Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 5.00 average. Display Modes
Rishte
Old
  (#1)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
Post Rishte - 18th February 2004, 08:47 PM

Yeh Koi nazm ya ghazal ya sher nahi balki kuch abaad khayaal hai jo bahut samay se mere dil mein Umad rahe the aaj mein aap sab ke saath share karta hoon....

rishte shayad yeh naam maine isliye diya hai ise kyonki aajkal bahut jagah dekha jaata hai ki rishte bikhar rahe ... kabhi kisine is baat par gaur nahi kiya ki rishton ki neev kaha se shuru hoti hai aur kaha aakar kamzor pad jaati hai......bhagwaan ne yeh baat do panktiyon mein keh daali hai magar hum hai ki use samajh nahi paate...agar kisi ne gurubaani padi ho to usme likha hai

"Nanak Baalak kachu na jaane
Rakhan ko Prab mai-baap"

shayad aur bhi granthon mein kisi na kisi roop mein yeh baat kahi gayi hai...matlab sidha hai par ise samajhne ke liye baat paidaayish se shuru karte hai....ek bacha jab paida hota hai to woh chanchal hota hai....sahi galat haani labh ki usko khabar nahi hoti...

bacha to jalte diye ko bhi chune ki koshish karta hai is baat se zara bhi waaqif nahin hota ki woh sahi hai ya galat..magar maa kabhi bache ko woh diya chune nahi deti...isley nahi ki diya dubara jalaana padega balki isley ki kabhi bache ka haath na jal jaaye...

aajkal duniya bahut aage bad rahi hai .. hum aasmaan ki bulandiyon ko chu rahe hai ... aise mein kya hamare rishte badal jaate hai??

upar waala humse puchta hai ki maa kya tera rishta bache se itna hi hai ki tumne use janam diya hai?

aajkal maa-baap bache se kehte hai ki kyon tum hamara kehna nahin maante yeh kehta hai ki hey upar waale hamari aulaad hamari izzat nahiin karti...magar kya kabhi socha hai ki bache aise bachpan se to nahi the...woh aise hai to kyon hai...iska zimmedar kaun hai??

Bahut baar hum yeh bhool jaate hai ki Janam maran to upar waale ka hukum hai aur maa-baap ka bache se rishta sirf sansarik nahin hai...yeh rishta sirf janam dene tak ka nahin uske baad ki bhi zimmevaari hai....

sawaal yeh paida hota hai ki rishte ki pehchaan kya hai ... rishte ki pehchaan hai zimmewaari aur farz...har rishte ke saath uske saath jude farz badalte hai....

aadmi ek hai wahi baap bhi hai bhai bhi hai beta bhi hai dost bhi hai...kaise humhe pehchaan hoti hai ki woh kya hai....koi rishton ka tag gale mein lagakar to nahin ghumta...rishton ki pehchaan us rishte ke saath judi zimmevaari se hoti hai....

Maa-baap ko izzat dena unka baat manna unke saamne uchi baat nahin karna...yeh bete ka farz hai wahi bete agar bhai ho to madadgaar hona salaah dena aur sahi shikhsaa dena...to hamare har rishte ke saath farz badalte hai...

aab jab duniya rishton par khadi hai aur rishte farzon par khade hai to maa-baap ka rishta sirf janam dene se kaise khatam ho jaata hai...agar paida karna hota to khuda ko maa-baap hi kyun chunne pade woh khud bhi humhe usi tarah se bana sakta tha jis tarah se usne aapni shakti se sabse pehla insaan banayaa tha..bahut saral shabdon mein sawaal khud bhagwaan humse karta hai ki

"mai na hoti baap na hota
karm na hoti kaaya
hum nahi hote tum nahi hote
kaun kaha se aaya"

hum aajkal jo duniya bhar mein bataate hai ki mein Doctor hoon mein lawyer hoon mein yeh hoon mein woh hoon kya kabhi humne khud samajhne ki koshish ki hai ki mein hoon to kya hoon...aapne aastitva ko jaana hai kabhi humne...

maa ke bina bhi woh humhe is duniya mien laa sakta tha phir maa ko kyon banaaya ... usne maa ko sambhaalne ke liye banayaa hai...aapni saari shakti ekatr karke usne ek jism mein daali aur usko naam diya maa...bahut kam log hai jo 'maa' shabad ka matlab jaante hai..

