Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Chit-Chat & General Discussion Forum

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 13 votes, 5.00 average. Display Modes
Khuda ke liye Shayri.com ko shayri ke liye hi rehne deN...
Old
  (#1)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 28
Khuda ke liye Shayri.com ko shayri ke liye hi rehne deN... - 29th January 2004, 12:08 PM

Aziiz Dosto

Adaab

Mujhe bohat takleef ho rahi hai yahaN jo bhi kuch chal raha hai ye dekh kar. Bohat logoN se shikayateN aayeen haiN ke yahaN ka mahole badmaza hota ja raha hai.

Afsos ki baat ye hai ke ye site jo sher kehne aur sunane ke liye hai usey yahaN ke membaran ne dating-joint meN tabdeel kar diya hai. Shayrana zaban ki jagah galiyoN aur bhadde afaaz ne le li hai. Log jis tarah ke alfaaz istemaal kar rahe hain wo badi sharm ki baat hai. Jab paRh kar sharm aati hai to un hazraat ko wo alfaaz yahan likh kar chaspaaN karte huve kyuN nahin aayee.

Sabhi dostoN maiN is baat se aagah karva duuN ke behtar hoga ke is tarah ki batoN ke liye koi aur jagah chun leN. Ab yahan se aise logoN ka daan-paani uth gaya samjheN. MaiN baRi hi saKhti se aisee har post ko delete karne jaa raha huuN. Aur gandi zaban wale har member BAN karne ja raha huuN.

Ye baat tai hai ke is site par is qism ki harketeN yahaN bardasht nahiN ki jaayeNgi. Chahe jo bhi ho.
Aur jo log is jagah se pyaar karte haiN unse meri guzarish hai ke Khuda ke liye apne waqt men se kuch lamhe iske liye nikalen aur yahaN hone waali kisi bhi badmaza baat par nazar rakhen aur uskii ittela mujhe deN. Foran action liya jaayega.
Ummeed hai aap sab is baat par ghaur kareN ge aur yahaN ke haalt theek karne meN meri madad kareNge.

“YahaN Khaskar Ekta ji ki post ka zikr karna chahuN ga. Ekta ji aapko ye post nahiN karni chahiye thi. YahaN aapki tasveer ki zaruurat nahiiN hai. Agar aap shayri karti haiN to most welcome. Aapki post delete ki jaa rahi hai.”

Khaksaar
Praveen Saxena


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#2)
lov3 bug
Registered User
lov3 bug is on a distinguished road
 
lov3 bug's Avatar
 
Offline
Posts: 7
Join Date: Nov 2004
Location: Lahore, Pakistan
Rep Power: 0
28th November 2004, 08:26 PM

well mein agree karta hoon aap se ... esi posts ko delete kya jana chahiee


Proxy G33k
  Send a message via Yahoo to lov3 bug  
Reply With Quote
DostoN ke liye
Old
  (#3)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 28
DostoN ke liye - 5th September 2005, 06:18 PM

Aziiz Dosto

Kuchh dinoN se ek Khaas topic hamari site pe garmaaya hua hai. Aur iss baare meiN Aman sahab aur Parul ji ne Khaas aawaaz uthhayee hai.

Main unke KhayaloN aur jazbe ki qadr karta huuN. Aur ye bhi manta huuN ke wo ekdam sahi baat keh rahe haiN. Jab ek shaKhs ek hi ID se apni baat keh sakta hai toh ussey koi aur ID banane ki zarUrat kyuuN paRe. Lekin phir bhi log aisa karte haiN.

Mujhey lagata hai ke wo membaraan ko ye batana chaahte haiN ke ke unke kalaam ko kitne logon ne taareef se nawaaza hai. Mera Khayaal hai ke aisa karne waale Khud jaante haiN ke unka kalaam kitna qaabil-e-daad hai. UnheN lagta hai ke agar kahiN se tareef na mile to chalo Khud hi kar leN. Mujhe afsos hai ke shayri ke naam par hamaare member dost iss tarah ki halki baton par utar aaye haiN.

MaiN Parul aur Aman ko ye bhi bataana chahuuN ga ke aise logon ko ban karna iss pareshaani ka hul qatayee nahiN hai. Kyunke aise log us ghaas ki tarah hote haiN jisse jitna zyada kaateNge aur zyad baRh jaati hai.

