Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
kahaa maine..... kahaa us ne.... A sweet musical convrsation...
Old
  (#1)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
kahaa maine..... kahaa us ne.... A sweet musical convrsation... - 14th September 2009, 05:53 PM

dosto.n, kuchh 4-5 saal pahle likhi huii, yeh kavitaa aap sab se baa.nT rahaa huu.n.. pahle bhi kuchh ek sites me.n post kiya thaa, woh site to ab hai.n nahii.n, na yeh kavvish mere diary par thee...par google par dhuunDha to ek aur site par mil gaya, jise kisii ne tab uThaa kar chipkaa diyaa thaa... (bhalaa ho us maanush kaa...)

******************************************



kahaa uss ne,agar chaaho tau meraa dil qubool kar lo,
badle meN mujhe bhee dil dene kee tum bhool kar lo.

kaha maine, kabhii dil lagaane kee bhool na karnaa,
kho doge sab khushiyaaN, rah jaayegaa bas bhaTakanaa.

kaha uss ne, dildar! bada nazook hai dil hamaaraa,
berukhi se kaheeN tere,taRapataa rah jaaye bechaaraa.

kaha maine,naa ghabraao tumhaaraa dil sambhaleNge,
sambhaal na paaye to, phir iss ko ham uchaaleNge.

kaha uss ne, jo bhi karlo, aakhir dil hai hamaaraa
dil ke tukde ho kar bhi naam yeh lega tumhaaraa

Kaha maine, tumhaare dil ke ham tukre na hone denge..
Ho jaaye tukde to apne pyaar se usay joRh lenge..

kaha uss ne,tere chaah main raatooN ko jaagtii rahtii hooN
har waqt tere aane ki raah maiN taktii rahtii hooN.

kahaa maine,na tarpo itna ki dum nikal jaaye,
Aanaa chaahooN paas tumhaare aur Jaan nikal jaaye..

kahaa uss ne,bin tere abb mujhse rahaa nahi jaayegaa
tum agar saath do to... jo bhi hoga dekha jayega.

kahaa maine,tere jazbaat ko dil main qaid kartaa hooN
dil ko kyaa cheez hai sanam,jaan bhi tere naam karta hooN.


Last edited by Mayank; 14th September 2009 at 07:03 PM..
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#2)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
14th September 2009, 07:00 PM

Mayank ji.....namashkaar....aap kaise hai.......bahut waqt baad aapka kuch naya likha padhna chahata thaa.....magar woh bhi pelhle ka likha hua hai.....leykin mere liye yeh bhi naya hi thaa.......

aapki rachna ki sabhi panktiya khusbsurat lagi....padhkar acha laga......ehsaason mai geharaai bhi dikhti hai.....khaaskar naazuk panktiyon mai.....nice creation....

mujhe yeh panktiya dil ke jiyada kareeb lagi.......

kaha uss ne, jo bhi karlo, aakhir dil hai hamaaraa
dil ke tukde ho kar bhi naam yeh lega tumhaaraa

Kaha maine, tumhaare dil ke ham tukre na hone denge..
Ho jaaye tukde to apne pyaar se usay joRh lenge..

kaha uss ne,tere chaah main raatooN ko jaagtii rahtii hooN
har waqt tere aane ki raah maiN taktii rahtii hooN.


ache lekhan par dil se daad deta hu......kabul farmaaye.....aise hi likhte rahiye.....khush rahiye.......

duaao ke saath.....





YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#3)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
15th September 2009, 03:46 PM

MayanK sahab Aadaab,

Jii janab aapki composition to achchi lagi but aap ne naa per bhi guftagu ki aur haan per bhi isliye composition mein jyada umda pan nahi aaya aisa mera khayal hai... Yeh aapki old creation hai isliye shayad per ilteja rahengii aap phir se ise likhiye..

Baqi aapki kalam se har cheez behtar hi nikalti hai sab jante hai.....

Bye take care.
Khush rahiye
Khuda Hafez,,,


  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
Old
  (#4)
shipra
Registered User
shipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to behold
 
shipra's Avatar
 
Offline
Posts: 474
Join Date: Apr 2009
Rep Power: 25
16th September 2009, 01:01 PM

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post
dosto.n, kuchh 4-5 saal pahle likhi huii, yeh kavitaa aap sab se baa.nT rahaa huu.n.. pahle bhi kuchh ek sites me.n post kiya thaa, woh site to ab hai.n nahii.n, na yeh kavvish mere diary par thee...par google par dhuunDha to ek aur site par mil gaya, jise kisii ne tab uThaa kar chipkaa diyaa thaa... (bhalaa ho us maanush kaa...)

******************************************



kahaa uss ne,agar chaaho tau meraa dil qubool kar lo,
badle meN mujhe bhee dil dene kee tum bhool kar lo.

kaha maine, kabhii dil lagaane kee bhool na karnaa,
kho doge sab khushiyaaN, rah jaayegaa bas bhaTakanaa.

kaha uss ne, dildar! bada nazook hai dil hamaaraa,
berukhi se kaheeN tere,taRapataa rah jaaye bechaaraa.

kaha maine,naa ghabraao tumhaaraa dil sambhaleNge,
sambhaal na paaye to, phir iss ko ham uchaaleNge.

kaha uss ne, jo bhi karlo, aakhir dil hai hamaaraa
dil ke tukde ho kar bhi naam yeh lega tumhaaraa

Kaha maine, tumhaare dil ke ham tukre na hone denge..
Ho jaaye tukde to apne pyaar se usay joRh lenge..

kaha uss ne,tere chaah main raatooN ko jaagtii rahtii hooN
har waqt tere aane ki raah maiN taktii rahtii hooN.

kahaa maine,na tarpo itna ki dum nikal jaaye,
Aanaa chaahooN paas tumhaare aur Jaan nikal jaaye..

kahaa uss ne,bin tere abb mujhse rahaa nahi jaayegaa
tum agar saath do to... jo bhi hoga dekha jayega.

kahaa maine,tere jazbaat ko dil main qaid kartaa hooN
dil ko kyaa cheez hai sanam,jaan bhi tere naam karta hooN.


Hello Maynk ji.... bahut khubsurat rachna h.....
ye sher bahut khoob raha...
kaha uss ne, jo bhi karlo, aakhir dil hai hamaaraa
dil ke tukde ho kar bhi naam yeh lega tumhaaraa
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com