Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Lyrics > Hindi/Urdu Lyrics

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
**Iss DeshKo Rakhna Mere Bachchon SamhaalKe**
Old
  (#1)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Love **Iss DeshKo Rakhna Mere Bachchon SamhaalKe** - 24th September 2008, 12:24 PM

Duwaaon Ke Saath Ijaazat Chahungi Main **
Heartily Thanks & Flower's **
Aapna Aur AapnoKa Khayaal Rakhiyega **


Hum Laaye Hain Tufaan Se Kishtee Neekaal Ke
Iss Desh Ko Rakhna Mere Bachchon Samhaal Ke
Tum Hee Bhavishhya Ho Mere Bharat Vishaal Ke
Iss Desh Ko Rakhna Mere Bachchon Samhaal Ke

Dekho Kaheen Barbaad Na Hove Ye Bagichaa
Isko Hriday Ke Khuun Se ‘Baapu Ne Hain Sincha
Rakha Hain Ye Chiraag Shaheedo Ne Bal Ke
Iss Desh Ko Rakhna Mere Bachchon Samhaal Ke

Duneeya Ke Daw Pench Se Rakhna Na Wastaa
Manzeel Tumharee Duur Hain Lamba Hain Rasta
Bhatka Na De Koyee Tumhe Dhoke Mein Dal Ke
Iss Desh Ko Rakhna Mere Bachchon Samhaal Ke

Atom Bamon Ke Zor Pe Aithhi Hai Ye Duneeya
Baarud Ke Ek Dher Pe Baithhi Hai Ye Duneeya
Tum Harr Qadam Uthaana Zara Dekh Bhal Ke
Iss Desh Ko Rakhna Mere Bachchon Samhaal Ke



*Singer: Mohammad Rafi Jee **
*Film: Jagriti **
*Lyricist: Pradeep Jee **


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
25th September 2008, 04:21 PM

Thanks for Sharing Dear.....achchha laga parhkar.


Wo kshtiyaaN bala keise khud ko sambhaal paayegi...
Jinke..maajhi....khud hi apne doobne ka saaman karte hoN..




Take care


Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
First & This One Is From The Legend~Hemant Jee Album :)**
Old
  (#3)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Smile First & This One Is From The Legend~Hemant Jee Album :)** - 17th November 2008, 04:07 PM

Dear Chaand Jee, Ek Aur Geet Jo Aajke Din Ke Liye Theek Rahegi **Heartily Thanks & Lots Of Flower's **Duwaaon Ke Saath Ijaazat Chahungi Main **



Insaaf Kee Dagar Pe Bachchon Dikhhaaon Chal Ke
Ye Desh Hain Tumhaara Neta Tum Hee Ho Kal Ke

Duniya Ke Ranj Sehna Aur Kuch Na Muh Se Kehna
Sachchaaiyon Ke Bal Pe Aage Ko Badhte Rehna
Rakhhdoge Ek Din Tum Sangsaar Ko Badal Ke

Aapne Ho Yaa Paraaye Sab Ke Liye Ho Niyaaye
Dekhon Qadam Tumhaara Harrgiz Na Dagmagaaye
Raste Bade Qathhin Hain Chalnaa Samhaal Samhaal Ke

Insaaniyat Ke Sar Pe Izzat Ka Taaj Rakhhna
TanMann Kee Bhet Dekar Bhaarat Kee Laaj Rakhhna
Jeewan Nayaa Milegaa Anteem Cheeta Mein Jal Ke
Insaaf Kee Dagar Pe Bachchon Dikhhaaon Chal Ke
Ye Desh Hain Tumhaara Neta Tum Hee Ho Kal Ke



*Singer: Saathion Ke Saath ‘Hemant Jee **
*Film: Ganga Jamuna **


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
..............Thanks
Old
  (#4)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
..............Thanks - 17th November 2008, 06:01 PM

...............................Thanks Dear.....



Khush Raho.


Chaand

Apni nazroN se to gir chuka hooN....
Teri nazroN se na gir jaauN...isi khayaal se darta hooN....
Ey Maa .... mai jaanta hooN ..mai bikharne laga hooN
Mai to bas tere Bikhar jaane se darta hooN.


Jai Hind


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Salaam :)**
Old
  (#5)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Smile Salaam :)** - 19th March 2009, 04:07 PM

My Dear Chaand Jee, My Pleasure As Always Jee **Dilki Gehraaion Kee Gehraaion Se Dher Dher Saare Phuul,Shukriya **Duwaaon Ke Saath Ijaazat Dijiyega **


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is Off
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
' Mere Baad Phool Na Rakhna Mere Mazaar Par...! ' Amanush... Shayri-e-Dard 38 16th December 2009 06:13 PM
Ghazal: khwab-o-khyaal mere, raaz-e-haqeeqat se parey rakhna... Pradhyuman Shayri-e-Dard 8 25th August 2009 12:26 PM
*Mere Wade Ka Man Rakhna** Shimul Shayri-e-Dard 4 10th May 2006 05:02 PM
yarub mere dost ko salamat rakhna love_shoaib Shayri-e-Ishq 0 2nd March 2004 06:37 PM
main ho gayi bachchon waali gjgjgj Humourous Shayri 0 29th March 2001 02:18 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com