Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
College ka woh pehla pyaar
Old
  (#1)
MANOJTANHA
Registered User
MANOJTANHA is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 42
Join Date: Jan 2018
Location: Delhi
Rep Power: 0
College ka woh pehla pyaar - 5th March 2018, 09:30 AM

COLLEGE KA WOH PEHLA PYAAR

Yaad hai mujhe aaj tak college ke woh din aur uski yaadain
Par hogi kya yaad usse bhee

college ka woh pehla din,
Dikhna us chehre kaa bus stop par
Naa koi jaan yaa pehchaan
Bas ek masumiyat bhari kashish
aur ek ajeeb saa khinchaav,
Aur phir kho jaana uska us bhid main
Yaad hai mujhko wo lamha aaj tak, par kya patahoga usko

Naya College aur naya mahoul
Ragging karne walo kee bheed charo aur
Dil main ek ajeeb sa khyaal
Kya pata dikh jaye wo phir mujhe yahan par
Kaash woh bhee aayee ho is college main admission lekar,
Ek aawaj se Tutti hai vicharon ki shrinkhlaa
Yaad hai mujhko wo ragging aaj tak, par kya malum hoga usko

Pehle din kee woh pehli class
Jeevan ke naye adhyay kee honi thee shuruaat
Par Phir bhee ussese milne kee wo ek aas
Ki aati hai aawaj, kahan khoye hain aap shrimaan
Hosh main aakar uthti hai Nazar
Teacher maang raha hai introduction
Yaad hai mujhko wo class ki hansi, par kya hogi usko

Yaad hai mujhko wo kaune waalee bench
Baithee thee jahan chaar paanch ladkiyan
Laga maine dekha hai usse bhee baithe hue wahan
Bhul kar class bas dekhta raha us taraf
Kyaa ho sakta hai ye sach yaa hai mera bhram
Are haan yai to woh hi hai, wahi to hai
Yaad hai mujhko wo kashmakash, par kya hogi usko

Roz roz wo ek saath college aana,
Chalte chalte uskaa peeche chuth jaana
Aur mera kuch naa kuch bolte jaana
Koi jawab na pakar side mai dekhna
Phir uskaa hanfte hue aana
aur mera sorry bol kar usko manana
Yaad hai mujhko wo drama, par kyaa hoga usko

Woh college ke notes lene ke bahane us ke ghar par jaana
Uske bhaiya bhabhi ke aage ghiggee bandhnaa aur hontho ka sil jaana
picnic par uske naa aane se teacher se usko laane kee permission mangna
Aur agle din picnic naa aane par usse gila jatlana
Doston se uske peeche lad jaana
Phir bhee dil kee baat usse na keh paana
Yaad hai wo sab mujhe aaj tak par kya


College ke baad woh uske ghar ke saamne ek ladke ke yahan jaana
Usski ek jhalak paane ke liye Ghar ke bahar khade rehna
Woh chithee likhne kee koshish kaa ghar par pakde jaana
Bas ek hee khwayeesh ek hi tamanna
Ki kisi tarah ho jaye in do dilon ka milna
Aur isee kash makash mein college ke teen saal pure ho jana
Yaad hai wo sab mujhe aaj tak par kya

Aur phir woh mera bas main bethe hue yai sochnaa
Tabhi kisi haath kaa mujhe chuna
Aankh kholnne par wahi chehra nazar aana,
Aare nahi yai sapna nahi asal hai,
Aur phir bhee un chan pallon ko khone ke dar se
wo dil kee bat nahin kar paana
Yaa hai wo sab mujhe aaj tak par kya

Yaad hai mujhe woo uske gair hone kee khabar milna
Woh dil ke tutna aur exam pass hone kee bhee koyi khushi naa hona
Yada kada phir bhee uskee galiyon ke chakkar lagana
Kash ek jhalak mil jaaye bas dil mai yahi armaan liye tut jana
Aur waqt ke saath mera bhee kisi aur kaa ho jaana
Par kya mumkin tha dil ke kone mai se ukee yaad ko nikaal paana
Yaad hai yaad hai wo sab mujhe aaj tak par kya pata bhee hoga usko
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
MANOJTANHA
Registered User
MANOJTANHA is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 42
Join Date: Jan 2018
Location: Delhi
Rep Power: 0
8th March 2018, 11:14 AM

i invite suggestions on my above kavita
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com