Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Geet- Rukh-e-roshan kabhi hum bhi nazaara karengey
Old
  (#1)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
Geet- Rukh-e-roshan kabhi hum bhi nazaara karengey - 1st March 2017, 08:57 AM

Rukh- e -roshan kabhi hum bhi nazaara karengey
Har sitam terey mohabbat mai gawaara karengey
Itni jurrat nahi ke rukh se utha duu pardah
Dekhna voh hi nigaaho se ishaara karengey

Gul jahaa khiltey ho ulfat ke voh gulzaar ho tum
BaghbaaN bhi kahey ke qaabil-e-deedaar ho tum
Kuch terey husn ka sadqa ho muyassar mujh ko
Issi khairaat se hum zeest guzaara karengey
Rukh- e -roshan kabhi hum bhi nazaara karengey
Har sitam terey mohabbat mai gawaara karengey

Eik arsey se mohabbat ka talabgaar hu mai
Sach toh ye hai ke mohabbat ka parastaar hu mai
Terey ulfat ka sahaara mujhe gar mil jaaye
Ishq ke shehr mai ta’ameer minaara karengey
Rukh- e -roshan kabhi hum bhi nazaara karengey
Har sitam terey mohabbat mai gawaara karengey

Miltey hai dost bhi kuch raah-e-mohabbat mai kabhi
Hotey kuch log hi qurbaan sadaaqat mai kabhi
Hamey manzil miley ya na miley aye jaan-e-wafa
Jaha se guzrey ge hum tum ko hi pukaara karengey
Rukh- e -roshan kabhi hum bhi nazaara karengey
Har sitam terey mohabbat mai gawaara karengey


Kya ishaara karey ye hawaaiye
Gaur se sun zara tu sadaaiye

Khushk pattey bhi kehte bohat kuch
Shabnami phool jo keh na paaiye
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
1st March 2017, 04:14 PM

. Itni jurrat nahi ke rukh se utha duu pardah
Dekhna voh hi nigaaho se ishaara karengey

Kya baat hai.........Waaahh!!!!

Bahot pyara geet pesh kiya hai mujahid sahab....
Behad khoobsoorat ehsaas..

Daad pesh hai...

Likhte rahein




अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
1st March 2017, 07:10 PM

bahot hi khoobsurat kalaam pesh kiyaa hai aapne Mujahid saahab.....

likhte rahen......

Shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com