 |
|
|
|
|
 |
|
|
Shayar
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
|
Khuda ke liye Shayri.com ko shayri ke liye hi rehne deN... -
29th January 2004, 11:51 AM
Aziiz Dosto
Aadaab
Mujhe bohat takleef ho rahi hai yahaN jo bhi kuch chal raha hai ye dekh kar. Bohat logoN se shikayateN aayeen haiN ke yahaN ka mahole badmaza hota ja raha hai.
Afsos ki baat ye hai ke ye site jo sher kehne aur sunane ke liye hai usey yahaN ke membaran ne dating-joint meN tabdeel kar diya hai. Shayrana zaban ki jagah galiyoN aur bhadde afaaz ne le li hai. Log jis tarah ke alfaaz istemaal kar rahe hain wo badi sharm ki baat hai. Jab paRh kar sharm aati hai to un hazraat ko wo alfaaz yahan likh kar chaspaaN karte huve kyuN nahin aayee.
Sabhi dostoN maiN is baat se aagah karva duuN ke behtar hoga ke is tarah ki batoN ke liye koi aur jagah chun leN. Ab yahan se aise logoN ka daan-paani uth gaya samjheN. MaiN baRi hi saKhti se aisee har post ko delete karne jaa raha huuN. Aur gandi zaban wale har member BAN karne ja raha huuN.
Ye baat tai hai ke is site par is qism ki harketeN yahaN bardasht nahiN ki jaayeNgi. Chahe jo bhi ho.
Aur jo log is jagah se pyaar karte haiN unse meri guzarish hai ke Khuda ke liye apne waqt men se kuch lamhe iske liye nikalen aur yahaN hone waali kisi bhi badmaza baat par nazar rakhen aur uskii ittela mujhe deN. Foran action liya jaayega.
Ummeed hai aap sab is baat par ghaur kareN ge aur yahaN ke haalt theek karne meN meri madad kareNge.
“YahaN Khaskar Ekta ji ki post ka zikr karna chahuN ga. Ekta ji aapko ye post nahiN karni chahiye thi. YahaN aapki tasveer ki zaruurat nahiiN hai. Agar aap shayri karti haiN to most welcome. Aapki post delete ki jaa rahi hai.”
Khaksaar
Praveen Saxena
raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
Last edited by prasaxena; 29th January 2004 at 11:57 AM..
|
|
|
|
|
deewaana
Offline
Posts: 214
Join Date: May 2003
Location: Dar-es-salaam
Rep Power: 26
|
2nd February 2004, 06:03 AM
sat sri akaal salaams and namaste,
kiya kahoon aapkoh jho apne kaha hain woh bhi sach hain yahan logh shayree keh sokheeen hee tashreef laate hain magar kuch arshee pehele yeh sirf shayree kah he mahol tha magar ab hum neh bahut post karnaa hee rehene diya hain kiyu keh hamaree leekhi hui posts doosree deen hum dekhtee hain 3 rd page peh miltee hain kiyu keh eik hee inssaan itnee posts kar dete hain agar aap moderator hoh toh sabkoh yeh bhi ilteejha karnaa plzz ... eik doh he posts kareh eik deen mein toh hamaree posts bhi koi padh shakee or hum bhi kuuch jiyaada hoshalla rakhee likhnee kaah or sab kee posts hum bhi padh sahkeeh
shukriya
dil toh sirf deewaana hain
|
|
|
|
|
*Ishq~Ibadat.......**
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 34
|
11th February 2004, 12:56 PM
Leave words the way they should be left. Pure and True...
Jo log yahan apne dil ke baathen bathane athe hai, unko yeh par kar dard hotha hai. Ke aur yahan unke dil ke baatho ko mehsoos karne nahin par apne dating mein zyada interst lethe hai. Kissi aur ke jazbaato ko nazaar mein rakthe huwe please ap apne ashike ke kissey kahe aur shuru kar leh.
Duniya hai dilwalo ke aur duniya mein bahot assi jagai hai jahan ap apne baathein kar sakthe hai.. Lekin kaam hai jaga dard wallo ke jo apne gum ko chupa pai. Yeh jaga rehne do dil ke kamoosh batho ke liye.
I totally agree. Thanks for saying these beautiful words.
Take care. God bless you.
Keep smilling....... 
*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**
*Pure Love**
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,778
Join Date: Apr 2003
Location: UP, India
Rep Power: 30
|
hello -
19th February 2004, 04:57 PM
aaj bahut din baad samay mila to padh raha hu. sach kahu parveen ji aapne mere muh ki baat kah di hai. sach yaha hum shayri website per aate hai apane kuchh emotion ko likhane aur padhane.per kuchh log hi ese badnaam ker rahe hain.aap kripaya sakti se kadam uthaye.main aapke sath hoon.
