Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > General Stories

Closed Thread
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 3.50 average. Display Modes
Old
  (#41)
sahill.down
Registered User
sahill.down is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 50
Join Date: Mar 2008
Rep Power: 17
19th March 2008, 01:14 PM

areyy maine abhi post kiya tha....kahan chala gaya...
   
Old
  (#42)
sahill.down
Registered User
sahill.down is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 50
Join Date: Mar 2008
Rep Power: 17
19th March 2008, 01:15 PM

mere post apne aap kaise delete ho jaate hain.......
   
Old
  (#43)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
19th March 2008, 01:23 PM

Quote:
Originally Posted by sahill.down View Post
mere post apne aap kaise delete ho jaate hain.......
acchaaa...kya aapke post delete ho jaate haiN.......kaha hue aapke post delete...........main to aapki post pe reply kar rahin hoon.......aaap thik se check karo...honge aapke post aise aapki post ke thodi na pair hain ki aapke avatar ki tarah ud jayenge...

Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
   
Old
  (#44)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
19th March 2008, 06:21 PM

Meri Yahaa Aane Wale Har Sadsyaa Se Sa'vinamra Vinati Hai, Ke Yadhyaapi Apko Meri Kahaani Pasand/ Naa'pasand Ho To Hi Yahaa Javaab De.n...kintu, Apni Baate Yahaa Naa Likhe.n....

Sahil Jee...lagta Hai Apko Site Ki Koi Baat Buri Lagi Hai...isi Liye Aap Jabse Aaye Hain, Ool'jalool Javaab Diye Jaa Rahe Hain....main Aapse Maafi Maangti Hu, Krpyaa Hume Baksh Dijiye....khaaskar To Mujhe Oe Meri Rachnaao.n Ko...aapse Vinati Hai Ye Meri....

Ummid Hai Aap Abse Meri Is Rachnaa Ko Apni Faaltu Baat'cheet Se A'pavitra Nahi Karenge...

Dhanya'vaad

Pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#45)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
19th March 2008, 08:16 PM

Chapter 4

Aaj Piyush jaldi utth gaya tha, ya yun kahe ki use nind hi nahi aai...bade araam se school ke liye taiya hua..bahot khush nazar aa rahaa thha aaj vo...chaliye ji 7.00 ho gaya...school jane ka time...nikal diye janaab school ki or...Piyush upar jaa raha thha class ki or tabhi....

"Are kaha jaa rahe ho? " Saba ne pichhe se awaaz di

"Class me or kaha " Piyush ne mudhke javaab diya

"Are tumhe nahi pata? aaj se humari class, room no. 41 me shift ho gai hai..." Saba ne apna bag sambhaalte hue kaha

"Achha, mujhe to pata hi nahi....ok chalo chalte hain" Piyush ne sidhiya utarte hue kaha

"Nahi, main to late hi aaungi humesha ki tarha...apna record nahi todna mujhe..tum jao.."Saba ne bahaana bana diya

Piyush Saba ki baat maanke chala gaya room no. 41......jo ki school ke topfloor pe sabse last me thha...or school itni badi ke pahonchte pahonchte pair thhak gaye....uff bechara bura fasaa...hahhaha

Class shuru ho gai, lekin ye kya, class me Saba ke siva koi nahi thha...

20 min baad....

"May we come in sir?" Piyush or uske saath poori class ke students ne saans bharte hue puchha

"Tum log itna late kaise ? "Sir ne gusse se savaal kiya

" Kuch nahi sir,hume batayaa gaya thha ke humara class room kahi or shift kardiya gaya hai " Piyush ne Saba ki or ghoorte hue javaab diya Or Saba hans rahi thhi...

Dar'asal ye Saba ka Mazaak thha usne sabko yahee kaha ke class room shift ho gaya hai. iska pata tab chala jab sab room no. 41 me thhe or 15 min tak teacher nahi aaye or na hi Saba....sabne bataya ke sabko Saba ne hi room change hone ki khabar di...Sab samajh gaye thhe...or 20 min baad class me aaye..teacher ne Saba ko daant lagaai...lekin kya faida...Saba to bahot hansi us din..chalo fir bhi usne sabse sorry maang li, sab jaante thhe Saba ko, sabne use maaf kar diya...bas aise hi hansi mazaak me december aa gaya or saath hi half yearly exams bhi...18 dec. ko exams khatam hue...sabke exam bahot achhe hue...23rd dec. se sardiyo ki chhuttiya bhi aane waali thhi....

" Hey, tumhe pata hai main Sydney jaa rahi hu, apne Mama ke paas " Saba ne class me enter hote hi khushi se sabko ye baat bataai

"Kya sacch me tum Sydney jaa rahi ho? " Piyush ne Jhhat se Saba se puchha

"Haa, mere papa mujhe wahaa bhej rahe hain..."Saba ne Piyush ke paas aake khushi se kaha

"Kab jaa rahi ho, or waapas kab aaogi ?" Piyush ne saval kiya

" Isi 24 tarikh ko, or waapas shaayad naa aau, aaungi to bhi shaayad bahot saal baad "

" Ye kya kahe rahi ho, mazaak mat karo please " Piyush ne pareshan hoke kaha

" Nahi sacchi me, mere papa chaahte hain ke main wahi rahu Mama ke paas..kaaran kya hai ye to nahi pata..." Saba ne safaai dete hue kaha

Piyush se ye bardaasht nahi hua...usne socha hi nahi thha ke Saba kabhi usse door jaa sakti hai...lessons ke time vo udaas raha, bas sochta raha...lekin Saba to khush thhi. Sahil sab samajh raha thha...lekin vo kuch na bola, be'bas thha vo to....Aaj ek baar fir Piyush ke chehare pe udaasi chha gai...Ghar pe bhi kisise baat nahi ki, puchhne pe bataaya bhi nahi kisiko...har waqt udaas rahata thha...

22 December :

School me akhiri din iss saal ka or Saba ka bhi...''Saba mujhse door jaa rahi hai humesha ke liye'', ye soch soch kar Piyush paagal hue jaa raha thha, bilkul man nahi lag raha thha uska...rest ka waqt ho gaya thha...Saba sabse milne ground pe aa gai, Sahil , Piyush or Anjali ke saath...Sab baate kar rahe thhe, hansi mazaak kar rahe thhe...

" Well, Main parso jaa rahi hu, tumsab ko bahot miss karungi..." Saba ne Bahot vinamrta ke saath kaha

Piyush udaas thha or waha se utth kar door chalaa gaya...Saba bhi chali aai usse kaaran jaanne...Sahil ne theek na samjha is waqt dono ke paas jana or unhe akela chhod diya...

"Piyush, kya hua, tum bahot udaas nazar aate ho aajkal " Saba ne Piyush ko dekhte hue kaha

" Nahi kuch nahi, sar me dard hai isi liye " Piyush ne nazre churate hue javaab diya

" Palke band karke jhhoo.Ntth bola karo, ankho ko sacch bolne ki bimaari hoti hai, tumhi ne sikhaya tha na ye " usne muskurate hue kaha

'' Aaj mera aakhiri din hai......" Saba ke itna kahate hi Piyush ne uske honto pe apni hatthheli rakh di....

" Fir kabhi aisa mat kahana...khuda na kare kabhi tumhara aakhiri din aaye " Saba ki ankho me dekhte hue kaha

"Main school me aakhiri din ki baat kar rahi hu " Saba ne dhire se haath hataate hue kha

" Tum jaa rahi ho na, achha nahi lag raha. Main tumhe bahot miss karunga " Piyush ne Saba ko dekhte hue javab diya

"Miss to main bhi bahot karungi tum sab ko, hey thhodi der rooke main abhi aati hu, wait ok..." ye kahake Saba dodti hui class room ki or chali gai...or itne me Sahil aa gaya Piyush ke paas aaya...

"Yaar main samajh sakta hu jo tu mehsoos kar raha hai vo, tu use bol kyu nahi deta ke tu usse pyaar karta hai " Sahil ne samjhaate hue kaha

" Nahi yaar, main use pareshaan nahi karna chaahta " Piyush ne muh ferte hue kaha

" Isme pareshani kaisi, balki achha hoga ye to " Sahil ne kaha

" Nahi, agar main kahe bhi du to vo yaha ruk nahi jayegi, vo waha judaai me tadpegi or main yahaa. Pyaar me marne ke liye main hi kaafi hu, main use dukhi nahi kar sakta pyaar ka izhaar karke, or ho sakta hai ke vo mujhse pyaar nahi karti " Piyush ne kaha
Saba aa gai itne me, haath me ek camera bhi thha...

"chalo photos khinchte hain, main ye Sydney le jaungi, isi bahaane tum sab ki yaad mere saath hogi...comeon " Saba dono ka haath khinchte hue group me le gai, or sabne bahot pic's capcher ki...Bas aajka hi din thha unke paas...chhutti me sabne Saba ko best of luck kaha or use vidaa kiya...

" Apna khayaal rakhna Saba " Gaurav ne haath milate hue kaha

Saba ne sabse haath milaya...

" Mujhe bhool to nahi jaaogi na " Piyush ne puchha

" Oye, tumhe bhoongi ? naah...tumse hi to sabse jyadaa ladi hu or dosti bhi tumse hi sabse jyada ki hai...i'll miss u " Saba ne kaha

" Tum Sanganer airport se hi jaogi na? Main tumhe milne aai waha? " Piyush ne puchha

" Nahi Piyush, Flight raat ko 3 baje ki hai, tum tang hojaoge, rahane do...time ho gaya main chalti hu " Or Saba sab ko bye kahate hue chali gai...

''Ehsaas-e-dil aa.Nkho.N me.N poSheedaa raHe Gaye
diKhaana bhee chaaHaa, par wo alweeda kaHe Gaye ''

24 tarikh bhi aa gai or Saba Sydney chali gai...Ab Piyush ka hansne tak ka man nahi karta thha, bas din raat Saba ke hi bare me sochta thha....Mano udaasi ne ushi ko apna ghar banaa liya ho.... ghar me bhi kisiko is baare me nahi batayaa...school jaata, waha bhi kisise jyada baat nahi karta...10-15 din baad to school jana bhi band kar diya...3 din ho gaye the Piyush school nahi aaya...Sahil ko fikr hone lagi...to shaam ko usne Piyush ke ghar jaane ka man banaa liya...Piyush Jaipur ke Surya nagar me rahata tha, or Sahil Maansarovar area me...

Sahil Piyush ke ghar pahoncha...." Anty Piyush hai ghar me ? " Sahil ne Piyush ki Maa se puchha

" Haa hai to, lekin vo bahot udaas rahata hai aajkal, naa jaane kya ho gayaa hai...na kisise baat karta hai, ab to school bhi nahi jaa raha ye kahake ke tabiyat kharaab hai...." Maa ne bahot pareshaani se Sahil ko batayaa

" Main dekhta hu anty "
Ye kahake Sahil Piyush ke room me chala gaya...itne me Piyush ke papa bhi aa gaye...

" Yaar tu karna kya chaahta hai ye bataa de ?, Kisike chale jaane se koi jeena chhod deta hai....or tu , Saba kya gai sabkuch bhool gaya...Saba ko jaana thha vo chali gai, tu kyu khood ko takleef de raha hai...aise to tu bimaar kar lega khud ko..." Sahil ne lecturer type se Piyush se kaha....

" Saba!!, kaha gai vo? kya hua use?" Piyush ke papa gate pe khade sab sun rahe thhe or unhone room me enter hote hue puchha

" Uncle vo Sydney chali gai hai...or ye....." Sahil ne Piyush ke papa ko bataya

Piyush ki aankho me aansoo thhe, vo chup'chaap sab sun raha thha, lekin kuch bola hi nahi.....Piyush ke papa uske paas aaye, uske kandhe pe haath rakha...kuch kahana shuru karte usse pahale Piyush gale lag ke ro paraa...

" Papa vo attraction nahi thha, main usse sacch me pyaar karta hu, uske bina nahi rahe sakta...papa main usse pyaar karta hu, use waapas bula dijiye, main mar jaaunga..." Piyush ek 5 saal ke bacche ki tarha rone laga...Sahil or uske Papa use samajh rahe thhe...

" Aayegi, vo waapas zaroor aayegi, tera pyaar saccha hai, vo tujhe zaroor milegi...lekin is tarha waqt se haar jaoge, to aage nahi badh paoge, vo jabtak laut ke aaye, khud ko uske qabil banaao...zindagi ke ye haadse himmat haarne ke liye nahi, balki aage badhne ka honslaa dene ke liye hote hain..." Piyush ke papa ne use samjhaya...

Piyush ko sahaara or ummid mil gai thhi, isi ummid ke saahare vo aage badhne laga...aage sirf use Saba nazar aati, isi liye usne pichhe mudh ke nahi dekha...
Piyush ki udaasi puri tarha gai hi nahi kabhi, Sahil or Saara apni stupid harkato se use khush karne ki koshish karte rahate....Waqt beetne laga...jan. se apral aa gaya...Sahil, Piyush or Saara ki dosti gehari hoti gai....isi doraan exams bhi aa gaye...Sahil ke exams thhode bekar hue...jab jab vo paper deke baahar aata thha Saara uspe bahot hansti or puchhti ke aaj kya request likhi hai paper me......hahahah

"Piyush tumhe pata hai 8th class ke exams me time table change hue thhe humare to ye histry ke exam wale din hindi yaad karaaya or ans.sheet me essay likhke kaha ki plz plz ispe marks dedena .......hahahah pagal ladka..." Saara ne Sahil ko chidhaate hue kaha...

" Haa bahot puraani bat pe abtak hansti ho stupid....." Sahil ne khudke bachav me kaha...teeno hansne lage

June me result aa gaya...Piyush ne class top ki...Saara ke bhi bahot achhi % bani...Gaurav ne science me 91.76% banaai jo bahot hi achhi thhi, Anjali ke 78 % bani...

" Congrats yaar Piyush..." Sahil ne Piyush ko phone kiya

" Thanks, yaar tumhare 3nd division bani..." Piyush ne thhodi narmi se kaha

" Are shukr hai pass ho gaya...warna ghar wale baahar nikaal dete.....hahahaha..." Sahil ko koi fark nahi para, bas pass ho gaya..kafi thha...

June ka mahina thha, chhuttiya khatm hone me 20 din baaki thhe, Piyush ke papa ne usse kaha ke Kahi ghumne janaa chaahte ho to jaa sakte ho, saath me Sahil ko bhi le jaao, lekin Piyush thha ke uska man nahi karta thha kuch karne ko, so usne manaa kar diya...ghar me hi raha..kabhi kabhi Sahil se milne chala jaata ya kabhi Sahil aa jaata..isi tarha ye din bhi nikal gaye...or July aa gai...school shuru ho gai...fir wahi pahala din school ka....or dosto se milne ka....

