Quote:
Originally posted by mein_aur_tanhai
ajj..mausum bhi..apna..rookh dikha raha hai
zindgi jaise maut ko daaw par laga rahi hai
asmaan mein ... kaale..baadal...chhaye hai..
lagta hai...ajj...fir...ek andhi ... si aai hai..
pyaar se kabhi jise apni parchhai kahta thha
itna andkar hai ke woh bhi ab nazar nahi aa rahi hai
ab to har pal...mere..sathh sirf meri tanhai hai...
kaash...is suraj ki tarah mera...bhi jivaan dhal jata...
kaash... maie bhi ghum ke samundar maie doob jaata
par yah maan kaha baat maanta hai
har roz ek sahra paar karta hai
yahi soch kar .... maut se ladta hai
reat ke dher maie zindgi ko chhupata haipar........
ajj..mausum bhi..apna..rookh dikha raha hai
mera vajood hi mitaane aayi hai
lagta hai...ajj...fir...ek andhi ... si aai hai..
|
mere aaine,
haan, tumne sach hi kaha hai.........ek andhi ... si aai hai..
par dost yah aandhi jo aaj is site par aayi hai...
woh reat bhi khushbu se bhari laai hai.............
tum yaha aaye............ tumhara dard bhi sathh aaya
humae yunh laga ke .... jaise apna koi aaya...
tum jab bhi likhte ho... dard ka sailaab jaise aa jaata hai
par oose hum paar kar jaate hai.. kyun ki tumse hi pareewaar hai
aaj aaye ab yunhi aate rahna.
tumhari meena