kyon khawab mere tut gaye -
20th October 2007, 01:26 PM
Tutthe dekha aaj khawab phir apni aankho se
abhi to neend se puri tarh jaga bhi nahi
abhi kisi ko ba-basta bhi na kara saka apne khawabon se
dard to hua jab kaanch ke tutne si aawaj aai
pihr dil chaha ki jor se chillaaon magar aankho ke aansoo bhi ab sukh cuke hain.....
jane kitni raato ko chaok kar utha hoon
ab to khawab bhi aankho main dar dar kar aate hain.
jane kitni neend gawai hai jag kar maine
ab to neend bhi raato main dar dar kar aate hain.
magar usko sahyad koi fark nahin padta jiske liye ye sab hua
wo to khush hai kisi aur ka saath pakar
to bhala main kyon ab tak uske yaad main yun ghula ja raha hoon
sahyad isliye ki mujhe be-wafai nahi aati sirf pyar karna sikha hain maine..............
Aapka Santosh..........
Bahut tanhaiya.N hai.N mere hisse mei.N churalo tum
Tumhara saath meri tanhaiyo.N se kuch to behtar hai...
|