12th me aa gaye thhe Piyush or uske sabhi saathi....is saal board exam thhe, to mehanat jyada karni thhi, Piyush apne jyada'tar dhyaan padhaai me hi deta...Or apni sangat se usne Sahil ko bhi mehanat karna sikha diya...hmmm....well taiyaari zoro pe thhee...jab kabhi free period aata Class masti karne ke bajaaye padhaai karti...koi shaitaani karne waala raha hi nahi thha ab class me...khair din beet'te gaye....or darr badhta gaya, jane kaisa paper hoga, time table achha hoga ya nahi....sab pareshaan thhe...dhire dhire exam ki date paas aa gai...Apral me exam shuru ho gaye...is baar kai students ka senter bahot door door or alag alag schools me aaya thha...Piyush ka senter Maheshvari school me aaya thha, Anjali or Sahil ka Rajvansh me, Saara ka Gandhi nagar girls school me or Gaurav ka K.V.1 me...or saari schools ek dusre se bahot door thhi, isi liye sab apne apne paper ka haal phone par hi batate....poore ek mahine baad sabke exam khatam ho gaye...taajjub ki baat thhi Sahil ke sabhi paper achhe hue...hmm Piyush ki sangat ka asar thha..hahaha...or isi ke saath chhuttiya aa gai...sab chhutti manane chale gaye..koi gaa.Nv gaya to koi kahi ghoome to koi kahi or gaya...lekin June aate aate sab waapas laut aaye..are bhaai june me 12th ka result jo aata hai...or vo din bhi aa gaya jab result aana tha.....

To Be Continued

{Maine is kahaani ko bahot jaldi aage badhaa diya is bhaag me, sacch kahu to Saba ke bina masti sujhi hi nahi jo is bhaag me likh paati... result kal bataungi...}

Grazie

Pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#46)

19th March 2008, 08:19 PM

Quote:
Originally Posted by mausam View Post
mohatarma pooja maam.....apki kahaani padhke atyant prashanta hui.....:

jyada ho gaya...eeee... chirkut.........jyada itra mat...........fatafat puri kahanii post kar de...ek kaam kar......subah ek post dupher ek post aur raat ko ek post jaldi se kahaani khatam ho jayegi....aur mera intezaar.............kabhi to badi behan ka kehna mana kar.....................

grazie...
mausam
e chirkut shaanti se yahi pe padho kahaani, koi mail nahi karungi

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#47)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
19th March 2008, 08:23 PM

Quote:
Originally Posted by dineshdharvi View Post
di ab pls jaldi jaldi kahani ka end laavo kyu ki ye sab padhke to sahi me bahut dukh ho raha hai sayad aisa kisi ne nahi socha hoga.
ho sake to di kal hi 4th part post kar dena kyu ki ab jyda intzaar nahi hota hai hume bhi padhkar ab dukh hota hai isi liye
hmm kar di post...thanks for reading...main bhi jaise jaise type karti jaati hu post kar deti hu....

grazie

Pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#48)
kuhulika
Registered User
kuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant future
 
kuhulika's Avatar
 
Offline
Posts: 2,269
Join Date: Jul 2005
Location: New Delhi.(India)
Rep Power: 37
19th March 2008, 08:52 PM

Quote:
Originally Posted by pooja_d View Post

mujhe mazaa araha hai isko padhne mein
bas end ka khayal rakhna tum

taek caer

SHWETA

jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai

uth jati hai kalam likhne ko
wo pyar deewana hota hai

kar deti hai haal-e-dil bayaan
wo kalaam shayraana hota hai

jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
duniya mein kitna gam hai
apna gam phir bhi kam hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
   
Old
  (#49)
sahilll.down
Registered User
sahilll.down is an unknown quantity at this point
 
Offline
Posts: 72
Join Date: Mar 2008
Location: New Delhi. India
Rep Power: 0
19th March 2008, 10:17 PM

Ab plzzzz piyush ko fail mat kar dena.......

itna magoda bachha fail ho jaye nahii banta.......
   
Old
  (#50)
LAMHA
beautiful moment.........
LAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant future
 
LAMHA's Avatar
 
Offline
Posts: 6,429
Join Date: Jul 2007
Location: u.s.a
Rep Power: 42
Love 19th March 2008, 11:20 PM

its going gr8.....keep posting.....bahut mazaa aa raha hai is story ko padhne me.....

"LAMHA"

mujhko acchaa nahiiN lagtaa ko’ii hamnaam teraa ,
ko’ii tujhsaa ho to phir naam bhii tujhsaa rakhe....
  Send a message via Yahoo to LAMHA  
Old
  (#51)
yash chawla
Banned
yash chawla will become famous soon enoughyash chawla will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 2,267
Join Date: Jan 2008
Location: switzerland
Rep Power: 0
20th March 2008, 12:48 AM

ek dum mast story...... pyaar chakar laghta hai
Quote:
Originally Posted by sahill.down View Post
mere post apne aap kaise delete ho jaate hain.......
Quote:
Originally Posted by sahill.down View Post
areyy maine abhi post kiya tha....kahan chala gaya...
Quote:
Originally Posted by pooja_d View Post
Chapter 2

Subha 6 baje ki alarm baj gaya, kal hi ki tarha aaj bhi 1/2 ghante me taiyaar hoke Piyush ne brack fast kiya or papa ke saath school nikal gaya.

" Hi Sahil "

" hi Piyush "

" kaisa lag raha hai nai school me aakar? " ye savaal Piyush ke liye Sahil ki or se

" well...sach kahu to bahot achha lag raha hai, sach me socha hi nahi thha ke school ke pahale hi din se mere achhe dost ban jayenge " bahot x'aited hoke Piyush ne javaab diya

aaj Saba class me jaldi aa gai, 5 min rahe gaye thhe school lagne me.

" Hi Saba " Piyush ne kaha.

Lekin Saba ne koi javaab nahi diya, or apni seet pe jaake baitthgai
Bas wahi borring Eco. Comerz ki class thhi aaj, sab bore ho gaye. Rest hote hi sab aise class se chhootke bhaage mano kisine unhe jail me band kar rakha ho. Sab ground pe thhe, Piyush ki nazre thhi ke kuch dhundh rahi thhi, lekin kise? Jise dhundh rahi thhi vo to door khadi hindi ke teacher ke maze lete dikhi.

" BHOOOM " ek gubbara foota

" are are ye bom kaha se foota " teacher had'bada gaye

" hahahaha" Saba zor se hansi " are principal " ye kahake fir vo waha se bhaag gai

" hahahaha, ye koi moka nahi chhodti, tumhe pata hai Piyush jab main is school me naya aaya thha 8th class me to mere saath bhi aisa hi hua thha, main class me baittha kuch soch raha thha, achanak Saba aai or mere kano me chwing'gum ka gubbara fod diya or main cho.Nk gaya, sab bahot hanse us din mujhpe " hanste hue Sahil ne Piyush ko ye baat bataai

Saba ko chwing'gum bahot pasand thhi, vo khana bhale hi na khaaye lekin chwing'gum uske muh me honi chaahiye, chwing'gum se kabhi kabhi logo ko bahot tang bhi karti, kabhi kisiki seet pe chipka deti to kabhi kisike baalo pe hahaha

" Mujhe sab bhool gaye, socha ke school se chali gai hu.. haa " ek shikayat bhari awaaz sunai di sab ko

" Saara !! kaha thhi kal ? aai kyu nahi thhi, yaar school ke pahale din to aana thha na " Sahil ne pichhe mud kar ye sab Saara se kaha.

" kal hi gaa.Nv se waapas aaye isi liye aaj anaa hua " Saara ne thhodi masumiyat se javaab diya

" Piyush ye Saara hai, humare group ki pakaau mamber hahaha, Arts ki student hai, pakaau mamber ki pakaau sub. " Sahil ne Saara ko chidhaate hue dono ka intro karaya, Saara or Piyush ne ek dusre se haath milaya.

Saara or Sahil ki bahot achhi banti thhi, dono jhhagda bhi khoob karte thhe, lekin ek dusre ke bina rahe nahi sakte thhe. Saara ne 11th me Arts. subjact li or Sahil, Saba, Anjali ne Comarz, or Gaurav ne Science, isi liye vo sirf rest me ya school ke khatam hone ke baad hi mil paate.

Sab apni bato me mast ho gaye fir, lekin Piyush Saba ko hi dekhe jaa raha thha, itni khoobsurat ladki ke chahare pe itni kaatilana hansi, mano Piyush ke jeegar ko cheer rahi ho.

rest khatam ho gaya or kal ki tarha aaj ki school bhi. Piyush ghar aagaya.

" Mom i m very hongry please give me something to eat "

" deti hu, waise tumne bataya nahi ke tumhari school kaisi hai, dost bane ya nahi, teachers kaise hain? "

"Mammy school bahot achhi hai, yakeen maniye mere to kal hi achhe dost ban gaye. Sahil, Gourav, Anjali, Saara, Saba..... yes "

" Yes bhi kisi dost ka naam hai ? " Mammy ne zor se hanste hue puchha

" oh no mum " Piyush ne muskurate hue kaha, khana khaake vo apne room me chala gaya or apni books leke baitth gaya.

Piyush apni baate apne mammy papa se kabhi nahi chhupata thha, uske mammy papa ki soch aajke zamaane ke hisaabse thhi, or isi liye Piyush ki apne mammy papa ke saath dost jaisa rishta thha

bas isi tarhase 1 mahina guzar gaya class me tests bhi start ho gaye, aaj maths ke test ke marks aane wale thhe, Saba ke Piyush se kam marks aaye Saba ke 28 or Piyush ke 28 and 1/2 out off 30 aaye

" oye, tumhare mujhse jyada marks kaise ? mujhse cheating ki thhi kya " Saba note book dekhte hue gusse se Piyush se boli

" Saba, class ke baad ladai karna, apni seet pe jaake baittho " Teacher ne Saba ko tokte hue kaha

Class ke khatam hote hi Saba Piyush pe toot si pari

" Kaha se cheating ki thhi " Saba ka pahala savaal Piyush se

" Main or cheating, sapna hai shaayad " Piyush ne dono haath baandhte hue kaha

" Fir mujhse jyada marks kaise aaye? aajtak kisike marks nahi aaye mujhse jyada " Saba ne badi tikhi zabaan se ye sab kaha

" lekin ab aayenge, MERE " Piyush ne Thodi kuteel muskan ke saath javaab diya

" Main sabse aage thhi or rahungi, i'll show u " Saba gusse me ye kahake chali gai

Aisa hi chalta thha dono ke bich, kabhi Saba aage to kabhi Piyush. Din beet'te gaye. Piyush jab bhi Saba ko dekhta use lagta ki Saba se jyada khush is duniya me koi nahi, Saba ke labo pe humesha ek Muskaan rahati thi, lekin Kabhi kabhi Piyush ko lagta ke mano is bewajha khushi ke pichhe kahi gamo ki koi kaali chaadar bhi hai, jo Saba ki ankho me kabhi kabhi nazar aajaati thhi, kabhi kabhi Saba ki hansi banaavti lagti, Saba jab bhi tanha hoti to ek dairy leke baitth jaati, vo jab bhi us laal rang ki dairy ke saath hoti to ek anjana sa gam uski ankho se chhalakta thha, yun lagta maano vo kisise kuch maang rahi hai, Piyush ,Saba ke galo pe an'bahe ashqo ki lakeere dekh hi leta. Vo jaanna chaahta thha ke haqeekat kya hai, Jo Saba dikha rahi hai vo ya fir jo Piyush ne samjha hai vo...kashm'kash ke in dino me ek or mahina guzar gaya. or Sept. aa gaya. 5 sept. ko Saba ka janm'din thha, Piyush ne uske liye ek achha sa gift bhi khareed rakha thha.Piyush roz ki tarha taiyar hua or brackfast karke paap ke saath nikal diya school ke liye.

Lessons chal rahe thhe, lekin Piyush ka man nahi lag raha thha, vo bar bar ghadi ki or dekh raha thha, use intezar thha rest ka, ke kab rest ho or kab vo Saba ko gift de. Rest ho hi gaya, lekin rest hote hi Saba turant hi kahi chali gai thhi, Piyush ji konse kam thhe, dhundh nikala Saba ko, vo school ke topfloor ki sidiyo pe baitti apni usi laal dairy me kuch likh rahi thhi

" Happy B'day Saba " Piyush ne gift aage badhate hue kaha

Saba ne hairaan nigaho se use dekha

" Mera janm'din hai ye tumhe kaise pata? " Saba ne badi hairani se puchha

" tumne to party ke dar se bataya hi nahi, lekin madam hume pata chal hi gaya " Piyush ne nazre ghumate hue kaha

"Main apna b'day nahi manaati " ye kahake Saba utthke jaane lagi, lekin Piyush ne uska haath pakad ke use rok liya

" Gift to lelo " Piyush ne Saba se kaha

" Main gifts nahi leti " Saba ne bina dekhe kaha

" Is berukhi ki vajhaa ?, kuch chhupa rahi ho tum " Piyush ne eyebrows chadhaate hue puchha

"Nahi to main to bas aise hi, chhodo mujhe jana hai ECO ke nots banane hai " Saba ye kahake jaane lagi

" Palke band karke jhhoo.Ntth bola karo, ankho ko sacch bolne ki bimaari hoti hai " Piyush ne Saba ke chahare ko dekhte hue kaha

Piyush ki ye baat sunte hi uski aankhe chhalak pari, vo bahot hairaan thhi Piyush ki bahot se, aaj 2 saal baad kisine use itna gaur se dekha or samjha. Saba ansoo ponchhte hue waha se chali gai.

Ab Piyush ki bechaini aur badh gai thhi, aaj use yakeen ho chalaa thha ke jo usne socha thha vo sach nikla, vo janna chaahta thha is maasoom chehare ki khoobsurat hansi ke pichhe gum ka kaaran kya thha, filhaal ye mushkil thha, kyuki Saba usse bahot chidhi hui thhi pahale hi din se, sidhe muh baat tak nahi karti thhi use.

rest khatam ho gaya, school khatam hone tak Saba udaas thi, aaj pahali bar use udaas dekha Piyush ne isi liye vo bhi man na laga saka class me...School khatam hui, sab apne apne ghar chale gaye. Saba ghar jaate hi apne room me chali gai, or zor zor se rone lagi, bahot waqt baad sahil-e-ashq manzar-e-aam hue aaj.

