Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Rimjhim gire sawan sulag sulag jaye man!Join Maham in this thread!!!!!!!!!
Old
  (#1)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
Rimjhim gire sawan sulag sulag jaye man!Join Maham in this thread!!!!!!!!! - 30th September 2007, 02:13 AM

Garajtae badal , barasta sawan , aur asmaan pe kaundatee barq maham ko deevaana bana jatee hei,Ishq hai hamae baarastae mausamon se Barasta sawan bhi ajeeb sheh hai ...........kabhi barastee bondain palkon mein chipae ansoun mein jazb ho jatee hein kabhi yehee bondain ehsas ko madhosh kar jatee hein .....kabhi ye man ki tashnagee siwa kar jatee hein kabhi tan men chingaree see sulga jaatee hein....shayed sawan ka koi qasoor nahi ......

Hamare ander ke mausamon pe moqouf hai ke bahar ka mausam kaisa mehsus ho haameKabhi kabhi barastee bondain ehsas ko jhulsa jaatee hein aur kabhi chamaktee dhoop chandnee kee kirnon ki tarha munavar kar detee hei dilko

Eik roz hamare shahar Toronto mein sawan ki pehlee barish thee.............Ghup andhera 3pm pur , garajtae badal , baraastee bondain .......karaktee bijli...........aur Maham besaakhta is sard mausam mein bhi parwah kyae bina apne backyard mein nikal gayee.........i just stood there breathless........letting the raindrops carrase my senses along with my being .........
Aise mausam mein sarea dukh najanae kahan so jatae hain , hur gham kaheen kho jata hai .........sirf ehsas mein ajub sarshari reh jatee hei ..............aur waise bhi zindagee kee ye shaam bauhat nayee see lagee .....................najanae kyun ..............yun laga pehlee baar bondon se tauruf hoa ho Maham ke tanman ka ............Socha bazm ke aakash pe in baadlon ko ikhata kya jayae aur kuch jalthal yahan bhi ho jayae .............
Kya khayal hai ?
Chaliyae yun kartae hain ke sawan ki is bond bond ko jama kartae hain yahan ishee bazm mein

Apnee ya asataza ki tehreeron se , agar hon apke pass tou tasaveeron se is bazm mein sawan ki ruth ko ley ayae ........

kuch geet kuch tehreerain Maham haazir karte chalae
Sab se pehlae eik geet .............jo sunae ka nahi ......................ankhain band kar ke dekhnae ka hai ..............buahat pyara lagta hai hamae is geet ka mahol aur ehsas

RimjhimRimjhim Bheegee bheegee ruth mein
tum hum hum tum chaltae hain
bajta hai jaltarang teen kee chat pe jab
motiyon jaisa jal barsae
Bondon kee yeh jharee layee hei woh gharee
jiske lye hum tarsae
Badal kee chaadrain orahae hain waadaiyaan
saree dishaaiyen soyee hein
Sapnon ke gaoun men bheegee see chaoun men
do aatmaaiyen khoyee hein

Ayeen hain dekhnae jheelon ke aainae baalon ko kholae ghataiyen
Raahain dhuan dhuan jayen gayae hum kahan
aou yaheen reh jaiyen

RimjhimRimjhim Bheegee bheegee ruth mein
tum hum hum tum chaltae hain
************************************************** *****

Kuch ashaar jo maham ko behud pasand hain barsaat pur hazir kyae detae han

tarsey huey seHra se jo bin barsey guzar jaaye
itni bhi maghroor, na koi saawan ki ghaTaa ho
koi sawan kee ghata ko maghrur kehta hai

aur koi ushee sawan ke havalae se kisi se kehta nazar ata hai ke

Kabhi tou khul ke baras abr e meharbaan kee tarha
mera wajud hai jaltae hoay makaan kee tarha
mai.n ik Khvaab sahii aap kii amaanat huu.N
mujhe sambhaal ke rakhiyegaa jism-o-jaa.N kii tarah

kabhii to soch ke vo shaKhs kis qadar thaa bula.nd
jo bichh gayaa tere qadmo.n me.n aasmaa.N kii tarah

bulaa rahaa hai mujhe phir kisii badan kaa basa.nt
guzar na jaaye ye rut bhii kahii.n Khizaa.N kii tarah

Aur kabhi sawan baras bhi jaiy tou shikayat hotee hei ke

barasaa bhii to kis dasht ke be-faiz badan par
ik umr mere khet the jis abr ko tarse

Aur parveen shakir nae alag he andaaz men BARSAAT ko mehsus kya

baarish hu_ii to phuulo.n ke tan chaak ho gaye
mausam ke haath bhiig ke saffaak ho gaye
baadal ko kyaa Khabar ki baarish kii chaah me.n
kitane buland-o-baalaa shajar Khaak ho gaye

