Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

 
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
zindagi ke is safar me
Old
  (#1)
krenil
ZINDAGI NE SAB CHHIN LIYA
krenil is a name known to allkrenil is a name known to allkrenil is a name known to allkrenil is a name known to allkrenil is a name known to allkrenil is a name known to all
 
krenil's Avatar
 
Offline
Posts: 1,970
Join Date: Oct 2007
Location: U.S.A
Rep Power: 24
Love zindagi ke is safar me - 3rd January 2012, 12:18 AM

dosto aaj kafi time ke baad mujhe mera acc wapis mila hai aur sach kahu to ek arsa ho gaya kuch likhe huye itne time me kuch khoya kuch paya usi ke bare me kuch likha hai aap sab se saath share karna chahunga ummid hai aap sabko pasand aayega.........


zindagi ke is safar me akele chal rahe the
jab is safar me koi nahi tha aya

har shaam khamoshi bhari ek aahat thi
aur charo taraf tanhai ka tha ek saya

na koi khushi thi dard bhari bas shayri thi
taqdeer ne ye kaisa tha faisla sunaya

aai jab ek sang-e-marmar si murat samne
us apne ki murat ne dil tha mera churaya

ajib si khushi thi is dil ko kisi se milne ki
uski khushbu ka nasha mere rom rom me tha samaya

tanhai aur khamoshi bhari zindagi dur hui
pyaar ka aisa ek deep tha usne jalaya

pyaar ko khuda maan ke puja tha is dil ne
usi khuda ne har pal mere pyaar ko tha mitaya

apne aap ko badal ke saath chalna chaha
par taqdeer ne har baar tha mujhe haraya

  Send a message via Yahoo to krenil Send a message via Skype™ to krenil 
Reply With Quote
 


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com