Akant...
*********
आहट सी कोइ आये तो समझ लेना कि तुम हो...
AahaT si koi aaye to samajh lena ki tum ho...
|
|
|
|
|
Silence
Offline
Posts: 135
Join Date: Jan 2002
Location: uk.....(North)
Rep Power: 26
|
26th March 2004, 08:17 AM
Salaam praveen ji
I havnt been for a while and when i came back i read this issue.
Well 1stly id like to say that im glad that you and all the others have bought this issue up.
We all come here for our own respected reasons. Some to write and some to read but in the two years of time ive been a member i dont remember any one comming here to abuse untill now.
Worse yet is that if you pm them REQUESTING them to behave for their own good interest they reply back with a load of more abuse.
I have always considered this site as a beautiful familty like site thats there for you in good and bad times. Its disgracful and embarrasing to have such people as a part of this pure family like site.
I believe there is nothing wrong in love and there is a section provided for issues on love. But its for shayri and nice litrature.
I strongly believe that anyone violating such simple and important rules should be banned.
I trust the respected members and moderates will agree with me and see matters like this again is delt with.
Id also like to say thanks to you guys that have kept this site going with your heartfelt shayri's. Thanks for sharing the feelings.
With all my love and wishes
Henna
Silence!!!
Dont live on a promise.....you'll be waiting all your life.
Dont wait for me.....I might not return.
|
|
|
|
|
Guest
|
Ya kya sitam keya aapnai janab? -
27th August 2004, 02:15 AM
Salaam
Janaab main aap kee baat see agree karta hoon yahan ka mahool kafee kharab hoogaya thaa or aap nai late leya ya step magar khaar leya too sahee aab meharbanee kar ka plz mujh ko mera kusoor bata dain aapnai meree saree shayree Q? delet keee ?kya who kisee terha wapess aasakteen hai ?ya mian dubara post karooo barayo meharbana chand loogoon kee ghaltee kee saza sab ko nahi deya karin or jinn loogoon nai is shayri.com ka mahool kharab keya hai unn mian sab see zaida who kya nick thaa usska ithink Chillan thaa uss ko aap iss web seee Dhakkai de kar nikkal dain or koishish karin ka har week yahan logoon kee shayree chack karleya karin or jo bhee pattree see uterraha hoo uss ko samjha deya karin or dusree bar kari too uss ka account block kardeya karin well aap ka bohat bohaat thankz k aap nai shayri.com pee ham jesi logoon ko bhee invite keya ok
Allah Hafiz TC
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 5
Join Date: Aug 2004
Location: karachi
Rep Power: 0
|
khurram masood nay aakhir kia ghalti ki jisski woh moaafee mang raha hai, -
16th September 2004, 03:31 AM
Yeh shair sahab jo bhi hain, shair honay kay naatay jo zuban istimaal ki hai , pehlay to masoom bankay apna qusoor poocha hai keh main nay kia ghalti ki hai jo meri shaaeeree delete kardee/ nikaldee?. phir jin saahab ki nik ghaliban chillan thee
unko Mataaoon ( discard, disgrace) kia hai.
phir ussko dhakkay day kar nikalnay ki baat kee hai.
phir aik hi waqt main ussko samjhaanay ki baat ki hai.
SAWAAL yeh hai aik so called shair aisi zuban istamall kar sakta hai? kia yeh zubann shaaeree say mail khaati hai? merey khayal main nahin.
mera khayal hai in doonon letters ko yahan say "hazaff" kar dena chaahiyee. yeh sher o shaaeree ki mithass ko kadwaa kar raha hai, mujhko to aisa hi feel hota hai.
padhnay waaloon ki kia raayee hai Tabsaraa Karain.
PHIR BHAI FARMAATAY HAIN, BOHAT BOHAT SHUKRIYA KEH AAPNAY HAMM JAISON KO BHEE INVITE KIAA......................
YAA ABULL AGABB, hairat hai!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
=============================================
aab meharbanee kar ka plz mujh ko mera kusoor bata dain
***********************************************
apnai meree saree shayree Q? delet keee ?kya who kisee terha
.................................................. .................................................. .
wapess aasakteen hai ?ya mian dubara post karooo barayo
meharbana chand loogoon kee ghaltee kee saza sab ko nahi deya karin or jinn loogoon nai is shayri.com ka mahool kharab
.................................................. .................................................
keya hai unn mian sab see zaida who kya nick thaa usska ithink
************************************************** *
Chillan thaa uss ko aap iss web seee Dhakkai de kar nikkal dain
...........................................******* ***********************
or koishish karin ka har week yahan logoon kee shayree chack
karleya karin or jo bhee pattree see uterraha hoo uss ko samjha
************************************************** **
deya karin or dusree bar kari too uss ka account block kardeya karin well aap ka bohat bohaat thankz k aap nai shayri.com pee ham jesi logoon ko bhee invite keya ok
*******************************
open for all participents, sho-ora and
sha-erat. all topics are welcomed.
