meree ma mere pita ke liye(aye sabhee buzurgon ke liye) -
29th April 2006, 04:13 PM
aaj mere maat pita ke liye ek shubh din hai barson pahale un ak vivah isee din huya tha. aur itane achee mata pita mile jinhone sanskar diye ek insasn banaya jise log kahate hain ki achee lg hain. un ke liye jitna kahoon kam ho jata hai tab bhee meree koshsih hai ek
ye kavita meree akale kee nahee hai meree bahaon sarita geeta sath hain is kavita ke jism main aur is kee rooh main mera bhayee vivek hai aaj woh delhi main nahee hai par is kavita ko jab likha mujhe laga mere sath baitha hai woh to sabhee bhayee bahaon kee taraf se mere pita Shri madan Moahn aur ma Shrimati Urmila ke liye ek rachana aap bhee shubhkamanayen deejiyega
bas bhav parhiyega na radeef na kafiya na bahar bas hamara payar
ghar main buzurg koyee bara hona achha lagata hai
peron ke saye main khara hona achha lagata hai
aap pardes main raho tab tasweeren to sath hon
deewar main ik keel gara hona achha lagata hai
hath jab uthe sar pe rahe mere kandhe pe nahee
apaka sada paron pe khara hona achha lagata hai
aap bare ho ham chote yahee rutba rahe hamehsa
aap ho to hame kab bara hona achha lagata hai
hazar taaj milen hazar mukut chahe magar ye sar
aapke ke paron main para hona achha lagata hai
aap sath hon to sakht zindgee gulab bantee hai
aap ho agar to waqt kara hona achha lagata hai
aap ate hain jab tab mehman bhee ate hain tabhi
ghar ye mehamon se bhara hona achha lagata hai
------------------------------------------------------
Anil
mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
|