Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
her pal chaha hay tujhay
Old
  (#1)
romance
Registered User
romance will become famous soon enoughromance will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 305
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 23
her pal chaha hay tujhay - 25th November 2002, 01:36 PM

her pal chaha hay tujhay per woh piyar ab nahin
ho gayi hay raat dil ko intezaar ab nahin

hamain kia pata tumhari gali ka mosam aaj kal
tumhari gali say guzartay hum baar baar ab nahin

gul mila gulzaar mila mil gaya saara jahan
sub kuch to hay mojood dil ka qarar ab nahin

kis haal main hoon main kisi ko kia perwa
aisay bay rukh bhi log meray yaar ab nahin

ghar say nikal aaye to hairan hay kyon dunya
yeh bhi to ho sakta hay hum beemar ab nahin

kyon howay hain insaan aaj khoon kay piyasay
kyon hum main woh pehlay wala piyar ab nahin

naya andaaz hay saawan ka, nai hay barkha rut
badal to ab bhi wohi hay per woh bahaar ab nahin

tumhara bicharna shayad muqadar main likha tha
qismat kay faislay say hamain inkaar ab nahin

tum kehti ho piyar karo gi zindagi ki kasam kha ker
aray nadaan hamain zindagi peh aitbaar ab nahin
   
Reply With Quote
khoob!
Old
  (#2)
Anamika
Registered User
Anamika is on a distinguished road
 
Anamika's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Mar 2002
Location: US
Rep Power: 0
Thumbs up khoob! - 27th November 2002, 09:55 PM

adaab romanceji....bahut achchi koshish hain aapki....ghazal ke khyaal hume pasand aaye......

gul mila gulzaar mila mil gaya saara jahan
sub kuch to hay mojood dil ka qarar ab nahin
...doosri line mein shayad aap yeh kehna chahte hain..."sub kuch to hay mojood dil BEQARAAR ab nahin" ?? .... gar humne galt samjhaa to maufi...bas hume lagaa ki sher ko aise badle to phir humari samajh me aata hain...

...baaki yeh ashaar padhke hum 'wah wah!' kahe the...

her pal chaha hay tujhay per woh piyar ab nahin
ho gayi hay raat dil ko intezaar ab nahin

kis haal main hoon main kisi ko kia perwa
aisay bay rukh bhi log meray yaar ab nahin

ghar say nikal aaye to hairan hay kyon dunya
yeh bhi to ho sakta hay hum beemar ab nahin

tumhara bicharna shayad muqadar main likha tha
qismat kay faislay say hamain inkaar ab nahin

tum kehti ho piyar karo gi zindagi ki kasam kha ker
aray nadaan hamain zindagi peh aitbaar ab nahin

...bahut khoob!....aashaa hai ki aap likhte rahenge...anamika...


ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN

woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN

nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko
ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?
  Send a message via Yahoo to Anamika  
Reply With Quote
Old
  (#3)
romance
Registered User
romance will become famous soon enoughromance will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 305
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 23
1st December 2002, 09:19 PM

anamika ji, tareef ka buhut shukria... agarcha hum is kay qabil nahin... bus isi tarah aap ka saath raha to likhnay ki koshih kertay rahaingay.

Jahan tak us shair ki baat hay to yeh shair main nain isi tarah likha tha... is ka matlab yeh hay keh mujhay dunia main sub kuch mil gaya magar dil ka qaraar main nain kho diya.

Aik baar phir... shukria buhut buhut.
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Tujhay kia hai khabar AHMAD SHAKIL Shayri-e-Dard 12 18th December 2010 10:22 AM
maine chaha to yahee chaha masoomshayer Shayri-e-Ishq 14 9th March 2006 02:11 PM
jise chaha use panasakee, aur jise paya use chaha na sakee apkishayar Shayri-e-Ishq 0 18th September 2004 12:27 AM
tujhay paa bhi aii Neha Haroon Shayri-e-Ishq 0 30th April 2003 12:42 PM
Humne Jisko Chaha, Usne Hame Na Chaha Pyaarisigudiya Shayri-e-Dard 0 26th April 2003 12:27 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com