun, chain nahi milta tha aakhir kaar first bhi to aana hota tha, aur answer dhoondne me hi late ho jaati phir kaise hota.

4)aap ke zindagii ka sab se pyaara aur mazedaar pal........

Aise bahut se pal hain, jinhe maine dil se jiya aur enjoy bhi kiya hai, sabka bataana to possible nahi hoga.. phir bhi ek ki koshish karti hun.

Sabse pyaara pal to woh tha jab mere aur hubby ke milne ke baad, pehli baar mera b'day celeberate kiya tha... hum long drive pe McDonolds gaye sabse pehle.. Humari pehli long date, aur vahan kuch bhi baat karne ke bajaaye, mujhe vahan pyare pyare chotte chotte nanhe munne bachche dikh rahe the har taraf, aur main unhi ko dekhti rahi, aur Tanesh se bhi kehti rahi, dekho ki woh baby kitna cute hai and all that. Suddenly maine socha ki arre yeh kya, Tanesh kya sochenge mere baare me ki date ki jagah main bachche dekh rahi hun, jaise hi maine Tanesh ki taraf aankhein utha dekha, to woh mujhe keh rahe the ki woh dekh Priya woh vaala baby to tune dekha hi nahi woh to bahut cute hai... bas us pal me mujhe bahut khushi milli.

Sabse mazedaar latest vaala pal woh, jab mere bhai ki shaadi hui abhi pichle mahine. Har chotti chotti rasam me bahut maza aaya.. sabse jyada maza tab aaya, jab baar rukaai ki rasam thi, aur rasam behane hi karti hain, us waqt bichare mere bhai ki jeb jo dhilkaaya, bahut masti ki. woh mujhe sirf ek diamond set de ke tarka raha tha, lekin maine saath me usse Rs11,000 cash bhi le liya.. hehehhehe




"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~


Last edited by chaahat; 8th April 2009 at 10:00 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
8th April 2009, 09:59 AM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
hello dear.......kaisi ho ????

kya sawaal karuN tumse...abhi to koi sooj nahi raha...abhi to maine sabke sawaal aur tumhare jawaab padey haiN aur ek baat mujhe maloom thi ki CHOTTU jab bhi aayega Daanto.n ki safai ki baat jaroor karega

phir aauNgi

kush raho
Maine achi hun Di. Aapko yahan dekh ke bahut khushi hui. Aapke sawaalon ka intzaar rahega.

Take Care..

~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#15)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
10th April 2009, 12:11 AM

Meri Gudiya

daur sawaal jawaab ka hai to pooch leta huN line maiN lag ke ...

1) Professional ya emotional ... kya sahi hai aaj ke duniya main tumhare hisaab se .. aur tum khud ko kahan paati ho inme...

2) Mushkil daur sabki zindgi maiN aata hai .. tumhari mohabbat ka mushkil daur lag bhag mujhe maloom hai .. iske alaawa kab aisa laga tumhe ki ye waqt kab talega ... gaur farmaana maiN ek ya do din ki baat nahi kar raha maiN ek daur ki baat kar raha huN ...

3) Shayri ki mehfil mai tumhe aate arsa ho gaya .. kya lagta hai tumhe, shayri aur shayroN ke baare maiN .. ki kya wakai yahaN sab dil ki likhte hai ya alfaaz bana ke bas yuN hi... aur shayri wakai kitna sahi tareeka hai khud ko byakt karne ka...

4) Koi bhi rishta aakhir kaar kitna maiyne rakhta hai tumhare liye ... kya rishtoN maiN kisi tarah ki umeed ka hona zaroori hai..

ab personal sawaal ...

5) maiN mama kab ban raha huN ... hahahah



Baaki baad maiN aaunga ...

Tumhara apna

Kunaal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#16)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
12th April 2009, 01:11 PM

Priya didi :

namaste namaste!!

fir se aa gayaa maiN !!

1>> aap kaun se viShay par liKhanaa zeyaadaah pasaNd karte hai.n? dard ya iShQ ?

