Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Chit-Chat & General Discussion Forum

View Poll Results: do u want to participate
yes..i will 5 83.33%
nothing will be attained..i m not interested 1 16.67%
Multiple Choice Poll. Voters: 6. You may not vote on this poll

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
mil kar socho...
Old
  (#1)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 22
mil kar socho... - 23rd September 2008, 12:18 AM

Dear SDC friends
Paying tributes to all who lost their lives because of terror activities of some misguided,disillusioned young people lets all pray to EISHWAR,ALLAH,GOD or WAHE0GURU,by whichever name U remember and worship him I start this new thread to explore deep into our own hearts and find if we are ready to fight this menace called terror..why a terrorist becomes a terrorist..why young so well educated boys instead of doing good to their families and country choose to destroy it..WHY.
Contribute ur thoughts in the form of poetry(shayri)and spread the light of wisdom..love..togetherness,to make INDIA really shine with peace..I start the thread with my lines,hoping to have ur active meaningful participation..

AAG ZANI, GOLI BAARI, YE AAPAS KI TAQRAAR
YE RISHTON KE BEECH PANAP-TI NAFRAT KI DEEWAR
GALIYON CHAURAHON MEIN BIKHRI LAASHON KE AMBAAR
MIL KAR SOCHO KAUN BHALA HAI ISKA ZIMMEDAAR.

and one more

MAZHAB KI QITAABON KO ZARA GAUR SE PADHIYE
NAFRAT KA SABAQ UN MEIN PADHAYA NAHI JAATA

PRASHANT VASL
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
23rd September 2008, 04:28 AM

Quote:
Originally Posted by prashant vasl View Post
Dear SDC friends
Paying tributes to all who lost their lives because of terror activities of some misguided,disillusioned young people lets all pray to EISHWAR,ALLAH,GOD or WAHE0GURU,by whichever name U remember and worship him I start this new thread to explore deep into our own hearts and find if we are ready to fight this menace called terror..why a terrorist becomes a terrorist..why young so well educated boys instead of doing good to their families and country choose to destroy it..WHY.
Contribute ur thoughts in the form of poetry(shayri)and spread the light of wisdom..love..togetherness,to make INDIA really shine with peace..I start the thread with my lines,hoping to have ur active meaningful participation..

AAG ZANI, GOLI BAARI, YE AAPAS KI TAQRAAR
YE RISHTON KE BEECH PANAP-TI NAFRAT KI DEEWAR
GALIYON CHAURAHON MEIN BIKHRI LAASHON KE AMBAAR
MIL KAR SOCHO KAUN BHALA HAI ISKA ZIMMEDAAR.

and one more

MAZHAB KI QITAABON KO ZARA GAUR SE PADHIYE
NAFRAT KA SABAQ UN MEIN PADHAYA NAHI JAATA

PRASHANT VASL


prashant ji...i whole heartedly appreciate this approach.....it would really be my pleasure to join hands with everyone here for togetherness and oneness for peace in india ...infact whole world....hope our dreams of worldwide peace would come true someday..."Ameen"



MAZHAB NAHI SIKHATA AAPAS ME BAYR RAKHNA,
HINDI HAIN HUM WATAN HAIN,
HINDUSITAN HAMARA.....



zainy...

Last edited by zainy; 23rd September 2008 at 04:32 AM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
23rd September 2008, 10:03 AM

prashant jee:

aap ne behad khuub baat kahii hai..koii bhee insaan jis ke apne bachche biwi maaN baap bhai behen ho.n voh iss parkar se duusro.n ko kaise maar sakta hai? shaayad unhe is dard ka andaaza nahii.n hai..