************************************************** ******

lams-e-janaaN ,fishaar-e-jaaN baarish
zakhm-e-taaza ki raazdaaN baarish
toot kar barsay teri yaad ke phool
phir hui raat naa gahaaN baarish
ik naye qurb ka piyasa hai wujood
ik naye khuaab ka jahaaN baarish
hijr ki dhoop dilaati hai yaad
piyaas bharkaati mehrbaaN baarish
habs-e-jaaN kis tarah sahaarain gay
pal do pal day hamain amaaN baarish
khuaahish-e-wasl iste'aara hai
bhool saktay hain hum kahaaN baarish
qurb-e-yaaraaN ki taiz khushboo
kishti-e-khuaab baadbaaN baarish

************************************************** ***********

Maham gher ke ghata ley ayee hei bazm ke aakash pe ..........Dekhain aab kitna toot ke sawan barsae apkee tehreeron ka
Muntazir
Maham Azmi

Last edited by Mayank; 30th September 2007 at 10:18 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
30th September 2007, 02:31 AM

TORONTO kee eik toofaani raat ke naam ye adnaa se kaavish jiska janam Maham ke haqeer se qalam se hoa
haazir hei

Aakaash ki wusaton ko qadam pe jhukne dije
mast badal ko ajj yunhee karaknae dijae

Saqi bhi hai jaam e maiy bhi hai faza bhi hei
Kuch dair tou aur yae nasha charnae dije

Barson simta raha apne khaul mein ye badan
Ajj isko apnee banhon mein bikharnae dije

Tapte raigzaar ki maanind piyasi meri ruh
Piyar kee is badli ko rimjhim barasne dije

Had se guzar jayae,toot ke kije piyar hame
Parwah na kije!Mere dil ko yun dharakne dije

Behakne dijae qadam alam e madhoshi mein
Mast nigahon se yunhee sharab chalakne dije

Bin piyae hi aap na larkhara jain tou manain
Anchal hamare shaanon se zara sarakne dije

Kab se dabbi chingari tan man mein sulag rahi
Ajj shoula e ishq ko zoron pe bharakne dije

Rouk lijiyae khumar bhare madhosh lamhon ko
Aj ki is raat ko sawaire ke liyae tarasnae dije

Firaq e yaar mein gira ansoo maang raha hisaab
Lamha e visaal ko kuch aur abhee tarapne dijae

Reply With Quote
Old
  (#3)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
30th September 2007, 02:50 AM

Ap Tamaam ehbaab se guzarish hei ke aab aap baraste sawan ke is khubsoorat topic pe apni tehreerain jo ap ne likhee hon ya vo tehreerain jo asataza kee hon aur apki man pasand hon unko yahan ata kijiye aur is bazm mein sawan ki ruth ko ley ayae ........

Awaiting for ur posts ,

MahamAzmi

Reply With Quote
Old
  (#4)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
1st October 2007, 01:02 PM

maham jee:

aadaab, kaisi hai.n aap?

bohat khuubsuurat silsile ka aaGhaaz kiya ahai aap ne... aur aap ke is thread par bhii mujhe sab se pahle mujhe hii sirqat karne ka mauqa milaa hai chaliye ek Ghazal arz karta huu.n, yeh Ghazal hamaarii likhii huii nahii.n hai, kahii.n sun,ne ka mauqa mila thaa... ummed hai aap bhi lutf le.nge..

Barsaat ki bheegi raaton mein...
Barsaat ki bheegi raaton mein...
Phir koi suhaaani yaad aayi..
Kuch apna zamana yaad aaya..
Kuch unki jawani yaad aayi..

Barsaat ki bheegi raaton mein...

Hum bhool chuke the kisne humein...
Duniye mein akela chod diya...
Hum bhool chuke the kisne humein..
Duniya mein akela chod diya...
Jab gaur kiya to ik surat...
Jaani pehchaani yaad aayi...

Barsaat ki bheegi raaton mein...

Kuch paaon ke chhaale kuch aansun..
Kuch gard-e-safar kuch tanhaayee...
Kuch paaon ke chhaale kuch aansun...
Kuch gard-e-safar kuch tanhaayee...
Us bichade hue hum-raahi ki...
Ik ik nishaani yaad aayi...

