Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
SarhadeiN
Old
  (#1)
naadaan
Registered User
naadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud of
 
naadaan's Avatar
 
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 29
SarhadeiN - 22nd August 2009, 01:32 PM

Sabhi DostoN ko Aadab,
Bazm ke nazar dosti ka ek paighaam,
is paar aur us paar ke insaanoN ke naam
.


Bargad ke shaakh par, jhule ke dor ke, nishaan wahiiN pa.De haiN
Daal par banNdhi gaaNth khul gayii, dil meiN lage girah wahiiN ga.De haiN.

Ek saath saawan ke jhuloN kii peNg ba.Dhaate, uuNchaaii ki ho.D thi,
HazaaroN kilkaariyoN aur aaNsuuoN ke gawaah, ye darakht wahiiN kha.De haiN.

Kabhi aasman se baate karte, to kabhi charo khane chit zameen par,
Zameen lagi gale, ya falaq sametaa baahoN mein, fir girey, fir wahiiN cha.Dhey haiN

Jhuula khula, dor se naapi gayiiN sarhadeN aur takhtey pe naam likha,
Bargad na is paar, na us par ka, kaun batorey fuul uske, bhikhre wahiiN sa.De haiN

Ab us or se dekhte haiN pe.D ko aur yaad aati hai uuNchaayi ki ho.D
YahaaN bhi hairaniyaaN haiN ke, kya hua kyuN dono taraf wahii pat jha.De haiN

Ek aas ka parinda ab bhi pha.D pha.Daata hai bahutere diloN meiN,
Kya fir mehkeNge geet saawan ke bargad par? aakhiirkar ye puraani wahii ja.De haiN.

Aur tawajoo chahuNga ke,

Wohi shakl-o-suurat, riwaayateN, mulla ki azaan aur gurbaani haiN,
Fir kyuN mandir, masjid ke nafs parast siyasat daano ke behlaawe meiN wahiiN a.de haiN

Bargad ke shaakh par, jhule ke dor ke, nishaan wahiiN pa.De haiN………..

Shayad koi mutasir ho meri soch se.....
Salaam,
Shyam


"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.

वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
22nd August 2009, 05:07 PM

Quote:
Originally Posted by naadaan View Post
Sabhi DostoN ko Aadab,
Bazm ke nazar dosti ka ek paighaam,
is paar aur us paar ke insaanoN ke naam
.


Bargad ke shaakh par, jhule ke dor ke, nishaan wahiiN pa.De haiN
Daal par banNdhi gaaNth khul gayii, dil meiN lage girah wahiiN ga.De haiN.

Ek saath saawan ke jhuloN kii peNg ba.Dhaate, uuNchaaii ki ho.D thi,
HazaaroN kilkaariyoN aur aaNsuuoN ke gawaah, ye darakht wahiiN kha.De haiN.

Kabhi aasman se baate karte, to kabhi charo khane chit zameen par,
Zameen lagi gale, ya falaq sametaa baahoN mein, fir girey, fir wahiiN cha.Dhey haiN

Jhuula khula, dor se naapi gayiiN sarhadeN aur takhtey pe naam likha,
Bargad na is paar, na us par ka, kaun batorey fuul uske, bhikhre wahiiN sa.De haiN

Ab us or se dekhte haiN pe.D ko aur yaad aati hai uuNchaayi ki ho.D
YahaaN bhi hairaniyaaN haiN ke, kya hua kyuN dono taraf wahii pat jha.De haiN

Ek aas ka parinda ab bhi pha.D pha.Daata hai bahutere diloN meiN,
Kya fir mehkeNge geet saawan ke bargad par? aakhiirkar ye puraani wahii ja.De haiN.

Aur tawajoo chahuNga ke,

Wohi shakl-o-suurat, riwaayateN, mulla ki azaan aur gurbaani haiN,
Fir kyuN mandir, masjid ke nafs parast siyasat daano ke behlaawe meiN wahiiN a.de haiN

Bargad ke shaakh par, jhule ke dor ke, nishaan wahiiN pa.De haiN………..

Shayad koi mutasir ho meri soch se.....
Salaam,
Shyam
shyam sahab.........apki is ghazal ne to bus.............
it really drove me to meloncholy...
apki sahab ye sabse acchi ghazal lagi mujhe..........
kuch aisi hi tasir me ye gaya hua hai......time mile to jurur suniyega....
http://www.youtube.com/watch?v=WXPRI...rom=PL&index=8

apka sabse pahla misra bahut khub raha sahab.....ekdum hit kiya usne

uu hi likhte rahiye aur bazm roshan karte rahiye.......

regards

Last edited by zidd; 22nd August 2009 at 05:11 PM..
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com