QURAAN me.n bhii likha hai ek be-gunaha ka qatal puri insaniyat ka qatal hai ,aur aik beghunah insaan ka qaatil puri insaniyat ka qatil hai..yeh log jo is parkar ke bomb bishphoT karte hai.n woh insaan to nahii hai.n, na hi kisi dharam se unka koi lena dena hai.. yeh sirf shaitaan ka hi ek roop hai, jinhe sirf insaano.n ka khuun peena hai... kisii mazhab se inka koii lena-dena nahii.n hai...

aise loogo.n ko sare aam phaansi di jaye..


maine apne ek dost "Rahul Uppadhaay" jee kii ek kavita aap se share karna chaahta huu.n.... aap sab zaroor PaRhiYegaa....



pahale bhii barasaa thaa qahar
ast vyast thaa saaraa shahar
aaj phir barasaa hai qahar
ast vyast hai saaraa shahar

badalaa kisi se lene se
sazaa kisi ko dene se
matlab nahii.n nikalegaa
patthar nahii.n pighalegaa
jab tak hai idhar aur udhar
meraa zahar teraa zahar

pahale bhii .....

buraa hai kaun,
bhalaa hai kaun
sach kii raah par chalaa hai kaun
muqammal nahii.n hai koi bhii
mahfooz nahii.n hai koi bhii
chaahe lagaa ho nagar nagar
paharaa kaD_aa aaTho pahar

pahale bhii .....

na koi samajhaa hai na samajhegaa
vyarth tark vitark me.n ulajhegaa
jhagaD_aa nahii.n kisii dal kaa hai
masalaa nahii.n aajakal kaa hai
sadiyaa gayii hai.n guzar
huii nahii.n abhii tak sahar

pahale bhii .......

nazar jaatii hai jidhar
aa.nkh jaatii hai sihar
jo bhii jitanaa shoor hai
vo bhii utanaa kroor hai
taaj hai jinake sar par
Dhaate hai vo bhii qahar

pahale bhii ........

aashaa kii kiraN tab phoot.ngii
sadiyo.n kii nii.nd tab toote.ngii
taajaa havaa phir aaye.ngii
diiwaare jab gir jaaye.ngii
hogaa ghar jab ek ghar
na teraa ghar na meraa ghar

pahale bhii ........


  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
shkriya.andhere ke khilaf is jehad mein shamil hone ka
Old
  (#4)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 22
shkriya.andhere ke khilaf is jehad mein shamil hone ka - 23rd September 2008, 02:37 PM

Shukriya Zainy Dhanyawad Mayank
Aap aur SDC se kisi bhi taur par jude logon ke liye meri nayi qitab LAUT-TE-HUYE se ek sher:

JAHAN TAK HO SAKE IK DOOSRE SE DOOR MAT HONA
BAHUT LAMBA SAFAR HAI AUR RASTA JUNGLON KA HAI.

aur ek sher un bhatak gaye naujawanon ke naam bhi usi gazal se:

TUM APNI JEET KI KHUSHIYON MEIN YE BHI BHOOL MAT JAANA
TUMHARE PEECHHE PEECHHE EK LASHKAR GHAYLON KA HAI.

prashant vasl

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post
prashant jee:

aap ne behad khuub baat kahii hai..koii bhee insaan jis ke apne bachche biwi maaN baap bhai behen ho.n voh iss parkar se duusro.n ko kaise maar sakta hai? shaayad unhe is dard ka andaaza nahii.n hai..

QURAAN me.n bhii likha hai ek be-gunaha ka qatal puri insaniyat ka qatal hai ,aur aik beghunah insaan ka qaatil puri insaniyat ka qatil hai..yeh log jo is parkar ke bomb bishphoT karte hai.n woh insaan to nahii hai.n, na hi kisi dharam se unka koi lena dena hai.. yeh sirf shaitaan ka hi ek roop hai, jinhe sirf insaano.n ka khuun peena hai... kisii mazhab se inka koii lena-dena nahii.n hai...

aise loogo.n ko sare aam phaansi di jaye..


maine apne ek dost "Rahul Uppadhaay" jee kii ek kavita aap se share karna chaahta huu.n.... aap sab zaroor PaRhiYegaa....


pahale bhii barasaa thaa qahar
ast vyast thaa saaraa shahar
aaj phir barasaa hai qahar
ast vyast hai saaraa shahar

badalaa kisi se lene se
sazaa kisi ko dene se
matlab nahii.n nikalegaa
patthar nahii.n pighalegaa
jab tak hai idhar aur udhar
meraa zahar teraa zahar

pahale bhii .....