'maa' ko pracheen kal mein 'maat' kaha jaata tha..suna hoga aapne 'maat' 'maate' matlab kya hai..iska matlab hai 'mat' mat matlab brains..maa woh jo humhe subhudhi de bure aur sahi ka farq bataaye

Hairaani hoti ki bahut maa aisi bhi hai jine is gaurav ka anubhav hi nahi...unhe kabhi yeh ehsaas hi nahi hua ki kitni mehar huyi hai rab ki unpar jo unhe usne 'maa' banaayaa hai

Do cheezen to is duniya mein bhi aisi hai jo bachhe ko khuda se pehley maa ne di hai...woh do cheezen hai ghar aur rozi...chote bachhe ka ghar yaani maa ki god aur rozi yaani maa ka dood...yeh use maa hi de sakti hai aur sabse pehli sangat bhi bacche ko maa ki hi milti hai....

aajkal ghar mein aaya hoti hai dood ki bottles milti hai..aur hum kudrat ke us anmol heeron ko uske yeh dono haq se juda kar dete hai..khuda bhi humse puchta hai ki hey maa yeh do chezeen to tujhe di thi jo mere paas bhi nahi tune woh bhi aapne bache ko nahi di?? kya jawaab de hum us upar waale ko iska

guru arjan dev ji jo aapne yug mein parupkaar aur siddhaanton ki misaal rahe khud kisi ko aapne aashirwaad (blessings) mein kehte hai ki "maata puta ki asiis" unke liye bhi unse badhkar 'maa' ka aashirwaad hai.

bachaa rang roop lekar to duniya mein aata hai par sanskaar use maa-baap se hi milte hai aur agar hum sirf paida karne ko hi aapna farz samajhe to humhe koi haq nahi banta ki aapne bacchon ko hum aapna na hone ka ilzaam de....
khud humhe bhi upar jaakar us upar waale ko jawaab dena hai ki unke diye huye moti ko humne kya sikhaaya hai....

-----------------------------------------------------------------
doston bas mere khayaal the pasand aaye ho to shukriya aur nahi aaye ho to maaufi chahta hoon...

aapka aapna
-mast



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
18th February 2004, 09:09 PM

Dear Anu Jee, keise hein aap? Itni achhi khayalat aapne kyu chhupakar rakhha tha humse? Padte hue keise mehsoos huyi woh mein bata nehi sakti. Mere dil hi jaanti hein ke keya asar hua. Aapne mafhi kyu manga? Jo bhi kaha aapne sach hi toh kaha. Koi mane yea na mane keya fark padta hein? Ek baat batadu, waise toh mujhe pehle hi pata chalgaayi thi ke aap ek bohot achhe insaan hein. Aise dil ka Insaan bohot kam milte hein, honge aur bhi lekin ass paas nazar bade hi mushkil se milte hein. Mujhe bohot khushi hein ke mein aapko jaanti hu, yeh aur baat hein ke aapse kabhi in person nehi mili hu lekin keya fark padta hein? Chehra dekhkar keya dilka pata thodahi chaljaata hein? Mein aaj busy toh hu lekin aapka yeh post dekhkar mujhe raha nehi gaaya. Khuda kare sabhi ko aap jeisa Insaan mile, as a friend as a anything. Rishta dekhkar toh nehi kee jaati hein, nahi umr ke hisab se kee jaati hein. Dilki rishta toh baas ek dil se hi dilki hojaati hein. Really Loved to read your writings. Dil par utarti gaayi aur aise hi rah jaayegi, Khuda kare aise hi ho. Khush rahiye yehi Duwa hein aur rahegi. Yunhi likhte rahiyega. Aapna khayal rakhiyega. God bless you.

