Kahan dard-e-dil dard se nashaad hota hai -
2nd September 2012, 10:47 PM
kahan dard-e-dil dard se nashaad hota hai
dard had se guzre tabhi dil shaad hota hai
thhare hue ashqon ki rangat na poochiye
har qatra hamesha taaza azaab hota hai
hai to asaan apni aakhon ko nam rakhna
par khud se hi kia vaada kharaab hota hai
dard ke kum ya zyada ki tamanna kaun kare 'kaash'
ye vo shay hai jo khud-b-khud aabaad hota hai
Quality is not an act,it is a habit.
|