Aap iss baat ko maan leN ke ye site paid site nahiiN hai aur yahaN koi bhi register kar sakta hai. Aur ye baat bhi jaan leN ke yahaan chhoR kar jaane waali baateN karne waale shayri ke chaahne waale nahin ho sakte aur na hi unmeiN koi shayrana baat ho sakti hai. Aap se guzaarish hai ke aise logon ko ignore kar diya jaana hi behtar hoga. Warna unheN ban karte-karte hi saara waqt nikal jaayega… hum sher kab kaheN ge? Sach toh ye hai ke unhe shayri se koi lena dena nahin. Aise logon ke liye pareshaan hokar aap kyuuN apna qeemti waqt zaaya kareN.

Aap sab se meri ye guzarish hai ke jab koi chori ki post jaisi harkat kare to wo saamne laane se na chuukeN. Aise logon ko rokna aur yahaN ka darwaaza dikhana zaruuri hai.

Yaad rakheN… ye hum sabka apna ghar hai yahaN achcha mahole bana rahe uski zimmedaari hum sabki hai.

Ummeed karta huuN ke Aman aur Parul jaise dostoN ko kuchh hudd tak unke sawaaloN ka jawaab milaa hogA. Phir bhi kuch baat main kehne se reh gaya huuN to phir kahuuN ga.

Fil haal aap sabhi ki raae ka muntazir rahuuN ga.

Khaaksaar
Praveen Saxena


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
5th September 2005, 07:35 PM

Phir bhi Praveen saahab ki ek baat per jaroor kehna chaahuNga ki ...

jaroori nahi sab....apni taareef khud karne ke liye eisa karte hoN...ho sakta hai unhe doosroN ke reply na milte hoN isi liye wo eisa karte hoN..or yahaan mai Chandsi se sehmat hooN...haan har ek yahaaN maahir nahi hai khuchh khaas dostoN ki tarah...per shayri pasand karte haiN...tabhi yahaaN aate bhi haiN...ye baat or hai ki shaayad meri hi tarah wo bhi iski baareekiyaaN or technicalities na jaante hoN...so per wo bhi kadrdaan haiN shaayri ke....

so unki khataaoN ko naadaani samajhkar maaf kiya jaaye...
KyoNki perfection....kahaan hota hai har ek me...(Praveen saahab or kuchh or dost...iske udaahran haiN so...mai salaam karta hooN unhe.)

or Jab koi site chhod kar jaane ki baat karta hai to wo kisi ki baat se hurt feel hokar bhi eisa kar sakta hai...so...iska matlab bhi ye nahi ki use...shaayri se lagaav nahi hai...balki koshish rahe ki ham uski galati (agar koi hai to) use shaaleenta se samjhaakar...apne saath hi rak.khaiN...or Pulkit hamaare beech iska ek bahut achchha udaahran haiN...jo aksar dostoN ko jode rakhta hai..galatiyaan samjhaane ke baavjood....mera salaam Pulkit ko bhi.

Shaayar jiyaadatar bhaavuk hriday ke log hote haiN...so...jaldi hi har baat ka bura maan jaate haiN..phir chaahe baat post per reply na milne ki ho ya...kisi apmaan ki....wo kripya ek doosre ho hurt karne ke bajaay protsaahit karien....(Meena ji ki tarah..)

Or haaN CHANDSI JI JEISE LOG JAB KUCHH PUKAAR PUKAAR KAR KAHEIN TO PLEASE...UNHE NAYA SAMAJHKAR IGNORE NA KAREIN...UNKO BHI SUNEIN....KYONKI JO LOG SAAF BOL DETE HAIN ....KHATARNAAK NAHI HOTE....SO KUCHH BAHAADUR LOG BHI SAATH RAHEIN TU ACHCHHA LAGTA HAI..

(Praveen saahab ek request hai kisi ke ID ban mat kijiyega...ham sab samajhdaar haiN...khud hi dheere dheere improvement kar leinge khud me.)

Khush raho....

Muskuraate raho...

