Leaving SDC - hope that thread will not be edited,deleted without taking concern -
24th December 2012, 01:37 PM
Doston main SDC par kuch saalon se hun aur mujhe ye jagah chhodni pad rahi hai.Main takreeban 10 saalon se net par hun precisely speaking about poetry aur SDC par bhi kaafi achha waqt raha lekin kuchh samay se infact kuch mahino se bahut negative mahaul hai aur use kum karne ka sahi hal hai ki members ko freedom di jaaye naa ki unke thread hi close kar diye jaayen.
Is tarah se member ki bhaawnaayen ahat hoti hain.Maine do thread kal chat section me banayen lekin unhe delete kar dia gaya jabki maine wo thread apni raay dene aur fellow members ke raay lene ke liye banaye the.
Yahan main kuch bhi post karne me comfortable feel nahi karta kyunki pata nahi ise kaun kaise le aur aakhiri me post hi delete kar dia jaaye.
Main poochhta hun kya ye sahi samadhaan hai?
Kya is tarah se mehnat karke like hue post delete kar dene chahiye?
Aakhir kyun hum itna insecure ho jaate hain?
Kya SDC itni kamzor site hai ki yahan har problem ka matlab yehi hai ki us post ko hi delete kar diya jaaye? kum se kum main aisa nahi maanta kyunki isi SDC par bahut si aisi threads hain jinpar healthy chat hui hain.
Kya chat section ka matlab sirf game khelna hi hai?
Well, main jaate jaate ek hi darkhwaast karunga ki pls kisi bhi member ki khaas kar kisi genuine member(jisne site par contribution kiya ho aur sabhi se achha vyavhaar ho) ki post ko edit ya delete karte samay uski concern len.
Baaki agar jaate jaate meri is baat ko bhi aap aisa hi samajhte hain ki iska reply bhi thread ko pichhle panno par bheja jaaye ya delete hi kar diya jaaye to usme aap swatantra hi nahi swachhand bhi hain.
God bless.
Quality is not an act,it is a habit.
|