kuch
jwalant samajik samasyaon ko apne dil mein rakh kar
maine yeh chand panktiyon ko aapke saamne prastut kiya hai
aasha hai aap sabhi
reply dekar mera protsahan karenge aur meri is
aawaj ko shakti pradaan karenge.......... aap sabhi ka
prem anjana
Aawaam k haq mein kuch kaam kar do
Buniyadi jaroorto ka intijaam kar do
Satta k gliyaaron k aie sattasheeno
Dana na sahi pani ka intijaam kar do
Gar yojnaon ka dilasa kuch kam ho jaye
To dil-e-gam bhi kuch kam ho jaye
Dhandhaso k niwalo se pet nahi bharta
Kahi nam aankho k dil na nam ho jaye
Jaatiwaad raajniti se prant na batne paye
Ik sharer k ang hai ang na katne paye
Mohabbat se basaya tha yeh desh unhone
nafrat ki talwaar se woh na chatne paye
tumhe di hai kursi kuch kaam k liye
kar do woh kaam apne naam ka liye
mai toh fariyadi hoon fariyaad karunga
“anjana” ki fariyaad hai awaam k liye.........