Keep smilling.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**

Last edited by Shimul; 18th February 2004 at 09:18 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
19th February 2004, 01:36 AM

Anu Dear,

Tumhein tau koyi mahatma hona chahiye tha...wrong profession my friend...sachi agar yeh baat maa baap sahi tariike se sun sakein aur is ka anusaran bhi karein tau majaal hai poot kapoot ho jaaye...hai na...tumne sahi kaha...maa baap kee shiksha mein hee kami reh jaati hai shayad...

yahan main yeh bhi kehna chahoongi ki haan maa ke bahut farz hain bachhe ke prati...lekin maa sub shiksha de le, dhang se parvarish kare...doodh kee bottles na bhi use kare...maids kee help na bhi le...yahan se wahan bachon ko activities mein bhi lekar jaaye...aur ghar bhi sambhale...aur kaam par bhi jaaye...baahar groceries bhi kare...sanskaar bhi sikhaaye...wo sab kar le...

Lekin ghar mein Pita ko apne hee stresses se uljhan rahe...ghar mein tanaav rahe...roz arguments yudh ka roop dharan kar lein tau maa ke sab kiye karaaye par paani phir jaata hai...aur aisaa aajkal bahut se gharon mein hota hai...mujhe bataao yahan Pita ka farz kuch nahin hai ki woh bhi apna yogdaan de bachoon kee parvarish mein...kyonki bachha tau dono ka anukaran karega na?

believe me...maayein tau kisi bhi keemat par bachhe ko aise mahaul se bachaana chaheingi...lekin aaj ke is materialistic race mein aisa namumkin hee nahin asambhav sa hota jaa raha hai...

maa baap ko yeh sab sikhaane kee workshops honi chahiyein...tumne yeh subject jo uthaaya hai...kaafi gambheer hai...sochne par shayad logon ko majboor kar de...

bahut achha likha hai tumne...yoonhi gyaan kee baatein aur discuss kee jaani chahiyein yahan..good job! keep it up!


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
19th February 2004, 01:44 AM

Dear Paras, Sabse pehle toh bohot bohot woh kabool kijiyega. You know why, right? Ek aap ho aur ek Meena, always you are there where I need you. Bohot achha laga. Yunhi likhte rahiyega. Take care. God bless you.

Keep smilling.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
19th February 2004, 08:55 AM

bhai,

ab maiN kya kahooN? aapkii baateiN shaad-aab haiN, aur is haqeeqat meiN bhii talkhii-e-hoSH bharii hai, magar dost aapkii halaavat-e-sukhan se sach bhii aaj miitha lag raha hai.

kamaal ke pesh-o-pas haiN yaar, aapkii ebaarat dil ko chuu gayii.

yuuN hii likhte rahiiye,

aman



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Old
  (#6)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
19th February 2004, 02:26 PM

Mast Sahab Adaab...

Huzoor aapke khayaalat beshak intehayee aalaa darje ke hain, aur aap ka aandaaz-e-bayan behad pur-asar hai. bilkool bajah farmaaya aapne ke rishtoN ki pehchaan zimmedariyoN se hoti hai. Yeh maa-baap ka rishte sabse awwal aur aalaa hota hai. Kayee baar kuch majbooriyoN ke chalte hum kuch zimmedariyaN nahi nibha paate mera matlab kuch rishte nahi joD paate ya sambhaal paate, lekin iss rishte ke beech koi zimmedari, koi bebasi, kisi kism ki bhi rukaawaT nahi aani chaahiye...insaan ko chahiye ke woh rishtoN ke darjaat muqarrar karne mein tawajjoN de. Agar iss mein kaamyaab rahe to zyadtar rishte hamesha suljhe aur suhaane rahenge....


Yeh mere kuch pasandeeda sher hai jo ek beTe ka nazariya hai...

har naemat mayassar thi, jaane kyon phir bhi.
maa ke hathoN ki roti acchi lagi.
=====================================
Jise Dushman samajhta Hoon wohi Apna Nikalta Hai
Ke har patThar ka mere sar se kuch rishta nikalta hai.

