Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Geet- Deewaana bana kar mujhe tu chor'h na jaana
Old
  (#1)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
Geet- Deewaana bana kar mujhe tu chor'h na jaana - 10th October 2016, 11:58 AM

Deewaana bana kar mujhe tu chor’h na jaana
Duniya meri ho tum tumhi se mera zamaana
Qismat se miley ho mujhe tum shukr khuda ka
Aashiq hu terey husn ka sach hai ye fasaana

Sharma ke nigaaho ko na tum aisey jhukaao
Duniya se chura kar hamey palko mai basaao
Aye yaar nigaaho ka zara raaz bataana
Deewaana bana kar mujhe tu chor’h na jaana

Manzoor mujhe jo bhi ho anjaam-e-mohabbat
Deedaar ho jaaye tera ye aakhri hasrat
Shaano mai tu apne mujhe ik baar sulaana
Deewaana bana kar mujhe tu chor’h na jaana

Ye chaand sitaaro se hi zeenat huii duniya
Duniya meri roshan ho yehi meri tamanna
Roshan sa sitaara hai tu duniya ko sajaana
Deewaana bana kar mujhe tu chor’h na jaana

Mujh ko nahi ab hosh zara thaam le tu haath
Manzil miley gi mujh ko agar tu hai mere saath
Kamzor ho jaau kahi toh haath bhadhaana
Deewaana bana kar mujhe tu chor’h na jaana


Kya ishaara karey ye hawaaiye
Gaur se sun zara tu sadaaiye

Khushk pattey bhi kehte bohat kuch
Shabnami phool jo keh na paaiye
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sabaa kiyani
Registered User
sabaa kiyani will become famous soon enoughsabaa kiyani will become famous soon enough
 
sabaa kiyani's Avatar
 
Offline
Posts: 455
Join Date: May 2015
Rep Power: 10
10th October 2016, 01:31 PM

wah mujahid sahib buhet achi muhebt mai aas o umeed mai dooba geet likha hey ap ney buhet hi acha likha hey


sabaa kiyani
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
11th October 2016, 12:45 AM

Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post
Deewaana bana kar mujhe tu chor’h na jaana
Duniya meri ho tum tumhi se mera zamaana
Qismat se miley ho mujhe tum shukr khuda ka
Aashiq hu terey husn ka sach hai ye fasaana

Sharma ke nigaaho ko na tum aisey jhukaao
Duniya se chura kar hamey palko mai basaao
Aye yaar nigaaho ka zara raaz bataana
Deewaana bana kar mujhe tu chor’h na jaana

Manzoor mujhe jo bhi ho anjaam-e-mohabbat
Deedaar ho jaaye tera ye aakhri hasrat
Shaano mai tu apne mujhe ik baar sulaana
Deewaana bana kar mujhe tu chor’h na jaana

Ye chaand sitaaro se hi zeenat huii duniya
Duniya meri roshan ho yehi meri tamanna
Roshan sa sitaara hai tu duniya ko sajaana
Deewaana bana kar mujhe tu chor’h na jaana

Mujh ko nahi ab hosh zara thaam le tu haath
Manzil miley gi mujh ko agar tu hai mere saath
Kamzor ho jaau kahi toh haath bhadhaana
Deewaana bana kar mujhe tu chor’h na jaana
Kya baat hai mujahid sahab bahot hee pyara geet .......bahot khoobsoorat ......daad qubool karein...

Likhte rahiye......



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com