Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
husn walon mein mohabbat ki kami hoti hai
Old
  (#1)
allahabadrptds
Registered User
allahabadrptds is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 360
Join Date: Sep 2002
Rep Power: 22
Love husn walon mein mohabbat ki kami hoti hai - 7th December 2002, 11:38 PM

husn walon mein mohabbat ki kami hoti hai
chahne walo ki taqdeer buri hoti hai
aag pahel to mohabbat ki laga dete hain
phir uksaar ka deewana bana dete hain
phir bhaaron pe guzarte hain magar mar mar ke
mar gaye humto hasino pe bharosa karke
  Send a message via Yahoo to allahabadrptds  
Reply With Quote
Old
  (#2)
sweet_nashaa
Registered User
sweet_nashaa is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 135
Join Date: Dec 2001
Location: Australia, Sydney.
Rep Power: 23
12th December 2002, 06:05 AM

hi
bohoth hi acha likhe hain aap ne.

It's very nice



Keep writing


Amrita


~Ulfat Ki Maari~
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
allahabadrptds
Registered User
allahabadrptds is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 360
Join Date: Sep 2002
Rep Power: 22
12th December 2002, 07:55 PM

mere is shabdon ke tane bane ko pasand karne ke liye bahut bahut shukriya

===========================================
aviral
  Send a message via Yahoo to allahabadrptds  
Reply With Quote
Husn Sab Kuch Nahi Hota
Old
  (#4)
dilselovergirl
Just A Lover
dilselovergirl is on a distinguished road
 
dilselovergirl's Avatar
 
Offline
Posts: 171
Join Date: Nov 2001
Location: USA, Mississippi
Rep Power: 23
Sad Husn Sab Kuch Nahi Hota - 13th December 2002, 04:35 AM

Husne pe marne wale
Dil bhi rakhte hai hum..
Husn ki parwa karne wale
Dil ki parwa nahi karte...
Pyaar to dil se kiya jata hai
Husn ki banavat pe nahi...

This might offend everybody who looks the outer bueaty..but sorry..its true..you don't love somebody like that... "Love Based on Beauty, Dies, Soon as the Beauty Dies"


*¤*.¸¸.·´¨`» T u L s I k A «´¨`·.¸¸.*¤*

Last edited by dilselovergirl; 17th December 2002 at 04:30 AM..
  Send a message via Yahoo to dilselovergirl Send a message via AIM to dilselovergirl  
Reply With Quote
Old
  (#5)
ashna_shah
Registered User
ashna_shah is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 5
Join Date: Dec 2002
Location: rajkot in gujarat in india.
Rep Power: 0
14th December 2002, 01:32 PM

:) shayar ji shabhi shayeriyo ko salam......hamare samaj me aye unki bato ka kya javab ?na aye jo samaj me un bato ka kya javab ? kahe te hai hum to sab khuch na sune vo jo kahete hai hum kuchh to uske pakke irado ko salam jo bhi ho vo ho hai magar sare jahan ko salam.........


:)hi how r u me here 4 u....friends!
  Send a message via Yahoo to ashna_shah  
Reply With Quote
Old
  (#6)
allahabadrptds
Registered User
allahabadrptds is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 360
Join Date: Sep 2002
Rep Power: 22
16th December 2002, 06:37 PM

to dilselovergirl

namashkaar
aap ka naam hi bata deta ki pyar dil se karti hain, sach hai ki soorat koi maayene nahi rakhti keemat seerat ki hoti. lekin mujhko sirf ek baat batayie ki koi premi apni premika ke bare sabse pahle kya taareef karta hai

"tum kitni khoobsoorat ho" ya "tum bahut khoobsoorat ho"

aur har ladki bhi to yahi sunna chahati hai.
aap boliye ki aap apne premi se phele kya sunna pasand karengi

"tum bahut khoobsoorat ho" ya " tum dil se kitni aachhi ho"
aap mujhko galat kehne ke liye shayad second option chunnegi lekin haqeeqat main bhi janta hoon aur aap bhi aur vo sab log bhi jo mujhse itefaq rakhte hai.

mere shabd shayad aap ko thoda naaraaz kare lekin mere hisaab se "husn jahaan hai ishq wahaan hai"
seerat janne mein waqt lagta lekin phela aakarshan to soorat se hi hota hai.



================================================
aviral
  Send a message via Yahoo to allahabadrptds  
Reply With Quote
Great .....
Old
  (#7)
Shayar 4ever
'dil se'
Shayar 4ever has a spectacular aura aboutShayar 4ever has a spectacular aura about
 
Shayar 4ever's Avatar
 
Offline
Posts: 519
Join Date: Aug 2002
Location: Baroda , India
Rep Power: 23
Thumbs up Great ..... - 16th December 2002, 08:10 PM

Very very well said...

Husn waalon mein mohabbat ki kami hoti hai..
Chahne waalon ki taqdeer buri hoti hai..

Kya baat hai..Aapne to jaise humein hila hi diya..well aapke post ke reply pade..Thoda sa sahi laga thoda sa galat.

Maine to kabhi pyaar nahi kiya..Isliye main kuch keh nahi sakta..par jo dilselovergirl ji ne kaha woh bhi sahi hai..Husn se pyaar nahi ho sakta..Aur aap bhi sahi hai..Aapne reality kahi hai.

well...Thanx dilselovergirl aur aviral ji...Aapse bahut kuch sikhna hai..pyaar ke baare mein..