|
|
|
|
|
Sukhan-Nawaz
Offline
Posts: 53
Join Date: Jan 2004
Rep Power: 22
|
good bounce -
7th November 2004, 03:31 PM
Salam,
its nice to b here back afta days n see some serious warnings for the low n lewed langs being used i just read someone posted things in a forum that was goin too good now all who read that thread feel kindda ashamed
hum kyun bhool jatey hain ke har koi hamsa nahi hota try to respect others n afcourse yr self too
its really a good step taken to delete all those kindda posts that neva suit a suround that this site provides
keep it up n going
Uski Shanoo.n pe jis ki har sham guzarti SAQIB
Wo zindagi kabhi merey naam thi hi nahi
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 791
Join Date: Feb 2004
Location: nagpur
Rep Power: 0
|
13th December 2004, 05:32 PM
hello ,
sorry but i just wanted to ask one question what is + (plus) sign denote i have got it on one of my mail's subject.
mail's name is pehchaan
please if u can do reply....
|
|
|
|
|
Sifar
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 42
|
3rd March 2005, 11:57 AM
Quote:
Originally posted by priyanka jain
hello ,
sorry but i just wanted to ask one question what is + (plus) sign denote i have got it on one of my mail's subject.
mail's name is pehchaan
please if u can do reply....
|
priyaNka ...
uff tum bhi na ... ye jagah in sab sawalaat ke liye nahi hai ... well phir bhi tumhari mushkil maiN hal kiye deta huN ... jiske aage + ka nishan aa jaye to matlab hai ki us post maiN kahiN koi... file attach hui hai... jaise jpg*.* ya bmp*.* format ya koi aur bhi ... + ka matlaab hai attachment...
samjhi madam ... aur dekh to liya karo kahiN jane se pehle ki jagah kouN si hai
kunal
KunaaL (Sifar).........
Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 791
Join Date: Feb 2004
Location: nagpur
Rep Power: 0
|
8th March 2005, 06:31 PM
Quote:
Originally posted by sacccha_pyar
priyaNka ...
uff tum bhi na ... ye jagah in sab sawalaat ke liye nahi hai ... well phir bhi tumhari mushkil maiN hal kiye deta huN ... jiske aage + ka nishan aa jaye to matlab hai ki us post maiN kahiN koi... file attach hui hai... jaise jpg*.* ya bmp*.* format ya koi aur bhi ... + ka matlaab hai attachment...
samjhi madam ... aur dekh to liya karo kahiN jane se pehle ki jagah kouN si hai 
kunal
|
are kunal...
sorry ho gaya....
waise iska jawab mujhe bahut pehle yash ne de diya tha...
anyways thanks a lot...........
take care of urself friend...
at thant time actually i didnt understand where u ask so.....
any ways i m sorry
bbye
|
|
|
|
|
Guest
|
18th March 2005, 04:34 PM
Quote:
Originally posted by henna
Salaam praveen ji
I havnt been for a while and when i came back i read this issue.
Well 1stly id like to say that im glad that you and all the others have bought this issue up.
We all come here for our own respected reasons. Some to write and some to read but in the two years of time ive been a member i dont remember any one comming here to abuse untill now.
Worse yet is that if you pm them REQUESTING them to behave for their own good interest they reply back with a load of more abuse.
I have always considered this site as a beautiful familty like site thats there for you in good and bad times. Its disgracful and embarrasing to have such people as a part of this pure family like site.
I believe there is nothing wrong in love and there is a section provided for issues on love. But its for shayri and nice litrature.
I strongly believe that anyone violating such simple and important rules should be banned.
I trust the respected members and moderates will agree with me and see matters like this again is delt with.
Id also like to say thanks to you guys that have kept this site going with your heartfelt shayri's. Thanks for sharing the feelings.
With all my love and wishes
Henna
|
Last edited by prasaxena; 18th March 2005 at 05:12 PM..
|
|
|
|
|
Filtering the Thoughts
Offline
Posts: 162
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 22
|
20th March 2005, 10:01 PM
Arey !
It happens with most of the site of this theme as you know.. mostly people of broken heart are here.. so !! !!!
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4
Join Date: Mar 2005
Location: karachi
Rep Power: 0
|
cool -
21st March 2005, 04:54 PM
toofan ki mojo.n say na bachtay tou khair thii
sahil ki dosti k bharam nay dbou diya.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 204
Join Date: Dec 2004
Location: india
Rep Power: 21
|
hi -
31st March 2005, 11:48 AM
Bushra jiii,
Ye koi shayri karne ki jagah nahin balki apni pareshaani share karne ki jagah hai....