2>> Shaa'iiree Parivaar se juRne waale naye sadasyoN se aap kyaa kehnaa chaaheNge

3>> bachpan ke dinoN ki ko'ii aisii zid jo kaise bhee kar ke aapne manwaa'ii ho jabarjasti se wo jaannaa chaahuNgaa

4>> ziNdagee meiN KhuShii aur Ghum kaa aanaa-jaanaa lagaa rehtaa he. aapka kyaa kaheNge


5>> bachpan meiN aapka sab se fav. subject kaunsaa thaa aur kyuuN ?
aur kauNsa subject pasaNd nahiiN thaa ? kyuuN ?

6>> chunaav aa rhe he, hamaare deSh ke netaa'O ke baare meiN aapki kyaa raa'ey hai

aaKhiri sawaal baRaa aasaan he aapke liye tou

7>> maiNe sunaa he aap Gujarati baRii achchhi bol lete hai aur samjh bhee lete hai to aik "Gujarati sentance" ho jaaye !! aapki aur se

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
20th April 2009, 01:38 PM



1) Professional ya emotional ... kya sahi hai aaj ke duniya main tumhare hisaab se .. aur tum khud ko kahan paati ho inme...

Aaj ke zamaane me to dono hi behad zaroori hain.... dono ka use apni apni jagah kiya jata hai. Agar aap professional life me emotions le aaoge to u'll get hurt and face faliure of some sort or other at some time. Dono hi aspects sahi jagah use hone bahut zaroori hain. I'm more emotional, but when I'm at work, I tend to be as professional as I can, still I find my emotional side to overshadow my professional one.


2) Mushkil daur sabki zindgi maiN aata hai .. tumhari mohabbat ka mushkil daur lag bhag mujhe maloom hai .. iske alaawa kab aisa laga tumhe ki ye waqt kab talega ... gaur farmaana maiN ek ya do din ki baat nahi kar raha maiN ek daur ki baat kar raha huN ...


Meri zindagi me sabse mushkil daur humesha vahi hota hai jab main US me hoti hun, aur mere hubby India me. Woh time sabse mushkil hota hai nikaalna, aur bas yehi sochti hun ki yeh sab kab theek hoga... aise hi mushkil daur se phir se rub-a-roo hone vaali hun main ek baar phir.


3) Shayri ki mehfil mai tumhe aate arsa ho gaya .. kya lagta hai tumhe, shayri aur shayroN ke baare maiN .. ki kya wakai yahaN sab dil ki likhte hai ya alfaaz bana ke bas yuN hi... aur shayri wakai kitna sahi tareeka hai khud ko byakt karne ka...


Shayri me woh saari baatein bhi aasaani se keh di jaati hain, jinhe vaise kehna mushkil hota hai, ikraar, izhaar, dard... aisi dher si bhaavnaao ko shayri me sanjo ke likhna phir bhi aasaan hota hai. Main jab bhi likhti hun, dil se likhti hun, taal mel ki kami bhi ho jati hai kabhi, jo ki phir likhne ke baad door karne ki koshish karti hun. Kisi bhi aur shayar ya shayara ke liye main koi comment nahi kar sakti, kyunki khud ko us mukaam pe nahi samjhti hun, jahan apne ko chhod kisi aur ke baare me kuch keh sakun. Dil se jo bhi likhte hain woh zaroor ek ajeeb si khushi mehsoos karte honge likhne ke baad.


4) Koi bhi rishta aakhir kaar kitna maiyne rakhta hai tumhare liye ... kya rishtoN maiN kisi tarah ki umeed ka hona zaroori hai..

Relationships blossom when u don't expect anything in return. Umeed lagaane se dukh zyada milta hai. Rishte to aapki zindagi ka woh hissa hai, jiske bina zindagi me kuch bhi nahi reh jata. Rishton ki naazukta aur ehmiyat dono se main achi tarah vaakif hun.


ab personal sawaal ...

5) maiN mama kab ban raha huN ... hahahah


Bas jaldi hi




"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#18)
Fathomless
Ð Amorist
Fathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to behold
 
Fathomless's Avatar
 
Offline
Posts: 2,283
Join Date: Aug 2008
Rep Power: 26
20th April 2009, 02:13 PM

Quote:

List kaafi lambi le kee aaye tum Shaitaan... chalo ek ek karke koshish kart hun jawab dene ke...

1>> " Pyaar " kyaa maa'iine raKhta hai yeh lafz aapki ziNdagee meiN ?