To Be Continued

Grazie

Pooja
   
Old
  (#52)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
20th March 2008, 01:01 AM

Quote:
Originally Posted by kuhulika View Post
gud going
per happy ending yaad rakhna tum
Meri maar padegi....pakka

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#53)
yash chawla
Banned
yash chawla will become famous soon enoughyash chawla will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 2,267
Join Date: Jan 2008
Location: switzerland
Rep Power: 0
20th March 2008, 01:02 AM

piyus saba mai pyaar ho gaya aur sahil ka chiku ho gaya hai
part 4 ka intjaar hai .........jaldi karo
Quote:
Originally Posted by pooja_d View Post
Chapter 3

Ek or subha hui, suraj ki kirne aaj din me thhoda badlaav leke aai thhi.N...kal ki udaasi ke baad aaj Saba ke chahare pe fir se muskaan laut aai...isi ke saath usme kuch badlaav bhi thha...duniya ka suraj ugg chuka thha, lekin school ka suraj ugna baaki thha...vo waqt bhi aa gaya....

" Hi Piyush, how r u? "

bas Saba ka itna puchhna thha or class ka chonkna...sab use heraaniyat se dekh rahe thhe, Piyush bhi ek-tuk dekh rahaa thha Saba ko, Sapna thha ya haqeekat? soch raha thha shayad...
Or tabhi Sahil dodke Saba ki or aaya or uske maatthe pe haath lagay

"Bukhaar to nahi hai " badi hataasha se kaha

" Kya hai haa? kya main Piyush ka haal nahi jaan sakti kya ? " Saba ne sabko ghoorte hue puchha

" Bilkul puchh sakti ho, agar dimmag me koi shaitaani na ho to " Anjali zor se hanste hue boli...or sab hansne lage...Saba sab ko ghoor rahi thhi, tabhi Piyush khada hua

" Raham khudaaya, *sukoot-e-tufaa.N zoro pe hai "

ye sher Piyush ka Saba ke badle hue bartaav ke liye
{*sukoot-e-tufaan = Tranquility of storm, tufaan ki khamoshi}

"What ? " Piyush ki ye line sunke bas Saba ke muh se yahi nikla

"Nahi kuch nahi, well i m fine, thanks for asking..." Piyush ne badi hi pyaari nazar se dekhte hue javaab diya...

or itne me teacher aa gai..lesson shuru ho gaya... Aaj vo ho gaya jiske baare me Piyush ne socha nahi thha.... Aaj to dono ka hi man nahi lag raha thha apdhne me...jaise taise 3rd period nikal gaya or waqt ho gaya wahi masti, rest ka....rest hote hi Piyush or Sahil, Anjali ground pe chale gaye...Saara or Gaurav bhi aa gaye Sahil ne Subha ki Saba wali baat Saara or Gaurav ko bataai, dono hoob hanse...

" To mujhpe hansaa jaa rah hai " Saba ne muh banate hue puchha

" Are nahi yaar, hum tumpe kyu hansenge bhala, bas aaj tum itni badli badli lagi ke kisiko yakeen hi nahi hua, Kyu Piyush sahi kaha na? " Sahil ne Saba ko chidhaate hue Piyush ki or ishara kiya

"Kya Piyush ka haal puchhne pe ban laga hai " Saba bigadte hue Sahil se boli

" Are Saba chal yaar, ye sab to thhkte nahi mazaak udaate hue, chalo hum kahi aur chalte hain " Saara ne Saba ka haath pakadte hue kaha, unke saath Anjali bhi chali gai...
Gaurav ka Bio ka test thha to vo kuch der baad padhaai karne chal gaya. Ab Sahil or Piyush rahe gaye.

kuch der baad khamoshi tooti....
"Aaj waakkai me Saba bahot badli si nazar aa rahi hai, Aaj bahot shaant hai, kisiko tang nahi kiya, are tumne note kiya uske muh me chwing'gum bhi nahi hai" Piyush bahot hairaani se ye sab bol raha thha

" Chwing'gum? hahaha, shayad khatam ho gai hogi " Sahil zor se hanske bola

" I'm serious yaar, kya hua hai Saba ko achaanak " Piyush Ne kaha

" Saba ko kya hua hai ye to nahi jaanta, lekin tumhe kya hua hai iska andaaza hai mujhe" Sahil ne teerchhi nigaho se dekhte hue kaha

" What do u mean ?" Savaalo se bhari nazro ke saath Piyush ne puchha

" Ya, Chori chori Saba ko dekhna, Uske baare me har roz puchhna, Ye jaante hue bhi ke vo tumse baat karna pasand nahi karti fir bhi usse baat karne ki koshish, Koi uske liye gift nahi laya thha b'day wale din , lekin tum laaye...." Sahil Piyush ke chaaro or ghum' ghum kar bol raha thha ye sab

" Kahana kya chaahte ho vo kaho " Piyush ne Sahil ko pakadke ek jagha rokte hue puchha

" You are in love duffer " Sahil ne Piyush ko punch maarte hue kaha

" What? Love? joke maar rahe ho?" Piyush ne nazre ferte hue kaha

" Ab Yaar ye sab pyaar nahi to or kya hai..araam se baitthke sochna ke maine sahi kaha ya galat, ab tumhaara dost sirf kehane ke liye hi to nahi bana na? waise tum aksar Saba ke baare me sochte ho, hai na? " Sahil ek detectiv ki tarha baat kar raha thha...hahaha

"Ha sochta to hu lekin Mujhe pyaar ho gaya hai? kab? pyaar aisa hota hai? " Piyush ke maatthe pe salvate thhi is savaal ke saath

" Abe haa yaar aisa hi hota hai " Sahil zor se bola

Sach me Piyush ko pyaar ho gaya thha Saba se, vo har waqt yahi sochne laga '' mujhe pyaar kab hua, mujhe pyaar hai? " Bechaara, use kya maloom thha ke pyaar hota nahi ho jaata hai..hahaha....khair vo thhodi uljhan me thha , saaf nazar aa raha thha uske chahare pe...isi uljhan ke saath ajki school khatam hui...or chhutti ho gai...Chahare pe wahi uljhan liye vo ghar pahuncha...or room me chala gaya

" Piyush, beta khana khaa lo " Mammy ne awaaz lagaai

" Mammy bhookh nahi hai " Piyush ne room ke baahar aake javaab diya or wapas chala gaya

Aaj se pahale Piyush ne aisa nahi kiya, isi liye uski mammy usse kaaran janne room me chali gai.

" Piyush, kya hua, tu itna pareshaan kyu hai ? " Mammy ne sar pe haath ferte hue puchha

" Kuch nahi mammy, bas thhak gaya hu, sona chaahta hu " Piyush ne apna sar mammy
ki god me rakh diya

Uski mammy ne use thhik se sula diya or chaddar odhaa kar baahar aa gai...

Shaam ho gai thhi, Piyush ke papa bhi ghar aa gaye...Or fir raat ho gai dinner ka waqt ho chala thha...mammy ne Piyush ko khane ke liye awaaz lagi, Piyush khana khaake chupchaap room me chala gaya...warna roz to apne papa se bahot baate masti karta hai...papa Piyush ke room me gaye usse milne

"Andar aa sakta hu? " Papa ne gate pe knock karte hue puchha

"Papa !! aaiye na " Piyush ne bad se utthte hue kaha

" Yaar, main aaj tujhse bahot naraaz hu, tune aaj mujhse baat bhi nahi ki " Papa ne thhodi narazgi se kaha

" Nahi papa aisa kuch nahi hai, bas kuch soch raha thha isi liye " Piyush ne papa ke paas aake kaha

" Kya soch rahe ho? mujhe nahi bataoge, beta tum jaante ho main tumhe pareshaan nahi dekh sakta, batao kya baat hai " Papa ne Piyush ke kandhe pe haath rakhte hue kaha.

Piyush ne school ke pahale din se lekar ab tak ka saraa kissa papa ko suna diya...." Papa Sahil ne jo kaha vo sacch hai kya " Papa ke haath pe haath rakh ke puchha

" Hahahahaha, beta ye pyaar nahi atraction hai..tumne Saba ke baare me bataya usse to yahee lagta hai ke tum atract ho, jyada pareshaan na hovo, or padhaai pe dhyaan do " Papa ne Piyush ke sar pe haath ferte hue kaha

Piyush ne haa me sar hilaya, papa jaane lage tabhi achaanak bole...

"Lekin Piyush, Saba se uski udaasi ka kaaran janne ki koshish jaroor karna,jaha tak ho sake uski help karna " or papa chale gaye

Ye sunte hi achaanak Piyush kuch sochne laga......" Main to bhool hi gaya thha iske bare me, Mujhe ab Saba se janna hi hoga, akhir kya baat hai jo vo chhupati hai apni hansi ke pichhe..." Yahi sochte hue use nind aa gai, or raat guzar gai....

Piyush mauka dhundh raha thha Saba se apne savaal karne ka...lekin usse pahale use Saba se dosti karni thhi, ab to Saba bhi narmi se pesh aati thhi usse....use dosti ka prastaav rakh hi diya 1-2 din baad....Saba ne bhi badi khushi khush haath mila liya...Saba pahale ki hi tarha shaitaan or hansmookh rahati thhi, lekin Piyush ko kuch or hi nazar aata...aaj use mauka mil hi gaya...Computer ke teacher nahi aaye thhe...to class free thhi...sab masti kar rahe the, Piyush Saba ke paas gaya or kaha

"Saba mujhe tumse kuch baat karni hai "

"Ha bolo na " Gum ko chwing karte hue kaha

" chalo bahar sidhiyo pe baitthte hain " Piyush ne bahar ki or ishara karte hue kaha, or dono bahar aa gaye

"Pahale ye chwing'gum muh se nikalo " Piyush ne mooh banate hue kaha, Saba ne chwing'gum muh se nikal ke unguliyo ke bich daba di

"Fenko ise" haath jodte hue kaha.

"to aise bolo na" Saba ne chwing'gum fenkte hue kaha...." Ab kaho "

" Tum itna khush kyu rahati ho " Piyush ne tirchhi nazro se saval kiya

" kyu khush hone ke liye kaaran hona zaroori hai " Saba hanske boli

" Ha zaroori hai, jab koi bahot jyada khush hota tab. Achha ek baat bataao, main aqsar tumhe ek laal dairy me kuch likhte hue dekhta hu, or tum b'day wale din udaas kyu thhi, or kisine bhi tumhe b'day wish kyu nahi kiya ? "

Piyush ke itne saare savaal sunke Saba ki ankho me nami si aa gai...

" Mujhe mwaaf karna, agar had se jyada haq jataa diya ho dost pe " Piyush ne Nazre jhuka ke kaha

"Sach kahu to bahot achha laga aaj ye sab sunke...Bahot saal baad kisine aisa savaal kiya mujhse..or isi kaaran us din main ro pari thhi" Saba ne kahana shuru kiya

" 2 saal pahale meri zindagi ka sabse pyaara insaan mujhe chhodke chalaa gaya...Meri Maa...jisee dekhe bina subha nahi hoti thhi, or jiski god me sar rakhe bina nind nahi aati thhi, aaj uske bina jeena par rahaa hai...main apni Maa se bahot pyaar karti thhi, aaj bhi karti hu..2 saal pahale vo market se shopping karke apni car ki or jaa rahi thhi.N...tabhi roud crosse karte waqt kuch ladko ne signel tod diya or meri Maa ka accident ho gaya...kuch hi lamho baad hospitel me Maa mar gai...Maa ke jane ke baad main roti rahati thhi, khana pina chhod diya thha, ek din Maa se mili, sapne me, Maa ro rahi thhi...maine jab puchha kyu ro rahi ho to Maa boli ke beti royegi to Maa ke bhi ansoo hi niklenge na...us dinke baad se main kabhi nahi roi, main aapni Maa ko sapne me bhi dukhi nahi dekh sakti...isi liye har dam khush rahati hu, kyuki main jaanti hu meri Maa har pal mere saath hai, vo mujhe dekhti hain, mujhe khush dekhke vo bhi bahot khush hoti hain, or vo laal dairy...main usme roz apni Maa ko khat likhti hu, saari bate bataati hu, mere janm'din pe tumme mujhe koi apna nazar aaya, or isi liye maine tumse dosti bhi kar li "
Saba ki ankh nam zaroor thhi ye sab kahate hue, lekin ek bhi aansoo nahii gira aankho se...labo pe muskaan thhi, lekin Piyush zaroor rone laga thha...

" Or tumhare papa ? " Piyush ne ansoo ponchhte hue puchha

" Papa, hain, lekin nahi hain....Papa ne mujhe sambhaala hota to aaj shaayad Maa ki kami na mahasoos hoti...papa ko to apne kaam se hi fursat nahi, unhe kabhi waqt hi nahi mila ye jaanne ka ke main kaisi hu, lekin main khush, tum fikr na karo hahaha "....

Piyush Bas Saba ko dekhe jaa raha thha....itne me 3rd period ki bell baj gai...or achaanak Piyush ne puchha

" lekin tum apne janm'din pe kyu udaas thhi, halaanki tum us din ke siva roz khush nazar aai ho? " Piyush ne hairaani se puchha

" Meri Maa ki death 5 Sittambar ko hu thhi " Ye kahake vo class me chali gai...

or Piyush bas dekhta hi rahe gaya...vo jaan chuka thha ke 5 sittambr ko uski Maa ki maut hui thhi isi liye vo janm'din nahi manaati...or ye baat puri class jaanti thi, siva Piyush ke..isi liye kisine use wish nahi kiya thha...Saba ko pasand nahi uske janm'din pe koi use wish kare....ab to Piyush bhi sab jaan chuka thha....vo bhi class me aa gaya...Saba ka dukh jaanke vo bhi udaas sa ho gayaa thha, lekin Saba to bahot khush thhi us waqt bhii..use dekh kar Piyush bhi muskura uttha.....

Aaj Piyush ke savaalo ka javaab use mil chuka thha, thhoda sukoon sa mila use aaj...or ye sab usne ghar jaake papa ko bhi bataya...uske papa bhi thhode gambheer se ho gaye thhe...

" Beta, Saba ko dost kaha hai to uski dosti nibhana bhi, dost ki pahali or akhiri nishaani yahee hoti hai, bhale hi khushiyo me na shameel ho lekin gamo me ek saccha dost zaroor shirkat karta hai.." Piyush ke papa ne use bahot shaanti se ye kaha

" jee papa " ye kahake Piyush room me chala gaya apne, or padhaai me lag gaya....
Din se raat or raat se din ho gaya....

To Be Continued

Grazie

Pooja
   
Old
  (#54)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
20th March 2008, 01:02 AM

Quote:
Originally Posted by dhavalrami4you View Post
Gr8 goin..! Yuu.N hi liKHti raho.!

~ Dhaval
thanks dhaval

grazie

pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#55)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
20th March 2008, 01:04 AM

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post
yeh tum se kis ne kaha kii tumhaari id puuja ne block kii... kisii ki id koii member block nahii.n kar sakta.. yeh kaam mere mod/admin hi kar sakte hai.n agar tum isi tarah member ke saath pesh aaoge to tumhe dubaara ban kar diya jaayegaa.. phir chaahe tum 2 l lagaao ya 3 l..

ummeed hai aage kisii ko shiqaayat ka mauqa nahii.n milegaa...

