kiya jaa sakta tha magar.....? -
8th July 2004, 12:50 PM
phir pyaar ka dhoka khaya ja sakta tha
dil ka kya hai dil behlaya ja sakta tha
kyon aya na wapis us ki voh jane
lakin us ke paas to jaya ja sakta tha
apna dil na moom ki tareh ager hota
gham ki surat se takraya ja sakta tha (pathther ki murat se takraya ja sakta tha)
ik tumhara saath ager mil jata to
sari duniya ko thukraya ja sakta tha
waqat pada to usney milna chhod diya
voh chahata to saath nibhaya ja sakta tha
logon ne mujrim theraya, maan liya
akhir kis kis ko samjhaya ja sakta tha
ik choti si zid thi zeher chakhne ki
such pocho to ishq bhulaya ja sakta tha
le dooba jab aankhon ko tufaan “jai”
kaise dil ka sheher bachaya ja sakta tha
the magicmann here
karo sitam ya karam hum gila nahi karte,
mohabbat ke phool her jagah khila nahin karte
mila do khaak mein humko magar dhyaan rahe,.
hum jaise log dubara mila nahi karte.
|