PYAAR, kehne ko to yeh hindi ka shabd ek adhure shabd se banta hai, lekin is adhure shabd ke bina zindagi ke koi maayene nahi hote. Tum maanoge nahi, par yeh sach hai ki tumhare jiju ko milne se pehle main is shabd ko mazaak samjhti thi.. sochti thi aisi koi cheez nahi, aisa koi jazba nahi jiske liye main marne maarne pe aa sakun.... lekin main galat thi. jab pyaar ki hawa ne chua, to pata nahi itni shakti khud me kahan se paayi. Sankshep me bas itna hi kahungi ki pyar zindagi hai, aur pyar ke bina meri zindagi ke koi maayene nahi.


hhmmm Bahot khoob...... !

Waise in shabdo.n ko baya.n karna mushkil hi nai namoomkin hai.......... !

Quote:
2>> bachpan meiN aap kyaa bannaa chaahte the?

Bachpan me main Doctor banna chaahti thi, lekin badi hoke science se nafrat ho gayi, aur computers se pyar
hahahhaa
Quote:

4>> jijju ko jab aap Shaa'iiree sunaate haiN apni to uNkaa jawaab kya hotaa haii

Shuru shuru me to woh yakin hi nahi karte the ki maine likha hai.. phir mere kehne pe unhone meri diaries padhi, aur bahut khush hue... unhe shayri nahi aati, par jab bhi main unhe kuch bhi kehti hun to uska jawaab mujhe ek pyara sa gaana suna ke dete hain.. aur kahenge jhhalli itna pyar mat kiya kar mujhse.
thats so sweet of you....... God Bless both of you

Quote:
5>> mujhe pataa hai aap ek bahot hi paDhaaku student huaa karte the.. par kabhee exam meiN chori-chhupe liKhaa haii kii nahiiN apne dostoN ki answer sheets meiN se

Nahi maine kabhi cheating nahi ki, infact main to humesha apne aas paas vaale bachon ko cheating karvaati thi. Mere aas paas itne intellegent bache hote the humesha ki agar kuch poochoongi to mere number zaroor kam aayenge. isliye yeh risk kabhi nahi liya. haan cheating karvate hue bhi meri heartbeat itni tez ho jaati thi ki kya bataaun. par luck acha tha, kabhi kisi teacher ne kuch nahi kaha.

hhmm thats great......

Quote:
6>> ko'ii aisaa kissa jise yaad kar ke aap aaj bhee bahot haNSte hoN wo jaannaa chaahuNgaa.

College me second year me, hume Software Engineering padhaane ke liye ek naye teacher aaye.. actually aaya.. he was just 24 yrs old, aur hum sab bhi 20 ke aas paas.. to use teacher kisne samjhna tha. Saari class ne milke uske liye pyari pyari baatein likhi board pe.. i mean cheap funny romantic type. aur maine uski funny pic bhi draw ki. jab woh class me aaya to hairaan pareshaan ho gaya, ki yeh sab kya hai.. lekin koi nahi bola ki kisne kiya, as everyone was involoved. bichara itna besharam hua, ki board rub karke class se chala gaya, aur agle din humne phir se chits banaayi.. aur uski pag pe land karvaayi.. chits khaali thi, kuch nahi likha tha. par woh itna pareshaan ho gaya humari class se ki bichare ne keh ke apna section hi change karva liya.. jab bhi kbahi corridoors me mil jaate to uski aankhein neechi ho jaati... heheheeeee
oh bechare ki watt laga di aapne to........... lolz

Quote:
7>> ziNdagee meiN Gar kisi moD par hum Khud ko kamzor mehsoos kareN to hame kyaa karnaa chaahiYe?

Zindagi me agar kabhi bhi khud ko kamzor mehsoos karte ho, to sabse pehle aise koi mushkil haalaat yaad karo jinme se tum ubhar ke aaye ho, aur apne aap ko himmat aur housla dono do, ki yeh dukh ke baadal chhat jaayenge, aur khushi ka sooraj phir chamkega. U have to be very optimistic in life. maayoos hone se guzaara nahi, agar problem hai to uska solution bhi zaroor hoga, bas milne ki baat reh jaati hai.