Barsaat ki bheegi raaton mein...
Phir koi suhaani yaad aayi..
Barsaat ki bheegi raaton mein...
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
hi
Old
  (#5)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
hi - 1st October 2007, 02:58 PM

hi maham jee aur mayank jee chalo men bhi is men saamil ho jata hoon piash krtaa hon ek khoobsurat song ki lyrix. ise aap sun bhi sakte hai. us kee link bhi de raha hoon

lagee aaj saawan kee, fir wo zadee hain
wahee aag seene mein, fir jal padee hain

kuchh ayese hee din the, wo jab hum mile the
chaman mein nahee, fool dil mein khile the
wahee to hain mausam magar rut naheen wo
mere saath barasaat bhee ro padee hai

lagee aaj saawan kee, fir wo zadee hain
wahee aag seene mein, fir jal padee hain..................

koee kaash dil pe, jaraa haath rakh de
mere dil ke tukadon ko, yek saath rakh de
magar ye hain khwaabon khayaalon kee baate
kabhee toot kar cheej koee judee hain

lagee aaj saawan kee, fir wo zadee hain
wahee aag seene mein, fir jal padee hain..................

Neeche dee gayi link par aap sun bhi sakte hai song

http://www.gayaki.com/songs-of-Chandni.html

http://ww.smashits.com/music/hindi-f.../chandni.html#

regards
manu
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote
Old
  (#6)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
1st October 2007, 03:58 PM

Bahut acchi post hain mahaam....baarish wow!!!
kal hi maine yeh post padhi thi reply bhi karrna chahe par na kar payi..socha main 1st par ab to mera no 3rd ho gaya yeh nazm kuch 2 mahine pehle likhi thi to use hi share kar deti hoon.....

Baarish ki bunde mujhe yun tadpaye
Beeta hua waqt haye mujhe yaad aaye

Bundon ka girna yun mere badan pe
Nasha kaisa chaye samajh me na aaye
Mera yun sikudna thandi hawa se
Lage jaise wo apni bahon me samaye

baarish ki bunde.........

Haye ye tadap fir kaisi hain chayi
Kaise sambhalu apne behke kadam ko
Kahi beh na jau main ehsaason ke chalte
mere armaan firse lage hain machalne

barish ki bunde....

Main barf ho chali thi uske deedar se
Larazte mere hoth kuch aisi kasak thi
Zara paas aa ke chu loon tujhe main
Jutha hi sahin ek khwab bun lu main

haan jutha hi sahin ek khwaab bun lu main......

Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se

Last edited by mausam; 1st October 2007 at 04:02 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
4th October 2007, 08:16 AM

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post
maham jee:

aadaab, kaisi hai.n aap?

bohat khuubsuurat silsile ka aaGhaaz kiya ahai aap ne... aur aap ke is thread par bhii mujhe sab se pahle mujhe hii sirqat karne ka mauqa milaa hai chaliye ek Ghazal arz karta huu.n, yeh Ghazal hamaarii likhii huii nahii.n hai, kahii.n sun,ne ka mauqa mila thaa... ummed hai aap bhi lutf le.nge..

Barsaat ki bheegi raaton mein...

Barsaat ki bheegi raaton mein...
Phir koi suhaaani yaad aayi..
Kuch apna zamana yaad aaya..
Kuch unki jawani yaad aayi..

Barsaat ki bheegi raaton mein...

Hum bhool chuke the kisne humein...
Duniye mein akela chod diya...
Hum bhool chuke the kisne humein..
Duniya mein akela chod diya...
Jab gaur kiya to ik surat...
Jaani pehchaani yaad aayi...

Barsaat ki bheegi raaton mein...

Kuch paaon ke chhaale kuch aansun..
Kuch gard-e-safar kuch tanhaayee...
Kuch paaon ke chhaale kuch aansun...
Kuch gard-e-safar kuch tanhaayee...
Us bichade hue hum-raahi ki...
Ik ik nishaani yaad aayi...

Barsaat ki bheegi raaton mein...
Phir koi suhaani yaad aayi..
Barsaat ki bheegi raaton mein...
Maynak ji , adaab arz hei

Bhala laga apka yahan ana aur is thread ko pasand karna ,

hame to laga kisi ko ye silsila acha hee nai laga so koi yahan aya hee nai

apka ata karda geet acha laga

umeed hei aap yunhee bond bond is silsile ko seraab karte rahain ge

Thanx hazaroun gulistan

Due respects ,

MahamAzmi

Reply With Quote
Old
  (#8)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
4th October 2007, 08:19 AM

Quote:
Originally Posted by acharya_mj View Post
hi maham jee aur mayank jee chalo men bhi is men saamil ho jata hoon piash krtaa hon ek khoobsurat song ki lyrix. ise aap sun bhi sakte hai. us kee link bhi de raha hoon

lagee aaj saawan kee, fir wo zadee hain
wahee aag seene mein, fir jal padee hain

kuchh ayese hee din the, wo jab hum mile the
chaman mein nahee, fool dil mein khile the
wahee to hain mausam magar rut naheen wo
mere saath barasaat bhee ro padee hai

lagee aaj saawan kee, fir wo zadee hain
wahee aag seene mein, fir jal padee hain..................

koee kaash dil pe, jaraa haath rakh de
mere dil ke tukadon ko, yek saath rakh de
magar ye hain khwaabon khayaalon kee baate
kabhee toot kar cheej koee judee hain

lagee aaj saawan kee, fir wo zadee hain
wahee aag seene mein, fir jal padee hain..................

