Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 6 votes, 5.00 average. Display Modes
reh reh ke bohat yaad voh aaye tam'aam shab (Ghazal)
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
reh reh ke bohat yaad voh aaye tam'aam shab (Ghazal) - 20th September 2015, 06:08 AM

aadaab dosto,

Ghazal mulaiiza kareiN:



reh reh ke bohat yaad voh aaye tam'aam shab
mar mar ke maine lamhe bitaaye tam'aam shab

kam ho saka na dard-e-juda'ii ka aNdhera
maine, charaaGh-e-ashk jalaaye tam'aam shab

aisii bhi ko'ii raat muqaddar meiN kaash ho
hum rooTh jaayeN ko'ii manaaye tam'aam shab

raatoN ko jaagne ka mujhe shauq to nahiiN !!
kambakht dil ka zaKhm sataaye tam'aam shab

zaalim hai teri tar'he, terii yaad bhi jaanaaN
ashkoN ka zehar mujhko pilaaye tam'aam shab

voh khwaab ki duniya meN thi,baiThaa tha maiN yahaaN
palkoN ko raaste pe bichhaye tam'aam shab

kaise maiN maan luuN ke buri hai sharaab, yeh
marham mere zaKhmoN pe lagaaye tam'aam shab

"maikash" naeeN hui hai raqm "yooN hi" yeh Ghazal!
kaaGhaz pe baDe ashk bahaaye tam'aam shab


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
20th September 2015, 01:22 PM

namaskaar maikash ji...

aapki is behatreen ghazal ko na jane kitni baar padh liya maine,tareef karne jitni samajh to nahi mujhme par bhi kahna chahoongi.. har sher itna pyara aur itna gahra ki bas kho hee gayi usme....bahut mubarakbaad aur daad aapko is khoobsoorat ghazal par..
Bahut shukriya hamare sath share karne ka..

Salamat rahein....



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Hamdam
Member
Hamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud ofHamdam has much to be proud of
 
Hamdam's Avatar
 
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 26
20th September 2015, 04:13 PM

Maikash Sahib...Adaab.

Wah janab bahut achchi peshkash rahi aapki.
Her ek sher apne meiN mukammal tha ...Aur rawangi
tau itni ghazab ki lagi mujhe ki dil kerta tha bus perta
jaaooN...DheroN daad kabool.kareiN.

Sanjay Sehgal



khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
20th September 2015, 06:12 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab dosto,


aisii bhi ko'ii raat muqaddar meiN kaash ho
hum rooTh jaayeN ko'ii manaaye tam'aam shab

raatoN ko jaagne ka mujhe shauq to nahiiN !!
kambakht dil ka zaKhm sataaye tam'aam shab

kaise maiN maan luuN ke buri hai sharaab, yeh
marham mere zaKhmoN pe lagaaye tam'aam shab

"maikash" naeeN hui hai raqm "yooN hi" yeh Ghazal!
kaaGhaz pe baDe ashk bahaaye tam'aam shab
Janaab e aala

Kuch aashaar padh ke ya sun ke daad dee nahi jaati.. daad nikal hi jaati hai .. chune hue sher bas isi lihaaj ke nazar aate hai.. bohat hi khoob .. accha laga padh ke .. apna khyaal rakhiye .. aur aate rahiye ..

Aapka apna

Sifar


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#5)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
20th September 2015, 06:13 PM

Maikash bhaiyaa

Pranaam ...SSA

dilkash Ghazal ...waaah... bahot hi umdaah andaaz-e-bayaaN....ehsaas dil ko behad pasand aayen..khaas kar ke Ghazal ka maqtaa bahot hi pasand aayaa...bhaiyaa aap yuunhi bazm ko sajaate rahiye yahee chaahataa huun...dil se dheron saari daad...apni sehat kaa khayaal rakhiye...khush rahen

Jai shrii krishnaa

duaaon ke saath ijaazat

Aapka

Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
22nd September 2015, 10:09 PM

behtreen ghazal likhi hai maikash bhai.............................


Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
24th September 2015, 10:33 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab dosto,

Ghazal mulaiiza kareiN:



reh reh ke bohat yaad voh aaye tam'aam shab
mar mar ke maine lamhe bitaaye tam'aam shab

kam ho saka na dard-e-juda'ii ka aNdhera
maine, charaaGh-e-ashk jalaaye tam'aam shab

aisii bhi ko'ii raat muqaddar meiN kaash ho
hum rooTh jaayeN ko'ii manaaye tam'aam shab

raatoN ko jaagne ka mujhe shauq to nahiiN !!
kambakht dil ka zaKhm sataaye tam'aam shab

zaalim hai teri tar'he, terii yaad bhi jaanaaN
ashkoN ka zehar mujhko pilaaye tam'aam shab

voh khwaab ki duniya meN thi,baiThaa tha maiN yahaaN
palkoN ko raaste pe bichhaye tam'aam shab

kaise maiN maan luuN ke buri hai sharaab, yeh
marham mere zaKhmoN pe lagaaye tam'aam shab

"maikash" naeeN hui hai raqm "yooN hi" yeh Ghazal!
kaaGhaz pe baDe ashk bahaaye tam'aam shab
wah bhaiyaa wah!

Har sher par aah aur wah ek saath nikali, this is undoubtedly one of your best.

behad behad pasand aayi apki ghazal.

Daad kabool kijiye,


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
24th September 2015, 10:46 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab dosto,

Ghazal mulaiiza kareiN:



reh reh ke bohat yaad voh aaye tam'aam shab
mar mar ke maine lamhe bitaaye tam'aam shab

kam ho saka na dard-e-juda'ii ka aNdhera
maine, charaaGh-e-ashk jalaaye tam'aam shab

aisii bhi ko'ii raat muqaddar meiN kaash ho
hum rooTh jaayeN ko'ii manaaye tam'aam shab

raatoN ko jaagne ka mujhe shauq to nahiiN !!
kambakht dil ka zaKhm sataaye tam'aam shab

zaalim hai teri tar'he, terii yaad bhi jaanaaN
ashkoN ka zehar mujhko pilaaye tam'aam shab

voh khwaab ki duniya meN thi,baiThaa tha maiN yahaaN
palkoN ko raaste pe bichhaye tam'aam shab

kaise maiN maan luuN ke buri hai sharaab, yeh
marham mere zaKhmoN pe lagaaye tam'aam shab

"maikash" naeeN hui hai raqm "yooN hi" yeh Ghazal!
kaaGhaz pe baDe ashk bahaaye tam'aam shab


Maikash ji....aapki kalam ke mureed to ham shuru se hi hai, ab kaun se lafzoN mein tareef kare gazal/dard ki...bas etna kahuNgi ki hamesha ki tarah aapki yeh gazal bhi dil ke dard ke kareeb rhi.

rabb raakha ji


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
24th September 2015, 12:40 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab dosto,

Ghazal mulaiiza kareiN:



reh reh ke bohat yaad voh aaye tam'aam shab
mar mar ke maine lamhe bitaaye tam'aam shab

kam ho saka na dard-e-juda'ii ka aNdhera
maine, charaaGh-e-ashk jalaaye tam'aam shab

aisii bhi ko'ii raat muqaddar meiN kaash ho
hum rooTh jaayeN ko'ii manaaye tam'aam shab

raatoN ko jaagne ka mujhe shauq to nahiiN !!
kambakht dil ka zaKhm sataaye tam'aam shab

zaalim hai teri tar'he, terii yaad bhi jaanaaN
ashkoN ka zehar mujhko pilaaye tam'aam shab

voh khwaab ki duniya meN thi,baiThaa tha maiN yahaaN
palkoN ko raaste pe bichhaye tam'aam shab

kaise maiN maan luuN ke buri hai sharaab, yeh
marham mere zaKhmoN pe lagaaye tam'aam shab

"maikash" naeeN hui hai raqm "yooN hi" yeh Ghazal!
kaaGhaz pe baDe ashk bahaaye tam'aam shab
Behtreen ghazal huyi hai Ustaad Ji, mazaa aa gaya padh kar kuch ghazal jitni baar padhi jaayein kam hai aur yeh unmein se ek nayaab nageena hai. zor-e-kalam aur badhtaa jaayein yahi duaa hai.....