8>> filhaal ke liye aaKhiri sawaal KhaaS aapke liye Guru Jee

iNdia ki colgate meiN aur videSh kii colgate meiN kya farQ haii

Yeh sawaal to mere mann me kabse ghoom raha tha, ki jab bhi nanha shaitaan aayega yeh question zaroor karega.. Fark to kuch bhi nahi hai, fark to daanton ki chamak me hai jo mere humesha safed aur chamakte rahenge, aur tumhara humesha hi yellow yellow dirty fellow rahenge.. hehehhee


Chalo sab ke answers ho gaye.. uff.. kitna kaam karvaate ho tum Dhaval.

Take Care...
~Priya



haha......... Gud Answers Priya ji

main bhi kuch questions poochna chahoonga agar aapki izzajat ho......


Save me from the safety of my SILENCE
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
20th April 2009, 06:16 PM



1>> aap kaun se viShay par liKhanaa zeyaadaah pasaNd karte hai.n? dard ya iShQ ?

Topic soch ke kabhi nahi likhti.. jo bhi bhavnaayein mann me chal rahi hoti hain, bas unhe kaagaz pe utaarne ki koshish karti hun, aur kuch nahi. Topic soch ke kabhi nahi likha.. actually likhne ke baad hi pata chalta hai


2>> Shaa'iiree Parivaar se juRne waale naye sadasyoN se aap kyaa kehnaa chaaheNge

Naye sadasyon se bas itna hi kehna chaahungi, ki apne dil ki sunke likhein. sache mann se likha humesha hi badiya hota hai, aur site ki rules and regulations properly follow karein. Sabse pyar se deal karein, aur jhagda na karein.


3>> bachpan ke dinoN ki ko'ii aisii zid jo kaise bhee kar ke aapne manwaa'ii ho jabarjasti se wo jaannaa chaahuNgaa


2nd class ki baat hai, main mom ke saath market gayi aur mujhe vahan ek pink color ki frock behad pasand aa gayi. Lekin mom ne woh dilvaane se mana kar diya. Agle din mom aur dad dono ke saath us shop pe gayi, lekin mom ne phir se mana kar diya.. maiine rona shuru kar diya ki mujhe to vahi frock chaahiye.. mom said itni achi nahi hai, kahin aur se achi vaali le lena... lekin I was stuck with that one only. mujhe to vahi chaahiye thi, phir kya... rote rote shop ki zameen pe let ke zor zor se chillana bhi shuru kar diya, bichare mom n dad felt so humiliated ki mujhe zabardasti woh frock dilvaayi aur fatafat se us store se baahar nikaala


4>> ziNdagee meiN KhuShii aur Ghum kaa aanaa-jaanaa lagaa rehtaa he. aapka kyaa kaheNge

This is absolutely true. Kabhi khushi to kabhi gam, it's a part and parcel of life. Koi bhi phase permanent nahi hota. Jaise har raat ke baad savera hota hai, aur savere ke baad raat, same ways khushi aur gam bhi aise hi aankh micholi khelte rehte hain.


5>> bachpan meiN aapka sab se fav. subject kaunsaa thaa aur kyuuN ?
aur kauNsa subject pasaNd nahiiN thaa ? kyuuN ?


Sabse favorite to English aur Painting hota tha, dono ache se samjh me aa jate the hehehhee Aur Hindi se nafrat thi, kyunki meri silly mistakes ho jati thi, maatraayein and all that, to teacher mistakes to 5 times correct karke likhne ko kehti jo acha na lagta


6>> chunaav aa rhe he, hamaare deSh ke netaa'O ke baare meiN aapki kyaa raa'ey hai

Desh ke neta bhi hummne hi chunne hain, ache hain bure hain, jaise bhi han humara hi chayan hai, bas is baar apna vote soch samajh kar de, taaki phir se yeh pachtaava na ho, ki yeh neta log kisi kaam ke nahi.


aaKhiri sawaal baRaa aasaan he aapke liye tou

7>> maiNe sunaa he aap Gujarati baRii achchhi bol lete hai aur samjh bhee lete hai to aik "Gujarati sentance" ho jaaye !! aapki aur se


Haan yeh to bahut hi aasaan sawaal poocha tumne.. to lo suno meri gujju line ::::::::::::::::::
KEM CHO DHAVAL?? MAJAA MAA

hehehhehehe dekha ab tumhe pata lag hi gaya hoga ki meri gujju kitni top ki hai

[/QUOTE]



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#20)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
20th April 2009, 06:19 PM

Quote:
Originally Posted by Fathomless View Post


hhmmm Bahot khoob...... !