DuayeN maa ki pohchane ko meel-o-meel jaati hai.
Ke jab pardesh jaane ke liye beTa nikalta hai.
=====================================

aap ke khayaalat acche lage..zahir karte rahiyega...


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#7)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
19th February 2004, 06:37 PM

Mast ji,

Pehle to sar jhukakar aapko pranaam karta huun,,aapne aaj us baat se waakif karaya hame jo hum sab jaante hue bhi anjaan se bane rehte hai.Aapki baat se main poora ittefaq rakhta huun ke rishton ki buniyaad zimmedaarion par hi tiki rehti hain.

Maa-baap ka rishta duniya mein sach mein awwal hai , aur is baat ka khulaasa karte hue aapni jo udhaarne di hai usse saaf jaahir hota hai jab gurbani i.e guru ki baani hi yeh kehti hai ke ye rishta sabse niraala hai to hum sab isse kya inkaar kar sakte hain..

Aapke khyalaat bahut paak hain..main unki kadar karta huun,wahin is baat ka thoda gam bhi hai ke aaj ye rishte sirf naam ke hi ban kar reh gaye hain..ye rishte ab apna mool hi bhool chuke hain.Shayad tabhi aaj ke yug ko kalyug kaha jaata hai.Magar is baat ka yakeen hai mujhe ke aaj bhi agar kisi ko bhagwaan dhhondhna hai to woh usse apni maa mein dhoond sakta hai..

Aapke khyaalat dil ki gehraayion se jaakar takraaye hain..

Thanks

Varinder
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#8)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 20th February 2004, 02:05 PM

mast sahab
kaise hain aap?
rishton or zimedariyon ka eshsas karna insaniyat k liye lazim karar diya gya...mazhab koi ho...ISLAAM ..yah phir..HINDU...
rishton k ahmiyat har jgah har mazhab main..aik jaisi hay..
if u talk about...ISLAM..ALLAH says..." main apne haqoq muaf kar sakta hun..magar insaan k haqoq k bare main zaror roze qyamat pochon ga..."
aap k is fikr amez..ise falsfa to nahin kahin gain magar ...fikr amaiz hay..aap ne koshish ki aik ache maqsad ko samne lane ki...
aik poda agar shuru din se hi khalis..khad..or sahi pani hasil karta rhae to sahi se apni jaron ko mazbot kar paye ga..apni shakhon ko tandrust kar paye ga..hana gara aisa ho k use jali yah kamiyayi khaad mile to phir us k parwarish zaror mutasir ho gi..insaan ki misal bhi aisi hay....lafz MAA...aik aisa lafz hay jis ko chahe gusse k lahje main bhi pukara jaye ..mohabbat hi barasti hay is lafz main..maa ki zimidari tab se start hoti hay jab woh apne jism se kisi nayi roh ko janam deti hay wahin se woh bunyad rakhti hay aik aise insan ki jise bnana sarwarna us k hath main hay...ab faisla us kay chahe to woh apni fitness ka khiyal rakhe yah phir...apne bache ki sahi se nashonuma kare...
.....agar maa apni zimidariyon....ko pora kare to woh..apne bachon se un ki zimidariyan pori karne ki umeed rakhe...
warna bache ka is main kiya dosh...
khair jnab aap ka yeh roop bhi dekh kar acha laga...aik achi koshish hay bohat khob...
daad kabol kijiye ga
aik banjara''''
bas''''


banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
20th February 2004, 02:09 PM

anu,
rishta - yah ahesaas se gar koi bach jaaye to bach ke kaha ja paaye??
jo bhi likha hai...... khub likha hai...
kal humne khub baat ki... tumne kaha ke maine tumhari hi baat tumhe soonai..... par kya tumne woh sooni?
gar tumhari yah post tumne dil se likhi to jaroor soonoge warna maie samjungi ke shayed ab ke har maa maie kami hi hoti hai.
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Tulsika!~
Registered User
Tulsika!~ is on a distinguished road
 
Tulsika!~'s Avatar
 
Offline
Posts: 272
Join Date: Nov 2003
Location: USA
Rep Power: 21
25th February 2004, 10:05 AM