Neeche dee gayi link par aap sun bhi sakte hai song

http://www.gayaki.com/songs-of-Chandni.html

http://ww.smashits.com/music/hindi-f.../chandni.html#

regards
manu

Zaroor Manu ji

aap ki karamfarmayee jo aap yahan aye aur kuch ata kiya

Iska matlab ke apko ye silsila acha laga jo Maham ne buahat mehnat se sajaya hei

apki sheri zouq ke kamaalaat to apki tehreron aur apke chune hoay ashaar se pata lag he chuka tha magar ye jo gee taap ne bheja hei buahaaaaaaaaat khub hei buahat hee umda aur buahat hee Maham ki pasand ka for sure ............

Lijiye isko aap yahan dekh sakte hein

http://www.youtube.com/watch?v=-FV_eD6gttQ

kya Maham umeed kar saktee hei ke aap dobara ayen ge aur kuch aur ata karen ge

kuch jo aap ne likha ho , kuch jo kaheen aap ne parha ho , ya koi aur geet ..........

Muntazir

MahamAzmi

Reply With Quote
hi
Old
  (#9)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
Talking hi - 4th October 2007, 11:32 AM

Quote:
Originally Posted by MahamAzmi View Post

jaroor jaroor maham ji..............................................
aap bulaaye aur ham na aaye..................................
ye to aap ki shaan men gustaakhi hogi na
bhala aisee jurrat mujh jaisa adnaa aadami kaise kar saktaa hai bhala

lee jeeye aur ek song padhiye aur suniye mahotarma jo mer a favorite hai.

song ki lyrix yun hai. from film najayaz

barasaat ke mausam mein tanhaayi ke aalam mein - 2
main ghar se nikal aayaa botal bhi uthaa laaya
abi zindaa huun to (ji lene do) - 2
bhari barasaat mein pi lene do - 2

(mujhe tukadon mein nahin jinaa hai
qataraa qataraa to nahin pinaa hai) - 2
ho aaj paimaane hataa do yaaron
haan saaraa maikaanaa pilaa do yaaron
maikadon mein to piyaa karataa huun - 2
chalati raahon mein to pi lene do
abi zindaa huun to........................

(mere dushman hain zamaane ke gam
baad pine ke ye honge kam) - 2
ho zulm duniyaa ke na sah paayuunga
bin piye aaj na rah paayuunga
mujhe haalaat se takaraanaa hai - 2
aise haalaat mein pi lene do
abi zindaa huun to.....................

aap yaha ise dekh aur sun bhi sakte hai mahotarma. haa magar yeh dhyan rakhana. kahee bin piye hee na chad jaaye yeh song sunane aur dekhane ke baad

http://www.youtube.com/watch?v=-9GT9N8Cn7o

regards
manu
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote
Old
  (#10)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
4th October 2007, 01:39 PM

Araay Manu ji aisi koi baat nai hamaree koi shaanwaan nai ke gustakhi ho , hum to buahat mamuli se seedhe sadhe insan hein , koi bhi khaas baat nai hamare ander pur ap aye aur ap ne ita pyara sa geet hame sunaya , acha laga ........

Chaliye apko eik geet Maham bhi sunaye...........

Ye geet hamae pasand hee nahi ishq hei hamae is se aur lab akcar isko gungunate hein

aaj apki bazm ki nazr karte hein

http://www.youtube.com/watch?v=rfKy_1fBq_Q

__________________________________________________

Manu ji , aap ne hamaree HINDI KAVITA parhee ?

Hindi kavitaoun ke section mein ja ke usko zaroor parhiye aur chahain tou uska court marshal kar dijiye ga , cuz hamae likhna to ata nai ita acha aur HINDI to bilkul nai atee bas shouq hei is language ka so tukbandi kar lete hien zarroor nigah daaliye ga agar jo apka dil chahe tou .............

Chaliye abhi apko Maham apni likhee eik nazm sunatee hei jo barsaat ki eik raat mein likhee thee

I ve posted it wid the thunder lightening image up there on this same post ...........do check it out ..........

Last edited by MahamAzmi; 4th October 2007 at 01:43 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
5th October 2007, 09:47 AM

Quote:
Originally Posted by mausam View Post
Bahut acchi post hain mahaam....baarish wow!!!
kal hi maine yeh post padhi thi reply bhi karrna chahe par na kar payi..socha main 1st par ab to mera no 3rd ho gaya yeh nazm kuch 2 mahine pehle likhi thi to use hi share kar deti hoon.....

