Adaab Kabool Kijiye -
29th January 2004, 03:17 PM
Janab Muhatraam Pareveen Sahab... hum apki baat se itefaak rakhte hain yaqeen kijiye apne yahan yeh reply karke hum sab pe bahut mehrabaani ki hai Janab yahan bahut baad zubani hu rahi thi bahut logon ko shikyaat thi yaqeen kijiye parveen sahab kitne purane shayer hain yahan ke jinse mere aj bhi rabta hai sabne yahan likhna band kar dia yahan taak ke mujhe afsoos hai ke main ne bhi band kar dia Parveen bahi ap dekhiye kitne shayri ki copy ho rahi hai lekin janab bahut log yaahn bad zubani karte hain joke ache shayer ke liye sharaam ki baat hai janab main apke is khat se beintiha itefaak rakhta hun apki bari nawazish parveen sahab meri yeh guzarish hai ke ap roz is site pe nazar dala kijiye janab take is site ko hum waise hi roshaan kaar sakein aur wapas un shayron ko la sakein jo dil o mehnaat se yahan likha karte the aur phir se ek dafa is shayri.com main log ek dosre se apna ghum batein nahi ke date ka markaaz banayein janab is site pe hum chahte hain ke kuch rules aaid ki jayein joke hum apko aainda waqt main private main aga kareinge hamari kissi baat se apka dil dhuka hu tu hum teh-e-dil se maafi ke talaab gaar hain ap apse ijazat chahinge ....Kudha Hafiz....
Allah Pak De Hawale...
ek anjaan sa shaks...
salman shaikh...
Chal parin hain kashtiyaan samandar dur hai kinaara.....
in majon se puch lena kia haal hai hamaara....
______________________
Ashk bankaar woh mere chashm-e-tar main rehta hai....
ajeeb woh shaks hai jo pani ke ghar main rehta hai........
|