Hamza Ali


It is true that Love is Magic...
But Magic may sometimes just be an Illusion...
  Send a message via Yahoo to Shayar 4ever  
Reply With Quote
Aviral
Old
  (#8)
dilselovergirl
Just A Lover
dilselovergirl is on a distinguished road
 
dilselovergirl's Avatar
 
Offline
Posts: 171
Join Date: Nov 2001
Location: USA, Mississippi
Rep Power: 23
Aviral - 17th December 2002, 04:28 AM

hello! True that all the womans want to hear compliment about themselves...and when i wrote that lil shayri i didn't directly tant you..it just came to my mind thinking...that husn is not everything that we girls would think AS IF husn sab kuch nahi hota hai...I mean i don't know what happend between you and your gf, i don't know what was the reason whatever happend, but i was writing this from a point of view, where girl has a reason to step back, and you are kind of scolding her with using the words of husn and so forth....and i wrote as if i was defending my self.

Galti se kuch bura likh diya ho, aur agar aapko bura laga ho to Maaf Kar Dena...

Tulsika


*¤*.¸¸.·´¨`» T u L s I k A «´¨`·.¸¸.*¤*
  Send a message via Yahoo to dilselovergirl Send a message via AIM to dilselovergirl  
Reply With Quote
ashna ji
Old
  (#9)
allahabadrptds
Registered User
allahabadrptds is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 360
Join Date: Sep 2002
Rep Power: 22
Love ashna ji - 17th December 2002, 02:27 PM

namashkaar

apne is kriti ko pasand kiya uske liye shukriya
aur dil se se kahen to aap ke salaam karne ke andaaz ko humaara salaam.


************************************************** *****
aviral
  Send a message via Yahoo to allahabadrptds  
Reply With Quote
wah! wah! wah!
Old
  (#10)
merajhashmi
Registered User
merajhashmi is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 7
Join Date: Oct 2002
Location: allahabad
Rep Power: 0
wah! wah! wah! - 17th December 2002, 10:38 PM

aadaab

kya baat kahi hai apne ekdam aisa laga ki baat dil ke sabse gehre hisse se nikli hai
likhte rahiyega




~~~meeraj~~~


meraj
   
Reply With Quote
hamza ji
Old
  (#11)
allahabadrptds
Registered User
allahabadrptds is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 360
Join Date: Sep 2002
Rep Power: 22
hamza ji - 18th December 2002, 08:02 PM

namaste

aapka postreply phad kar aachha laga aur jaan kar khushi hui ki aap logo ko humaari post pasand aayi

janaab pyaar to humne bhi kabhi nahi kiya ya shayad kiya ho to nahi jaante ki pyaar kis cheez ka naam hai. jab janne ki koshish ki to jo tajurbaa hua usi ko shabdon mein kahe dala bas.

hum aapko kuch sikhane ki kuwat to shayad nahi rakhte par aap se guzaarish hai ki agar aap jaan jaaye to humko zaroor sikha dijiyega.


===============================================
aviral
  Send a message via Yahoo to allahabadrptds  
Reply With Quote
tulsika
Old
  (#12)
allahabadrptds
Registered User
allahabadrptds is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 360
Join Date: Sep 2002
Rep Power: 22
tulsika - 19th December 2002, 01:41 PM

first of all i must say aapka naam bahut aachha hai. aur maine kabhi ye naam suna nahi
next thing aapki koi bhi baat mujhko buri nahi lagi kyonki maine koi bhi baat likhi ya kahi sirf taareef sunne ke liye nahi balki sirf apni baat kahene ke liye. mera sirf ye maannaa hai ki
"husn sab kuch to nahi lekin husn kuchbhi nahi, aisa bhi nahi"
these words of mine is definately not because of any argument with my gf cause i dont have any and if there is any in future she is definately free from my side

"gulshan mein phoolon ke saath saath
sochta hoon babool bhi honge
kya hua jo usne bewafaai ki
uske kuch apne usool bhi honge"

aur humne to sirf "sher" likha tha koi "sher" nahi choda tha ki aap apne aap ko defend karnelagi. maafi maang kar aapne humko sharminda kardiya hai.

================================================
aviral
  Send a message via Yahoo to allahabadrptds  
Reply With Quote
meeraj ji
Old
  (#13)
allahabadrptds
Registered User
allahabadrptds is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 360
Join Date: Sep 2002
Rep Power: 22
meeraj ji - 19th December 2002, 01:51 PM

namashkaar

ye baat dil ki andar se nikli ki nahi ye to mujhko nahi pata haan maine koshish ek zaroo ki thi aur aap logo ki hausla-afzaai se lagta hai ki meri koshish kaamyaab rahi
aap sab logoon ki dua rahi to aage bhi likhta rahoonga


================================================
aviral
  Send a message via Yahoo to allahabadrptds  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
loot liya husn walon ne land_cruiser Shayri-e-Ishq 0 17th February 2005 08:49 AM
Husn Walon mai mohabbat ki kami hoti hai... mast4mast Chit-Chat & General Discussion Forum 1 2nd November 2004 01:54 AM
Husna walon mai mohabbat ki kam hoti hai.. mast4mast Shayri-e-Ishq 0 23rd May 2004 08:40 PM
Husn Walon mai mohabbat ki kami hoti hai... mast4mast Chit-Chat & General Discussion Forum 0 23rd May 2004 03:32 PM
Koshis Karne Walon Ki Har Nahin Hoti. love_shoaib Anjuman-e-Shayri 2 20th March 2004 05:33 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com