Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Kuucha-e-kalam...
Old
  (#1)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Kuucha-e-kalam... - 2nd March 2004, 10:29 AM

KUUCHA-E-KALAM...

Shayri ki duniya ke muazeez mehmaanoN…khushaamdeed! Hum kuch yaraane sukhan milke, ek baar phir iss bazm mein aap ka istakbaal karte hai.

Doston hamari pichli koshisoN ke ajar ko madde nazar rakhte hue, hamein intehayee khusi ke sath yeh kehne mein faqr mehsoos hota hai ke..is bazm mein shirkat karne waala har shakhs.. bawajood dooriyon ke jab yahan kisi kone ya kuuche mein milta hai.. tau yaa to apna dukh yaa apnii choti si khushi ko baaNTne ke iraade se milta hai...aur jab lauTta hai to apne dil-o-dimaag mein ek suroor sa liye jaata hai ke jispe keh sakte hain...

"Ghum apne baanT ke phir aaya hoon dostoN ko,
kabhi khushi mili to zaayqaa badal doonga."


Issii jazbe ki badulat hum ek ke baad doosri aur uske baad phir ek koshish karte raheinge..Doston iss baar aap ki pesh-e-khidmat hai ek aur kona jise naam diya gaya hai "Kuucha-e-Kalam".

Iss baar bhi humne kuch kaayde daryaaft kiye hain...aap se das-bastaa guzaarish hai ke inn qaaydon ke daayre mein reh kar hi aap ko shareeq hona hai...

1) Ibteda kuch be-misaal shayar, jo hamare beech maujood hain unke kalaam se hogi...jo apne rekhte ke andaaz aur shakshiyat ki wajah se hamare pasandeeda hain, aur aapke bhi..

2) Baad Unke kalaam ke silsila aage badhe ga lekin aap ko "Radeef" aur "Kafiya" wohi rakhna hai jo aapse aage likhne wale shaayr ne istemaal kiya thaa...

3) Aap ko sirf aur sirf ek sher likhna hai...zahir hai ke ibteda karne wala "Matla" likhega.. aur uske baad shaamil hone waale saare "Sher" honge.

4)”tradition aur ustaad hazraat ke hisaab se aik Ghazal meiN 5 se le kar 27 she'r kahe jaane ki ijaazat di gayi hai chunaaNche ..” (–Maikash) hum yahan 5 sher hee keh kar ghazal mukammal kareinge… phir the last person posting the fifth sher has to start another ghazal…matlab phir se ek "Matla" jiss mein "Radeef" aur "Kafiya" alag hoga.

5) Iss kuuche mein hum aapke andar ke shayar ko hath thaam ke sabke saamne laana chate hain...tau kuch aisee koshish kijiye ke woh ek behetreen sher ho..aap apne takhayyull (thoughts) ko jitna gehra ya phir jitna buland le jaa sakeN le jaayeiN.

6) Aap ko aap se pehle kahe gaye sher ko apna sher kehne se pehle doharaana zaroori hai…taaki ki ghazal kee continuity ka ehsaas ho…We are getting extremely quality conscious this time Doston...

Aap sabhi se poori shiddat se shirkat farmaane ki ummiid ke sath...KUUCHA-E-KALAM... mein apna zor-e-kalam aazmaane ki daawat dete hain, ummiid hai ke yeh koshish hamaari pichhli koshish se bhi behtar sila degi....Alvida…

------------
Ta- Gaur Tumhara

Talib


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
2nd March 2004, 10:38 AM

Doston maine hamesha Mauseeqi ki mehfilein organize karne mein madad kee hai…aaj is “Kuucha-e-Kalam” ko aapke saamne rakhte huye bahut faqr mehsoos kar rahi hoon…jahan Mauseeqi se senses ko sukoon milta hai…wahan shayri, main samajhti hoon ki rooh ko seenchati hai…

Parastaar

Tau lijiey is mehfil ka aaghaaz karte hain Sharaabi Sahib ke likhe gaye iss sher se…

Dekho yaaroN dekho, sajaavaT mehfil kii
Har ghaDii rahe gii yeh chaahat mehfil kii


Sharaabi


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
2nd March 2004, 11:45 AM

paras ji
sabse pehle aap sab ko mubaaraqbaad Kucha-e-kalam ki shuruaat karne ke liye....yun to hamein shayri ki koi jayada knowlege nahin hai,,,ek shauqiya shayar hai ham,,,,jo dil mein aata hai usi ko likhne ki koshish karte hai......yahan aapke diye hue sher ko aage badhane ki koshish karta hoon.....agar naasamjhi mein koi galti ho jaye to naadan aur chota samjh kar muaaf kar dijiyega......

do jaam pee kar jab ladkhadayenge kadam
benaqaab ho jayegi sharafat mehfil ki

shamma ki jageh dil bhi jale hai yahan
dekh sako to dekho banawat mehfil ki


-Manoj


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
2nd March 2004, 01:01 PM

Kshama kijieygaa...

mujhse galati ho gayi...mujhe yeh thread Shayri-e-Dard mein shuroo karna thaa...taaki Sharaabi Sahib iss mehfil mein moderating duties kar sakein...so i will take you to the proper page...to post your shers...

http://www.shayri.com/forums/showthr...1430#post61430

Shukriyaa


paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Kuucha-e-kalam... Parastaar Anjuman-e-Shayri 1391 17th October 2016 07:24 AM
mehfil-e-maikashaaN, kuucha-e-dilbaraaN mausam Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 2nd July 2008 12:39 PM
Dil Ki Kalam Se.... purab Shayri-e-Ishq 1 7th March 2008 04:23 AM
Kaaba keh do ya Kuucha-e-yaar keh do,,, karan q Anjuman-e-Shayri 10 15th January 2005 05:15 PM
Kalam !!!!! Monal Shayri-e-Ishq 0 19th October 2004 09:56 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com