Plz aap apne sher Shayri e Ishq mein Post karein.
Dil to kya Cheez hai, Hum Rooh mein Utre Hote...
Tumne Chaha hi nahin Chahne Walon ki Tarha...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 4
Join Date: Mar 2005
Location: karachi
Rep Power: 0
|
acha g -
1st April 2005, 03:58 PM
acha ajmal g ghalti hogai
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 204
Join Date: Dec 2004
Location: india
Rep Power: 21
|
Assalamo alaekum -
2nd April 2005, 09:56 AM
Bushra jiii,
Lagta hai aap to bura maan gayin....
I just joking yaar...
Dont mind....
& Take Care.....
Allah Haafizzz
Ajmal
Dil to kya Cheez hai, Hum Rooh mein Utre Hote...
Tumne Chaha hi nahin Chahne Walon ki Tarha...
|
|
|
|
|
Paigaam-e-Aman
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 27
|
28th April 2005, 04:35 PM
Praveen bhai....
ek link alag se bhi PM kiya hai aapko.......vo isme shaamil nahi hai....
aapko tang kar raha hoon....muaf kijiyega......
aapka apna.....
**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......
AMAN RAHI
|
|
|
|
|
Shayar
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
|
DostoN ke liye -
5th September 2005, 06:16 PM
Aziiz Dosto
Kuchh dinoN se ek Khaas topic hamari site pe garmaaya hua hai. Aur iss baare meiN Aman sahab aur Parul ji ne Khaas aawaaz uthhayee hai.
Main unke KhayaloN aur jazbe ki qadr karta huuN. Aur ye bhi manta huuN ke wo ekdam sahi baat keh rahe haiN. Jab ek shaKhs ek hi ID se apni baat keh sakta hai toh ussey koi aur ID banane ki zarUrat kyuuN paRe. Lekin phir bhi log aisa karte haiN.
Mujhey lagata hai ke wo membaraan ko ye batana chaahte haiN ke ke unke kalaam ko kitne logon ne taareef se nawaaza hai. Mera Khayaal hai ke aisa karne waale Khud jaante haiN ke unka kalaam kitna qaabil-e-daad hai. UnheN lagta hai ke agar kahiN se tareef na mile to chalo Khud hi kar leN. Mujhe afsos hai ke shayri ke naam par hamaare member dost iss tarah ki halki baton par utar aaye haiN.
MaiN Parul aur Aman ko ye bhi bataana chahuuN ga ke aise logon ko ban karna iss pareshaani ka hul qatayee nahiN hai. Kyunke aise log us ghaas ki tarah hote haiN jisse jitna zyada kaateNge aur zyad baRh jaati hai.
Aap iss baat ko maan leN ke ye site paid site nahiiN hai aur yahaN koi bhi register kar sakta hai. Aur ye baat bhi jaan leN ke yahaan chhoR kar jaane waali baateN karne waale shayri ke chaahne waale nahin ho sakte aur na hi unmeiN koi shayrana baat ho sakti hai. Aap se guzaarish hai ke aise logon ko ignore kar diya jaana hi behtar hoga. Warna unheN ban karte-karte hi saara waqt nikal jaayega… hum sher kab kaheN ge? Sach toh ye hai ke unhe shayri se koi lena dena nahin. Aise logon ke liye pareshaan hokar aap kyuuN apna qeemti waqt zaaya kareN.
Aap sab se meri ye guzarish hai ke jab koi chori ki post jaisi harkat kare to wo saamne laane se na chuukeN. Aise logon ko rokna aur yahaN ka darwaaza dikhana zaruuri hai.
Yaad rakheN… ye hum sabka apna ghar hai yahaN achcha mahole bana rahe uski zimmedaari hum sabki hai.
Ummeed karta huuN ke Aman aur Parul jaise dostoN ko kuchh hudd tak unke sawaaloN ka jawaab milaa hogA. Phir bhi kuch baat main kehne se reh gaya huuN to phir kahuuN ga.
Fil haal aap sabhi ki raae ka muntazir rahuuN ga.
Khaaksaar
Praveen Saxena
raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,629
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 35
|
5th September 2005, 07:38 PM
Phir bhi Praveen saahab ki ek baat per jaroor kehna chaahuNga ki ...
jaroori nahi sab....apni taareef khud karne ke liye eisa karte hoN...ho sakta hai unhe doosroN ke reply na milte hoN isi liye wo eisa karte hoN..or yahaan mai Chandsi se sehmat hooN...haan har ek yahaaN maahir nahi hai khuchh khaas dostoN ki tarah...per shayri pasand karte haiN...tabhi yahaaN aate bhi haiN...ye baat or hai ki shaayad meri hi tarah wo bhi iski baareekiyaaN or technicalities na jaante hoN...so per wo bhi kadrdaan haiN shaayri ke....
so unki khataaoN ko naadaani samajhkar maaf kiya jaaye...
