safar ko jab bhi kisi dastaan mein rakhna -
25th June 2010, 11:36 AM
safar ko jab bhi kisi dastaan mein rakhna
kadam yakeen mein, manzil gumaan mein rakhna
jo saath hai wahi ghar ka yakeen hai lekin
jo kho gaya hai usse bhi makaan mein rakhna
woh ek khwaab jo chehra kabhi nahi banataa
banaa ke chaand usse aasmaan mein rakhna
jo dekhti hai nigaahein wahi nahi sab kuchh,
yeh ahtiyaat bhi apne bayaan mein rakhna
chamakte chaand sitaare ka kya bharosaa hai
zameen ki dhool bhi apni udaan mein rakhna
sawaal to binaa mehnat ke hal nahi hote
naseeb ko bhi magar imtihaan mein rakhna
-Nida Fazli
|