Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ashaar Mere Yoon To Zamaane Ke Liye Hain ... !
Old
  (#1)
Radhika_2
RooH Se RooH Tak
Radhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.comRadhika_2 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Radhika_2's Avatar
 
Offline
Posts: 1,247
Join Date: Feb 2010
Location: Delhi
Rep Power: 53
Ashaar Mere Yoon To Zamaane Ke Liye Hain ... ! - 27th June 2012, 09:28 PM

Ashaar Mere Yoon To Zamaane Ke Liye Hain
Kuchh Sher Faqat Unko Sunaane Ke Liye Hain


Ab Ye Bhi Naheen Theek Ki Har Dard Mitaa Den
Kuchh Dard Kaleje Se Lagaane Ke Liye Hain


Aankhon Men Jo Bhar Loge To Kaanton Se Chubhenge
Ye Khvaab To Palkon Pe Sajaane Ke Liye Hain


Dekhoon Tere Haathon Ko To Lagata Hai Tere Haath
Mandir Men Faqat Deep Jalaane Ke Liye Hain


Socho To Badi Cheez Hai Tahzib Badan Ki
Varnaa To Badan Aag Bujhaane Ke Liye Hain


Ye Ilm Ka Sauda Ye Risaale Ye Kitaaben
Ik Shakhs Ki Yaadon Ko Bhulaane Ke Liye Hain

--- Jan Nisar Akhtar ---



Radhika

Seene Me Zakham Utarey Chale Gaye
Jo Humpe Guzari Guzarey Chale Gaye

Woh Aayega Ek Din Milne Humse
Naam Uska Hi Pukarey Chale Gaye


E-mail : radhika.nm2@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
27th June 2012, 10:53 PM

bahut pyaari ghazal hai ye jaaN nisaar akhtar saaheb ki

jawed akhtar saaheb k waalid aur saahir ludhiyaanvi ke bahut achhe dost the...

aisa suna jata hai... apne muflisii ke daur me inhone kuch kalaam saahir saaheb ke liye bhi likhe jo hindi films me istemaal hue

daad ke saath


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Manshaa Thaakur
Registered User
Manshaa Thaakur is a splendid one to beholdManshaa Thaakur is a splendid one to beholdManshaa Thaakur is a splendid one to beholdManshaa Thaakur is a splendid one to beholdManshaa Thaakur is a splendid one to beholdManshaa Thaakur is a splendid one to behold
 
Manshaa Thaakur's Avatar
 
Offline
Posts: 298
Join Date: Dec 2011
Rep Power: 19
30th June 2012, 08:27 AM

Quote:
Originally Posted by Radhika_2 View Post
Ashaar Mere Yoon To Zamaane Ke Liye Hain
Kuchh Sher Faqat Unko Sunaane Ke Liye Hain


Ab Ye Bhi Naheen Theek Ki Har Dard Mitaa Den
Kuchh Dard Kaleje Se Lagaane Ke Liye Hain


Aankhon Men Jo Bhar Loge To Kaanton Se Chubhenge
Ye Khvaab To Palkon Pe Sajaane Ke Liye Hain


Dekhoon Tere Haathon Ko To Lagata Hai Tere Haath
Mandir Men Faqat Deep Jalaane Ke Liye Hain


Socho To Badi Cheez Hai Tahzib Badan Ki
Varnaa To Badan Aag Bujhaane Ke Liye Hain


Ye Ilm Ka Sauda Ye Risaale Ye Kitaaben
Ik Shakhs Ki Yaadon Ko Bhulaane Ke Liye Hain

--- Jan Nisar Akhtar ---
bohat sundar

khoobsurat ghazal share karne ka shukriya .......................


Manshaa Thaakur
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
S.R.SiNGh
Registered User
S.R.SiNGh has a spectacular aura aboutS.R.SiNGh has a spectacular aura about
 
S.R.SiNGh's Avatar
 
Offline
Posts: 54
Join Date: Jul 2009
Location: Surat
Rep Power: 16
3rd July 2012, 01:00 PM

behtrin.......
aapki ye najm
dil ko chu gai ...


" सलीका हो अगर भीगी आँखो को पढने का तो...!!!
अक्सर बहते हुए आँसू भी बात किया करते है"...!!!
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com