Baarish ki bunde mujhe yun tadpaye
Beeta hua waqt haye mujhe yaad aaye

Bundon ka girna yun mere badan pe
Nasha kaisa chaye samajh me na aaye
Mera yun sikudna thandi hawa se
Lage jaise wo apni bahon me samaye

baarish ki bunde.........

Haye ye tadap fir kaisi hain chayi
Kaise sambhalu apne behke kadam ko
Kahi beh na jau main ehsaason ke chalte
mere armaan firse lage hain machalne

barish ki bunde....

Main barf ho chali thi uske deedar se
Larazte mere hoth kuch aisi kasak thi
Zara paas aa ke chu loon tujhe main
Jutha hi sahin ek khwab bun lu main

haan jutha hi sahin ek khwaab bun lu main......
buaahat achee see larkee

heyyyyyy no sweetheart i ll consider ur post as the first one for sure cuz u thought of tried to post here first haahhaa ab theeeeeeeeeeeek

waise first ho ya third .......................ur poem truely touched my heart ..............

bauahat pyaree nazm hei , sada see bheege bheegee see , kisi ke pyar mein , aur braastee bondon mein ............

yunhee mausam ke rang bikhertee rehna is silsilae ke aakash pe

Maham Azmi
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
8th October 2007, 05:51 AM

Eik anokha sher is karhee kee nazr

kaghaz ke phul sar pe saja ke chali hayaat
nikli berun e shahar to barish ne aaliya

Reply With Quote
Old
  (#13)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
16th October 2007, 05:00 AM

Lagta hei ye silsila kisi ko pasand nahi aya jo is janib koi nai aya abhi tak

Halanke hum to samjhe the ke rimjhim barasta sawan sabhi ko pasand ho ga

Beharkaif

apni pasand ki eik tehreer hazir karte chalain yahan se guzre hein tou :

Phir saavan rut ki pavan chali tum yaad aaye
Phir patton ki paazeb baji tum yaad aaye

Phir kuNjen boliin ghaas ke hare samandar mein
Rut aaii piile phuulon kii tum yaad aaye

Phir kaagaa bolaa ghar ke suune aangan mein
Phir amrat ras kii buuNd padii tum yaad aaye

Pehle to main chiikh ke roya aur phir hansne laga
Baadal garja bijlii chamkii tum yaad aaye

Din bhar to main dunya ke dhandhon mein khoya raha
Jab deewaaron se dhuup dhalii tum yaad aaye

Reply With Quote
Old
  (#14)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
16th October 2007, 07:53 PM

aisa nahi
hain mahamji..ki tehreer pasand nahin aayi....chaliye hum aa gaye.... log shayad jyada busy hain
aaki yaad pe hume bhi kuch yaad aa gaya...

havaaye.n tez thii.n baarish bhii thii tuufaa.N bhii thaa lekin
teraa aise me.n bhii vaadaa nibhaanaa yaad aataa hai

Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
17th October 2007, 06:09 PM

Maham jee:

aadaab..kaise haiN aap?

aapke ees Thread ko paRhne ke baad maiN bas itanaa hi kahuNgaa kii aapko paRhnaa mere liYe khuShnaseebee ki baat hay..aap bahot achchhaa liKhati haiN.. kosiSH kaurNgaa kii aapsey kuch seeKh sakuN..aur ees safar meiN aage baRhuN..!

aapne jo KhaahiSh kii thi kii merii baariSh waalii naZm ko yahaaN peSh karuN.. to leejiYe maiN haaZir huuN..!

************************************************** **

yeH baariSh kaa mausam
aor thaNDii si hawaaYeN.....[2]
chHe.De haiN terii haay!!
chaNchal si adaaYeN

dheeme seY jab tuu aaYeN ,bheege baaloN ko suljHaaYeN
ho jaaYeN dil deewaanaa ,paayaliyaaN jab KhankaaYeN

dil ko hardam mere
aise kyuuN taDpaaYeN
yeH baariSh kaa mausam
aor thaNDii si hawaaYeN

yeH baariSh kaa mausam
aor thaNdii si hawaaYeN
chHe.De haiN terii haay!!
chaNchal si adaaYeN

jab paas mire tuu aaYeN, fir ess dil ko lalchaaYeN
DhaRkan ko tuu hai baDhaaYeN,dil meiN aag si hai lagaaYeN

muHabbat teri mujH~e
diiwaanaa teraa banaaYeN
yeH baariSh kaa mausam
aor thaNDii sii hawaaYeN

yeH baariSh kaa mausam
aor thaNDii si hawaaYeN....[2]
chHe.De haiN terii haay!!
chaNchal si adaaYeN

yeH baariSh kaa mausam.....!

