Sirf tujse pyar... -
14th January 2008, 08:28 AM
Kab tak rahoon khaamosh main,
kab tak naa kahoon dil ki baat..
Kab tak sahoon yeh dard main,
kab tak chupaoon apne ehsaas..
Kab tak naa dikhaoon zakhm main,
kab tak naa doo tujko awaaz..
Kab tak takoon raah main,
kab tak naa hoga tera deedar..
Kab tak karoon intezaar main,
kab tak naa aayega tera jawaab..
Kab tak bataoon tujko main,
ke maine kiya hai sirf TUJSE pyaar.
*~*~*~*~*~*~*~**~*~*~*~*~*~*~**~*~*
Mera ban jaaye koi yeh meri takdeer nahi;
Mein woh sheesha hu jisme koi tasveer nahi.
Last edited by ~Albeli*; 14th January 2008 at 08:32 AM..
|