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
29th September 2005, 09:25 AM

Samjh samjh ka ferr hai



Wo kutch likhte hai
Fir pyaar se kehte hain
Jawaab ka intejaar rahega
Par kyou?

Jab dusre likhte hai
Aap padhte ho
Ek nahi 100 log padhte ho
Jawaab ek ka bhi nahi hota
Par kyun?

Aap likhte ho
100 log padhte hian
10ka ka jawaab hota hai
aap khush ho jaate ho
par kyun?


Kya khushi milti hai ?
Ki aapke dost ka jawaab tha
Ki aapko logoON ne saraaha
Aapke dukh ko nahi
Aapke lekh ko saraaha
Pure josh ke saath
Fir aap ek naya kutch likhte ho
Par kyun?


Kiyunki aapko likhna aata hai ?
Ya fir wahi pyaar pane ke liye
Logoon ka saath pane ke liye
Saath wo pyaar jo himmat badhaati hai
Fir kyun aap kisi ka himmat nahi ban sakte
Aap jo chaaho wo sahi baaki galat
Par kyun?


Agar bas likha hin chaahte ho
Toh apne diary main likho
Ek nahi baar baar likho
Kisi ko mat dikhyaa karo
Kisi ko mat sunaaya karo
Par hum sunaate hian
Apni kavita padhaate hain
Par kyun?

Aapne likha jawaab ka intejaar rahega
Par kyun?
Kisi ne likha jawaab ka intejaar rahega
Aap jawaab de naa paao
Par kyun?
AAP JO DUSROON SE CHAAO
WAHI AAP DUSROON KO DE NA PAAO
PAR KYUN?




Hum likhte hain
Likhna aata hin nahi
Bas koshish hin rehti hai
Hum dusroon ko padhte hian
Dard sabka apna sa lagta hai
Par kyun?


Dusroon ko padh kar
Humne rona hin chod diyaa
Unke dill ki tadap ko mehsoos kiya
Or fir kutch kehna chaha
Par kyun?


Jinke liye hum ladte rahe
Wo bhi saath de na sake
Sabke samne na sahi par
Peeche se wo kehte rahe
Jataate rahe santust hote rahe
Par kyun?


Kyun itni tang dill ye duniyaa hai
Kyun bas khud ke liye ye duniyaa hai
Kyun bas naam kamane bhar ki duniyaa hai
Kyun ye chaaplusi ki duniyaa hai
Jahan khudd ki bhalaai ho bas ussi ka saath de
Chaahe baat sahi ho ya galat
par kyun?


Bas apne main hin simmti duniyaa hai
Dost ka saath na chutt jaaye
Issliye saath choda satay ka
Fir bhi dill main khush hote rahe
Chlo kutch toh unkaa bhlaa hota raha
Kooi mare ya jiye
Unka toh bas bhlaa huaa
10 log jisse bhala kahe
sabhi ne ussi ko bhlaa kahe
kyun khudd kutch bhi soch nahi paate
kya sahi or koun sahi
kya galat or koun galat
badi matlabi duniyaa hai
na jaane kyoun maine pangge liya
na jaane kyun?



Sorry dill se NAHI kehna chaahti
Par fir bhi sabka dill dukha baithi hoon

Mujh se ye bhi sahi NAHI jaati
Pata nahi kyun?

CHLO AMAN JI MAINE MAANii APNI GALTI
ANJAANE MAIN HUI MUJHSE GALATI
DILL TODA AAPKA …..HUI HUMSE GALTI
LO HUM MAAFI CHAAHTE HAIN
KI HUI HUMSE EK GALTI
AAB MAAUF BHI KAR DO ….
AAPKO CHOT LAGA MAIN RAAT BHAR NA SO PAAI
PATA NAHI KYUN?

AAP SAHI MAIN HIN GALAT
AAP KHUSH RAHO TOH MAIN BHI KHUSH
PATA NAHI KYUN?
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
10th April 2006, 04:18 PM

Aaj apni galti ka ehsaas ho raha hai …………….
Aaj samjh main aaya ki kutch log kutch logo ko reply kyoun nahi dete the ………………
Or phir kutch log kyoun das id banaaya karte the ……………..
Nahi pata mujhe inn sab problem kaa kya solution hai ………….