Anu ji,

pehle to sorrryyy to reply so late, i had to read it twice, first had to scan through then read it thoroughly... Jo bhi likha 110% sahi hai. Sab aaj kal aapni aapni duniya mein masqul hai, waise to sabko lagta hai ke woh jante hai rishte ka matlab, par aapka likha padh kar aisa laga, shayad mein bhi 110% nahi janti thi rishton ke baarein mein, par aaise hi sikhne ko milta hai.
Just great!~
Keep pointing out everything!~

take care!

luv,
tulsika!~


   
Reply With Quote
Re: Rishte
Old
  (#11)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Rishte - 27th February 2004, 11:51 AM

Tujh ko (khuda ko) nahin dekha hamne magar..
par iski jaroorat kya hogi..
e maa teri surat se alag Bhagwaan ki surat kya hogi...
tu hai to andhere path (raste) mein hamein
suraj ki jaroorat kya hogi.....
e maa teri suart se alag Bhagwaan ki suart kya hogi....

Mast bhai
deir se aap ke page par aane ke liye muafi chahta hoon....mein aap ke khayalaat se poori tarah sehmat hoon....rishton ki paribhasha jis vistaar aur sehajta se aap ne karne ki koshish ki hai wo kabile e tareef hai.....Maa shabd par to jitna bhi kaha jaye kam hai.,,,,,mera yeh manna hai ki,, Khuda ya Ishwar ko hamne kabhi dekha nahin,,,,kya maloom yeh hai bhi ya nahin,,,,parantu agar is dharti par koi Ishwar ya Khuda yadi hai to wo hai Maa....is dunia mein sirf ek Maa hi hai jo har haal mein apni aulaad ka bhala chahti hai,,,chahe wo Maa insaan ki ho yaa janwar ki....aksar dekha gaya hai ki hiran ke bache ke peeche padhe sher ke beech mein hiran ki maa khud aa jati hai aur apne bache ke liye khud ka balidaan kar deti hai.....isse badi misaal bhala aur kya ho sakti hai.
aap ka prayaas srahneeye hai.....meri shubhkaamnaye aapke saath hai..
take care


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#12)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
30th March 2004, 08:56 PM

Pehle to Shukriyaa aap sab logo ka ki aapne is khayaal par socha aur ise sahraaha aur bhi khushi hogi jab aur log bhi aapne khayaal yunhi ek jagah is parivaar ke aage rakhe...kyonki zindagi sikhne ka dusraa naam hai. Aap sab mein har ek se kahi na kahi maine kuch sikha hai iska mein tahe dil se aapka shukr guzaar hoon. Is parivaar ne har mod mujhe sahraaha hai mujhe jo pyaar diya hai use mein kabhi chah kar bhi na bhool paungaa.

Shimul Jee aapne har baar mere khyaalo ko samajhne ki koshish ki aur mujhe aur prerit kiya likhne ke liye isley shukriyaa mujhe aapko kehna chaahiyee...aajkal aap nazar nahi aati, kahi is parivaar ko bhuul to nahi gaayi aap. Likhte RahiYeGaa.

Paras Jee profession ki baat ki hai aapne ko time laga to woh bhi badal denge...bahut aacha sawaal hai aapka mein parents ki baat karta karta shabd 'maa' aur uske arth par bahut mehatv de gaya...pita ki baari nahi aane di. pita ka matlab aaj aapse share karta hoon 'pita' ka matlab hota hai santok. Ek aur post pesh karne ki icchaa hai jaha gehraayi mein pita shabd ka matlab uski gehraayi aur kartarvya ki paribhaasha bhi samjhenge. Aap log sab padhenge to aise topic hum sab mein aache sanskaaro ko aur prerit karenge...Likhte RahiYeGaa.

Aman Bhai Bahut Bahut khushi huyi jo aapne Yeh KhaaYaLaaT padhe aur samjhe. Aap aajkal kahi dikhaayi nahi de rahe humhe bahut fikr ho rahi hai. Aise bina bataaye gayab na ho jaaya kijiye. Likhte RahiYeGaa.

