Lol kamal hai janab ............mein kahon k glass adha khali hai or app kahien ke nahi adha bhera howa hai to baat to aik hi howi per baat who hi nahi hai ...
aisa maine nahi kaha ........Aamir khan ki new coming movie ka song hai
vaaq_ii kamaal hai janaab.....jo aapko apnii hii kahii baat meN kuchh farq nazar nahiiN aa rahaa....chaahe aapne kisii kii bhii zubaanii kahaa ho....aap apnaa pesh_kardaa sher dekhiye..
Apni ruswai main terey naam ka charcha dekhoun
Aik zara sher kahoun aur kiya kiya dekhoun (Perveen Shakir)
aour ab jo maiN ne iskii asl shakl pesh kii hai voh bhii dekhiye farq aapko saaf nazar aayegaa...
apnii rusvaaii, tere naam ka charcha dekhooN
ek zaraa sher kahooN aour maiN kya-kya dekhooN
donoN shakloN meN sher ke maayne hi badal jaate haiN aour sab se baRhii baat aapne sher kii jo shakl paidaa kii hai vo vazn aour bahar se khaariz ho rahii...baaqii aap samjhdaar haiN ....shukriyaah
Woh mila to dar - daricho sabpe tari tha sukoon Woh gaya, tanhaiyaan meri lautke ghar aa gayi
The expression,concept,words are beautiful..but
is sher ko bahar(meter mein)mein rakhne ke liye do tarah se kaha jaa sakta hai..
1.
wo mila to dar dareecho(n) sab pe tari tha sukoon
wo gaya,tanhaaiyan meri palat kar aa gayeen.
or like this..
2.
wo mila to dar dareecho(n) sab pe tari tha sukoon
wo gaya tanhai meri laut kar phir aa gayi.
i think i m not crossing limits or offending any one..i m doing it for the first time(and last if i m told)..and doing it only because some ONE on this meaningful site accused me that i only talk about me and do not share my opinion about shayri out here...having said it i m only offering my opinion and i may be WRONG..so please understand my sentiments..all of U there..shukriya.
ma'azrat ke saath ye kahne kii zurrat kar rahaa hooN ki iske doosre misre meN lafz ''meri'' ghalat hai...jab dar-dariiche aur ghar apna hai to ''tanhaaiyaaN'' bhii apnii haiN....to yahaaN ''meri'' kahne ki zaroorat nahiiN hai.....mere naaqis ilm se iska doosraa misra kuchh yooN bhii ho saktaa hai....
voh gayaa, tanhaaiyaaN phir lauT ke ghar aa gayiiN
ye sirf merii soch hai....lekin dekh lene meN ko_ii harz nahiiN hai....shukriyaah

sab apni jagah pe sahin hi hain....maine to book se copy pase hi kiya hain sher..shayad book main printing mistake hogi ya to maine galat likh diya hoga......
Ab game ko age badhaye plzz...
Jaane kya samjha woh mujhe Jaane kya samjhi main useN
Balvinder sahab intahai mazrat k esaath , aik baat arz kerna chahta hon meine yeh hansny wala emoticon behappy ke bad lagaya hai , na keh mein app per tanz ker raha hon , or ..........yeh pic mein likha howa hai jazak ALLAH (ALLAH apko iski ajar de ) matlab ... may God bless you for this ...mera matlab app ko hurt kerna nahi tha , ager phir bhi appko laga ho k mein ne tanzan kiya hai then i am really sorry to you .....

Once again i am sorry for all my mistakes
Mujeeb
ajii nahiiN ''mujiib'' sahab aap ne aisii ko_ii baat nahiiN kahii jo mujh par garaaN guzarii ho....na hii mujhe aapki baat meN ko_ii tanz nazar aaya hai...isliye aapko maafii maaNgne kii qata_ii zaroorat nahiiN hai....aapne mujhe ''Thank you'' kahaa badle meN maiN ne aapko khush rahne kii duaa dii hai kyoN kii umr meN aap mujh se chhoTe haiN bas itnii sii baat thii....
''game'' aage baRhaa ne ke liye aap ne ko_ii sher to diyaa hii nahiiN jiske jawaab meN ko_ii sher diyaa jaata.....chaliye maiN hii nayaa sher diye detaa hooN....
yooN be-sabab to ko_ii unheiN poojta nahiiN
kuchh to hai pattharoN meN khad-o-khaal kii tarah
bilkul ho sakta hai balki yahi achha lag raha hai..comparatively.maine bahr durust karte hue options likhe the..aur ek doosre saahebaan ke message ke jawab mein ye bhi likha tha ki aur behtar bhi ho sakta hai.mubaaraq ho.aap ka misra bahut achha hai.
p.vasl