KyoNki perfection....kahaan hota hai har ek me...(Praveen saahab or kuchh or dost...iske udaahran haiN so...mai salaam karta hooN unhe.)
or Jab koi site chhod kar jaane ki baat karta hai to wo kisi ki baat se hurt feel hokar bhi eisa kar sakta hai...so...iska matlab bhi ye nahi ki use...shaayri se lagaav nahi hai...balki koshish rahe ki ham uski galati (agar koi hai to) use shaaleenta se samjhaakar...apne saath hi rak.khaiN...or Pulkit hamaare beech iska ek bahut achchha udaahran haiN...jo aksar dostoN ko jode rakhta hai..galatiyaan samjhaane ke baavjood....mera salaam Pulkit ko bhi.
Shaayar jiyaadatar bhaavuk hriday ke log hote haiN...so...jaldi hi har baat ka bura maan jaate haiN..phir chaahe baat post per reply na milne ki ho ya...kisi apmaan ki....wo kripya ek doosre ho hurt karne ke bajaay protsaahit karien....(Meena ji ki tarah..)
Or haaN CHANDSI JI JEISE LOG JAB KUCHH PUKAAR PUKAAR KAR KAHEIN TO PLEASE...UNHE NAYA SAMAJHKAR IGNORE NA KAREIN...UNKO BHI SUNEIN....KYONKI JO LOG SAAF BOL DETE HAIN ....KHATARNAAK NAHI HOTE....SO KUCHH BAHAADUR LOG BHI SAATH RAHEIN TU ACHCHHA LAGTA HAI..
(Praveen saahab ek request hai kisi ke ID ban mat kijiyega...ham sab samajhdaar haiN...khud hi dheere dheere improvement kar leinge khud me.)
Khush raho....
Muskuraate raho...
Chaand
Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.
- Chaand
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 95
Join Date: Sep 2005
Rep Power: 20
|
21st September 2005, 02:08 AM
aap sabh ko jo kabhi na kabhi kuch na kuch dil se nikal kar kagaaz par likthe hai,
unko mein kudh tareef deena chaahtee hu. Hum parthe sabh ke shayri hai,
par kabhi kabhi reply post nahin karthe.
Yeh saach hai ke sabh ka hunsla barhana chayee,
par mein sirf ithna kaho ge ke ke koi kuch reply karee ya na karee aap likhthee rahee.
Hunsla ithnee jaldee nahin har the,
aur yeh koi contest bhi nahin hai ke kyon acha likhtha hai ya nahin.
Yeh tho kisse ne site banayee hai jo hum sabh ko maukha deethe hai dil ke kuch baath sunanee ko.
Please contine to write no matter what it may be.
Writting something drains the heart of some pain and lets one know that atleast someone knows how they feel. Writting something drains the heart of some pain and lets one know that atleast someone knows how they feel
Chota sa dil
hello,
Aapne mere labz cheen liye..
Isse behtar shaayad main apne khayaal nahin kah pata.
I will make this post sticky.
Zyaada Log ise padhenge...
and shaayad unhe shayri.com ki dhadkan ka ehsaas hoga.
Agar kuch hi labzon main shayri.com ki buniyaad ke baare main kaha jaaye...
woh hoga..
Mohabbat, Dard, Jazbaat aur khayalaat ka baantana....doston ke saath....
Tahe dil se shukriya for this lovely post
Gaurav
Last edited by gjgjgj; 29th October 2006 at 12:04 AM..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,778
Join Date: Apr 2003
Location: UP, India
Rep Power: 30
|
hi -
28th September 2005, 03:00 PM
aapke sab ke sujhav bahut achchhe hain aur main aap logo ke es kaam ki sarahan kerta hoon ki aapne dil ki baat ko juba tak laya aur unhe shabdo mein piroya.. aap sab sahi hain..
Akant...
*********
आहट सी कोइ आये तो समझ लेना कि तुम हो...
AahaT si koi aaye to samajh lena ki tum ho...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 22
|
29th September 2005, 09:23 AM
Samjh samjh ka ferr hai
Wo kutch likhte hai
Fir pyaar se kehte hain
Jawaab ka intejaar rahega
Par kyou?
Jab dusre likhte hai
Aap padhte ho
Ek nahi 100 log padhte ho
Jawaab ek ka bhi nahi hota
Par kyun?