Mayank
Thanks bhaai, aap sambhaal hi lijiye sab.....ab use kahiye ke vo aapko tang kare...kyuki aap hi sahe sakte hain, mujh jaisi masoom si bacchi nahi

grazie

pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#56)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
20th March 2008, 01:05 AM

Quote:
Originally Posted by mausam View Post
aapko nahin lagta aap kuch zyada bol rahe hain.....aisa chalti rahin aapki bakbak..to saare L khatam ho jayenge.......

agar aapko lagta hain kahani likhna asaan hain to aap bhi likheyena ...mister bolna bahut asaan hain karna mushkil........waise aapne kaunsi nayi baat ki..har kahanni main ladka ladki hota hi haiN......

chalo kahaani likhte hain 29.....next time aappe likhungi ek kahaani.....

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#57)
yash chawla
Banned
yash chawla will become famous soon enoughyash chawla will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 2,267
Join Date: Jan 2008
Location: switzerland
Rep Power: 0
20th March 2008, 01:06 AM

piyus aur saba mai pyaar ho gaya sahil ka chiku ho gaya hai
part4 ka intjaar hai
   
Old
  (#58)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
20th March 2008, 01:06 AM

Quote:
Originally Posted by kuhulika View Post
mujhe mazaa araha hai isko padhne mein
bas end ka khayal rakhna tum

taek caer
Thanks for all yaar.....jaisa ki pahale kaha.....maar paregi meri sacchi me

grazie

pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#59)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
20th March 2008, 01:08 AM

Quote:
Originally Posted by LAMHA View Post
its going gr8.....keep posting.....bahut mazaa aa raha hai is story ko padhne me.....
thanks.....kal ka intezaar kijiye....naya bhaag kal haazir hoga

grazie

pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#60)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
20th March 2008, 01:09 AM

Quote:
Originally Posted by yash chawla View Post
piyus aur saba mai pyaar ho gaya sahil ka chiku ho gaya hai
part4 ka intjaar hai
jee nahiii......kisika chiku nahi hoga....or ye part 4 hi to thha.....yun kahiye 5th part ka intezaar hai...........

grazie

pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#61)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
20th March 2008, 01:11 AM

Main sabhi ka bahot bahot shukriya karti hu, mujhe to pataa hi nahi thha ke itna achha rasponz milenga....sacch me bahot khushi ho rahi hai....bas iltajaa hai ke aage bhi saath dete rahiyega..

grazie

pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#62)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
20th March 2008, 07:51 AM

Quote:
Originally Posted by pooja_d View Post

chalo kahaani likhte hain 29.....next time aappe likhungi ek kahaani.....

achaaa to kya title degi uska 29 aur..................

dekh agar tu usko hero legi aur naam meri pasand ka to done warna mujhpar juthi kahannii likhne ke ilzaam main tujhe andar karva dungi...........ek kaam tune accha kiya 4th part main jyada likha .........

grazie...
mausam

Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
   
Old
  (#63)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
20th March 2008, 07:56 AM

Quote:
Originally Posted by sahilll.down View Post
Lo jab main kuch kehta bhi nahi hin tab bhi mere baare main aise aise baate post kar di jaati hain......
Ab ek aur naya mod aa gaya hai....vo pata nai kya karega??????
ab dekhta hun kya nujhe fir se new Id banani hogi ??
haaaaaaaaaaaachaa bina kehke aapke saath aisa hota hain lagta hain SDC ka bhoot apke piche lag gaya haiN

koi naya mod nahin hain..lamha bhi aam member hi haiN....aap bina wajeh tikka tippani kyun karte rehte hain ki sab aapse kuch keh jaaye..........story enjoy kariye na nahak main ulat sulat batein karke apna waqt barbad karte hain...aur mayankji ko pareshan.....aisa chalta raha to saare L khatam aur aap down ki jagah out ho jajenge

Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
   
Old
  (#64)
$@#!L
Registered User
$@#!L is on a distinguished road
 
$@#!L's Avatar
 
Offline
Posts: 19
Join Date: Mar 2008
Rep Power: 0
Thumbs up 20th March 2008, 10:30 AM

Hi………
Pooja ji ,, main thik hu aaap sunaiye aap kaise ho ????
Sorry main kal apko reply nahi kr paya
Apki kahani wakeyi me bahut achi hai
Main apke ehsaaso ki kadar karta hu
Ye ehsaas hi hote hai jo ek dusre ko jord k rakhte hai
Chahe wo kitne bhi duuur kyu na chale jaye
Pr ek request hai k aage se kabhi bhi apni kahani me kisi uske mummi papa se etna duuuuur mt krna plzzzz

Or haan apki kahani pardne k chakkar me meri rose subhe apne boos se class lag jati hai
Pr tention nahi lene ka ,,, apun bhi ek kaan se sunata hai our dusre se bahar

Pooja ji plz piyush ko jaldi milwa dena saba se

ye judai sahi nahi jati {$}

Best of Luck

sahil

Quote:
Originally Posted by pooja_d View Post
Chapter 4

Aaj Piyush jaldi utth gaya tha, ya yun kahe ki use nind hi nahi aai...bade araam se school ke liye taiya hua..bahot khush nazar aa rahaa thha aaj vo...chaliye ji 7.00 ho gaya...school jane ka time...nikal diye janaab school ki or...Piyush upar jaa raha thha class ki or tabhi....

"Are kaha jaa rahe ho? " Saba ne pichhe se awaaz di

"Class me or kaha " Piyush ne mudhke javaab diya

"Are tumhe nahi pata? aaj se humari class, room no. 41 me shift ho gai hai..." Saba ne apna bag sambhaalte hue kaha

"Achha, mujhe to pata hi nahi....ok chalo chalte hain" Piyush ne sidhiya utarte hue kaha

"Nahi, main to late hi aaungi humesha ki tarha...apna record nahi todna mujhe..tum jao.."Saba ne bahaana bana diya

Piyush Saba ki baat maanke chala gaya room no. 41......jo ki school ke topfloor pe sabse last me thha...or school itni badi ke pahonchte pahonchte pair thhak gaye....uff bechara bura fasaa...hahhaha

Class shuru ho gai, lekin ye kya, class me Saba ke siva koi nahi thha...

20 min baad....

"May we come in sir?" Piyush or uske saath poori class ke students ne saans bharte hue puchha

"Tum log itna late kaise ? "Sir ne gusse se savaal kiya

" Kuch nahi sir,hume batayaa gaya thha ke humara class room kahi or shift kardiya gaya hai " Piyush ne Saba ki or ghoorte hue javaab diya Or Saba hans rahi thhi...

Dar'asal ye Saba ka Mazaak thha usne sabko yahee kaha ke class room shift ho gaya hai. iska pata tab chala jab sab room no. 41 me thhe or 15 min tak teacher nahi aaye or na hi Saba....sabne bataya ke sabko Saba ne hi room change hone ki khabar di...Sab samajh gaye thhe...or 20 min baad class me aaye..teacher ne Saba ko daant lagaai...lekin kya faida...Saba to bahot hansi us din..chalo fir bhi usne sabse sorry maang li, sab jaante thhe Saba ko, sabne use maaf kar diya...bas aise hi hansi mazaak me december aa gaya or saath hi half yearly exams bhi...18 dec. ko exams khatam hue...sabke exam bahot achhe hue...23rd dec. se sardiyo ki chhuttiya bhi aane waali thhi....

" Hey, tumhe pata hai main Sydney jaa rahi hu, apne Mama ke paas " Saba ne class me enter hote hi khushi se sabko ye baat bataai

"Kya sacch me tum Sydney jaa rahi ho? " Piyush ne Jhhat se Saba se puchha

"Haa, mere papa mujhe wahaa bhej rahe hain..."Saba ne Piyush ke paas aake khushi se kaha

"Kab jaa rahi ho, or waapas kab aaogi ?" Piyush ne saval kiya

" Isi 24 tarikh ko, or waapas shaayad naa aau, aaungi to bhi shaayad bahot saal baad "

" Ye kya kahe rahi ho, mazaak mat karo please " Piyush ne pareshan hoke kaha

" Nahi sacchi me, mere papa chaahte hain ke main wahi rahu Mama ke paas..kaaran kya hai ye to nahi pata..." Saba ne safaai dete hue kaha

Piyush se ye bardaasht nahi hua...usne socha hi nahi thha ke Saba kabhi usse door jaa sakti hai...lessons ke time vo udaas raha, bas sochta raha...lekin Saba to khush thhi. Sahil sab samajh raha thha...lekin vo kuch na bola, be'bas thha vo to....Aaj ek baar fir Piyush ke chehare pe udaasi chha gai...Ghar pe bhi kisise baat nahi ki, puchhne pe bataaya bhi nahi kisiko...har waqt udaas rahata thha...

22 December :

School me akhiri din iss saal ka or Saba ka bhi...''Saba mujhse door jaa rahi hai humesha ke liye'', ye soch soch kar Piyush paagal hue jaa raha thha, bilkul man nahi lag raha thha uska...rest ka waqt ho gaya thha...Saba sabse milne ground pe aa gai, Sahil , Piyush or Anjali ke saath...Sab baate kar rahe thhe, hansi mazaak kar rahe thhe...

" Well, Main parso jaa rahi hu, tumsab ko bahot miss karungi..." Saba ne Bahot vinamrta ke saath kaha

Piyush udaas thha or waha se utth kar door chalaa gaya...Saba bhi chali aai usse kaaran jaanne...Sahil ne theek na samjha is waqt dono ke paas jana or unhe akela chhod diya...

"Piyush, kya hua, tum bahot udaas nazar aate ho aajkal " Saba ne Piyush ko dekhte hue kaha

" Nahi kuch nahi, sar me dard hai isi liye " Piyush ne nazre churate hue javaab diya

" Palke band karke jhhoo.Ntth bola karo, ankho ko sacch bolne ki bimaari hoti hai, tumhi ne sikhaya tha na ye " usne muskurate hue kaha

'' Aaj mera aakhiri din hai......" Saba ke itna kahate hi Piyush ne uske honto pe apni hatthheli rakh di....

" Fir kabhi aisa mat kahana...khuda na kare kabhi tumhara aakhiri din aaye " Saba ki ankho me dekhte hue kaha

"Main school me aakhiri din ki baat kar rahi hu " Saba ne dhire se haath hataate hue kha

" Tum jaa rahi ho na, achha nahi lag raha. Main tumhe bahot miss karunga " Piyush ne Saba ko dekhte hue javab diya

"Miss to main bhi bahot karungi tum sab ko, hey thhodi der rooke main abhi aati hu, wait ok..." ye kahake Saba dodti hui class room ki or chali gai...or itne me Sahil aa gaya Piyush ke paas aaya...

"Yaar main samajh sakta hu jo tu mehsoos kar raha hai vo, tu use bol kyu nahi deta ke tu usse pyaar karta hai " Sahil ne samjhaate hue kaha

" Nahi yaar, main use pareshaan nahi karna chaahta " Piyush ne muh ferte hue kaha

" Isme pareshani kaisi, balki achha hoga ye to " Sahil ne kaha

" Nahi, agar main kahe bhi du to vo yaha ruk nahi jayegi, vo waha judaai me tadpegi or main yahaa. Pyaar me marne ke liye main hi kaafi hu, main use dukhi nahi kar sakta pyaar ka izhaar karke, or ho sakta hai ke vo mujhse pyaar nahi karti " Piyush ne kaha
Saba aa gai itne me, haath me ek camera bhi thha...

"chalo photos khinchte hain, main ye Sydney le jaungi, isi bahaane tum sab ki yaad mere saath hogi...comeon " Saba dono ka haath khinchte hue group me le gai, or sabne bahot pic's capcher ki...Bas aajka hi din thha unke paas...chhutti me sabne Saba ko best of luck kaha or use vidaa kiya...

" Apna khayaal rakhna Saba " Gaurav ne haath milate hue kaha

Saba ne sabse haath milaya...

" Mujhe bhool to nahi jaaogi na " Piyush ne puchha

" Oye, tumhe bhoongi ? naah...tumse hi to sabse jyadaa ladi hu or dosti bhi tumse hi sabse jyada ki hai...i'll miss u " Saba ne kaha

" Tum Sanganer airport se hi jaogi na? Main tumhe milne aai waha? " Piyush ne puchha

" Nahi Piyush, Flight raat ko 3 baje ki hai, tum tang hojaoge, rahane do...time ho gaya main chalti hu " Or Saba sab ko bye kahate hue chali gai...

''Ehsaas-e-dil aa.Nkho.N me.N poSheedaa raHe Gaye
diKhaana bhee chaaHaa, par wo alweeda kaHe Gaye ''

24 tarikh bhi aa gai or Saba Sydney chali gai...Ab Piyush ka hansne tak ka man nahi karta thha, bas din raat Saba ke hi bare me sochta thha....Mano udaasi ne ushi ko apna ghar banaa liya ho.... ghar me bhi kisiko is baare me nahi batayaa...school jaata, waha bhi kisise jyada baat nahi karta...10-15 din baad to school jana bhi band kar diya...3 din ho gaye the Piyush school nahi aaya...Sahil ko fikr hone lagi...to shaam ko usne Piyush ke ghar jaane ka man banaa liya...Piyush Jaipur ke Surya nagar me rahata tha, or Sahil Maansarovar area me...

Sahil Piyush ke ghar pahoncha...." Anty Piyush hai ghar me ? " Sahil ne Piyush ki Maa se puchha

" Haa hai to, lekin vo bahot udaas rahata hai aajkal, naa jaane kya ho gayaa hai...na kisise baat karta hai, ab to school bhi nahi jaa raha ye kahake ke tabiyat kharaab hai...." Maa ne bahot pareshaani se Sahil ko batayaa

" Main dekhta hu anty "
Ye kahake Sahil Piyush ke room me chala gaya...itne me Piyush ke papa bhi aa gaye...

" Yaar tu karna kya chaahta hai ye bataa de ?, Kisike chale jaane se koi jeena chhod deta hai....or tu , Saba kya gai sabkuch bhool gaya...Saba ko jaana thha vo chali gai, tu kyu khood ko takleef de raha hai...aise to tu bimaar kar lega khud ko..." Sahil ne lecturer type se Piyush se kaha....

" Saba!!, kaha gai vo? kya hua use?" Piyush ke papa gate pe khade sab sun rahe thhe or unhone room me enter hote hue puchha

" Uncle vo Sydney chali gai hai...or ye....." Sahil ne Piyush ke papa ko bataya

Piyush ki aankho me aansoo thhe, vo chup'chaap sab sun raha thha, lekin kuch bola hi nahi.....Piyush ke papa uske paas aaye, uske kandhe pe haath rakha...kuch kahana shuru karte usse pahale Piyush gale lag ke ro paraa...