************************************************** **

apnaa Khayaal raKheN.. KhuSh raheN..

mere dil sey niklii hu'ii daad ko qabUl keejiYeNgaa..

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
18th October 2007, 12:52 PM

Chaliye aapki shikayat firse door kar dete hain...ek aur post ke saath.....yeh post bahut purani hain,,,yaha ke purane member kunal ne likhi hain...mujhe to bahut pasand hain aapko bhi zaroor pasand aayegi......

Yun hi us roz chat pe mera jana tha…
Tez hoti barish main bheegne ka bahana tha…

Bheeg raha tha main ek kone pe khada hoke..
Tabhi gali main meri uska aana tha…

Ek choti chatri main sehme-2 chalna uska..
Itni thand main lazmi uska kanp jana tha ….

Chali tabhi ek sard hawa bade joron se…
Shayad uski chatri ko hawa main ud jana tha

Ye kya main barf ho chala uska deedar kar
Bheege aanchal se uska chehre ko chupa jana tha…

Har boond uske badan pe ruk jana chahti thi..
Par makhmali pe mushkil uska tehar pana tha…

Main dauda tabhi tezi se use thand se bacha loun..
Mujhe dekh apne kareeb jalim uska sharmana tha…

Na na na aur na hi thi uske honton pe bas..
Yahi to barish ki us pehli mulakat ka fasana tha…

bheega badan,mehakta aanchal, julf gata si…
aur zheel si uski aankhon main mujhko doob jana tha…

bheegte hue hi mila mujhe mera “saccha_pyar”
tabhi to mushkil us manzar ko bhool jana tha…

Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
22nd October 2007, 09:39 PM

Quote:
Originally Posted by mausam View Post
aisa nahi
hain mahamji..ki tehreer pasand nahin aayi....chaliye hum aa gaye.... log shayad jyada busy hain
aaki yaad pe hume bhi kuch yaad aa gaya...

havaaye.n tez thii.n baarish bhii thii tuufaa.N bhii thaa lekin
teraa aise me.n bhii vaadaa nibhaanaa yaad aataa hai
piyaree see larkee ,

tumhaara yahan aana

sher suna ke jana

is sab se barh ke hamae pyara laga yun tumahra narmi se kuch keh dena

bas ita hee kafee hamare liye

bauhat pyar ,

Maham , :-)
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
31st October 2007, 05:45 PM

apne tarz ka bauhat anokha aur buahat hasas dilko buahat dukhata hoa eik sher barsaat ki raaton ki nazr :

barishain jarrhe ki aur tanha bauahat mera kisaan
jism aur iklauta kambal bheegta hei sath sath
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#19)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
hi - 31st October 2007, 11:55 PM

[QUOTE=MahamAzmi;251548]Maynak ji , adaab arz hei

Bhala laga apka yahan ana aur is thread ko pasand karna ,

hame to laga kisi ko ye silsila acha hee nai laga so koi yahan aya hee nai

apka ata karda geet acha laga

umeed hei aap yunhee bond bond is silsile ko seraab karte rahain ge

Thanx hazaroun gulistan

Due respects ,

MahamAzmi[/QUOTE

lets have another beautiful song on baarish

jindagee bhar naheen bhoolegee wo barasaat kee raat
yek anajaan musaafir se mulaakaat kee raat

haay jis raat mere dil ne dhadakanaa sikhaa
shaukh jajabaat ne seene mein bhadakanaa sikhaa
meree takadeer se nikalee wahee, sadamaat kee raat

dil ne jab pyaar ke rangeen fasaane chhede
aankhon aakhon mein wafaaon ke taraane chhede
sog mein doob gayee aaj wo, nagamaat kee raat

ruthhanewaalee meree baat se maayoos naa ho
bahake bahake se khayaalaat se maayoos naa ho
khamt hogee naa kabhee tere mere, saath kee raat

painting from Roy Gonzalez Tabora

regards
manu
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote
Old
  (#20)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
7th November 2007, 03:44 PM

ufffffff khudaya oh manu ji Maham ki dilki dharkanain abhi iti taiz ho gayee hein ke aap dekh sakte ke aap soch he nai sakte kaise dharak raha hai dil is painting ko dekh kar uffffff khudaya oh gosh my god , goodness me

.......................I just feel breathless, my heart literally skipped a beat on witnessing this painting in my thread suddenly .......................

Ye poora chaand , ye saahil e samandar ye hava ka jhonke ye tanhayee mehki see ye haceen manzar ye bheegee se raat ..........ufffffffffff koi kaise na hosh kho bethe apne aisa husn dekh ke ................

aisi eik raat bhi aisi jagha pe tanhayee mein mayasar ajaye Maham ko to zindagi se koi shikwa na rahae phir ...............

