Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Pyar apna bhi kuchh kam na tha
Old
  (#1)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Pyar apna bhi kuchh kam na tha - 2nd September 2004, 01:43 PM

Jamaane ko shikaayat hi rahi hamse
Or ham bhi inkaar na kar paaye…
Ye sacch hai ke mohobbat to ki hamne
Per uski had se, gujar na paaye…

Log kis.se sunaate hi rahe hamko
Majnu, RaaNjhoN ki mohobbat ke..
Apne hausle bhi kuchh kam na the lekin
Ham bas unki khaatir, mar na paaye,

Wo kehte hi rahe isko buzdili apni
JubaaN se kuchh na kaha wo waqt na tha apna,
Jigar tha chhalni or sard thi hawaaeiN bhi
Khole ke apna jigar unki nazar,kar na paaye

Haq or ummeed jata rakkhi thi har apne ne…
Kasam hamne bhi, nibhane ki kha rakkhi thi,
Unki raahoN se juda hoti rahi raaheiN apni
Wo bhi jaldi me the, ham unko jakad na paaye.


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
2nd September 2004, 01:53 PM

Hi Chaand Ji,

Man that was a powerful nazm. I especially liked these lines

Wo kehte hi rahe isko buzdili apni
JubaaN se kuchh na kaha wo waqt na tha apna,
Jigar tha chhalni or sard thi hawaaeiN bhi
Khole ke apna jigar unki nazar,kar na paaye

I truly luved it a lot. Thanx 4 postin such a beautiful nazm.

Luvs

Salim
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Old
  (#3)
UDAS
Registered User
UDAS has a spectacular aura aboutUDAS has a spectacular aura about
 
UDAS's Avatar
 
Offline
Posts: 652
Join Date: Aug 2004
Location: India
Rep Power: 21
2nd September 2004, 03:37 PM

Chand ji....wah kya shabdo me dhala hai aapne apne dil me chhupi rusvaiyo.n ko...

ab pachhtana kaisa...jab waqt nikal hi gaya..
ab mohobat ka rona kaisa..jab daman haat se chhoot hi gaya..

tab apno ke vado ko nibhane ki kasme thi...
aaj samaj ke sang chalne ki mazboori..
tab darte hua man ki dabti mohobbat thi..
aaj umr k badhte daur ki kashmokash..

ab kya sochna ye sab...jab haath me kuchh na raha..
kya mohobat...kya ishq-e-mohobat ka malal
jab vaqt hi tumara na raha.....

anyways.......tareef kabool kare!!

