Bas ab aur qalaam kiya nahi jaata..... -
3rd September 2014, 09:24 PM
Inayat hai kuch logo ki
Jo main qalaam karta hoon
Khanjar chalaatey woh kahein
Main qatl-e-aam karta hoon...
Ek sazaa aur de saktein hai woh
Ek dagha aur seh saktein hai hum
Woh shikayat kaise bhi karein
Main sar-e-aam karta hoon...
*
Bas ab aur qalaam kiya nahi jaata
Yoon muskaraatey roya nahi jaata
Khataaen sab muaaf hain unki*
Main tahedil salaam karta hoon...
Inayat hai kuch logo ki
Jo main qalaam karta hoon....
(SR)c&p*
|