Quote:
Originally Posted by taqdeer.786
Assalam dosto.
Aaj mein mera agla kalam post kar raha hoon.
ummid hai aapko ye mera kalam pasand aayega..!
Aankho mein basaya tha jise wo aansu bahakar nikal gaye,
dil diya tha jisne mujhe, wohi dil todkar nikal gaye.
Jo har lamha meri yadoon mein guzarte the Kabhi,
aaj wohi hamse chehra chupa kar nikal gaye.
Kya khub sazaya the mene bhi kabhi mere khawaboon ko,
wohi meri khwaboo ki nind se uthakar nikal gaye.
Be panah pyaar ke phool khilaye the mene mohabbat mein,
wo hi aaj mere un phoolon ko murjakar nikal gaye.
Zindagi ka safar ab to bahut chhota sa lagta hai,
jab apne hi maut ki galiyan dikha kar nikal gaye.
Aarzu aaj bhi hai kal bhi thi un ke lout aane ki hamein,
par andhero mein hi bhatka kar nikal gaye.
Kisko sunaee "Aftab" ye dastan-e-mohabbat,
jo kuch pal apne bankar, sapne ki tarah nikal gaye.
"Aftab"
|
ahsaas khoobsurat lage.....aap aur bhi behtar likh saktey haiN...koshish karety rahiye....aapko padna accha laga.
god bless u