Maut ki niyat - Ghazal -
16th July 2009, 01:54 PM
Doston,
Is forum me post karney ki zurrat ke liye muafi chahta hun kyunki jaisa forum intro mein likha hai, waisa, na to main mashhoor or na hi talented hun. Koshish zaroor karta hun. Jaise ki Chocboy aur Khwahish sahab ki nasihat thi, abki bar mainey beher ke diarey mein rehkar koshish ki hai. Peshey khidmat hai meri zindagi ki doosri ghazal:
Azaaney-namaz hui, chor kar bistar utha,
Kiya wazoo, dohrai niyat, kar seedhi kamar utha.
(gaur farmaiyega "dohrai niyat")
Aaj aazmayish hai meri barson ke ibadat ki,
kuchh yaad aa gaya mujhay, besakhta sihar utha.
alsaayi si sardiyon ka, dopahar tha khamosh,
na janey kyun chal diya main, kadam jidhar utha.
Sada jo pohunchi kaano tak, manind shahad thi,
Palatkar jo dekha, socha, mahtab kab kidhar utha?
Yaarab koi itna bhi ho sakta hai khoobsurat?
Aankey phati, besudh, khumar kuch is kadar utha.
Masoomiyat ka tinka woh, main sailabe-ishq,
samaya agosh mein yun, zamaney pe kehar utha.
woh kamsin naazon ki shehzadi, main nakaam,
meri zurratey-arzu pe masharaye-malikan bifar utha.
(masharaye-malikan= samaj ke thekedar)
sach hai nahi lagta, paibandey-makhmal taat pe,
haqeeqat aur riwayat ke aagey main fakat sifar utha.
hua ehsasey-kurbat, kiya phir jayzaye-girebaan,
sameta apne aap ko, nigahe-aasman kar sabar utha.
Yeh aziyatey-hayat na-kabiley-bardasht hai rab,
Kee maut ki niyat shyam ne, baad-namaze fajar, utha.
(aziyat=Torture)
Aap sabke tabsiraat ka muntazir aur kayal bhi.
Love and peace
Shyam
|