Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Gazab ka shahar hai sabko udaas rakhta ha
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,749
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 38
Gazab ka shahar hai sabko udaas rakhta ha - 27th October 2024, 10:02 PM

ग़ज़ब का शहर है सबको उदास रखता है
पर इसमें हर कोई बसने की आस रखता है

जहां के तौर-तरीक़े समझ भी सकता हूँ
तेरा ख़याल मुझे नाशनास रखता है

तुझे सुकून मिलेगा इन आँसुओं से क्या
कि अपनी तह में समंदर भी प्यास रखता है

रखा है दूर बहुत दर्द को दवाओं से
चराग़ कौन हवाओं के पास रखता है

ये जिस्म-ओ-जान तो दुनिया के काम आए हैं
अब आसमां मेरी साँसों की आस रखता है

है कैसा चाहने-वाला जो तुझसे बात करे
तेरे हुज़ूर में होश-ओ-हवास रखता है

रिया तू जिसको समझता है वो हया है यहाँ
कि सच भी झूट का ख़ुद पर लिबास रखता है

वो ख़ुद को रिंद भी कहता है और ज़ाहिद भी
वो अपने हाथ में ख़ाली गिलास रखता है

सुना है एक भी सुनने उसे नहीं आया
जो आस-पास में चमचे पचास रखता है

ग़ज़ल का शौक़ ज़माने में कम नहीं होगा
ये ऐसा ज़ौक़ है जो आम-ओ-ख़ास रखता है

लिहाज़ अपनी ही ग़ैरत का है किसे “ज़र्रा”
और एक तू है जो ग़ैरों का पास रखता है

- ज़र्रा

Gazab ka shahar hai sabko udaas rakhta hai
par ismeN har koi basne ki aas rakhta hai

jahaaN ke taur-tareeqe samajh bhi sakta hooN
tera KHayaal mujhe naashanaas rakhta hai

tujhe sukoon milega in aaNsuoN se kya
ki apni tah meN samandar bhi pyaas rakhta hai

rakha hai door bahaut dard ko davaaoN se
charaaG kaun havaaoN ke paas rakhta hai

ye jism-o-jaan to duniya ke kaam aae haiN
ab aasmaaN meri saaNsoN ki aas rakhta hai

hai kaisa chaahne-vaala jo tujhse baat kare
tere huzoor meN hosh-o-havaas rakhta hai

riya tu jisko samajhta hai vo haya hai yahaaN
ki sach bhi jhooT ka KHud par libaas rakhta hai

suna hai ek bhi sunne use naheeN aaya
jo aas-paas meN chamche pachaas rakhta hai

vo KHud ko rind bhi kehta hai aur zaahid bhi
vo apne haath meN KHaali gilaas rakhta hai

Gazal ka shauq zamaane meN kam naheeN hoga
ye aisa zauq hai jo aam-o-KHaas rakhta hai

lihaaz apni hi Gairat ka hai kise “zarraa”
aur ek tu hai jo GairoN ka paas rakhta hai

- zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
kabir_shayer
Aapka Dost
kabir_shayer has a spectacular aura aboutkabir_shayer has a spectacular aura aboutkabir_shayer has a spectacular aura about
 
kabir_shayer's Avatar
 
Offline
Posts: 57
Join Date: Oct 2009
Location: Delhi
Rep Power: 18
10th December 2024, 04:45 PM

ग़ज़ब का शहर है सबको उदास रखता है
पर इसमें हर कोई बसने की आस रखता है


pehle hi misre me , saari baat kehdi aapne... Maine is misre se Shehar ko apni zindgi se joda hai.. yehi zindgi ki haqeeqat bhi hai. ham sab zindgi se pareshaan hain lekin marna bhi nahi chahte..


Nikli Hain Aaj Wo Ghar Se BENAQAAB
Khuda Jaane Kitne Qatl-e- Aam Honge.

8447849114
kabir.shayer@gmail.com
  Send a message via Yahoo to kabir_shayer  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com