" Papa vo attraction nahi thha, main usse sacch me pyaar karta hu, uske bina nahi rahe sakta...papa main usse pyaar karta hu, use waapas bula dijiye, main mar jaaunga..." Piyush ek 5 saal ke bacche ki tarha rone laga...Sahil or uske Papa use samajh rahe thhe...

" Aayegi, vo waapas zaroor aayegi, tera pyaar saccha hai, vo tujhe zaroor milegi...lekin is tarha waqt se haar jaoge, to aage nahi badh paoge, vo jabtak laut ke aaye, khud ko uske qabil banaao...zindagi ke ye haadse himmat haarne ke liye nahi, balki aage badhne ka honslaa dene ke liye hote hain..." Piyush ke papa ne use samjhaya...

Piyush ko sahaara or ummid mil gai thhi, isi ummid ke saahare vo aage badhne laga...aage sirf use Saba nazar aati, isi liye usne pichhe mudh ke nahi dekha...
Piyush ki udaasi puri tarha gai hi nahi kabhi, Sahil or Saara apni stupid harkato se use khush karne ki koshish karte rahate....Waqt beetne laga...jan. se apral aa gaya...Sahil, Piyush or Saara ki dosti gehari hoti gai....isi doraan exams bhi aa gaye...Sahil ke exams thhode bekar hue...jab jab vo paper deke baahar aata thha Saara uspe bahot hansti or puchhti ke aaj kya request likhi hai paper me......hahahah

"Piyush tumhe pata hai 8th class ke exams me time table change hue thhe humare to ye histry ke exam wale din hindi yaad karaaya or ans.sheet me essay likhke kaha ki plz plz ispe marks dedena .......hahahah pagal ladka..." Saara ne Sahil ko chidhaate hue kaha...

" Haa bahot puraani bat pe abtak hansti ho stupid....." Sahil ne khudke bachav me kaha...teeno hansne lage

June me result aa gaya...Piyush ne class top ki...Saara ke bhi bahot achhi % bani...Gaurav ne science me 91.76% banaai jo bahot hi achhi thhi, Anjali ke 78 % bani...

" Congrats yaar Piyush..." Sahil ne Piyush ko phone kiya

" Thanks, yaar tumhare 3nd division bani..." Piyush ne thhodi narmi se kaha

" Are shukr hai pass ho gaya...warna ghar wale baahar nikaal dete.....hahahaha..." Sahil ko koi fark nahi para, bas pass ho gaya..kafi thha...

June ka mahina thha, chhuttiya khatm hone me 20 din baaki thhe, Piyush ke papa ne usse kaha ke Kahi ghumne janaa chaahte ho to jaa sakte ho, saath me Sahil ko bhi le jaao, lekin Piyush thha ke uska man nahi karta thha kuch karne ko, so usne manaa kar diya...ghar me hi raha..kabhi kabhi Sahil se milne chala jaata ya kabhi Sahil aa jaata..isi tarha ye din bhi nikal gaye...or July aa gai...school shuru ho gai...fir wahi pahala din school ka....or dosto se milne ka....

12th me aa gaye thhe Piyush or uske sabhi saathi....is saal board exam thhe, to mehanat jyada karni thhi, Piyush apne jyada'tar dhyaan padhaai me hi deta...Or apni sangat se usne Sahil ko bhi mehanat karna sikha diya...hmmm....well taiyaari zoro pe thhee...jab kabhi free period aata Class masti karne ke bajaaye padhaai karti...koi shaitaani karne waala raha hi nahi thha ab class me...khair din beet'te gaye....or darr badhta gaya, jane kaisa paper hoga, time table achha hoga ya nahi....sab pareshaan thhe...dhire dhire exam ki date paas aa gai...Apral me exam shuru ho gaye...is baar kai students ka senter bahot door door or alag alag schools me aaya thha...Piyush ka senter Maheshvari school me aaya thha, Anjali or Sahil ka Rajvansh me, Saara ka Gandhi nagar girls school me or Gaurav ka K.V.1 me...or saari schools ek dusre se bahot door thhi, isi liye sab apne apne paper ka haal phone par hi batate....poore ek mahine baad sabke exam khatam ho gaye...taajjub ki baat thhi Sahil ke sabhi paper achhe hue...hmm Piyush ki sangat ka asar thha..hahaha...or isi ke saath chhuttiya aa gai...sab chhutti manane chale gaye..koi gaa.Nv gaya to koi kahi ghoome to koi kahi or gaya...lekin June aate aate sab waapas laut aaye..are bhaai june me 12th ka result jo aata hai...or vo din bhi aa gaya jab result aana tha.....

To Be Continued

{Maine is kahaani ko bahot jaldi aage badhaa diya is bhaag me, sacch kahu to Saba ke bina masti sujhi hi nahi jo is bhaag me likh paati... result kal bataungi...}

Grazie

Pooja

JANE LAGE JAB VO CHORD KAR DAMAN MERA,,
TUTE DIL NE HIMAKAT KARDI,,
SOCHA THA KI CHUPA LENGE GAMM APNa ,,,
PAR KAMBAKHT ANKHON NE BGAWAT KARDI............{$}
   
Old
  (#65)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
20th March 2008, 10:06 PM

...............

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Old
  (#66)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
20th March 2008, 10:29 PM

Chapter 5th

" Mera naam, naam naam naam.....ye yahooooo main pass ho gaya, main pass ho gaya " Sahil apne naam dekhte hi uchhal padaa

Sahil 1st division se pass hua, Piyush ke 86% bani...Saara ke 80% bani...Gaurav ke poore rajasthan ranker list me 5th no. thha or usne school bhi top ki...gaurav bahot khush thha, sabne use mubaarak'baad di...Anjali ke bhi bahot achhe marks aaye...Sab bahot khush the...chalo to party kar le.N....chaliye kar hi lete hain...

" Yaar Gaurav, tumne school top ki, ab party dedo shaanti se..bolo, doge ya nahi" Saara ne Gaurav se kaha

" Hmmmm, ok...party karte hain...ghar pe kare, yaa kahi or " Gaurav ne haami bharte hue kaha

" Yaar party to wahi hai jisme apne shaamil ho, or apne ghar me milte hain...to ghar me hi lenge hum to party...kyu friends? " Sahil ne apni raye di

" Sahi kaha, to kab aaye hum ? " Piyush ne fat se kaha

" Are bhaai, ghar to jaane do, mamma papa se baat karne do, din decide karne do, fir bataaunga..." Gaurav ne kaha

" Chalo fir milte hain,tum bataa hi dena, bhoolna nahi party ke liye...ok " Anjali ne kaha

Or Bas sab thhoda hansi mazaak karke apne apne ghar chale gaye...Sabke parents bahot khush thhe ke unke bacche apchhe marks se pass hue...Gaurav ne bhi party ka din decide kar liya....26th june ka din thaa party ke liye....Gaurav ne apne sabhi friends ko unki family ke saath invite kiya...party time 7.00 pm thha...

" Hi Gaurav, meet my parents, and he is Gaurav " Piyush ne apne parents ka intro karaya..or Piyush ke mamma papa ne Gaurav ko wish kiya

" Thanku vary much uncle, thanks aunty..aiye naa, apko main apne papa mammy se milata hu..." Gaurav ne unhe apne mamma papa se milaya..or fir wapas Piyush ke saath aa gaya friends ke paas...

sab pahonch gaye thhe...siva Saara ke...hmmm

" Vo dekho, madam ji aa rahi hain..." Anjali ne Saara ko aate dekha or ishaara karte hue sabse kaha

" Bahot jaldi aa gai tum, thhoda late aati to, tabtak tumhare liye bartan taiyaar ho jaate saaf karne ke liye...." Sahil Saara ko chidhaate hue zor se hansaa, saath hi sab hans pare...lekin Saara ka muh laal ho gaya...

" Ok, jaati hu, baad me hi aaungi ab to.." Saara chidhte hue boli

" Are naraaz kyu hoti ho...mazaak thha yaar, comeon, paani piyo or gussa shaant kakro..." Sahil ne hanste hue use manaya..sabne bahot enjoy kiya

Tabhi Gaurav ke papa ne ek announcement kiya...Pata chala ke Gaurav U.S. jaa raha hai...usne ye baat chhupaai thhi kyuki sabko surpriz dena chaahta thha...

actually School top ki thi usne to use U.S. ki scholarship di mili school ki or se, or bas vo madical ki study ke liya 2 week baad U.S. jaa raha thha...sab ye sunke thhoda udaas hue ki vo bhi sabse door jaa raha hai...lekin uski khushi me sab khush bhi hue...or use best of luck kaha..

party ho gai..chalo chalo ghar chalte hain..sabko ghar bhej hi deti hu ab.....hahaha
raat ko 10.30 ke aaspaas party khatm hui.sabne Gaurav ko ek baar fir se mubaarakbaad di..or sab apne apne ghar aa gaye...party bahot achhi rahi...kamaal ki baat hai..4 din baad sabke masti ke din aane waale thhe....bole to collage ke din...wow..sounds great...well Gaurav to U.S. jaa raha thha...kuch hi din baaki thhe...Anjali ki sagaai taye ho gai thhi, or fir 1 saal baad shaadi bhi..isi liye usne padhaai chhod di...

Bache Saara, Sahil or Piyush...teeno ne Jaipur ki ek bahot hi achhi Collage '' Subodh Collage " Me admission leliya...

Piyush bahot khush thha ke vo clloage jayega, masti karega...collage ki zindagi hoti hi aisi hai...hai na...well collage ke pahale din subha 7.15 baje Sahil Piyush ko pick up karne aa gaya, dono ne pahale din saath janaa taye kiya...or Saara apne bhaai ke saath aane waali thi collage...

Dono collage pahonch gaye, or collage me entry mari...yaap

" Yaar mujhe darr lag raha hai, seniors fresher ki raging lete hain...humari bhi hogi kya " Piyush ne Sahil se kaha

" Abe darr mat, main hu na...kuch nahi hoga, chupchaap nikal jayenge kisiko pata tak nahi chalega.." Sahil ne badi himmat se kaha

" Hey you two...." Pichhe se awaaz aai

" Abe nikal le, nikal, nikal..." Sahil bola jaldi jaldi....itne me pichhe se kisine unko kandho se pakad liya

"Shit, Gaye hum to " Sahil bola

" Bhaai saahab, kya chaahiye " Sahil ne mudhkar us ladke se puchha

" Raging " jo ladka khada thha, bada smart sa....usne kaha

" Sale ab bol, bada hero ban raha thha na...." Piyush ne Sahil ko ghurte hue dhire se kaha

" Kahaa deni hai raging bhaai " Sahil Darra hua sa bola

"Chal udhar line me " Us ladke ne kaha

" Naam ? " Ladke ne puchha

Pahala no. Piyush ka aaya...

" PPPPiyush yadav..." Piyush ne haklaate hue kaha

" Abe ye to meri biraadri ka nikalaa...main Akhil yadav tu Piyush yadav, chal yaar chhoda tujhe tu bhi kya yaad rakhega..kis dildaar yadav se paala para..." Akhil ne apne sathiyo ki or ishara karte hue Piyush se kaha

" Thanku bhaai " Piyush side me aa gaya

next no. apne Sahil ji kaa aya..hero Sahil hahaahah

"Are bhaai, main apki biradri ka ye meri biradri ka..ise bhi chhod'do na please yaar first and last baat maan lo " Piyush ne Akhil se request karte hue kaha

" Achha, chal ek ke saath ek free...Vijya chhod yaar ise..." Akhil ne Apne frd ko Sahil ki raging na lene ko kaha..Sahil or Piyush to bach gaye...Akhil unse baat karne laga...chalte chalte teeno baat kar rahe thhe

" Or batao, kya padhaai kar rahe ho, kaha rahate ho tum dono? " Akhil ne puchha

" Hum comarz ke student hain, Main Mansarowar me or ye Surya nagar me rahata hai " Sahil ne bataya

" Surya nagar..udhar to main bhi rahata hu, surya nagar ke thhoda aage chalo udya hostal ayegi bas mera ghar hai udhar..." Akhil bahot jaldi open ho gaya dono ke saath usne apna adress bata diya

" Chhota sa makaan bada tower.." Akhil bola

" Kya? " Piyush ko samajh nahi aaya

" Are mere makaan ki pahechaan bata raha hu " Akhil zorr se hanske bola...

" Chalo dost, kabhi koi problem ho to mujhe batana...har dam hazir rahunga..." Akhil ne dostana andaaz me kaha, Piyush or Sahil ne Akhil ko thanku kaha or vo dono class ki or chale gaye

" Bach gaye yaar...Sacchi me tu yadav nahi hota to aaj mast raging ho jaati..." Sahil Saans bharte hue bola..

chaliye school ke ek senior se unki dosti ho gai...class bhi shuru ho gai...or fir free bhi ho gaye dono jaldi hi...

" Yaar Saara collage aai bhi hai ke nahi..dikhaai nahi de rahi..." Sahil ne puchha

" Uski class chal rahi hogi...chal canteen me chalte hain..." Piyush ne kaha

dono canteen ki or badh rahe thhe tabhi ek corner me Saara nazar aai, vo ro rahi thhi...dono dodte hue uske paas pahunche

" Saara kya hua tum ro kyu rahi ho..." Sahil ne puchha

" Kuch nahi, aise hi " Saara ne ansoo ponchhte hue kaha

" Wow, aise hi, naya trend lagta hai bina kaaran rone ka...ab jaldi se batao baat kya hai..." Piyush ne kaha

" Aaj jab bhaiya mujhe collage chhodke gaye tab main andar aa rahi thhi, kuch ladko ne mujhe rok kar puchha ke main frasher hu ya nahi, maine kaha ha nai hu..fir unlogo ne meri raging ke liye kaha...to ek ladka bola ke samne jo professor aa rahe hain unke gaal pe chaanta maarke aao...maine mana kiya to ek or ladka bola ke ya to chaanta marke aao prof. ke ya unko red rose deke aao...main kya karti majboor thhi rose leke chali gai, lekin maine prof. ko un ladko ke bare me bata diya, prof. ne ladko ki daant lagaai, lekin prof. ke jaane ke baad un ladko ne kaha ke raging meri jaroor lenge...." Saara ne rote rote kaha

Piyush or Sahil ko laga shaayad Akhil ya uske group me se kisine ye kiya hoga...to vo dono Akhil ke paas pahonch gaye Saara ke saath...Saara ne mana kiya ke ye vo ladke nahi hai...unhone sabkuch Akhil ko bata diya...Akhil ko malom thha vo ladke kon ho sakte hain...2nd year ke boys...jab Saara ne haa kaha ke ye wahi hai...2nd year ke bacche thhe, or Akhil 3rd year ke...to bechaare apne senior se panga nahi le sakte thhe....or sabne Saara ko sorry bol diya or chale gaye...

