Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
hazaaroN khwaahisheN - Mirza Ghalib
Old
  (#1)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
hazaaroN khwaahisheN - Mirza Ghalib - 27th November 2013, 12:47 PM

hazaaro.N Khvaahishe.N aisii ki har Khvaaish pe dam nikale
bahut nikale mere armaa.N lekin phir bhii kam nikale

Dare kyuu.N meraa qaatil kyaa rahegaa usakii gardan par
vo Khuu.N jo chashm-e-tar se umr bhar yuu.N dam-ba-dam nikale

nikalanaa Khuld se aadam kaa sunate aaye hai.N lekin
bahut be-aabaruu hokar tere kuuche se ham nikale

huii is daur me.N ma.nsuub* mujhase baadaa-ashaamii*
phir aayaa vo zamaana jo jahaa.N se jaam-e-jam* nikale

huii jinase tavaqqo* Khastagii* kii daad paane kii
vo hamase bhii ziyaadaa Khastaa-e-teG-e-sitam* nikale

muhabbat me.N nahii.N hai farq jiine aur marane kaa
usii ko dekh kar jiite hai.N jis kaafir pe dam nikale

Kahaa.N maiKhaane ka daravaazaa 'Ghalib' aur kahaa.N vaaiz
par itanaa jaanate hai.N kal vo jaataa thaa ke ham nikale


ma.nsuub = association, baadaa-aashaami = wine drinking, jaam-e-jam = goblet of King Jamshid
tavaqqo = expectation, khastagii = injury, khasta-e-tegh-e-sitam = broken sword of cruelty



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
27th November 2013, 01:27 PM

PS: Iss qalaam ki khaas baat ye hai ke ye takhayyul-o-taghazul se labrez hai. Mere khayaal me philosophy isse kehte hai.



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
27th November 2013, 01:32 PM

Ahhhh Safeeer saaahab... one of my favrt Ghazal of Ghalib...

and the bestest aashar are..

muhabbat me.N nahii.N hai farq jiine aur marane kaa
usii ko dekh kar jiite hai.N jis kaafir pe dam nikale

nikalanaa Khuld se aadam kaa sunate aaye hai.N lekin
bahut be-aabaruu hokar tere kuuche se ham nikale


Thanks for sharing bro, do keep sharing the great work.....

Shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
27th November 2013, 02:09 PM

Aadaab Shaadji,
Ghalib saab ki iss bazm me aapka swaagat hai

Ye meree bhi sabse priye Ghazal hai. Aur isskee complete lyrics kaafi arsee se mere paas thi. Sirf mauka nahiN tha eesse peysh karneka.

To eese tafsir karna to banta hi hai

.....alag post banaa rahaa hooN.

Guzarish hai ki aap bhi saath de aur aapkee soch bayaaN kare.

Baakee members se bhi ye guzarish hai......



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
aadeil
Registered User
aadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud ofaadeil has much to be proud of
 
aadeil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 22
27th November 2013, 02:30 PM

1. marte dam tak insaan khwahisheN kare jaataa hai, aur uskee khwahisheN kabhi bhee khatm nahiN hoti. Aur jitne bhi armaaN ya khwahisheN puree hogee to aur ek nayee khwahish janm le leti hai. (Humans are always dissatisfied :P )

2. mere qaatil ko Darne ki kya wajah hai? Wo agar mera qatl bhi kareN to uske jism par mere khuN ke daag to rehne se rahe, kyuN ki ye khuN to vaise bhi aansuoN ke zarye zindagee bhar bahe jaa rahe haiN aur mera dil vaise bhi sukha paRaa hai

3. Ees shey'r mein wazn 'Bahut' par dena munaasif samjhoonga.
Hamne bahot baar sunaa hai ke Adam ko be-abroo karke khuld (bahisht/heaven) se nikaalaa gayaa tha, par uss se zyaadaa to hum tere kuche (galli) se be-abroo ho kar nikaale gaye hai

4. ees daur (age) mein log jaam peene ko mujhse jod rahe haiN, to yuN samajh leN ke phir se wo Jamshed ka zamaanaa aa gayaa hai (jab jaam ko khoja gayaa tha)

5. Jinse ummeed karta tha ke wo mere zakhm kee qadr kareNge, pataa challa ke wo to mujhse bhee zyada sitam ke vaar se zakhmee haiN.

6. Mohabbat me jine aur marne ke beech koee farq nahiN hai, ees liye to log jiske liye jeete haiN usee pe marte haiN

7. Ye bahot hi laajawaab sheyr, maiN manta hooN. Ees me Ghalib ne vaaizoN (maulavi) par tanz baRee hi khubsurti se kiya hai.

Kehte haiN ke, jo kehte haiN (ya yuN kahe ke, jo hameN paRhaate haiN) ke sharaab peenaa buraa hai, wo vaaiz bhi kya kam hai, ke maiN (Ghalib) dekhta hooN ki ye log bhii waheeN se aa rahey the (maikhaane se) jahaaN pe maiN jaa rahaa tha.

Ees me unka kehne ka taatparya ye hai ke, jo hameN paRhaate haiN ke sach ki raah pe chalo, wo khud bhi behke hue haiN aur galat raah pe jaa rahey haiN (maikhana symbolic hai).

Sabhi members ki suggestions swikaarya hai



ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता



http://www.shayri.com/forums/signaturepics/sigpic89874_2.gif
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com