Sorry sorry Manu ji sorry ..........Maham aise manazir dekh ke hosh hee kho bethtee hei aur jo ata hai dil mein beikhtiyaar likhtee chalee jaatee hon .........bas yehe hoa hai abhi

Beikhtiyaar is manzar ko apni ungliyon se choa mehsus kiya aur bethee hee reh gayee maham tou ....................dil kiya kaise bhi is manzar ke ander chalee jaoun iska hicca ban jaoun ......................

Thanx hazaroun laakhon gulistaan for sending this amazingly intoxicating painting my way here on my thread Manu ji , i m truelly thankful to u ,

Log kehte hien Maham ko apne jazbon ko lafz dene ate hein magar dekhiye yahan aaj to maham ke sare lafz kho gaye , bas saakit bethee is manzar mein dil dub gaya , ajub bekhudi ke aaspaas ka hosh hee na rahe jaise

aise manaazir to maham ki kamzori hein aur aaj to sachmuch aap ne hosh kho dye hamare

Do nt know wat else to say Manu ji , I must say this but that u re an amazing guy wid a very great asthetic sense .........

Thanx again and yet again from a spellbound speechless entranced MahamAzmi
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
Smile 7th November 2007, 05:16 PM

Quote:
Originally Posted by MahamAzmi View Post
ufffffff khudaya oh manu ji Maham ki dilki dharkanain abhi iti taiz ho gayee hein ke aap dekh sakte ke aap soch he nai sakte kaise dharak raha hai dil is painting ko dekh kar uffffff khudaya oh gosh my god , goodness me

.......................I just feel breathless, my heart literally skipped a beat on witnessing this painting in my thread suddenly .......................

Ye poora chaand , ye saahil e samandar ye hava ka jhonke ye tanhayee mehki see ye haceen manzar ye bheegee se raat ..........ufffffffffff koi kaise na hosh kho bethe apne aisa husn dekh ke ................

aisi eik raat bhi aisi jagha pe tanhayee mein mayasar ajaye Maham ko to zindagi se koi shikwa na rahae phir ...............

Sorry sorry Manu ji sorry ..........Maham aise manazir dekh ke hosh hee kho bethtee hei aur jo ata hai dil mein beikhtiyaar likhtee chalee jaatee hon .........bas yehe hoa hai abhi

Beikhtiyaar is manzar ko apni ungliyon se choa mehsus kiya aur bethee hee reh gayee maham tou ....................dil kiya kaise bhi is manzar ke ander chalee jaoun iska hicca ban jaoun ......................

Thanx hazaroun laakhon gulistaan for sending this amazingly intoxicating painting my way here on my thread Manu ji , i m truelly thankful to u ,

Log kehte hien Maham ko apne jazbon ko lafz dene ate hein magar dekhiye yahan aaj to maham ke sare lafz kho gaye , bas saakit bethee is manzar mein dil dub gaya , ajub bekhudi ke aaspaas ka hosh hee na rahe jaise

aise manaazir to maham ki kamzori hein aur aaj to sachmuch aap ne hosh kho dye hamare

Do nt know wat else to say Manu ji , I must say this but that u re an amazing guy wid a very great asthetic sense .........

Thanx again and yet again from a spellbound speechless entranced MahamAzmi
dear and respected maham jee
aap ko yeh painting achi lagi to mai yeh samjhata hoon ki yeh koshish meri kamyaab rahi ki aap ke dil ke jazbat maine jaga diye, kyunki jab maine yeh paintings dekhi to us ke saath aur bhi bahut sari paintings thi, to mai decide nahee kar paya ki kaun see paintings aap ke dil ke jazbaat bayan kar rahi hai, mere dil ne andar se awaz di ki yahi painting best hai to maine yeh chipkaadii.

mujhe bahut khushi hui ki aap ko yeh pasand aayi
dil se shukrguzaar hoon aap ka
dosto ki khushi men hee apni khushi hai
aur jaise maine kaha dosti koi seemaaye nahee dekahti chaahe age ki ho ya samaaj ki ya dharm kee. it is true holy spirit

here is the gift from me to u
this painting express the feelings of sky when there is rain.

khush rahe
proud to be ur friend
regards
manu
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote
Old
  (#22)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
8th November 2007, 12:02 AM

hmmmmmmmmmm apki ye paintings ki choice bhi bauhat sare wali achi hei Manu ji pur vo painting uffffffffffff vo to seedha direct dialling ke through dil mein ander utar ke bas gayee jaise , i know it so well ke raat ko bhi sonae laiten ge to ankhain band kar ke usko dekh rahe hon ge , i just fell helplessly in luv wid it ,

poorae chaand ki raat , samandar ka kinara thandi hava vo mahol t o jaise jism o jaan mein mehsus kiya hum ne

i luv nature , i m a natural beauty freak , and i go nuts ovr such sceneries ,

Thanx Hazaroun gulistan for sending them my way ,

acha ye barsaaton ka rimjhim baraaste sawan ka thread hei , koi nazm ghazal kuch ata kijiye na is thread ke liye hmm?

