bahut khub muskaan ji
aapko hamara sadar pranaam
aapko muskaan ji kai dafa padh chuka hu par aaj aapki rachna ko padh ke dil khush sa ho gaya hai
muskaan ji aapki rachna mein jo aapka pyaar nazar aata hai wo aapne bahut hi barkhubi se bayan kiya hai aap ki ek baat hamein bahut hi achchhi lagi aapne ho likha hai ki jab hotho pe hai naam tumhara to lab khulne ka gum kyu hai wo bahut hi pyare ehsaas haii,
muskaan ji aapke jesa hi kuch aapki rachna pe hamari kuch koshish....
Ek ajnabi se muje itna pyaar kyu hai,
Inkaar karne par chahat ka ekraar kyu hai,
Use pana nahi meri taqdir mein sayad,
Phir har mod pe usi ka intezaar kyu hain.
Na jane un par itna yakeen kyu hai,
Unka khyal itna haseen kyu hai,
Suna hai pyaar ka dard mitha hota hai,
To fir aankho se nikla aansu namkeen kyu hai?
muskaan ji ese hi likhte rehna
aapka dost
Merul
Quote:
Originally Posted by muskaan76
Jab ho dil ke itne pass
Toh tumhare door hone ka ehsaas kyu hain
Mere dil mein baste ho
Phir khone ka gam kyu hain
Jaante ho tum juda nahin humse
Phir dil yeh behaal kyu hai
Jab hoton pe hai naam tumhara
To labon ki khulne ka darr kyu hai
Jab ho tum hamari khushi
To aankhen yeh namm kyu hain
Jab ho saath hamare
Tanha yeh dil hota kyu hain
Ho har sawal ka jawab
To id dil mein hazaaron sawaal kyu hai
Jaanna hai kya raaz hai dil mein
Humse pyar karke dekho tab janoge cheez hum kya hai
|