buraa hai kaun,
bhalaa hai kaun
sach kii raah par chalaa hai kaun
muqammal nahii.n hai koi bhii
mahfooz nahii.n hai koi bhii
chaahe lagaa ho nagar nagar
paharaa kaD_aa aaTho pahar

pahale bhii .....

na koi samajhaa hai na samajhegaa
vyarth tark vitark me.n ulajhegaa
jhagaD_aa nahii.n kisii dal kaa hai
masalaa nahii.n aajakal kaa hai
sadiyaa gayii hai.n guzar
huii nahii.n abhii tak sahar

pahale bhii .......

nazar jaatii hai jidhar
aa.nkh jaatii hai sihar
jo bhii jitanaa shoor hai
vo bhii utanaa kroor hai
taaj hai jinake sar par
Dhaate hai vo bhii qahar

pahale bhii ........

aashaa kii kiraN tab phoot.ngii
sadiyo.n kii nii.nd tab toote.ngii
taajaa havaa phir aaye.ngii
diiwaare jab gir jaaye.ngii
hogaa ghar jab ek ghar
na teraa ghar na meraa ghar

pahale bhii ........

   
Reply With Quote
Old
  (#5)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 22
24th September 2008, 11:42 AM

it appears that our young friends are more intersted in sms shayri,romantic poetry and 'halki phulki hansi mazaaq se labrez tukbandi'..is liye zainy aur mayank ji ke baad 'MIL KAR SOCHO'thahar gaya..no probs,i will keep on moving to find people (young people who at the moment are 60/cent of our population..)who will and make a difference to our country's future..good or BAD!!!!
thought and demand of the DAY:
TUMHARE SHAHAR MEIN HINDU BHI HAIN MUSALMAN BHI
JO HO SAKE TO KISI AADMI SE MIL-WAO.
prashant vasl
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
24th September 2008, 01:04 PM

prashantji apne bahut accha thread start kiya hain..............
..pata nahin kaise log is dal dal mein fas jaate hain.....kehne ko to islam ki baatein karte hain jehad ki baatein karte hain....par islam main kahin nahin likha ki ladai karo...bas mazhabi junoon ka naam leke atank phelate hain.....khud ko musalman kehne wale agar ramzaan ke pavitra mahine main bhi aisa kaam karenge to unka to koi mazhab hi nahin hain.....

Aazaad Ho Ker Bhii Ujda Yeh Chaman Kyun Hain?
Fhirka Paraston Kii Giraft Mein Watan Kyun Hain


Dangon* Ke Gubaar Mein Chupa Tarrakki Kaa Suraj
Aazadi Kii Hawaon Mein Aaj Ghutan Kyun Hain?


Jalte Kashmir Kii Lapte Sulgaati Hain Saanson Ko
Dushmanon Se Dosti Kaa Yeh Anokha Chalan Kyun Hain?


Berojgaari Kii Bediyon Se Jakte Jawan Haath Hain
Aankhon Mein Sholay,Maathe Par Shikan Kyun Hain?


Mazhabi Junoon Ki Aandhion Se Sehmi Bahare Hain
Bagiya Ke Phoolon Mein Aaj Chubhan Kyun Hain?


Jis Parcham* Ko Apne Lahoo Se Seencha Veeron Ne
Wahi Pyaara Tiranga Dikhta Aaj (Hairaan/pareshaan) Kyun Hain?


Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
   
Reply With Quote
mausam badlega..zaroor
Old
  (#7)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 22
mausam badlega..zaroor - 24th September 2008, 10:04 PM

Mausam ji
Bahut achha laga...aap se phir rabta qayam hua..phir aap hausla badhane saath nazar aayeen.Baat Islam ya Hiduism ya kisi aur mazhab ki nahi..Baat ye smajhne ki hai ki jis mandir,masjid,gurudware,church ko insaan banaata hai us ke liye us doosre insaan ka khoon bahaane par aamaada hota hai..jise khud Bhagwan,Allah..ne apne haathon se racha..yaani insaan ki nazar mein us ki apni banayi cheez OOPER WAALE ki banai cheez se zyada aham hai..sochiye..poochiye..arre Bhagwan aur Allah ko insaan mein dekhen to sab khud theek ho jaayega..
mera ek sher meri baat kah dega:
JIS MEIN LIKKHA HO KI INSAAN HAI MAZHAB SE BADA
WO QITAAB AAJ SE BACHCHON KO PADHAYI JAAYE.
prashant vasl


