“Kyon mujhe pyar main dhoka diya” -
8th May 2003, 09:48 AM
“Kyon mujhe pyar main dhoka diya”
Haaye.. kyon tune pyar main dhoka diya
Kyon na sachha pyar tha mujhse kiya
Khamiyaan kaun si mujhme thi.n
Kyon meri wafaaon ka aisa sila hai diya
Humne to tujhe toot kar chaha tha
Duniya ko bhi tere liye tha chhod diya
Dil se khoob khel kiya tune
Kyon na mujh par tune ki daya
Aaj main khood se naaraz hoon
Duniya ki naa maan kar, kyon sirf tera bharosa kiya
Loot kar meri duniya ko
Tune mujhe jaise bin maut hi maar diya
Doston...pyar ki baatain na karo
Guzare hain mohabbat main aise mukaam se
Nafrat si ho gayi hai mohabbat ke naam se
Jai Mata Di
|