Waise in shabdo.n ko baya.n karna mushkil hi nai namoomkin hai.......... !



hahahhaa


thats so sweet of you....... God Bless both of you




hhmm thats great......



oh bechare ki watt laga di aapne to........... lolz




haha......... Gud Answers Priya ji

main bhi kuch questions poochna chahoonga agar aapki izzajat ho......
Arre isme ijjazat kaisi.. jab inteview ke katghare me aa hi gayi hun, to sawaal poochne me hichak mat keejiye, bejhijhak poochiye



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#21)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
20th April 2009, 11:02 PM

Priya didi:

aapne mere sabhee sawaalon ke jawaab baRii imaandaarii ke saath diye.. baRii KhuShii paRh ke!

apnaa Khayaal raKheN... KhuSh raheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Lijiye aapke kahne par hum hazir haiN
Old
  (#22)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Love Lijiye aapke kahne par hum hazir haiN - 21st April 2009, 09:19 AM

Meri Pyari Priya .....bahut bahut bahut pyar......

main kya poochuN tumse takreeban sab kuch maloom hai, ab tumne kaha hai ki diii aap kuch poocheNgi to mujhe accha lagega...to lo ji hum aa gaye


Tumne Pukara aur Hum chale aaye, sawaal bhi saath le aaye re....


1. Priya, tumhe kya lagta hai ki khoon ke rishtey hi apne hote haiN ya jo rishtey hum khud banatey haiN, matlab ki dil ke rishtey...(unka roop koi bhi ho sakta hai) kya dil rishtey bhi utne hi apne hote haiN jitne khoon ke rishtey ya unse kahiN behatr bhi ho sakte haiN yeh rishtey ???

2. kaun se SHAYAR ko padna tum jayada pasand karti ho ???

3. SDC par bane rishto.n ka khulasa karna chahogi kya ??? agar haaN to pls kijiye, aur yeh rishtey kya ahmiyat rakhtey haiN tumhare liye yeh bhi batana ???

akhiri sawaal

4. October mein tum hume kya khaas baat batane waali ho ???? woh abhi bata dijiye sabko, nahi to maiN bata deti hooN kyuNki khushi baantne se double ho jati hai

bahut sare pyar aur duao.n ke saath
tumhari diii


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#23)
Fathomless
Ð Amorist
Fathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to beholdFathomless is a splendid one to behold
 
Fathomless's Avatar
 
Offline
Posts: 2,283
Join Date: Aug 2008
Rep Power: 26
21st April 2009, 10:49 AM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
4. October mein tum hume kya khaas baat batane waali ho ???? woh abhi bata dijiye sabko, nahi to maiN bata deti hooN kyuNki khushi baantne se double ho jati hai



Oh CONGRATULATIONS in advance Priya G


Save me from the safety of my SILENCE
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
24th April 2009, 06:28 PM

Quote:
Originally Posted by dhavalrami4you View Post
Priya didi:

aapne mere sabhee sawaalon ke jawaab baRii imaandaarii ke saath diye.. baRii KhuShii paRh ke!

apnaa Khayaal raKheN... KhuSh raheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval
My Pleasure

Agar cheating karke answers deti tab bhi to tum bolte na... hehehe isiliye socha chalo ache se sache answers hi de dun



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#25)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
24th April 2009, 06:44 PM



Di aapko yahan dubara dekh ke dugni khushi hui

1. Priya, tumhe kya lagta hai ki khoon ke rishtey hi apne hote haiN ya jo rishtey hum khud banatey haiN, matlab ki dil ke rishtey...(unka roop koi bhi ho sakta hai) kya dil rishtey bhi utne hi apne hote haiN jitne khoon ke rishtey ya unse kahiN behatr bhi ho sakte haiN yeh rishtey ???

Rishte to rishte hote hain, chahe phir woh khoon ke hon ya doosre. Maanne se hi dono ka wajood hai, nahi to kuch bhi nahi. Rishte chaahe khoon ke hi kyun na ho, jab tak unko woh pyar aur samman nahi diya jaata, unke bhi koi maayene nahi hote. Dil ke rishte hum khud chunte hain, aur der tak wafa bhi kar jate hai, baaki gaurantee to kisi bhi cheez ki nahi


2. kaun se SHAYAR ko padna tum jayada pasand karti ho ???

