Manzil -
26th February 2014, 03:20 AM
ek ghar ki tlaash hai, manzil bohot khass hai
safar ye aasan nhi, aur saath humare koi nhi
phir bhi aage badte jaenge, rasta dhund nikalenge
umeed humne chodi nhi, himmat abhi tuti nhi
iss shor se durr kahin jana hai, jahan hum hai aur humara saya hai
jahan ped ki chaon hai, thandi hawa ka ehsaas hai
na dukh hai na khushi hai, bss santushti hai
mana yeh sab mumkin nhi par kya Karen manzil hi kuch khass hai
Last edited by jasneet_bindra; 26th February 2014 at 03:23 AM..
|