aap kii navaazish hai ''prashant'' sahib jo ye haqiir si soch aap ko pasNd aayii....
ab guzaarish hai ki ''mausam'' sahiba ke hukm ke mutaabik maiN ne ek she'r diyaa thaa ab uske jawaab meN bhii ko_ii she'r haazir kar deN to inaayat hogii....peshgii shukriyaah
tujhe pathar mai nazar aata hai sab kuch
kabhii a^esa ho khuda humne nahi dekha..
''mausam'' ji ye she'r mujh par kuchh vaazeh nahiiN huaa...khaas taur se doosraa misraa...mujhe is meN kuchh kamii lag rahii hai...ek baar dekh liijiyega...
ye ek patthar, jo raaste meN paRhaa huaa hai
issey Muhabbat nikhaar de to, yahii sanam hai
agar aqeedat navaaz de to, yahii Khuda hai
KISI KE ISHQ MEIN HUM NE AJEEB KAAM KIYA
KI KHUD HI KHUD KO MITAANE KA INTZAAM KIYA
UNHE NA MERI WAFAAON KA KOI PAAS RAHA*
KI JIN KE ISHQ NE JEENA MERA HARAAM KIYA.
*khayal. PRASHANT VASL in KASH AISA KABHI HUA HOTA(published 1976)

tum bhi majboor ho hum bhi majboor hai.n
be-vafaa kaun hai baa-vafaa kaun hai
[Bashir Badr]
"LAMHA"
mujhko acchaa nahiiN lagtaa ko’ii hamnaam teraa ,
ko’ii tujhsaa ho to phir naam bhii tujhsaa rakhe....
Sher puraana hai..jan '82 mein maine 'urdu academy lucknow'ki ek nishist(goshthi)mein padha tha aur meri kitaab GHUTAN(1984)mein publish hua tha..magar aap ko gaaliban kisi qaabil nazar aaye..
JIS MEIN LIKHHA HO KI INSAAN HAI MAZHAB SE BADA
WO KITAAB AAJ KE BACHCHON KO PADHAAYI JAAYE.
Bicchar gaya hai to ab us ka saath kya maango
Zara si umr hai gham sey nijaat kya maango
Wo saath hota to hoti zarooratein bhee bahut
Akelee jaan ke liye kaayenaat kya maango
"LAMHA"
mujhko acchaa nahiiN lagtaa ko’ii hamnaam teraa ,
ko’ii tujhsaa ho to phir naam bhii tujhsaa rakhe....
Bicchar gaya hai to ab us ka saath kya maango
Zara si umr hai gham sey nijaat kya maango
Wo saath hota to hoti zarooratein bhee bahut
Akelee jaan ke liye kaayenaat kya maango
Hum bharey shaher main tanha to nahi thay lekin
Koi rishta na mila phir teri chahat jaisa
Jisay chaho usay ehsaas -e -khudae de do
Silsila pyar ka rakho to ibaadat jaisa
"LAMHA"
mujhko acchaa nahiiN lagtaa ko’ii hamnaam teraa ,
ko’ii tujhsaa ho to phir naam bhii tujhsaa rakhe....
bichha.D ke mujh se kabhii tuu ne ye bhii sochaa hai
adhuuraa chaa.Nd bhii kitanaa udaas lagataa hai
(Mohsin Naqvi)
yun pyar nahi chupta, palkon k chupaney se
ankhon k lifafon main tehrer chamakti hai
khush rung parindon k lot Aaney k din Aaye
bichrey hue miltey hain jab barf pighalti hai
shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai
jis shakh pe bethey ho, wo tot bhi sakti hai
(unknown)
Uski Shanoo.n pe jis ki har sham guzarti SAQIB
Wo zindagi kabhi merey naam thi hi nahi