Aap likhte ho
100 log padhte hian
10ka ka jawaab hota hai
aap khush ho jaate ho
par kyun?
Kya khushi milti hai ?
Ki aapke dost ka jawaab tha
Ki aapko logoON ne saraaha
Aapke dukh ko nahi
Aapke lekh ko saraaha
Pure josh ke saath
Fir aap ek naya kutch likhte ho
Par kyun?
Kiyunki aapko likhna aata hai ?
Ya fir wahi pyaar pane ke liye
Logoon ka saath pane ke liye
Saath wo pyaar jo himmat badhaati hai
Fir kyun aap kisi ka himmat nahi ban sakte
Aap jo chaaho wo sahi baaki galat
Par kyun?
Agar bas likha hin chaahte ho
Toh apne diary main likho
Ek nahi baar baar likho
Kisi ko mat dikhyaa karo
Kisi ko mat sunaaya karo
Par hum sunaate hian
Apni kavita padhaate hain
Par kyun?
Aapne likha jawaab ka intejaar rahega
Par kyun?
Kisi ne likha jawaab ka intejaar rahega
Aap jawaab de naa paao
Par kyun?
AAP JO DUSROON SE CHAAO
WAHI AAP DUSROON KO DE NA PAAO
PAR KYUN?
Hum likhte hain
Likhna aata hin nahi
Bas koshish hin rehti hai
Hum dusroon ko padhte hian
Dard sabka apna sa lagta hai
Par kyun?
Dusroon ko padh kar
Humne rona hin chod diyaa
Unke dill ki tadap ko mehsoos kiya
Or fir kutch kehna chaha
Par kyun?
Jinke liye hum ladte rahe
Wo bhi saath de na sake
Sabke samne na sahi par
Peeche se wo kehte rahe
Jataate rahe santust hote rahe
Par kyun?
Kyun itni tang dill ye duniyaa hai
Kyun bas khud ke liye ye duniyaa hai
Kyun bas naam kamane bhar ki duniyaa hai
Kyun ye chaaplusi ki duniyaa hai
Jahan khudd ki bhalaai ho bas ussi ka saath de
Chaahe baat sahi ho ya galat
par kyun?
Bas apne main hin simmti duniyaa hai
Dost ka saath na chutt jaaye
Issliye saath choda satay ka
Fir bhi dill main khush hote rahe
Chlo kutch toh unkaa bhlaa hota raha
Kooi mare ya jiye
Unka toh bas bhlaa huaa
10 log jisse bhala kahe
sabhi ne ussi ko bhlaa kahe
kyun khudd kutch bhi soch nahi paate
kya sahi or koun sahi
kya galat or koun galat
badi matlabi duniyaa hai
na jaane kyoun maine pangge liya
na jaane kyun?
Sorry dill se NAHI kehna chaahti
Par fir bhi sabka dill dukha baithi hoon
Mujh se ye bhi sahi NAHI jaati
Pata nahi kyun?
CHLO AMAN JI MAINE MAANii APNI GALTI
ANJAANE MAIN HUI MUJHSE GALATI
DILL TODA AAPKA …..HUI HUMSE GALTI
LO HUM MAAFI CHAAHTE HAIN
KI HUI HUMSE EK GALTI
AAB MAAUF BHI KAR DO ….
AAPKO CHOT LAGA MAIN RAAT BHAR NA SO PAAI
PATA NAHI KYUN?
AAP SAHI MAIN HIN GALAT
AAP KHUSH RAHO TOH MAIN BHI KHUSH
PATA NAHI KYUN?
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 22
|
7th October 2005, 02:43 PM
.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.
Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay
Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae
.................................bye and tc ..................
|
|
|
|
|
finest & funnyest shayar
Offline
Posts: 180
Join Date: Jan 2006
Location: bombay
Rep Power: 21
|
25th January 2006, 06:37 PM
arrreee yaaar itne bade messages mat bheja karoo ekdm bore hota hai
choote messages badi enjoyement take care bye reply me.
--
reply
BHEJO
WARNA
"r--._,---------.
"_, .c-.------"""
/ i--"
C__J
YE DEKHA? HAI NA?