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#10)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
28th September 2015, 10:48 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab dosto,

Ghazal mulaiiza kareiN:



reh reh ke bohat yaad voh aaye tam'aam shab
mar mar ke maine lamhe bitaaye tam'aam shab

kam ho saka na dard-e-juda'ii ka aNdhera
maine, charaaGh-e-ashk jalaaye tam'aam shab

aisii bhi ko'ii raat muqaddar meiN kaash ho
hum rooTh jaayeN ko'ii manaaye tam'aam shab

raatoN ko jaagne ka mujhe shauq to nahiiN !!
kambakht dil ka zaKhm sataaye tam'aam shab

zaalim hai teri tar'he, terii yaad bhi jaanaaN
ashkoN ka zehar mujhko pilaaye tam'aam shab

voh khwaab ki duniya meN thi,baiThaa tha maiN yahaaN
palkoN ko raaste pe bichhaye tam'aam shab

kaise maiN maan luuN ke buri hai sharaab, yeh
marham mere zaKhmoN pe lagaaye tam'aam shab

"maikash" naeeN hui hai raqm "yooN hi" yeh Ghazal!
kaaGhaz pe baDe ashk bahaaye tam'aam shab

qatl ho gaye ham to is haseen kalaam ko padh kar huzoor.....
alfaaz nahi hain mere paas iski shaan me kahne ke liye... bas guzaarish ahi ke jaldi jaldi hame padhne ke mauqe dete raha kijiye...

shukriyaa.....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
29th September 2015, 02:34 AM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
namaskaar maikash ji...

aapki is behatreen ghazal ko na jane kitni baar padh liya maine,tareef karne jitni samajh to nahi mujhme par bhi kahna chahoongi.. har sher itna pyara aur itna gahra ki bas kho hee gayi usme....bahut mubarakbaad aur daad aapko is khoobsoorat ghazal par..
Bahut shukriya hamare sath share karne ka..

Salamat rahein....

namaskaar Madhu jee,


aapki dariyaa-dilli hai jo is haqeer Ghazal ko kisi qaabil samjha, maiN iNtehaayi shukurguzaar hooN aapne jo hauNslaa badhaaya hai, aapk daad aur mubarakbaad sar-aaNkhoN par, bohat hi shukriya


ek baat jo Ghazal post karte waqt kehna bhool gaya hooN ke yeh Ghazal koi 9-10 saal puraani hai


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#12)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
4th October 2015, 10:36 AM

behad khoobsoorat ashaar hain man khush ho gayaa padh ke


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
Old
  (#13)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 86
21st October 2015, 09:16 AM

Quote:
Originally Posted by maikash View Post
aadaab dosto,

ghazal mulaiiza karein:



Reh reh ke bohat yaad voh aaye tam'aam shab
mar mar ke maine lamhe bitaaye tam'aam shab

kam ho saka na dard-e-juda'ii ka andhera
maine, charaagh-e-ashk jalaaye tam'aam shab

aisii bhi ko'ii raat muqaddar mein kaash ho
hum rooth jaayen ko'ii manaaye tam'aam shab

raaton ko jaagne ka mujhe shauq to nahiin !!
Kambakht dil ka zakhm sataaye tam'aam shab

zaalim hai teri tar'he, terii yaad bhi jaanaan
ashkon ka zehar mujhko pilaaye tam'aam shab

voh khwaab ki duniya men thi,baithaa tha main yahaan
palkon ko raaste pe bichhaye tam'aam shab

kaise main maan luun ke buri hai sharaab, yeh
marham mere zakhmon pe lagaaye tam'aam shab

"maikash" naeen hui hai raqm "yoon hi" yeh ghazal!
Kaaghaz pe bade ashk bahaaye tam'aam shab
bahut umdaah ! Waah !!!

Dilee mubaaraqbaad !!!!!!!!!




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com