" Thanks" Saara ne Akhil se kaha

" Yaa ya its ok, waise hota hai collage ke first day sabke saath hota hai..apna khayal rakhna.." ye kahake vo chalaa gaya

Bas aise hi hansi mazaak me aajka pahala din nikal gaya...collage life kaisi hoti hai teeno ko pata chalne laga thha...

Next day:

Saara class me beitthi thhi tabhi..

" Hi " ek ladke ne Saara se kaha

" Hi " Saara ne javaab diya

" Nai ho "

" Haa "

" Main bhi, mera naam Rahul hai, or tum " Rahul ne kaha

" Main Saara "

or dono baate karne lage.dono ek hi class me thhe..chalo dono pahali mulakaat me friend ban gaye thhe...free thhe to canteen me chale gaye..kuch der baad Sahil or Piyush bhi aa gaye...

" Saara, who is he " Piyush ne puchha

" Ye mera class mate Rahul hai, or rahul ye Mere bahot achhe dost hain Piyush or Sahil, school se saath hai hum " Saara ne sabka intro. karaya

"Mujhe kuch books leni hai, main library jaa raha hu" Sahil thhoda chidhta hua chala gaya, jaise use kuch bura laga...Piyush Saara or Rahul ke paas beitth gaya or teeno baate karne lage....1/2 ghante baad Class lagne wali thhi teeno ki to vo apne apne class room me chale gaye..

" Hi, Le aaya books...kaha hai..." Piyush ne Sahil se puchha

"Nahi, mood change ho gaya thha " Sahil ne be'rukhi se javaab diya

" Achha, fir waapas kyu nahi aaya " Piyush ne puchha

" Zaroori thha kya " Sahil gusse me bola...or fir professor aa gaye..class shuru ho gai, ab agle 2 ghante dono buzy thhe...or 2 ghante baad ghar jaana thha.....kyu.....are yaar collage day jo khatam hona thha.....

Kuch din baad:

Saara, Sahil or Piyush Teeno collage ki canteen me beitthe gappe maar rahe thhe...

'' Hi guys..how r u all " Rahul aaya

" Hi, we all r fine.." Piyush ne kaha

" Great, Saara mujhe kuch notes banaane me help karogi please, mujhe ye politics bilkul samajh nahi aati.." Rahul ne apni samasya Saara ko bataai

" Haa kyu nahi, chalo " Saara ne haa kaha, or dono chale gaye...

" Vo chale gaye, ab kise ghoor raha hai " Piyush ne Sahil se kaha, itna kahate hi Sahil ne Piyush ko ghoorna shuru kar diya

" Bhaai tu udhar hi ghoorta hua achha lag raha thha, mujhe mat ghoor dar lagta hai....kya hua bataa na gussa kyu hai " Piyush ne puchha

" Tujhe nahi lagta aajkal Saara or Rahul ki dosti kuch jyada ho gai hai " Sahil ne kaha

" Oh samjha, to tu kyu jal raha hai..." Piyush ne kaha

" Main kyu jalu " Sahil ne nazre ghumate hue kaha

" Chal utth class ka time ho gaya.." Piyush ne apna bag utthate hue kaha, or dono chale gaye...

Sacch me Saara or Rahul achhe dost ban gaye thhe, ye baat Sahil ko pasand nahi thhi...

1 hafte baad class se free hone ke baad:

" Mujhe bahot bhookh lagi hai, chal canteen me " Piyush ne kaha

" Nahi ruk, Saara ki class khatam hone waali sab saath chalte hain..." Sahil ne ghadi dekhte hue kaha..or kuch hi der me Saara aa gai...Saara Rahul ke saath thhi fir se...

" Comeon Saara canteen chalte hain '' Sahil ne kaha

'' Nahi Mujhe Rahul ki help karni hai politics me..tum jao " ye kahake Saara or Rahul chale gaye...lekin Sahil ko bahot gussa aa raha thha, Piyush Sahil ko canteen le gaya...
Sahil bahot disturb thha, gussa uske chahare se saaf chhalak raha thha, vo bilkul chup thha

" Yaar tu Saara or Rahul ko ek saath dekhke gussa kyu ho jaata hai..." Ek to Sahil gusse me thha dusra Piyush ka ye savaal

" I love her damit..than how can i see her with another boy.." Sahil zor se gusse me bola or waha se chalaa gaya...

To Be Continoud

Grazie

pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa

Last edited by pooja_d; 20th March 2008 at 11:08 PM..
   
Old
  (#67)
kuhulika
Registered User
kuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant future
 
kuhulika's Avatar
 
Offline
Posts: 2,269
Join Date: Jul 2005
Location: New Delhi.(India)
Rep Power: 37
20th March 2008, 11:10 PM

waah lagta hai abh LOV triangle banne wala hai
yaar saddy saddy ma kariyo bas

taek caer

SHWETA

jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai

uth jati hai kalam likhne ko
wo pyar deewana hota hai

kar deti hai haal-e-dil bayaan
wo kalaam shayraana hota hai

jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
duniya mein kitna gam hai
apna gam phir bhi kam hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
   
Old
  (#68)
dineshdharvi
ek dost
dineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud ofdineshdharvi has much to be proud of
 
dineshdharvi's Avatar
 
Offline
Posts: 5,566
Join Date: Nov 2007
Location: gujarat (india)
Rep Power: 34
21st March 2008, 12:28 AM

di mene apke 4 th part aur 5th part sath me pedhe hai kyu ki me 4th part nahi padh paya tha work tha isi liye aur di ab to ye kahi sayad kuch alag hi rang layegi kyu ki saba chali aur aur piyush akela reh gaya aur ab sahil sara se pyar karne laga hai aur sara rahul ki achi dost ban gayi hai sayad end me acha hoga kuch per dil kahi april mahine me to end nahi karoge na aap kyu ki agar april mahine me end huva to hum sab april ful ban jaayega di isi mahine end karna pls........................................di

AankheN khuleeN to jaag uTheeN hasrateN tamaam
Uss ko bhi kho diyaa jissay paya thaa khwaab mein
   
Old
  (#69)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
21st March 2008, 12:41 AM

Quote:
Originally Posted by mausam View Post
achaaa to kya title degi uska 29 aur..................

dekh agar tu usko hero legi aur naam meri pasand ka to done warna mujhpar juthi kahannii likhne ke ilzaam main tujhe andar karva dungi...........ek kaam tune accha kiya 4th part main jyada likha .........

grazie...
mausam
Kahaani 29 Mausam suran woman ke chirkut banne ki

ye title hoga....hahahaa.....or aapki maang poori kardi maine, Rahul aa gaya, saath me Akhil bhi.....dono ka roall chhota hai lekin hai mast...so enjoy reading this story

grazie

pppppooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#70)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
21st March 2008, 12:46 AM

Quote:
Originally Posted by $@#!L View Post
Hi………
Pooja ji ,, main thik hu aaap sunaiye aap kaise ho ????
Sorry main kal apko reply nahi kr paya
Apki kahani wakeyi me bahut achi hai
Main apke ehsaaso ki kadar karta hu
Ye ehsaas hi hote hai jo ek dusre ko jord k rakhte hai
Chahe wo kitne bhi duuur kyu na chale jaye
Pr ek request hai k aage se kabhi bhi apni kahani me kisi uske mummi papa se etna duuuuur mt krna plzzzz

Or haan apki kahani pardne k chakkar me meri rose subhe apne boos se class lag jati hai
Pr tention nahi lene ka ,,, apun bhi ek kaan se sunata hai our dusre se bahar

Pooja ji plz piyush ko jaldi milwa dena saba se

ye judai sahi nahi jati {$}

Best of Luck

sahil
Hi Sahil ji, main bhi tthhik hu.

Jee shukriya ke aap waapas aa gaye......sacchi kahu to kal apka reply nahi mila, laga aap bore ho rahe hain kahaani se...lekin aapko fir se dekh kar khushi hui...or aap waakkai me kahaani ke bahot kareeb hai, har baat samajh jaate hain jo main kabhi likhti hi nahi yaha....ye kahaani maine likhi hai, ek insaan ne..bhagvaan ne nahi...isi liye is kahaani me judaai nahi hogi kisiki...lekin ant aapko chonka sakta hai...aap fikr na kariye har kirdaar apni ek alag bhoomika lekar aaya hai is kahaani me...kisiko kisise jooda nahi karungi......bas aage padhte rhaiyega, aapki shikaayat bahot jald door karungi....

grazie

Pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#71)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
21st March 2008, 12:48 AM

Quote:
Originally Posted by dhavalrami4you View Post
...............
..........

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#72)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
21st March 2008, 12:49 AM

Quote:
Originally Posted by kuhulika View Post
waah lagta hai abh LOV triangle banne wala hai
yaar saddy saddy ma kariyo bas

taek caer
hmmmm kal 6th or 7th part sab clear kar dega.....

so keep reading

grazie

pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#73)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
21st March 2008, 12:51 AM

Quote:
Originally Posted by dineshdharvi View Post
di mene apke 4 th part aur 5th part sath me pedhe hai kyu ki me 4th part nahi padh paya tha work tha isi liye aur di ab to ye kahi sayad kuch alag hi rang layegi kyu ki saba chali aur aur piyush akela reh gaya aur ab sahil sara se pyar karne laga hai aur sara rahul ki achi dost ban gayi hai sayad end me acha hoga kuch per dil kahi april mahine me to end nahi karoge na aap kyu ki agar april mahine me end huva to hum sab april ful ban jaayega di isi mahine end karna pls........................................di
Aapne padhaa wahi bahot hai, achha laga.....or kahaani ka ant is mahine mushkil hai bahot typing baaki hai, or apral fool kyu banaaungi bhala.....nahi nahi....kahaani ka ant apral me hi hoga.....or koi akela nahi rahega....dont worry

grazie

pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#74)
yash chawla
Banned
yash chawla will become famous soon enoughyash chawla will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 2,267
Join Date: Jan 2008
Location: switzerland
Rep Power: 0
21st March 2008, 01:05 AM

kya kahaani hai kabhi saara sahil ke saath

to kabhi piyus ke saat laghta hai pyaar karte hai ek larki se 2friend

last mai ki larki kisi 3person se (ishq) HO JAATA HAI

next part ka intjaar hai
   
Old
  (#75)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
21st March 2008, 01:19 AM

Bhai Saara Piyush ke saath kab thhi...Piyush ke saath to Sabaa thhi, or filhaal Piyush akela hai ......waise aapka confusen next part me door ho jayega or ye bhi decide ho jayega ki kon kisse pyaar karta hai, or Saara kiski hoti hai........so wait and read

grazie

pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Old
  (#76)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
21st March 2008, 11:04 AM

achhaa liKh rahi ho Pooja ..

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
bahut khoob matko
Old
  (#77)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
Smile bahut khoob matko - 21st March 2008, 03:00 PM

wowwwww.............majja aa gaya matko, etna accha likh rahi hai tu.....bahut khoob, par naraz mat hona ki main teri story padne sabke baad aaye hoon....darasal aaj-kal office mein fursat hi nahi milti story bahut acchi lagi....bas main 5th chapter abhi nai pad paye usko phir kabhi fursat mein paduNgi aur haan main bhi mausam se sahmat hoon, ki ek hi baar sari story post kar de, kyuki intjaar karna mushkil hota hai.....

duao.n ke saath
teri diiiii

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Old
  (#78)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
21st March 2008, 03:51 PM

Quote:
Originally Posted by pooja_d View Post
Kahaani 29 Mausam suran woman ke chirkut banne ki

ye title hoga....hahahaa.....or aapki maang poori kardi maine, Rahul aa gaya, saath me Akhil bhi.....dono ka roall chhota hai lekin hai mast...so enjoy reading this story

grazie

pppppooja
wah wah kya title hain mera dil garden garden ho gaya....aur meri yahin dua hain kal holi ke din tujh par koi pakka green color daal de aur main tera wohi chehra dekhu

haan haan keh to aise rahin hai ki rahul naam daalke ehsaann kiya ho........chal fatafat 6th part post kar de.............dekh ab to di bhi meri side main haiNmeri nahin to kamse kam unki baat rakh le

grazie...
mausam

Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
   
Old
  (#79)
$@#!L
Registered User
$@#!L is on a distinguished road
 
$@#!L's Avatar
 
Offline
Posts: 19
Join Date: Mar 2008
Rep Power: 0
Love 22nd March 2008, 11:00 AM

Hi………
Pooja jiiiiiiiiiiiiiii
Ye aap kya kr rahe ho………….
Muje story bahut bahut bahuuuuuuuuuttttt achi lag rahi hai or rahul pe gussa bhi bahuuuuuuutttt aa raha hai such bool raha hu main
Chaalo apne kuch acha hi socha hoga
EHSAAS bs yaad rakhna es word ko
Or aaj ……………… kuch nahi …………. Muje kuch samaj nahi aa raha
& happy holi apko or apki puri family ko
meri or meri family ki taraf se .... enjoy it ..........{$}

Best of luck
Sahil

Quote:
Originally Posted by pooja_d View Post
Chapter 5th

" Mera naam, naam naam naam.....ye yahooooo main pass ho gaya, main pass ho gaya " Sahil apne naam dekhte hi uchhal padaa

Sahil 1st division se pass hua, Piyush ke 86% bani...Saara ke 80% bani...Gaurav ke poore rajasthan ranker list me 5th no. thha or usne school bhi top ki...gaurav bahot khush thha, sabne use mubaarak'baad di...Anjali ke bhi bahot achhe marks aaye...Sab bahot khush the...chalo to party kar le.N....chaliye kar hi lete hain...

" Yaar Gaurav, tumne school top ki, ab party dedo shaanti se..bolo, doge ya nahi" Saara ne Gaurav se kaha

" Hmmmm, ok...party karte hain...ghar pe kare, yaa kahi or " Gaurav ne haami bharte hue kaha

" Yaar party to wahi hai jisme apne shaamil ho, or apne ghar me milte hain...to ghar me hi lenge hum to party...kyu friends? " Sahil ne apni raye di

" Sahi kaha, to kab aaye hum ? " Piyush ne fat se kaha

" Are bhaai, ghar to jaane do, mamma papa se baat karne do, din decide karne do, fir bataaunga..." Gaurav ne kaha

" Chalo fir milte hain,tum bataa hi dena, bhoolna nahi party ke liye...ok " Anjali ne kaha

Or Bas sab thhoda hansi mazaak karke apne apne ghar chale gaye...Sabke parents bahot khush thhe ke unke bacche apchhe marks se pass hue...Gaurav ne bhi party ka din decide kar liya....26th june ka din thaa party ke liye....Gaurav ne apne sabhi friends ko unki family ke saath invite kiya...party time 7.00 pm thha...