PURI 6 KI 6 UTARU KYA BHEJE MEIN ?
|
|
|
|
|
Shayar
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
|
Shukriya -
25th January 2006, 07:04 PM
Ye message padhne aur samjhne ke liye haiN. Aur janab agar aap isse padh kar bore ho gaye to issmein kisika nahin aapka qusoor hai. Aap shayd Ghalat site pe haiN. Behtar hai kahiN aur dhoondeN jiski aapko talash hai. Ummeed hai aapko ye CHOTI si lekin bohat BADI baat samajh aayi hogi.
aapke aane ka shukriya
Praveen
Quote:
Originally posted by aditya_neal
arrreee yaaar itne bade messages mat bheja karoo ekdm bore hota hai
choote messages badi enjoyement take care bye reply me.
|
raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
|
|
|
|
|
EK CHAMAKTA HUA SITARA
Offline
Posts: 1,884
Join Date: Jun 2005
Location: Rajasthan,India
Rep Power: 27
|
Hi -
25th January 2006, 07:10 PM
Parveen bhai
apki baat se hum bhi sehmat hai
sukriya
Navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko harata naa dekha
Kaise Samjhau Dil-e-hasarat-nasiib Ko Apne
K Sab Kuch Milta Nahi Chah Lene Se Ish Zamane Mein..... "Diggaj"
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 3
Join Date: Mar 2006
Location: lahore
Rep Power: 0
|
1st March 2006, 01:11 AM
hmmmmmmmmmmmmmm 
Ishq hota nhi sabi ka leay
yah bana hai yah bana hai
kisi kisi ka liy ..........
|
|
|
|
|
sabke dil mein pyar banke
Offline
Posts: 1,053
Join Date: Jan 2005
Location: in ur heart
Rep Power: 22
|
6th March 2006, 09:22 PM
parveen ji mein aapki baat se puri sehmet hoon....lakin ban nahi karna chahiye unhe khud-b-khud samjh aa jayega ki humse kya galti huyi hai.....yaha ju bhi aate hai wo ek tarha se shayar hi hote hai koi perfect ho ya na ho tabhi wo likhta hai kyu apna dil halka karne ke liye.....sab yaha aate hai sab acha likhte hai.....mene aaj tak nahi dekha ki yaha kisi ko reply na mila ho 1 hi mila ho lakin mila kyuki unhe unki feelings achi lagi....isliye unhone pada aur reply kiya....aur agar koi 2 id banata hai tu wo apne aapko hi dukha de raha hai apne parivaar ko dukha de raha hai koi aapko reply kare ya na kare aap likhte jayiye kabhi apna husla nahi khona chahiye kyuki koshish aur husle pe tu duniya kayaam hai fir hum tu ek aam insaan hai....
agar koi galti huyi hu tu maaf kar dijiyega.
aapki simran
unforgetable simran
~~~~~~~~~~~~~~~~
Ju PaL mIlE uSs PaL kO jEe lO
sHaYaD kAl Ho Na Ho......
love is seeing yourself in someone's
eyes and finding yourself in somebody's heart!!!!!(*-*)
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep
(¨`·.·´¨)¸.·´ Smiling!
`·.¸.·´
ITS STATE OF MIND.....
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2
Join Date: Mar 2006
Location: Mardan
Rep Power: 0
|
29th March 2006, 10:47 PM
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 22
|
10th April 2006, 04:16 PM
.
Aaj apni galti ka ehsaas ho raha hai …………….
Aaj samjh main aaya ki kutch log kutch logo ko reply kyoun nahi dete the ………………
Or phir kutch log kyoun das id banaaya karte the ……………..
Nahi pata mujhe inn sab problem kaa kya solution hai ………….
Actually pehle mere liye saare shayries naye the coz maine pehle kabhi iss tarah ke shayris padhe hin nahi the ……so mujhe sabka likha pasand aata tha ……….tab mujhe nahi pata tha ki wo sab adhiktar shayris ustaadon ke poems hote the ………
Mujhe lagta bachche log itni mehnat karte hain toh hum sabko unko badhaawa dena chaahiye ………………..or bas issi liye sabke liye aawaaz uthaai ……………
Aaj mujhe behad bura lag raha hai ………………
So ………….me sorry once again ki mere kaaran kabhi hungaama
Huaa tha ……………………….
Jo jaan bujh kar galtiyaana kar rahe hain ………pareshaan kar rahe hain ………..wo kyoun kar rahe hain pata nahi ……….
Phir bhi aaj bhi agar hum thoda pyaar se pesh aayein toh shayad kutch had tak sabhi ko badla ja sakta hai …………………
Sabko apna maani iss baat ke liye afosos hai mujhe ……………..
Jo samjhdaar log hain wo bhi agar galtiyaana karein toh baakiyouno se kya umeed karna ……
main jo chahti thi ==jo jataana chahti thi wo kooi nahi samjh pyaaa...............
……………………………………..khair …………….bye and tc
.
.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.
Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay
Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae
.................................bye and tc ..................
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 58
Join Date: Mar 2006
Location: Rajasthan
Rep Power: 21
|
Good -
13th April 2006, 12:21 PM
Aapne Bahut Achcha Farmaya Pareev Saheb. mera bhi yehi kahna hai ki
Intzamaat Naye Seere Se Sambhaale Jayen...