Actually pehle mere liye saare shayries naye the coz maine pehle kabhi iss tarah ke shayris padhe hin nahi the ……so mujhe sabka likha pasand aata tha ……….tab mujhe nahi pata tha ki wo sab adhiktar shayris ustaadon ke poems hote the ………
Mujhe lagta bachche log itni mehnat karte hain toh hum sabko unko badhaawa dena chaahiye ………………..or bas issi liye sabke liye aawaaz uthaai ……………
Aaj mujhe behad bura lag raha hai ………………

So ………….me sorry once again ki mere kaaran kabhi hungaama
Huaa tha ……………………….

Jo jaan bujh kar galtiyaana kar rahe hain ………pareshaan kar rahe hain ………..wo kyoun kar rahe hain pata nahi ……….

Phir bhi aaj bhi agar hum thoda pyaar se pesh aayein toh shayad kutch had tak sabhi ko badla ja sakta hai …………………



Sabko apna maani iss baat ke liye afosos hai mujhe ……………..


Jo samjhdaar log hain wo bhi agar galtiyaana karein toh baakiyouno se kya umeed karna ……

main jo chahti thi ==jo jataana chahti thi wo kooi nahi samjh pyaaa...............


……………………………………..khair …………….bye and tc




.




.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae





.................................bye and tc ..................
   
Reply With Quote
I am Sorry Prasexana
Old
  (#7)
pravindip
Registered User
pravindip is on a distinguished road
 
pravindip's Avatar
 
Offline
Posts: 20
Join Date: May 2006
Location: yavatmal
Rep Power: 0
I am Sorry Prasexana - 7th June 2006, 04:58 PM

o Kya hai Prasexna ji isme meri koi galti nahi mai jab kuch pal ke liye net pe se uth gaya tha tab kisene ye harkat ki hai
muze iska bohat afsos hai leki jab muze yah malum hua ki usane is type ke alfaz aur shabd like hai to muze bohat dukh hua i am really sorry iske badleme ap muze zo bhi saja dena chahate hai to de sakate hai apaka

apaka pradip
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
jehan shah
Guest
 
Posts: n/a
4th March 2007, 03:52 AM

prasaxena jii

main ik guzarish karna chahon ga,agar jo aap nay kaha hay wo sachh hay to is ka ilaaj honaa chahiye,likhnay wala jo bhii wo yahii samjh kar likhtaa hay k wo jo likh raha hay wo khoob hay,ab sab ki soch ik jaisi nahii ho saktii,to aisy logon ki hosla afzaai karnii chahiye,na k un ko nazar andaaz kiyaa jaaye,meray khayal main site k wo membraan jo site ko chalatay hain admin mod.aap har form ka mod bana dijiye,jis ka kaam naye aur purranaye likhnay walon ki hosla afzaai karrna ho,mustaqil membraan ko bhii aisa karnaa chahiye,ta k naye likhnay walon ko achaa lagay,

umeed hay k aisa karnay se www.shayri.com par behtarii aaye gi,
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
daud433
Guest
 
Posts: n/a
25th June 2007, 09:27 AM

Quote:
Originally Posted by prasaxena View Post
Aziiz Dosto

Kuchh dinoN se ek Khaas topic hamari site pe garmaaya hua hai. Aur iss baare meiN Aman sahab aur Parul ji ne Khaas aawaaz uthhayee hai.

Main unke KhayaloN aur jazbe ki qadr karta huuN. Aur ye bhi manta huuN ke wo ekdam sahi baat keh rahe haiN. Jab ek shaKhs ek hi ID se apni baat keh sakta hai toh ussey koi aur ID banane ki zarUrat kyuuN paRe. Lekin phir bhi log aisa karte haiN.

Mujhey lagata hai ke wo membaraan ko ye batana chaahte haiN ke ke unke kalaam ko kitne logon ne taareef se nawaaza hai. Mera Khayaal hai ke aisa karne waale Khud jaante haiN ke unka kalaam kitna qaabil-e-daad hai. UnheN lagta hai ke agar kahiN se tareef na mile to chalo Khud hi kar leN. Mujhe afsos hai ke shayri ke naam par hamaare member dost iss tarah ki halki baton par utar aaye haiN.

