darkhwast -
22nd September 2015, 02:34 AM
Sab jayaz hai jung mein, maanta hun zindagi
Tere liye ladd raha hun kuch riyàyt toh de.
Kehte hain uske ghar der hai andher nahi
der bhi toh andher hai, ispar jawaab toh de.
Ilm diya, hunar diya, arsh diya, farsh diya,
Ek nazar parkhi, ek hath sarthi to de.
Soch ko saba, alfaz ko oaz, dil ko isa nafsi
kareem hai tu rab, Thoda karam idhar bhi toh de.
Banjar hai zameen aur pyaasa hun main
Kuan khod lunga, jyada nahi ek ishara toh de.
Zimmedari meri hai aur mujhe hi nibhani hai
Imtihaan kadak le, par faisla toh de.
Khabar hai, sab barabar hain tere liye yahan
Fir koi shikwa shikayat ya sifarish kyun de.
|