udas


DARD JAB HAD SE GUZERTA HAI TO GAA LETI HOO
ASHK AANKHO ME CHHUPA KER GAM PE MUSKURA LETI HOO
********
"Haale dil to dil me hi rakhte hai, in ankho ka kya karai.n
Jinse yaad main tumhari hardam aansu behte hai"
~~~~~
**
   
Reply With Quote
shukriya dostoN
Old
  (#4)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
shukriya dostoN - 2nd September 2004, 06:40 PM

ji....shukriya, salim ji...or Udas ji...aap donoN ka hi...sach bahut khusi hui aaplogoN se ye reply paakar...

Aap donoN ka hi tahe dil se shukrgujar hai ye Chaand

Udas aapka reply sher bhi pasand aaya.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
paplupopat
Registered User
paplupopat will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 269
Join Date: Jan 2003
Location: india.
Rep Power: 22
2nd September 2004, 08:57 PM

Unki raahoN se juda hoti rahi raaheiN apni
Wo bhi jaldi me the, ham unko jakad na paaye.


------------

dil ko dhadkane kaa sabab to diya hota,
naa hi to kahata mahboob, puchkar to dekha hota.


....................................


as you write more and more personal
it becomes more and more universal.
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
3rd September 2004, 12:12 AM

Chaand ji...

Bahut hi khoobsoorat nazm likhi hai aapne.. sach mein bahut achi lagi..

Woh dard woh ehsaas.. woh khaamoshi aapki... khaamosh reh kar bhi sab bayaan kar gayi yahan..

Apna khayal rakhiye..

~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
3rd September 2004, 05:17 PM

Chaand sahaab..

Bahoot khooB likha hai aap ne.. Hameshaa ki tarah.. Aaj fir aap ki kaabiliyat se rubaru hona pada.. Hamesha se aap ke qalam ka fan raha hooN mai.. Reply bhale hi na kar paaya hooN par jab bhi nazroN se gujara hai aap ki kabiliyat ko daad diye bina na rah saka..

Bahut hi khoobsoorati se aap ne apne ehsaas ko yahaan par utaara hai..

Wo kehte hi rahe isko buzdili apni
JubaaN se kuchh na kaha wo waqt na tha apna,
Jigar tha chhalni or sard thi hawaaeiN bhi
Khole ke apna jigar unki nazar,kar na paaye


HaalaaT! kitna bebas kar deta hai insaan ko..

Likhte rahiye…

MayanK
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#8)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
3rd September 2004, 10:14 PM

mere chaand,

...............................
meena
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
4th September 2004, 10:02 AM

Chaand saahab aadaab!

Itne dino baad aapki ye rachna paR kar bohat achha laga.. dil ke jazbaat.. dil ki daastaan... wo kisse pyaar mohabbat ke.. majboori ke, judaii ke.. kitne saral lafzon me bayaan kar diye aapne.. har ek sher me ek kahaani simTi hui hai..

Jamaane ko shikaayat hi rahi hamse
Or ham bhi inkaar na kar paaye…
Ye sacch hai ke mohobbat to ki hamne
Per uski had se, gujar na paaye…


Aji pyaar ki koi hadh.. koi seema... hoti kahaan hain?? pyaar ki sarhad nahi hoti.. uska to kshitij hota hai..


Log kis.se sunaate hi rahe hamko
Majnu, RaaNjhoN ki mohobbat ke..
Apne hausle bhi kuchh kam na the lekin
Ham bas unki khaatir, mar na paaye,


Hmmm.. mar kar amar hone ki baat?? Marrne ke liye jaan se jaana zaroori nahi.. kaii log mohabbat kikhaatir ji ji kar marte hain.


Wo kehte hi rahe isko buzdili apni
JubaaN se kuchh na kaha wo waqt na tha apna,
Jigar tha chhalni or sard thi hawaaeiN bhi
Khole ke apna jigar unki nazar,kar na paaye


Waqt.. haalaat.. TooTne ka darr.. naa jaane kitni zanjeerein jakaRti hain is dil ko..


Haq or ummeed jata rakkhi thi har apne ne…
Kasam hamne bhi, nibhane ki kha rakkhi thi,
Unki raahoN se juda hoti rahi raaheiN apni
Wo bhi jaldi me the, ham unko jakad na paaye.


Aap unke liye mar nahi paaye...Wo aapke liye ruk nahi paaye.. ab aap bhi unse shikaayat kar sakte hain.. Mohabbat hai hi aisi shay... har rekha dhundhli si..


Bohat khoob chaand ji.. Yunhi likhte rahiyega!


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Shukriya dostoN
Old
  (#10)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Shukriya dostoN - 4th September 2004, 12:21 PM

dil ko dhadkane kaa sabab to diya hota,
naa hi to kahata mahboob, puchkar to dekha hota.

Paplupopat ji...aapke is reply ke liye tahe dil se shukriya....sahi kaha aapne....naa hi to kehte...poochhkar to dekha hota....

mai kuchh yooN kahooNga...

Phir koi chehra na bhaya...Itni Nihara unko
Mere Bachpan ne, jawani ne bhi..Pukara unko,
Ik jamane ne nigaahoN me parhi...DaastaaN apni...
Wo mere paas rehe phir bhi...nakara hamko.

****
Ham apne haath bhi faila deta...
Ye nazrieN bhi kuchh jhuka dete...
Per unke iraade na the kuchh dene kei..
Tumhi kaho phir unhe, sab keise bata dete.

Chaand

Shukriya Priya....aap dost haiN na...so....hum.mat bani rehti hai dard sehne ki or muskuraate rehne ki..tahe dil se shukrgujaar.

Chaand

Anjana saahab....ye jo izaat bakshi hai na aapne mujhe mere liye bahut bada Iinaam hai...mai kuchh bhi nahi dostoN...ye aap sab ka pyar hai jo yaahaN milta hai so koshishieN karta rehta hooN....umeed rehegi aage bhi aapse...isi taraah saath rehne ki.

Chaand

Meena ji...............

Aapka Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Shukriya Afshan
Old
  (#11)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Shukriya Afshan - 4th September 2004, 12:40 PM

Shukriya Afshan....tahe dil se shukriya....achchha laga...aapka ye achchhe se vyakhya(explained)kiya reply parhkar..

Sahi kaha hai aapne iski had nahi hoti....per hoti hai na...shaayad maut....jamaana to yahi maanta hai...or ham ise kabhi na maan paaye chaahe ye hamari buzdili ho ya kuchh or...yahaaN aap sahi haiN...ki....marne me kya rak.kha hai jeena badi baat hai...

Aap unke liye mar nahi paaye...Wo aapke liye ruk nahi paaye.. ab aap bhi unse shikaayat kar sakte hain.. Mohabbat hai hi aisi shay... har rekha dhundhli si..

Shikaayat ...!....ab chhodiye ye shikwe gile...kuchh haasil na hoga..kyoNki hame to ye adhikaar bhi nahi diya unhone..

Aapka reply parha...bahut achchha laga...aap sath rahee mere in khayaalat me. ...ye badi baat hai...Shukriya.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
~#~kuchh pyar bhari sayari~#~ Diya_Jale Pyaar Bhari SMS Shayri 1602 24th July 2010 04:34 PM
humay pyar say apna bana gaya koi.......(gazal) rajveeer Shayri-e-Ishq 2 29th July 2006 11:00 AM
humay pyar say apna bana gaya koi.......(gazal) rajveeer Shayri-e-Dard 2 20th July 2006 03:29 PM
mushkil hai apna mel , ye pyar nahin hai khel , Mashooq Humourous Shayri 1 19th June 2006 01:02 PM
Ye pyar tha ya kuchh or tha Chaand Shayri-e-Dard 12 9th September 2003 10:37 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com