Jitne Kamjarf Hai Mehfeel Se Nikale Jayen......
(¨`·.·´¨) Always
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep
(¨`·.·´¨)¸.·´ Smiling!
`·.¸.·´
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 12
Join Date: Apr 2006
Rep Power: 0
|

3rd May 2006, 01:13 AM
Are kamzoron ko kamzor mat samjiye Woh bhi mohobbat mein bade sakt ho jaate hain..
waise aap ne likha khub achachha hai galat to nahi hai......
mera kahena hai ki jo mahobbat kar nahi shakte woh kamjor hi hai...... mahobbat se mukarne wale chale jaaye yahi achchha hai!!!
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 9
Join Date: Jun 2006
Location: india
Rep Power: 0
|
hi -
26th June 2006, 01:56 PM
seriously sir u have raised good issue it is nice to support for a good cause and to spare the environment from polluted minds
|
|
|
|
|
shayri is my life
Offline
Posts: 1,938
Join Date: Jun 2006
Location: Punjab(Phagwara)Now:(California) USA
Rep Power: 34
|
hi -
8th August 2006, 07:44 PM
parveen bhai appko raj ka salaam kabool ho.....parul ji or aman ji ne mudda uthaia hai wo bilkul wazib hai.......kush log double id bana kar khudko sabki nazar main lana chhate hai lakin meri un dosto se guzarish hai ki plzzzzz wo aisa na kare aisa karne ki bazaiye wo apne qalaam ki khubsurti par zoor de ta ki log khud b khud majboor ho jaye unki tareef ke liye.....apne kaam main dam dikhao apne qalaam par mehnat karo wah wah appke picche bhagegi..........raj.........
un se kar liya kinara unki khushi ki khatir
ab mujhe bewafa kahiye ya bawafa kahiye...(Raj)
|
|
|
|
|
Shayri.com Moderator
Offline
Posts: 10,554
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 60
|
13th August 2006, 10:48 PM
dost main much jyada to nahi likhunga
ur..............goin gr8.........ur friend rock
*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 23
Join Date: Jun 2006
Location: lovers heart
Rep Power: 0
|
hi -
19th October 2006, 01:00 PM
hi
dear
aacha likha hai apne
bye take care
mushki
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 8
Join Date: Oct 2006
Rep Power: 0
|
Naye duar ki mohabbat ki asl tasveer........shama..... -
21st October 2006, 11:50 AM
Shayri.com main ye mera pehla qadam hai or maine sabse pehle aapka message read kiya ye hamari khushkismati hai k jahan mein aap jaisi paakeeza soch k log bhi maujood hai jinhone mohabbat k asl maani ko ab tak zinda rakhne ki koshish ki hai.Main bhi aapko apni soch batana chahti hun jo aajkal k duar ko dekhkar hi wajood main aayi hai or ummid hai aapko ye pasand aayegi........................
Ab kahan pyar hai paakeezgi ka naamonishaa
Jism ki bhuk hai aur usk siwa kuchh bhi nahi
Wo sadi beet chuki jis main the Laila Majnu
Aaj to sirf hai duniya main dikhave ka junoon
Aur phi dhundte phirte hai mohabbat ka sukun
In iraadon main ginaahon k siwa kuchh bhi nahi
Jhulm hota hai andheron main hawas pal ki hai
Takat hai yahan iski sada chalti hai
Zakhm taza hai magar phir bhi chhuri chalti hai
Marz kuchh aise bhi hai jinki dawa kuchh bhi nahi
|
|
|
|
|
Shayar
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
|
Shukria -
30th October 2006, 10:47 AM
Fari Sahiba
Aapke khat ka bohat bohat shukria. Muafi chahta huuN ke aapko jawaab dene meiN zara deri ho gayi kyunki ke Khaksaar pichle dinoN yahan nahiN thha. Aapki sochh bohat sahi hai lekin afsoos ki baat hai ke aaj aisi sochh par chalne waale kam hote jaa rahe haiN. Lekin achchi baat hai ke aise log abhi haiN aur isi wajah aur aise logoN ki wajah se aaj ye site qayam hai. Ummeed karta huuN aap apni maujdgi se is site ki raunaq banaaye rakheN gi. Aur apni khoobsoorat takhleeqat se hameN nawaazti raheN gi.
PS: Is message ke saath meiN un sabhi logoN ka shukria ada karna chahuuN ga jinhoN ne is thread par reply kiya aur maiN unheN likh nahiiN paaya. Aap sabhi hazraat jo in Khayalaat se ittefaq rakhte haiN unki is site ko bohat zaruurat hai.
shukria aur duaoN ke saath
Khaaksaar
Praveen
raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
Last edited by prasaxena; 30th October 2006 at 10:51 AM..
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
 |