As such kabhi kisi shayar ko follow nahi kiya, bas woh jo bhi kuch shayri-e-mashhoor shayar me post hota wo padh leti hun, no personal fav's.


3. SDC par bane rishto.n ka khulasa karna chahogi kya ??? agar haaN to pls kijiye, aur yeh rishtey kya ahmiyat rakhtey haiN tumhare liye yeh bhi batana ???

SDC ke mere jitne bhi pyare rishte hain, mere dil ke sabhi bead kareeb hain. Sabse itna pyar aur apnapan milta hai, ki kabhi aisa lagta hi nahi ki main in sab se kabhi bhi nahi mili ya ye anjaane hain, ye sab to mere apne hain, jo SDC ke maadhyam se mujhe dubara mil gaye

akhiri sawaal

4. October mein tum hume kya khaas baat batane waali ho ???? woh abhi bata dijiye sabko, nahi to maiN bata deti hooN kyuNki khushi baantne se double ho jati hai


Maanti hun khushi baantne se badhti hain, par khushi ko nazar bhi lag jaati hai apni hi... isliye SSSSSSSSSSHHHHHHHHHHHHHHHH!!!!!!!!!!!! Raaz ko raaz rehne do, aur OCT ki wait karo shaanti se

Take Care...
Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#26)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
24th April 2009, 06:45 PM

Quote:
Originally Posted by Fathomless View Post


Oh CONGRATULATIONS in advance Priya G
Thankyou very much

Take Care..
Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Apke Liye....
Old
  (#27)
nalinmehra
The Lost Poet
nalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nice
 
nalinmehra's Avatar
 
Offline
Posts: 312
Join Date: Nov 2008
Rep Power: 20
Apke Liye.... - 25th April 2009, 03:49 AM

Hi,
Priya Ji, mera naam nalin hai, SDC se jude huye zyada waqt toh nahi hua hai, par aksar yahan aata rehta hun, apka interview pada, sawaal jawab dekhe................. aur apke jawabon ko padke laga ki, ap bahut suljhi hui aur behad khushmijaz hain......

waise, dil me mere bhi bahut saare sawaal hain, apke saamne rakh raha hun, fursat mile aur agar in sawalon ko jawab dene layak samjhe toh plz zarur dijiyega...

1. Kya zindagi me pyar sirf ek hi baar hota hai? aur agar ek se zayada baar ho toh yeh galat hai kya?

2. Agar apki zindagi ke kisi ek lamhe ya yaad ko agar kisi aur ko jeene ka mauka mile, toh ap konsa lamha ya yaad usay dena chahengi?

3. Kya yeh sach hai ki dil ke ehsaason ko bayan nahi karna chahiye, kunki log issay apki kamzori samajh lete hain.

4. Log poets ko aksar nakara ya useless kyun samajhte hain?

5. Kya Dosti ki koi seema hoti hai kya, aur agar hoti hai toh kaise pata chale ki seema kya hai?

aur mera aakhiri sawaal aur sabse zaruri bhi

6. Kehte hai ki aadmiyon ke dil ka rasta unke pet se hoke jaata hai, kisi ladki ke dil tak kaise pahucha jaaye, uske dil me kya hai yeh kaise jaana jaaye...

Apke jawab ka intezar rahega.....

Regards
Nalin - The Lost Poet....



Nalin

Uski Har "Uff" pe hum apni jaan lutate rahe,
Uski Shaqsiyat ko karke buland hum khudko mitate rahe,
Raahe-e-mohobbat me hamne kuch yun paya sila wafa ka,
woh dete rahe zakhm pe zakhm aur ham muskurate rahe




Please Honor me and my creative writing by visitng my website @ www.nalin-mehra.blogspot.com
   
Reply With Quote
sat sri akaal ji
Old
  (#28)
rajveeer
shayri is my life
rajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud ofrajveeer has much to be proud of
 
rajveeer's Avatar
 
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 33
sat sri akaal ji - 25th April 2009, 03:32 PM

priya ji sat sri akaal ji......bass ji rab thanu hamesha khush rakhe ehi duaa hai meri te......main kuj nahi puchhna thuade kolo....bass ji meri hazri mparwaan karna ji.....Raj.......


