Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Sawaali
Old
  (#1)
chanderp
Registered User
chanderp is just really nicechanderp is just really nicechanderp is just really nicechanderp is just really nicechanderp is just really nice
 
chanderp's Avatar
 
Offline
Posts: 141
Join Date: Aug 2009
Location: Dont know yet :|
Rep Power: 19
Post Sawaali - 19th October 2011, 06:06 PM

Wo dar pe mere sawaali ban ke aaye hai,
aankho me ansuo ka sailaab laye hai.
Shikwa karu unse ya gale laga lu,
Aaj fir dil ke daag zamane ko nazar aaye hai.

Waqt ki har chaal ka tazruba hai ab,
Raah-e-zindagi me har baar haar khaye hai.

Khaamoshi ki raah jo akhtiyaar thi hame,
usi raah-e-gujar pe lab ladkhadaye hai.

Waqt ho gaya hai ab pur sukoo nind ka,
Barso baad hum aaj khul ke nuskuraye hai.
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
19th October 2011, 08:09 PM

Quote:
Originally Posted by chanderp View Post
Wo dar pe mere sawaali ban ke aaye hai,
aankho me ansuo ka sailaab laye hai.
Shikwa karu unse ya gale laga lu,
Aaj fir dil ke daag zamane ko nazar aaye hai.

Waqt ki har chaal ka tazruba hai ab,
Raah-e-zindagi me har baar haar khaye hai.

Khaamoshi ki raah jo akhtiyaar thi hame,
usi raah-e-gujar pe lab ladkhadaye hai.

Waqt ho gaya hai ab pur sukoo nind ka,
Barso baad hum aaj khul ke nuskuraye hai.


ahsaas acche lage hame, par shayad kahin kahin spell mistake hai...jaise last sher meiN aapne Muskuraye ko nuskuraye likha hai, likhne ke baad agar aik baar khud pad liya jaaye to en kamiyoN se bacha ja sakta hai...anyways hame aapke ahsaas bahut acche lage...keep it up.

god bless u


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#3)
chanderp
Registered User
chanderp is just really nicechanderp is just really nicechanderp is just really nicechanderp is just really nicechanderp is just really nice
 
chanderp's Avatar
 
Offline
Posts: 141
Join Date: Aug 2009
Location: Dont know yet :|
Rep Power: 19
19th October 2011, 10:24 PM

sunita ji aapko salaam,

Pehle to aapka bahut bahut shukriya is hosla-afjai k liye aur khamiya batane ke liye bhi. Ji ye to hai ki kuch aisi galtiya hui hai jo nahi honi chahiye thi, me aage se hamesha aapki is advise ko dhyan me rakhunga.

Fir se bahut bahut shukriya.
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com