Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Watan
Old
  (#1)
yasmeenraaz
Registered User
yasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,028
Join Date: Jun 2006
Rep Power: 34
Watan - 15th August 2006, 07:06 PM

WATAN
Watan hai ger azeez to,watan ki rah main jaan do
Hara, bhara, zameen do,,haseen aasmaan do

Phatak na paayae raah-zen,Lutae kahin na ae watan
Gali,gali,ho pur-aman,Hara,bhara rahae chaman
Watan hai ger azeez to,zara sa ae dhiyaan do.......

Ae dooriyaan,ae faasilae,Isae gilae,usae gilae
Ae dushmani kae silsilae,Batae hovae ae khafilae
Watan hai ger azeez to,Wafa ka imtihaan do.........

Ae zaat,paat aur dharam,Banaayae sub ko bae-rehem
Ghalat taerae maerae khadam,Diloan main bae-wajha wehem
Watan hai ger azeez to,Shehed bhari zabaan do......

Sisak rahi hai boordhi maan,Yahan dhowaan,wahan dhowaan
Hain aabroo ki dhajjiyaan,Kae bik rahi hain baetiyaan
Watan hai ger azeez to,Unnhaen bhi ek makaan do.......

Ho "RAZ"daan watan kae tum,Ho paasbaan chaman kae tum
Piyaam ho aman kae tum,Sitaarae ho gagan kae tum,
Watan hai ger azeez to diloan ko tum Quran do
Watan hai ger azeez to,watan ki rah main jaan do

"RAZIA YASMEEN RAZ"
   
Reply With Quote
Re: Watan
Old
  (#2)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Watan - 22nd August 2006, 07:38 PM

Ae zaat,paat aur dharam,Banaayae sub ko bae-rehem
Ghalat taerae maerae khadam,Diloan main bae-wajha wehem
Watan hai ger azeez to,Shehed bhari zabaan do......

Sisak rahi hai boordhi maan,Yahan dhowaan,wahan dhowaan
Hain aabroo ki dhajjiyaan,Kae bik rahi hain baetiyaan
Watan hai ger azeez to,Unnhaen bhi ek makaan do.......

Ho "RAZ"daan watan kae tum,Ho paasbaan chaman kae tum
Piyaam ho aman kae tum,Sitaarae ho gagan kae tum,
Watan hai ger azeez to diloan ko tum Quran do
Watan hai ger azeez to,watan ki rah main jaan do

Razia sahiba
sach....aapne is nazm se mujhe behad jazbaati kar dia....mein salaam karta hoon aapki watanparasti ,aapke jazbe aur aapki kaabiliyat ko...bahoot bahoot khubsurat kalaam kaha hai aapne...magar mujhe afsoso hai ki shayri ke kisi bhi qadardaan ki nazar kyun nahin gayi ab tak is kalaam par....
waqai....aapke jazbaat,,aapke alfaaz,,aapki soch ,aapki jubaan,,aapka lehja..jab sab mil kar kalaam ka roop lete hai to mein kho sa jata hoon aapki shayri ki gehrai mein...jis saleeke se aap gazal kehti hai wo ek jazbba sa paida karta hai...aap ke kadmon ke nishaanon par chalne ka...
aapki is nazm ne mujhe Sahir aur Manjar Bhopali saheb ki yaad dila di...aapka lehja sach mein peshwarana hai...
meri bharpoor daad kubool kijiye..aur yeh nazm to aapko dard section mein bhi post karni chaiye thi....sab log padh sakte ...
-MANOJ


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Watan Ki Raah Vipinbox Shayri-e-Dard 4 11th December 2006 01:31 PM
Be Watan Rahi wahid Shayri-e-Dard 0 4th December 2006 01:41 PM
Watan yasmeenraaz Aapki Shayri 0 15th August 2006 12:08 PM
Watan Kavita Shayri-e-Dard 6 3rd June 2004 07:19 AM
Watan SAYANI Aapki Shayri 5 11th August 2003 10:28 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com