" Hi Gaurav, meet my parents, and he is Gaurav " Piyush ne apne parents ka intro karaya..or Piyush ke mamma papa ne Gaurav ko wish kiya

" Thanku vary much uncle, thanks aunty..aiye naa, apko main apne papa mammy se milata hu..." Gaurav ne unhe apne mamma papa se milaya..or fir wapas Piyush ke saath aa gaya friends ke paas...

sab pahonch gaye thhe...siva Saara ke...hmmm

" Vo dekho, madam ji aa rahi hain..." Anjali ne Saara ko aate dekha or ishaara karte hue sabse kaha

" Bahot jaldi aa gai tum, thhoda late aati to, tabtak tumhare liye bartan taiyaar ho jaate saaf karne ke liye...." Sahil Saara ko chidhaate hue zor se hansaa, saath hi sab hans pare...lekin Saara ka muh laal ho gaya...

" Ok, jaati hu, baad me hi aaungi ab to.." Saara chidhte hue boli

" Are naraaz kyu hoti ho...mazaak thha yaar, comeon, paani piyo or gussa shaant kakro..." Sahil ne hanste hue use manaya..sabne bahot enjoy kiya

Tabhi Gaurav ke papa ne ek announcement kiya...Pata chala ke Gaurav U.S. jaa raha hai...usne ye baat chhupaai thhi kyuki sabko surpriz dena chaahta thha...

actually School top ki thi usne to use U.S. ki scholarship di mili school ki or se, or bas vo madical ki study ke liya 2 week baad U.S. jaa raha thha...sab ye sunke thhoda udaas hue ki vo bhi sabse door jaa raha hai...lekin uski khushi me sab khush bhi hue...or use best of luck kaha..

party ho gai..chalo chalo ghar chalte hain..sabko ghar bhej hi deti hu ab.....hahaha
raat ko 10.30 ke aaspaas party khatm hui.sabne Gaurav ko ek baar fir se mubaarakbaad di..or sab apne apne ghar aa gaye...party bahot achhi rahi...kamaal ki baat hai..4 din baad sabke masti ke din aane waale thhe....bole to collage ke din...wow..sounds great...well Gaurav to U.S. jaa raha thha...kuch hi din baaki thhe...Anjali ki sagaai taye ho gai thhi, or fir 1 saal baad shaadi bhi..isi liye usne padhaai chhod di...

Bache Saara, Sahil or Piyush...teeno ne Jaipur ki ek bahot hi achhi Collage '' Subodh Collage " Me admission leliya...

Piyush bahot khush thha ke vo clloage jayega, masti karega...collage ki zindagi hoti hi aisi hai...hai na...well collage ke pahale din subha 7.15 baje Sahil Piyush ko pick up karne aa gaya, dono ne pahale din saath janaa taye kiya...or Saara apne bhaai ke saath aane waali thi collage...

Dono collage pahonch gaye, or collage me entry mari...yaap

" Yaar mujhe darr lag raha hai, seniors fresher ki raging lete hain...humari bhi hogi kya " Piyush ne Sahil se kaha

" Abe darr mat, main hu na...kuch nahi hoga, chupchaap nikal jayenge kisiko pata tak nahi chalega.." Sahil ne badi himmat se kaha

" Hey you two...." Pichhe se awaaz aai

" Abe nikal le, nikal, nikal..." Sahil bola jaldi jaldi....itne me pichhe se kisine unko kandho se pakad liya

"Shit, Gaye hum to " Sahil bola

" Bhaai saahab, kya chaahiye " Sahil ne mudhkar us ladke se puchha

" Raging " jo ladka khada thha, bada smart sa....usne kaha

" Sale ab bol, bada hero ban raha thha na...." Piyush ne Sahil ko ghurte hue dhire se kaha

" Kahaa deni hai raging bhaai " Sahil Darra hua sa bola

"Chal udhar line me " Us ladke ne kaha

" Naam ? " Ladke ne puchha

Pahala no. Piyush ka aaya...

" PPPPiyush yadav..." Piyush ne haklaate hue kaha

" Abe ye to meri biraadri ka nikalaa...main Akhil yadav tu Piyush yadav, chal yaar chhoda tujhe tu bhi kya yaad rakhega..kis dildaar yadav se paala para..." Akhil ne apne sathiyo ki or ishara karte hue Piyush se kaha

" Thanku bhaai " Piyush side me aa gaya

next no. apne Sahil ji kaa aya..hero Sahil hahaahah

"Are bhaai, main apki biradri ka ye meri biradri ka..ise bhi chhod'do na please yaar first and last baat maan lo " Piyush ne Akhil se request karte hue kaha

" Achha, chal ek ke saath ek free...Vijya chhod yaar ise..." Akhil ne Apne frd ko Sahil ki raging na lene ko kaha..Sahil or Piyush to bach gaye...Akhil unse baat karne laga...chalte chalte teeno baat kar rahe thhe

" Or batao, kya padhaai kar rahe ho, kaha rahate ho tum dono? " Akhil ne puchha

" Hum comarz ke student hain, Main Mansarowar me or ye Surya nagar me rahata hai " Sahil ne bataya

" Surya nagar..udhar to main bhi rahata hu, surya nagar ke thhoda aage chalo udya hostal ayegi bas mera ghar hai udhar..." Akhil bahot jaldi open ho gaya dono ke saath usne apna adress bata diya

" Chhota sa makaan bada tower.." Akhil bola

" Kya? " Piyush ko samajh nahi aaya

" Are mere makaan ki pahechaan bata raha hu " Akhil zorr se hanske bola...

" Chalo dost, kabhi koi problem ho to mujhe batana...har dam hazir rahunga..." Akhil ne dostana andaaz me kaha, Piyush or Sahil ne Akhil ko thanku kaha or vo dono class ki or chale gaye

" Bach gaye yaar...Sacchi me tu yadav nahi hota to aaj mast raging ho jaati..." Sahil Saans bharte hue bola..

chaliye school ke ek senior se unki dosti ho gai...class bhi shuru ho gai...or fir free bhi ho gaye dono jaldi hi...

" Yaar Saara collage aai bhi hai ke nahi..dikhaai nahi de rahi..." Sahil ne puchha

" Uski class chal rahi hogi...chal canteen me chalte hain..." Piyush ne kaha

dono canteen ki or badh rahe thhe tabhi ek corner me Saara nazar aai, vo ro rahi thhi...dono dodte hue uske paas pahunche

" Saara kya hua tum ro kyu rahi ho..." Sahil ne puchha

" Kuch nahi, aise hi " Saara ne ansoo ponchhte hue kaha

" Wow, aise hi, naya trend lagta hai bina kaaran rone ka...ab jaldi se batao baat kya hai..." Piyush ne kaha

" Aaj jab bhaiya mujhe collage chhodke gaye tab main andar aa rahi thhi, kuch ladko ne mujhe rok kar puchha ke main frasher hu ya nahi, maine kaha ha nai hu..fir unlogo ne meri raging ke liye kaha...to ek ladka bola ke samne jo professor aa rahe hain unke gaal pe chaanta maarke aao...maine mana kiya to ek or ladka bola ke ya to chaanta marke aao prof. ke ya unko red rose deke aao...main kya karti majboor thhi rose leke chali gai, lekin maine prof. ko un ladko ke bare me bata diya, prof. ne ladko ki daant lagaai, lekin prof. ke jaane ke baad un ladko ne kaha ke raging meri jaroor lenge...." Saara ne rote rote kaha

Piyush or Sahil ko laga shaayad Akhil ya uske group me se kisine ye kiya hoga...to vo dono Akhil ke paas pahonch gaye Saara ke saath...Saara ne mana kiya ke ye vo ladke nahi hai...unhone sabkuch Akhil ko bata diya...Akhil ko malom thha vo ladke kon ho sakte hain...2nd year ke boys...jab Saara ne haa kaha ke ye wahi hai...2nd year ke bacche thhe, or Akhil 3rd year ke...to bechaare apne senior se panga nahi le sakte thhe....or sabne Saara ko sorry bol diya or chale gaye...

" Thanks" Saara ne Akhil se kaha

" Yaa ya its ok, waise hota hai collage ke first day sabke saath hota hai..apna khayal rakhna.." ye kahake vo chalaa gaya

Bas aise hi hansi mazaak me aajka pahala din nikal gaya...collage life kaisi hoti hai teeno ko pata chalne laga thha...

Next day:

Saara class me beitthi thhi tabhi..

" Hi " ek ladke ne Saara se kaha

" Hi " Saara ne javaab diya

" Nai ho "

" Haa "

" Main bhi, mera naam Rahul hai, or tum " Rahul ne kaha

" Main Saara "

or dono baate karne lage.dono ek hi class me thhe..chalo dono pahali mulakaat me friend ban gaye thhe...free thhe to canteen me chale gaye..kuch der baad Sahil or Piyush bhi aa gaye...

" Saara, who is he " Piyush ne puchha

" Ye mera class mate Rahul hai, or rahul ye Mere bahot achhe dost hain Piyush or Sahil, school se saath hai hum " Saara ne sabka intro. karaya

"Mujhe kuch books leni hai, main library jaa raha hu" Sahil thhoda chidhta hua chala gaya, jaise use kuch bura laga...Piyush Saara or Rahul ke paas beitth gaya or teeno baate karne lage....1/2 ghante baad Class lagne wali thhi teeno ki to vo apne apne class room me chale gaye..

" Hi, Le aaya books...kaha hai..." Piyush ne Sahil se puchha

"Nahi, mood change ho gaya thha " Sahil ne be'rukhi se javaab diya

" Achha, fir waapas kyu nahi aaya " Piyush ne puchha

" Zaroori thha kya " Sahil gusse me bola...or fir professor aa gaye..class shuru ho gai, ab agle 2 ghante dono buzy thhe...or 2 ghante baad ghar jaana thha.....kyu.....are yaar collage day jo khatam hona thha.....

Kuch din baad:

Saara, Sahil or Piyush Teeno collage ki canteen me beitthe gappe maar rahe thhe...

'' Hi guys..how r u all " Rahul aaya

" Hi, we all r fine.." Piyush ne kaha

" Great, Saara mujhe kuch notes banaane me help karogi please, mujhe ye politics bilkul samajh nahi aati.." Rahul ne apni samasya Saara ko bataai

" Haa kyu nahi, chalo " Saara ne haa kaha, or dono chale gaye...

" Vo chale gaye, ab kise ghoor raha hai " Piyush ne Sahil se kaha, itna kahate hi Sahil ne Piyush ko ghoorna shuru kar diya

" Bhaai tu udhar hi ghoorta hua achha lag raha thha, mujhe mat ghoor dar lagta hai....kya hua bataa na gussa kyu hai " Piyush ne puchha

" Tujhe nahi lagta aajkal Saara or Rahul ki dosti kuch jyada ho gai hai " Sahil ne kaha

" Oh samjha, to tu kyu jal raha hai..." Piyush ne kaha

" Main kyu jalu " Sahil ne nazre ghumate hue kaha

" Chal utth class ka time ho gaya.." Piyush ne apna bag utthate hue kaha, or dono chale gaye...

Sacch me Saara or Rahul achhe dost ban gaye thhe, ye baat Sahil ko pasand nahi thhi...

1 hafte baad class se free hone ke baad:

" Mujhe bahot bhookh lagi hai, chal canteen me " Piyush ne kaha

" Nahi ruk, Saara ki class khatam hone waali sab saath chalte hain..." Sahil ne ghadi dekhte hue kaha..or kuch hi der me Saara aa gai...Saara Rahul ke saath thhi fir se...

" Comeon Saara canteen chalte hain '' Sahil ne kaha

'' Nahi Mujhe Rahul ki help karni hai politics me..tum jao " ye kahake Saara or Rahul chale gaye...lekin Sahil ko bahot gussa aa raha thha, Piyush Sahil ko canteen le gaya...
Sahil bahot disturb thha, gussa uske chahare se saaf chhalak raha thha, vo bilkul chup thha

" Yaar tu Saara or Rahul ko ek saath dekhke gussa kyu ho jaata hai..." Ek to Sahil gusse me thha dusra Piyush ka ye savaal

" I love her damit..than how can i see her with another boy.." Sahil zor se gusse me bola or waha se chalaa gaya...

To Be Continoud

Grazie

pooja

JANE LAGE JAB VO CHORD KAR DAMAN MERA,,
TUTE DIL NE HIMAKAT KARDI,,
SOCHA THA KI CHUPA LENGE GAMM APNa ,,,
PAR KAMBAKHT ANKHON NE BGAWAT KARDI............{$}
   
Old
  (#80)
pooja_d
Registered User
pooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud ofpooja_d has much to be proud of
 
pooja_d's Avatar
 
Offline
Posts: 3,896
Join Date: Jul 2006
Location: currntly : Italy and ( home'town : Jaipur )
Rep Power: 33
22nd March 2008, 06:05 PM

Chapter 6

"Orre terri, ye to pyaar nikla.." Piyush man hi man soch raha thha, vo Sahil ke pichhe pichhe chal diya...

" Sahillll ruk, Tu usse pyaar karta hai, kab se? " Piyush ne usse awaaz di, or uske paas jaake puchha

" Pichhle 4 saal se.." Sahil ne javaab diya

" Mere haath se khoon hone wala hai ab ek..." Piyush ne gusse se dekhte hue kaha...2 min dono chup rahe..fir

" Chal murdar ka program cancel, tu ye bata tune usse kaha kyu nahi, itne saal se pyaar kar raha hai, or mujhe bhi nahi batayaa..." Piyush ne thhoda shaant hote hue kaha

" Yaar, nahi bataya bas, or usse kya kahata, himmat hi nahi hui, vo kitni intelegent ladki, or main 3rd divisine...nahi bola saka" Sahil ne safaai dete hue kaha

" To abhi to 1st divisine aai na, abto bol sakta hai na.." Piyush ne kaha

" Nahi yaar, lagta hai vo Rahul se pyaar karti hai, main bas use khush dekhna chaahta hu," Sahil ne kaha

" To fir kyu baar baar dono ko saath dekhke gussa ho jaata hai.." Piyush ne kaha

" To ab achaanak to accept nahi kar sakta na use kisi or ke saath..time lagta hai " Piyush ne kaha

" Time ke bacche, mujhe lactur deta thha, or ab khudh...ho sakta hai ke vo Rahul se pyaar nahi karti ho, tu nahi bolega, main hi use bataa deta hu..." Piyush ne kaha, or vo jaane laga

" Tujhe meri kasam hai tune usse kaha to..." Sahil ne use rokte hue kaha

" Abeeeeeeee, ye kasam dena kisne shuru kiya yaaaaar, jab dekho kasam.thik hai, dekhta rahe sab...mat bol, jab koi aur uske ghar doli leke jayega na tab bolna.." Piyush ye bolke gusse me chala gaya...becharaa Sahil kya karta...