un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
 Send a message via ICQ to rajveeer Send a message via Yahoo to rajveeer  
Reply With Quote
Old
  (#29)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
29th April 2009, 01:12 PM


1. Kya zindagi me pyar sirf ek hi baar hota hai? aur agar ek se zayada baar ho toh yeh galat hai kya?

Pyar, ek aisa ehsaas hai jise jitna bhi samajhna chaaho poora kabhi nahi samajh paaoge. Sabke liye pyar ki apni ehmiyat aur zaroorat hai. Kisi ke liye ek hi baar ke hue pyar me zindagi basar karna hi sachaai hai, aur kisi ki zindagi me yeh khushi do baar bhi aa jati hai. Pyar karne me koi burai nahi, bas agar woh kisi matlab ke liye na kiya gaya ho to Vaise bhi matlabi pyar ki bunyaaad ki itni kamzor hoti hai ki zara sa jhatka lagne pe toot jaati hai. I hope main aapke sawaal ka jawaab ache se de paayi hun


2. Agar apki zindagi ke kisi ek lamhe ya yaad ko agar kisi aur ko jeene ka mauka mile, toh ap konsa lamha ya yaad usay dena chahengi?

Well, honestly I'd say ki yahan main bahut selfish hun, apni zindagi ka ek lamha bhi kisi ko nahi de sakti, achi buri jaisi bhi hai meri zindagi sirf meri hai, uska hissa bahut saare log hain, lekin aise offer nahi kar paaungi


3. Kya yeh sach hai ki dil ke ehsaason ko bayan nahi karna chahiye, kunki log issay apki kamzori samajh lete hain.

Bayan kahan kar rahe ho ye bhi zaroori hai. SDC pe karo to sab housla afzaai aur tassalli hi dete hain, koi kamzori nahi samjhta. Lekin haan baahar jab duniya me karo to har kism ke log milte hai, jo alag tarah ki soch rakhte hain, unke saamne apne jazbaaton zara soch samjha kar hi saamne rakhna chaahiye, kyunki aksar woh log ise kamzori samajh kar aapka faaida uthaane ki koshish bhi karte hain.


4. Log poets ko aksar nakara ya useless kyun samajhte hain?

Main nahi maanti ki is baat me koi sachaai hai. Agar koi aisa samajhta hai, to yeh us insaan ki samajh me koi farak hoga.


5. Kya Dosti ki koi seema hoti hai kya, aur agar hoti hai toh kaise pata chale ki seema kya hai?

Dosti dosti hoti hai, par agar aap use pyar se confuse kar rahe hain to yeh confusion aapko jald hi door kar leni chaaiye. Aur woh sirf izhaar se pata chalega aur koi tareeka nahi.


aur mera aakhiri sawaal aur sabse zaruri bhi
6. Kehte hai ki aadmiyon ke dil ka rasta unke pet se hoke jaata hai, kisi ladki ke dil tak kaise pahucha jaaye, uske dil me kya hai yeh kaise jaana jaaye...

Ladkiyan behad emotional aur senstive hoti hai, use jo bhi samjhe, care kare, aur har choti baat ka dhyaan rakhe, to woh insaan us ladki ke dil tak zaroor pohanchega.




"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#30)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
29th April 2009, 01:15 PM

Quote:
Originally Posted by rajveeer View Post
priya ji sat sri akaal ji......bass ji rab thanu hamesha khush rakhe ehi duaa hai meri te......main kuj nahi puchhna thuade kolo....bass ji meri hazri mparwaan karna ji.....Raj.......
Aapko yahan dekh ke bahut khushi hui Raj ji! Aapki pyari wishes ke liye bahut bahut dhanyavaad!

Take Care..

~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#31)
nalinmehra
The Lost Poet
nalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nicenalinmehra is just really nice
 
nalinmehra's Avatar
 
Offline
Posts: 312
Join Date: Nov 2008
Rep Power: 20
29th April 2009, 04:30 PM

Bahut-2 shukriya jo apne mere sawalon ka jawab diya, padke bahut aacha laga.........Thanks once again
Quote:
Originally Posted by chaahat View Post
[SIZE="3"][COLOR="Magenta"]
1.