Reply With Quote
Old
  (#23)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
15th November 2007, 02:50 PM

kaare badarvaa aaye chaaii udaasii
bhigii bhigii palake.n hai.n pyaar kii pyaasii

jab se gae ho chho.D ke hamako
dil ko na jaane kyaa ho gayaa hai
aan milo ab jiyaa na jalaao
saavan bhii ab biit chalaa hai

ek jhalak to aake dikhaa jaa
a.Ndheraa hai man me.n diyaa to jalaa jaa
bhuulanavaale ham ko terii
yaad sataaye
de na sake jo chain bhii man ko
aag lage aise saavan ko
mehaa barase aa.Nsuu.n barase
rimjhim mere diip jalaaye

Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
10th April 2008, 08:16 AM

kiti pyaree see kavita

achi lagee hame ..........

thanx mausam

tum ne to apne nick ka haq ada kar dya

:-)
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
10th April 2008, 08:20 AM

http://www.esnips.com/doc/00d426cb-7...525d/Jaam-Utha
   
Reply With Quote
Old
  (#26)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
11th August 2009, 05:02 PM

baarish hui to phulon ke tan chaak ho gaye
mausam ke haath bhiig ke saffaak ho gaye

baadal ko kyaa Khabar ki baarish kii chaah men
kitne buland-o-baalaa shajar Khaak ho gaye

ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
fezan
Registered User
fezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud offezan has much to be proud of
 
fezan's Avatar
 
Offline
Posts: 835
Join Date: Jul 2008
Location: Shehr-e-Adab
Rep Power: 26
12th August 2009, 02:37 PM

Quote:
Originally Posted by MahamAzmi View Post
baarish hui to phulon ke tan chaak ho gaye
mausam ke haath bhiig ke saffaak ho gaye

baadal ko kyaa Khabar ki baarish kii chaah men
kitne buland-o-baalaa shajar Khaak ho gaye
Phoolo.n pe lag gaye the jo na-mahramo.n ke haath
baarish me dhulke unke badan paak ho gaye

Baarish hui to kud ke koThe pe aa gaye
Chuhe hamare shehr ke chalaak ho gaye

.
.
.
Koi Aisa Kamaal Ho Jaye
Zindigi Be-Misaal Ho Jaye

Last edited by fezan; 12th August 2009 at 03:08 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
3rd January 2010, 12:08 PM

Quote:
Originally Posted by MahamAzmi View Post

TORONTO kee eik toofaani raat ke naam ye adnaa se kaavish jiska janam Maham ke haqeer se qalam se hoa
haazir hei

Aakaash ki wusaton ko qadam pe jhukne dije
mast badal ko ajj yunhee karaknae dijae

Saqi bhi hai jaam e maiy bhi hai faza bhi hei
Kuch dair tou aur yae nasha charnae dije

Barson simta raha apne khaul mein ye badan
Ajj isko apnee banhon mein bikharnae dije

Tapte raigzaar ki maanind piyasi meri ruh
Piyar kee is badli ko rimjhim barasne dije

Had se guzar jayae,toot ke kije piyar hame
Parwah na kije!Mere dil ko yun dharakne dije

Behakne dijae qadam alam e madhoshi mein
Mast nigahon se yunhee sharab chalakne dije

Bin piyae hi aap na larkhara jain tou manain
Anchal hamare shaanon se zara sarakne dije

Kab se dabbi chingari tan man mein sulag rahi
Ajj shoula e ishq ko zoron pe bharakne dije

Rouk lijiyae khumar bhare madhosh lamhon ko
Aj ki is raat ko sawaire ke liyae tarasnae dije

Firaq e yaar mein gira ansoo maang raha hisaab
Lamha e visaal ko kuch aur abhee tarapne dijae

kabhi tou khul ke baras abr e mehbarbaan ki tarha
mera wajud hie jalte hoay makaan ki tarha

ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
sulag raha hai:ek nazm prashant vasl Anjuman-e-Shayri 0 8th September 2008 10:56 AM
Tanhaiyon main yaadon ke jangal sulag pade ! anish_ekshayar Shayri-e-Dard 29 10th September 2006 06:26 PM
*Patthar Sulag~*~Mumtaz Rashid Jee** Shimul Shayri-e-Mashahoor Shayar 4 10th March 2006 10:54 PM
plz join zahra Shayri-e-Ishq 2 13th October 2003 08:26 PM
patthar sulag rahe the ko_ii naqsh-e-paaa na thaa - by Mumtaz Mirza Mahek Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 14th May 2003 08:48 PM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com