Bas Rahul or Saara ki dosti to jaise badhti hi gai, Sahil un dono ko dekhke bahot jalta thha, lekin bolta nahi kuch bhi, vo control nahi kar pata dono ko saath dekhke, isi liye vo Saara se bahot kam milne laga...Piyush to use samjha samjha ke thhak gaya ke use bol de bol de, lekin vo to rangeela ka Ameer khaan bane beittha thha......ups..bas aise hi ek din Piyush or Sahil class ke baad canteen me baitthe thhe

" Or kya haal hai" Akhil ji ne entry maari

" Are Akhil bhaai, bas thik hai sab..is mareej ke siva..." Piyush ne Sahil ki or ishaara karte hue kaha

" Mareej? kyu kya hua ise " Akhil ne baitthte hue puchha

" Wahi pyaar...Vo Saara hai na usse pyaar karta hai, lekin kahane se darta hai..." Piyush ne kaha

" Oye, main darta nahi hu samjha" Sahil gusse me bola

" Ok ok, cool...." Piyush ne kaha

" Hmmm...yaar pyaar hai to kahe de na usse " Akhil ji ne apni salaah di

" kahe de...main bhi to yahee kahe raha hu ise pichhle ek mahine se....koi nahi adviz do yaar " Piyush ne kaha

" Vo kisi or se pyaar karti hai shayad " Sahil ne kaha

" Shayad " Akhil ne eyebrows chadhaate hue kaha

" Haa, shayad vo Rahul se pyaar karti hai...lekin usne usse kaha nahi abhi tak " Sahil ne kaha

" Shayad, matlab sure nahi hai or is shayad ke liye tu apna chance ga.Nva raha hai chirkut..dekh bhaai ya to tu darna chhode ki vo kisi or se pyaar karti hai ya fir pyaar karna chhod de " Akhil ne kaha

" Bhaai apne bhi kisise pyaar kiya hai kya " Piyush ne thhoda x'aited hoke puchha

" Abe kiya hai, karta hu...hai ek ladki " Akhil ne shuru kiya

" Achha, aapne use propose kiya ya usne " Piyush ne bahot intrest se puchha

" Vo, or mujhe propose karti, are aajtak usne mujhse pahale mujhe i love u tak nahi kaha or vo mujhe propose karti, maine use propose kiya thha, pahale to meri dost thhi, lekin fir maine propose kar diya, bahot khadoos thhi, ab nahi hai haa...mujhe usne pahale mana kar diya thha fir 2 mahine baad haa kahi thhi usne...or aaj jab bhi baat karegi i hate u i hate u..bas yahi kahegi....but i love her yaar....." Akhil ne kaha

" Hmm, achha naam kya hai, kaha rahati hai..." Piyush ne puchha

" Deep naam hai mere ghar ke paas rahati hai...." Akhil ne bataaya

Akhil or Piyush baate kar rahe thhe lekin Sahil bilkul chup thha, nazre jhhukaye kuch soch raha thha....Akhil ne Piyush ke kaan me kuch kaha or vo dono Sahil ko wahi pe wait karne ke liye kahake baahar aa gaye...

" Vo hai Rahul " Piyush ne ishaara karte hue Akhil se kaha

" Ruk, Saara ka saath chhod do jitni jaldi ho utni jaldi " Akhil ne Rahul ko samjhaate hue kaha

" Kyu " Rahul ne kaha

" Dekho, Saara kisi or ki hai, uska sapna bhi mat dekhna " Piyush ne shuru kiya

" Hahahaha, " Rahul ne zor se hans diya

" Bhaai paagal ho gaya hai kya " Akhil ne kaha

"Aaiye waha beitthkar aapko sab bataata hu " Rahul ne kaha

" Main or Saara sirf or sirf achhe dost hain aap jaisa samajh rahe hain waisa kuch nahi hai, or rahi hum dono kya jyada'tar saath rahane ki baat to vo main aapko smajha hi deta hu aaj..." Rahul ne kahana shuru kiya, Piyush or Akhil bahot hairaani se use dekh rahe thhe...

" Jab mujhe Saara ne aap logo se milvaaya tab laga aap sab bahot achhe dost hai, mujhe aap logo ke baare me jaane ki icchha hui, maine ek din Saara se puchha aap sab ki dosti kaise hui etc. etc. to Saara ne mujhe apne school ki bahot baate bataai, Saara aksar apni school ki baate bataaya karti thhi jisme Sahil ka jikr bahot hota thha, ek din maine baat ko pakad hi liya, " Rahul ne ye sab bataya

" Ab udhar dekho " Rahul ne ishara kiya

" Udhar kya hai " Piyush ne pucha

" Yaar flashback....Saara se jo baate hui vo jaanni hai na to chalo flashback me entry maarte hain " Rahul ne kaha { hahahaha}

Flashback me Saara or Rahul ki baat'cheet :

*************************************
" Saara kya tum Rahul se pyaar karti ho...." Rahul ka savaal

Saara pahale kuch der chup rahi fir boli

" Haa, bachpan se...lekin vo mujhe har baar taal jaata hai, meri or dhyaan hi nahi gayaa kabhi uska" Saara ka javaab

" Fir tumne use bataya kyu nahi " Rahul ne puchha

" Main kyu kahu, vo ladka hai use pahale kahana chaahiye..." Saara ne kaha

" Ye achhi jabar'jasti hai ke ladka hi pahale kahe " Rahul ne kaha

" Haa....lekin mujhe ye bhi to nahi pata na ke kya vo bhi mujhse pyaar karta hai..." Saara ne pareshaani se kaha

" Hmmm.....matlab tum pahale uska dhyaan khinchna chaahti ho..." Rahul ne kaha

" Kya aisa ho sakta hai, " Saara ne fatt se puchha

" Kyu nahi, dekho..agar koi ladka kisi ladki se pyaar karta hai to vo us ladki ko kisi or ladke ke saath dekh kar bahot jalta hai, or agar Sahil tumhe kisi or ke saath dekhkar jealous hota hai to samjho use bhi tumse pyaar hai, simple.." Rahul ne kaha

" Henn simple..lekin aisa ladka milega kaha jo meri madad karega...hmmmm mil gaya...." Saara ne kaha

" Kon ?" Rahul ne puchha

" Tum or kon " Saara ne kaha

" Main.....nananana please...isse to achha hai ke main Sahil se hi jaake bol du ke tum usse pyaar karti ho " Rahul ne mana karte hue kaha

" Tum meri madad kar rahe ho bas, or tumhe humari dosti ki kasam hai agar tumne Sahil ko kuch bhi bataya to" Saara ne kaha

" Ok fine..." Rahul ne ha kaha
************************************

" Seen khatam ho gaya,Now come back in realty..." Rahul ne Akhil or Piyush se kaha

" Abe yaar abhi samjha India tarakki kyu nahi kar raha " Piyush bola

" Ab ye India kaha se aa gaya " Akhil ne kaha

" Yaar Inida ke log kasme bahot dete hain...udhar Sahil or idhar Saara, hum dono ko sacchai bata bhi nahi sakte.." Piyush ne kaha

" Kyu bataye hum, Pyaar un dono ne kiya hai vo dono hi izhaar nahi kar rahe to hum kyu kahe...jisne pyaar kiya vo jhhele..." Rahul ne kaha

" Haa, yaar kyu tanssion lete ho sab thhik ho jayega...Be posetive " Piyush ne kaha

" No entry dekh kar aaya hai kya, dono kabhi nahi kahenge ek dusre se dil ki baat...hume hi kuch karna hoga..." Akhil ne kaha...or teeno ne milke ek plan banaaya....

" Saara nahi aa sakegi, use shaam ko ghar se nikalna manaa hai " Piyush ne problem bataai

" To collage time pe nikalte hain sab saath " Rahul ne kaha

" Lekin fir classes ? " Piyush ne ek or problem bataai

" Yaar ek din ki hi to baat hai, collage bung kar lenge or kya..." Akhil ne kaha

" Hmmmm, ok fine...Rahul, Saara ko tum leke aana lekin use kuch mat bataana plan ke baare me, or main Sahil ko leke pahonch jaaunga time pe...ok than milte hain kal " Piyush ne agree karte hue kaha..or ab intezaar thha kal kaa....

" Sahil, aaj hum 2nd period ke baad baahar jaa rahe hain collage bung karke, Akhil bhaai party de rahe hain to hume jaana hai " Piyush ne Sahil ko bataya

" Party? or vo bhi din me " Sahil ne savaal kiya

" Abe tu savaal bahot karta hai, or kya din me party karne pe ban hai kya ...tu itna bata chalge ya nahi " Piyush ne puchha

" Chalunga kyu nahi..." Sahil ne haa kahi

2nd period ke baad dono nikal diye Raja park ki or jaha pe unhe jaana thha.....or dono ne club me entry ki, party ek club me thhi....jaha Saara Rahul or Akhil pahale se hi thhe....

" Main jaa raha hu " Sahil ne gusse me kaha

" Kya hua " Piyush ne puchha

" Tune bataaya nahi ke Rahul bhi yahi hai " Sahil ne gusse me kaha

" To, to kya hua yaar...dekh hume invite kiya gaya thha so hum jaa rahe hain andar or tu bhi chal raha hai..." Piyush Sahil ko andar le gaya..or Saara Raul Akhil ke paas jaake baitth gaye

" Saara, mere saath dance karogi ? " Rahul ne bahot hi manner se puchha

" Yaa sure " Or Saara Rahul ke saath chali gai

" Tujhe chhuke aai hai ye jo hawaa, nashaa hai nashaa hai nashaa hai nashaa" { O, ganaa tha sonniyo jispe dono dance kar rahe thhe hahahaha }

Lekin ye kya, seen badal gaya, Rahul to bin piye nashe me ho gaya, bad'tamizi kar raha thha Saara ke saath

" Sahil dekh vo Rahul kya kar raha hai..." Piyush ne ishaara karte hue kaha

" Uski to main..." or Sahil utthke unke paas jaane laga

" Rahul, apni had me raho please.." Saara gusse me boli, lekin....hmm...Saara ne Rahul ko zor se dhakka deke khud se door kiya, uski ankho se ansoo nikal rahe thhe...

" Kya hai, usne tujhe apna dost banaya to tu use apni cheez samajh baittha, kya, kya samjha thha, tu kuch bhi karega or main chup rahunga..." Sahil Rahul se jhhagadne laga, Saara baahar aa gai parking me,.....

" Are ise chhod, dekh vo Saara baahar chali gai, use dekh chal jaa " Piyush ne Sahil ko roka or use Saara ko dekhne ko bhej diya

" Saara " Sahil ne uska haath pakad ke turn kiya zor se { ek dam hero style me }

" Kitne time se jaanti ho use, sirf kuch 2-3 mahine se, or uspe itna vishvaas kar liya, humse bhi jyada jo tumhare bachpan ke dost hain.. tumhe bahot pehchaan hone lagi hai na logo ki...tumhaari hi wajha se aaj usne ye harkat ki...kisne kaha thha uske saath club aane ko...koi tumhe kahi bhi le jaayege or tum chali jaogi..tum dimmag se nahi sochti...." Sahil bahot gusse me thhe

Saara Sahil ke gale lag ke bahot roi...kuch nahi boli.....Sahil ne bhi use chup karaya...fir kuch der baad Saara jaane lagi...

" Kaha jaa rahi ho " Sahil ne puchha

" Ghar " Saara ne kaha

" Main chhod deta hu " Sahil ne kaha

" Nahi bhaiya ko call kar dungi vo aa jayenge " Saara ne kaha...or vo jaane lahi kuch hi kadam chali thhi ke

" Saara I Love You " Sahil ne zor se kaha...Saara ka dil to maano garden garden ho gaya...or chahare pe 400 batt ki smile....hahaha...or pichhe mudhi, daud ke Sahil ke seene se lag gai...

" Bol diya kya " Piyush ne kaha....hahah, Vo teeno Akhil Piyush or Rahul ek gaadi ke pichhe khade sab dekh-sun rahe thhe...

" Beharaa hai ? Bol diya...mission impossible success...chalo ab baahar " Akhil ne kaha, or teeno baahar aa gaye...

" Kya baat hai, kya baat hai...kitna naatak karna para hume " Rahul ne kaha

" Naatak? " Sahil ne hairaani se kaha

" Or nahi to kya....Saara ka mere saath rahane se lekar usse bad'salooki karne tak sab naatak thha...taaki tum dono mil jao..." Rahul ne sab Sahil ko bata diya...Saara ne Rahul ko ek punch maara
" Accha to tum abhi sab naatak kar rahe thhe...tumhe pata hai maine tumhe kitna galat samjha, mujhe bata nahi sakte thhe "

" Haa nahi bataya bas " Rahul ne kaha

" Achha hum andar jaa rahe hai , tum dono bhi aa jana " Piyush ne kaha, or Piyush, Akhil, Rahul club me chale gaye....Saara , SAhil wahi khade thhe

" JAanti ho, main tumse pichhle 4 saalo se pyaar kar raha hu, lekin kabhi kahe nahi paaya, is dar se ki kahi tum manaa na kar do " Sahil ne nazre jhhuka ke kaha

" Main bhi tumse bahot salo se pyaar karti hu, lekin main humesha sochti thhi ke ye mahobbat ek tarfaa hai..isi liye kabhi kahe nahi saki " Saara ne Sahil ko dekhte hue kaha

" Main tumse bahot pyaar karta hu...tumhe kisi or ke saath dekhke bahot gussa aata thha" Sahil ne thhoda hanste hue kaha

" Hahahaha...Main to tumhaare siva kabhi kisi or ke sath thhi hi nahi, or Rahul ke saath sirf naatak kiya thha...I love you too " Saara ne Muskuraate hue kaha....or dono andar aa gaye...

" Mauja hi mauja....pyaar me tere mauja hi mauja....." Ab is gaane pe dance kiya sabne...hahaha

Sahil Saara khush thhe unhon jise chaaha thha vo unhe mil gaya...or isi ke sath party khatm...or fir collage khatma hone ke time pe sab apne apne ghar chale gaye.....

To Be Continoude

Grazie

Pooja

===========Deepika===========
Pyaar Hai Yaa sazaa ayi mere Dil bataa
Toot'ta Kyu.N naHi.N Dard Kaa Silsilaa
   
Closed Thread

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Kisi ki zindagi me zindagi bankar jine ka sama hoga ashu_uppal Aapki Shayri 2 11th November 2010 07:02 PM
zindagi to zindagi bhar ajnabi rahi 'Saahil' Aapki Shayri 0 20th August 2009 10:16 AM
ZINDAGI SE KUCH SAWAAL?ajab si hai zindagi jaane kyu isey jeyye ja rahe hai>> shayri12345 Shayri-e-Dard 15 20th March 2006 08:25 PM
~*~*MeRi ZiNdAgI~*~*(aaj zindagi ne ek aur seekh di to ye kavita yaad aa gayi) Taish Shayri-e-Dard 10 30th August 2005 05:04 PM
bhagaa zindagi , phir hara zindagi Zeba Shayri-e-Dard 2 5th July 2003 06:38 PM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com