Talib sahab aadaab Bahut sahi farmaaya aapne zimedaariyon ka ehsaas aur unki ehamiyat ko pehchaana bahut zaroori hai us aise rishte ke liye jiski badaaulat hum is duniya mein hai. Bahut aacha laga ki aapne yaha aakar aapne khayalaat bayaan kiye aur mera likha padha aur ise pasand kiya. Likhte RahiYeGaa.

Varinder Bhai Aap to mujhe sharmindaa kar rahe hai. Yeh post ka iraada yahi taaki mein shayad is dil ki baat ek nek paigaam aur logo tak pahunchaa sakun. Aapne padha samjha aur sarahayaa mujhe bahut khushi huyi aur umeed hai aap aage bhi yunhi mera saath denge. Aap to doctor hai na shayad is dil ki baat samajh paaye ki dard ka ilaaj sirf daava nahi dard ka ilaaj pyaar aur dua mein bhi hota hai. Hum jaise bhi ho maa-baap hamare har sukh dukh mein hote hai to hum unke har sukh dukh mein kyon nahi ho sakte. Likhte RahiYeGaa.

Khan Sahab Aadaab bahut sahi farmayaa aapne bilkul aik podhe ke tarah hi bachee par bhi hum pura dhayaan de to hum kabhi zindagi mein mayoos na ho. Jaisa ki aapne kaha "lafz MAA...aik aisa lafz hay jis ko chahe gusse k lahje main bhi pukara jaye ..mohabbat hi barasti hay is lafz main..".
Yeh baat bilkul munaasib hai aur meri bas itni hi koshish thi ki hum sab is baat ko samjhe bahut aacha laga yeh jaankar ki na hi hum sab ke beech aap jaise log hai jo inhe samajhte hai balki yakeenan is rishto ki aehimiyat aur zaroraat ka bhi ehsaas rakhte hai. Bahut Bahut shukriya ki aap yaha aaaye aur humhe saraaha..aage bhi koshish rahegi khan bhai ki mein yeh silsilaa barkaraar rakh sakun.

Meena Ji bilkul sahi kaha ki rishton se bach paana mushkil hai phir bhi bahut aaise hai jo yeh jaankar bhi anjaan bante hai jaise varinder ji ne kaha. Aap aisa na kahe agar aapki baat maine na suni hoti to shayad mein yaha wapaas laut kar na aata. Kami maa mein nahi hoti meena ji maa shabd khud hi muqamaal hai. Kami sirf us insaan mein hai jo maa ko sirf ek lafz ek shabd samajhta hai aur uski gehraayi ka ehsaas use bilkul nahi hota hai. Likhte RahiYeGaa.

Tulsika Ji Aapko yeh post mere khayaal aur in rishto ki gehraayi mein jaanne ko mila yeh sunkar behad khushi huyi. I will try my best to share these kind of thoughts with you guys. Likhte RahiYeGaa. Aapke posts ka mujhe hamesha intezaar rehta hai.

Manoj Bhai Der se hi aaye hai bhule to nahi mujhe koi baat nahi. Bahut sehmat hoon mein aapke response se, bahut sahi kaha hai aapne maa usi parwar digaar ka roop hai jisne aapne ya mujhe banayaa hai. Mera yeh chota sa prayaas aapko aachaa laga yeh jaankar khushi ka daur mere liye dugna ho gaya hai. Aapna Khayaal rakhiyega aur likhte RahiYeGaa.

duaaon ke saath
-mast
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Rishte 3 Addab Raj Hindi Kavitayen 0 14th August 2009 01:58 PM
rishte dilkibaat Shayri-e-Dard 5 25th February 2007 04:13 PM
Rishte hayanaaz Shayri-e-Dard 2 15th July 2006 05:27 PM
~~~Rishte~~~ jimmysaid Shayri-e-Ishq 0 12th December 2005 11:10 AM
Yeh Rishte........ mayur_sharma Shayri-e-Ishq 1 2nd November 2003 12:41 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com