Quote:
Originally Posted by mausam View Post
prashantji apne bahut accha thread start kiya hain..............
..pata nahin kaise log is dal dal mein fas jaate hain.....kehne ko to islam ki baatein karte hain jehad ki baatein karte hain....par islam main kahin nahin likha ki ladai karo...bas mazhabi junoon ka naam leke atank phelate hain.....khud ko musalman kehne wale agar ramzaan ke pavitra mahine main bhi aisa kaam karenge to unka to koi mazhab hi nahin hain.....

Aazaad Ho Ker Bhii Ujda Yeh Chaman Kyun Hain?
Fhirka Paraston Kii Giraft Mein Watan Kyun Hain


Dangon* Ke Gubaar Mein Chupa Tarrakki Kaa Suraj
Aazadi Kii Hawaon Mein Aaj Ghutan Kyun Hain?


Jalte Kashmir Kii Lapte Sulgaati Hain Saanson Ko
Dushmanon Se Dosti Kaa Yeh Anokha Chalan Kyun Hain?


Berojgaari Kii Bediyon Se Jakte Jawan Haath Hain
Aankhon Mein Sholay,Maathe Par Shikan Kyun Hain?


Mazhabi Junoon Ki Aandhion Se Sehmi Bahare Hain
Bagiya Ke Phoolon Mein Aaj Chubhan Kyun Hain?


Jis Parcham* Ko Apne Lahoo Se Seencha Veeron Ne
Wahi Pyaara Tiranga Dikhta Aaj (Hairaan/pareshaan) Kyun Hain?
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
25th September 2008, 11:09 AM

dard ka sehra hai
maatam jo pasra hai

lut raha hai chaman
barbaadi ka pahra hi

mit rahi hai roshani
andhera gahra hai

puchh rahi hai insaaniyat
waqt kahaan thahra hai?


prashant ji bahoot badhiya topic uthaya hai aapne ...

ham jo ek na hue to sharmsaar hogi insaniyat
kis majhab me likha hai "Atank" hai ibadat
khoon jo bahta hai dagar par
puchhna jara usse
tu kis dharm ka hai, hai kis majhab ka?

phoota tha jo bomb
kya puchha tha usne tumse?
kya lahoo bahaane ke pahle
jaana tha usne?
ki kis dharm ka hai tu, kaun sa hai majhab?


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Farq..
Old
  (#9)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 22
Farq.. - 25th September 2008, 04:50 PM

ek sawal un se jo ye nahi samajhte ki sab se bada mazhab 'insaaniyat'hai..aur yahi har 'religious book' ki 'basic teaching'bhi..

DEENO-EIMAAN MERA AAP KA FARQ HAI
IS LIYE KYA HAMARA KHUDA FARQ HAI
MAIN BANAOON,MITAANE KI TU ZID KARE
HAUSLE HAUSLE MEIN BADA FARQ HAI.
prashant vasl
in LAUT-TE-HUYE
(released on 6th sept)

Quote:
Originally Posted by garima View Post
dard ka sehra hai
maatam jo pasra hai

lut raha hai chaman
barbaadi ka pahra hi

mit rahi hai roshani
andhera gahra hai

puchh rahi hai insaaniyat
waqt kahaan thahra hai?


prashant ji bahoot badhiya topic uthaya hai aapne ...

ham jo ek na hue to sharmsaar hogi insaniyat
kis majhab me likha hai "Atank" hai ibadat
khoon jo bahta hai dagar par
puchhna jara usse
tu kis dharm ka hai, hai kis majhab ka?

phoota tha jo bomb
kya puchha tha usne tumse?
kya lahoo bahaane ke pahle
jaana tha usne?
ki kis dharm ka hai tu, kaun sa hai majhab?
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 22
28th September 2008, 10:25 AM

