Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri Ki Paathshaala

 
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
Important : Please read before posting
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
Important : Please read before posting - 11th January 2013, 05:33 PM

Aadaab hazreen,

Shayri ki paathshaala meiN aapka khair-maKhdam hai


Is section ko banaane ka khaas maqsad yeh hai ke yahaaN technical rules ke mutabiq likhi gayi kaavisheiN post hoN aur un kaavishoN par sahib-e-ilm tabsira kareiN aur islaah ki tamanna rakhne waale shayiroN ko islaah de sakeiN

Yahaan technical rules ke mutaabiq likhke gaye kalaam hi post hoNge, baaqi threads duusre sections meiN move kar diye jaayeNge

Is section me post hone waale har thread per mods ki nazar rahegi

Is section meiN post hone waale har kalaam ko yahi tasleem kiya jaayega ke post karne waala shayar tabsire /islaah ka khwaahishmaNd hai , shayar apne defence meiN bahas kar sakte haiN

Tabsira karne waale members se hamari guzaarish hai ke sirf shayar ki madad ka khayaal dil meiN ho,apnapan aur shayar ki izzat ka khayaal rakheiN, apna lehjaa dostaana rakeiN

Is section me post karne waale shayaroN se hamari guzaarish hai ke, reviewer ka ehteraam kareiN, unki baat ko sune, samjhe, reviewer ka maqsad sirf aapki GhalatiiyoN ko sudhaarna hai


kuch guidelines haiN , jise agar hum sab follow kareiN to ye section sab ke liye faayde’maNd saabit hoga

General guidlines
----------------------------

1] kindly keep the atmosphere formal and stay on the topic as much as possible
2] Discussion sirf aur sirf us topic par ho jo saamne hai
3] is section meiN kisi qism ki general discussion aur chit-chat allowed nahiiN hai

For the writer ( jo islah chahta hai)
------------------------------------------


1] aapki post kam se kam chaar non repeating misroN ki ho, agar Ghazal hai to kam se kam us meiN paaNch she’r hoN, yeh laazimi hai
2] aazaad nazm aur nacr meiN kahi gayiiN kaavisheiN aap yahaaN post nahiiN kar sakte
3]agar aap specifically bataa sakeiN ki aap kis tarah ki islah chaahte haiN to rewiewers ka kaam aasaan ho jaayega
4] ki gayi islah maan'naa ya naa maan'naa aapki marzi hai, aap kisi bhi suurat meiN rewiever ke liye naaraaazgi nahiiN zaahir karenge, islaah ka jo bhi hissa aapko theek lage use kabool kareiN aur baaki radd, tabadla e khayaal kar sakte haiN ,wazahat maaNg sakte haiN, daleel aur misaal maaNg sakte hai, lekin mehfil ka dhyaan rakhte huye adab se
kindly do not forget you are being obliged not the other way round.



For reviewers/tabsira karne waale member
-------------------------------------------------------

1] aasaan lehja/bhaasha istemaal kareiN, jise sab members follow kar sakeiN

2] ek kalaam par jitne chahe utne member tabsiraa kar sakte haiN, yeh writer ka privilege hai kise kitna maane, yaad rahe yeh ek peer group review hai ,yaani ki ek field ke equal standing members ka review hai
3] koi suurat kisi sher/qataa ki bataii jaaye to writer ke khayaal se bilkul qareeb ho, iski kohshish kijiye

Shayar aur reviewer, donoN se hamari guzaarish yahi rahegi ke, yahaaN pyaar, khuloos, mohabbat se baat ki jaaye, hum sab yahaaN kuch na kuch seekhne ke liye jamaa hue haiN aur iski koi fees nahiiN hai



shukriya


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
 

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com