Wohi Roz Ghar sajaanaa Wohi intezar karnaa -
24th October 2007, 10:12 AM
Wohi roz ghar sajaanaa wohi intezaar karnaa...
Hamein raas hi ayeyaa teraa aitbaar karnaa.....
kabhi aaeeney se karnaa teri waapsi ki baatein...
kabhi darwaazaa band karkey terey khat shumaar karnaa..
Jo safar mein hi nahi thee-nn waapsi ki samtein.... (samtein : dishaayen)
To keh ke kyon gayey they ki meraa intezaar karnaa..
Wohi roz ghar sajaanaa wohi intezaar karnaa....
Dr Naseem Nikhat
|