2. Agar apki zindagi ke kisi ek lamhe ya yaad ko agar kisi aur ko jeene ka mauka mile, toh ap konsa lamha ya yaad usay dena chahengi?

Well, honestly I'd say ki yahan main bahut selfish hun, apni zindagi ka ek lamha bhi kisi ko nahi de sakti, achi buri jaisi bhi hai meri zindagi sirf meri hai, uska hissa bahut saare log hain, lekin aise offer nahi kar paaungi



Nalin

Uski Har "Uff" pe hum apni jaan lutate rahe,
Uski Shaqsiyat ko karke buland hum khudko mitate rahe,
Raahe-e-mohobbat me hamne kuch yun paya sila wafa ka,
woh dete rahe zakhm pe zakhm aur ham muskurate rahe




Please Honor me and my creative writing by visitng my website @ www.nalin-mehra.blogspot.com
   
Reply With Quote
Old
  (#32)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
30th April 2009, 03:48 PM

Quote:
Originally Posted by nalinmehra View Post
Bahut-2 shukriya jo apne mere sawalon ka jawab diya, padke bahut aacha laga.........Thanks once again
You are most Welcome Nalin ji!

Take Care..

~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#33)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
30th April 2009, 04:44 PM

Quote:
Originally Posted by chaahat View Post
[COLOR="Magenta"]

1)


ab personal sawaal ...

5) maiN mama kab ban raha huN ... hahahah


Bas jaldi hi

Thanx priya

to october main yahi news aani hai rite...

kunaal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#34)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
30th April 2009, 06:23 PM

Priya ji..

sdc parivaar ki taraf se aapka shukriya adaa karna chahungi...aapne apna qeemti waqt diya aur ham sab ke sawaalon ke bade sabr ke saath jawaab diya.,,is interview ke zariye..hame aapko zyada behtar tarah se jaane ka mauka mila hai...hum sab shukrguzaar hain aapke...

ummid karte hain ke aap yahan aati rahengi...

aapki aane waali khoobsurat zindegi ke liye shubhkaamnao aur dher saari duaon ke saath ab aap se izaazat leti hoon..

hamesha khush rahiye

zainy..




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#35)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
1st May 2009, 08:43 PM

Quote:
Originally Posted by sacccha_pyar View Post
Thanx priya

to october main yahi news aani hai rite...

kunaal
ji haan aisa hi kuch



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#36)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
1st May 2009, 08:53 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Priya ji..

sdc parivaar ki taraf se aapka shukriya adaa karna chahungi...aapne apna qeemti waqt diya aur ham sab ke sawaalon ke bade sabr ke saath jawaab diya.,,is interview ke zariye..hame aapko zyada behtar tarah se jaane ka mauka mila hai...hum sab shukrguzaar hain aapke...

ummid karte hain ke aap yahan aati rahengi...

aapki aane waali khoobsurat zindegi ke liye shubhkaamnao aur dher saari duaon ke saath ab aap se izaazat leti hoon..

hamesha khush rahiye

zainy..
Bahut bahut shukriya Zainy ji!

Take Care..

~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#37)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
18th September 2020, 10:18 PM

It’s so nostalgic to go through this post again!!

Life happened and I wasn’t able to return here soon. But now I’m back.

I really hope everyone is doing well, hail n hearty! I miss everyone and everything!!

Take care!

Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#38)
Phoenix
Registered User
Phoenix is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 144
Join Date: Nov 2015
Location: Odisha
Rep Power: 9
18th May 2022, 10:52 AM

Kya baat hai.... acha interview hai ye to.... Sawaal ki bojhaar aur jawab bhi mazedaar. Hope all will active again.


उन बीते लम्हों के याद ना दिलाया करो
दिल में सुलग रही आग को ना हवा दिया करो

   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Priya Ki Khabar... priya_ki_dost Chit-Chat & General Discussion Forum 61 8th February 2010 11:09 PM
Priya Sakhi paplupopat Shayri-e-Ishq 8 14th February 2005 07:43 PM
o priya tumsa nahi koi priya aashika Hindi/Urdu Lyrics 2 24th September 2004 06:00 PM
Pyaari Priya dhamaka singh Humourous Shayri 0 13th December 2003 03:55 PM
priya Qasid Shayri-e-Dard 1 10th April 2002 02:30 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com