HAR IK WARAQ* PE KHOON KI BAUCHHAR DEKH KAR
GHABRA GAYA HOON SUBAH KA AKHBAAR DEKH KAR.
INSAANIYAT KA BHAV GIRA HAI BURI TARAH
LAUTA HOON MAIN ABHI ABHI BAAZAR DEKH KAR.
KUCHH BHEDIYON KE HAATH HAI BHEDON KI ZINDGI
HAIRAN HOON "VASL" WAQT KI RAFTAR DEKH KAR.
prashant vasl
in LAUT-TE-HUYE
now in stores.
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 22
30th September 2008, 10:32 PM

TUM AANKHEN MOOND KAR BAITHE HUYE HO BANAD KAMRE MEIN
AB AISE MEIN TO KOI SUBAH ANDAR AA NAHIN SAKTI.

prashant vasl
in LAUT-TE-HUYE.
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
koi to ho
Registered User
koi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to behold
 
koi to ho's Avatar
 
Offline
Posts: 3,851
Join Date: Dec 2005
Location: karachi
Rep Power: 31
24th October 2008, 01:15 AM

prashant ji aapke is thread per aaj pehli baar nazar parri afsos howa ke yahan dhaiyaan nahi gaya mera ab tak ...........aapne bohat hi khubsurti se ahsasaat ko bayan kia main poetry to nahi likh paoongi haan mager ye zaroor kahoongi aap sab ke khayalaat mujhe pasand aye aur haqeeqat bhi yehi hai ke ye sab mazhab ke naam per ho raha hai lekin sach ye hai ke jo ye sab ker rahe hain unhain shayad mazhab se waqfiyat nahi hai jahalat ke andheron main bhatak rahe hain meri dili dua hai Allah in logon ko hidayat ata fermayen aur seedhe raaste per chalne ki taufeeq de Ameen Sum Ameeen


Waqt ke jisam ki kharash hoon main
apne ander se pash pash hoon main
zaaat hai aetbaar e zaaat nahin
ab to main khud bhi apne saath nahin
   
Reply With Quote
jaago re
Old
  (#13)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 22
jaago re - 11th December 2008, 01:06 PM

in reaction to mumbai terror attack..

HAATH MEIN LE KAR IK DOOJE KA HAATH
UTH KE KHADE HO JAAOEK SAATH
YUN HI NAHI MARNA HAI
KUCHH HAMEN KARNA HAI
HUD SE GUZARNE LAGI HAI,AB TO BAAT.
JAAGO RE JAAGO RE JAAGO RE
MOOND KE AANNKHON KO AUR NA SOYENGE
APNO KO KHO KAR HUM,AUR NA ROYENGE
JHOOT SIYAASAT KE AB NA SAHENGE HUM
ACHHA BURA JO HAI,KHUL KE KAHENGE HUM.
JAAGO RE JAAGO RE JAAGO RE
byrashant vasl

Quote:
Originally Posted by koi to ho View Post
prashant ji aapke is thread per aaj pehli baar nazar parri afsos howa ke yahan dhaiyaan nahi gaya mera ab tak ...........aapne bohat hi khubsurti se ahsasaat ko bayan kia main poetry to nahi likh paoongi haan mager ye zaroor kahoongi aap sab ke khayalaat mujhe pasand aye aur haqeeqat bhi yehi hai ke ye sab mazhab ke naam per ho raha hai lekin sach ye hai ke jo ye sab ker rahe hain unhain shayad mazhab se waqfiyat nahi hai jahalat ke andheron main bhatak rahe hain meri dili dua hai Allah in logon ko hidayat ata fermayen aur seedhe raaste per chalne ki taufeeq de Ameen Sum Ameeen
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
socho? albela_rose Mazaakiya SMS Shayri 2 19th June 2008 12:08 PM
Yeh Mat Socho Kal Kya Ho Ga.............!!! yash_krish Hindi/Urdu Lyrics 6 7th June 2006 02:38 PM
socho socho mango Humourous Shayri 0 11th September 2004 06:02 PM
yeh NA socho pu_luv15 Shayri-e-Ishq 1 13th May 2004 11:23 AM
Socho...! Chaand Shayri-e-Dard 4 25th September 2003 12:08 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com