MaiN Parul aur Aman ko ye bhi bataana chahuuN ga ke aise logon ko ban karna iss pareshaani ka hul qatayee nahiN hai. Kyunke aise log us ghaas ki tarah hote haiN jisse jitna zyada kaateNge aur zyad baRh jaati hai.

Aap iss baat ko maan leN ke ye site paid site nahiiN hai aur yahaN koi bhi register kar sakta hai. Aur ye baat bhi jaan leN ke yahaan chhoR kar jaane waali baateN karne waale shayri ke chaahne waale nahin ho sakte aur na hi unmeiN koi shayrana baat ho sakti hai. Aap se guzaarish hai ke aise logon ko ignore kar diya jaana hi behtar hoga. Warna unheN ban karte-karte hi saara waqt nikal jaayega… hum sher kab kaheN ge? Sach toh ye hai ke unhe shayri se koi lena dena nahin. Aise logon ke liye pareshaan hokar aap kyuuN apna qeemti waqt zaaya kareN.

Aap sab se meri ye guzarish hai ke jab koi chori ki post jaisi harkat kare to wo saamne laane se na chuukeN. Aise logon ko rokna aur yahaN ka darwaaza dikhana zaruuri hai.

Yaad rakheN… ye hum sabka apna ghar hai yahaN achcha mahole bana rahe uski zimmedaari hum sabki hai.

Ummeed karta huuN ke Aman aur Parul jaise dostoN ko kuchh hudd tak unke sawaaloN ka jawaab milaa hogA. Phir bhi kuch baat main kehne se reh gaya huuN to phir kahuuN ga.

Fil haal aap sabhi ki raae ka muntazir rahuuN ga.

Khaaksaar
Praveen Saxena
tum meri ankh k tewar na bolah pao gi, un kahi batoon ko socho gi tu yaad aaon gaa.
   
Reply With Quote
chote muh badi baat
Old
  (#10)
nihar
Registered User
nihar is a splendid one to beholdnihar is a splendid one to beholdnihar is a splendid one to beholdnihar is a splendid one to beholdnihar is a splendid one to beholdnihar is a splendid one to beholdnihar is a splendid one to behold
 
nihar's Avatar
 
Offline
Posts: 1,924
Join Date: Jul 2007
Location: Dubai, United Arab Emirates.
Rep Power: 26
chote muh badi baat - 29th July 2007, 05:40 PM

Quote:
Originally Posted by prasaxena View Post
Aziiz Dosto
Quote:
Originally Posted by prasaxena View Post

Praveen Saxena


Mr.Praveen mai aap ke is anokhe aur rang be rangi group ka naya member hun muje yeh to pata nahi ki yaha per log kya kya karte hai per aap ke kuch kehne pe me aap ko ek salah dena chahta hun ji bura mat maniye ga muje pata he ki yeh chote muh badi baat ho jaegi per mere dil me aur dimag me ek hi khayal aaya hai ki aagar koi shayri likhta he ya gazal likhta hai to unki tarif karne ki ya to fir unki shayri ko sudharne ke liye aap hi koi aaisa ustad chuniye jo shayri ka badshah ho jiske liye shayri hi jiwan ho aur aap ke anouncement kar de ki jis ki shayri ko in logo ne jo reply diya hai wohi reply sach mana jaega fir chahe woh aacha ho ya bura.

isse jyada kehneka mereliya akal ka kaam nahi ho .

bus aap to samajdar hai............................................... .................................................. ....


Kitne mare kitne aabhi rahoo.N me hai
Kuch aa.Nsoo baki nigahoo.N me hai

  Send a message via Skype™ to nihar 
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
DostoN ke liye SMS........... Rajeev Sharma Pyaar Bhari SMS Shayri 50 28th July 2014 04:50 PM
doston k liye sameer786 Shayri-e-Ishq 2 3rd November 2006 05:06 PM
doston ke liye young_prince11 Shayri-e-Ishq 0 4th October 2005 03:10 PM
doston ke liye jakky_4_u Shayri-e-Ishq 1 7th August 2005 11:47 PM
Sab Doston ke liye !! Junoon Shayri-e-Ishq 0 8th June 2003 06:13 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com