Quote:
Originally Posted by abhiforeverin
Wo saaye sa saath to hai, muqabil magar hota nahin
Usi ko dhoondhta hai dil, wo ahle dil magar hota nahin
Use chahna mujhe chaand ko paane jaisa
Hadh-e-nigah mein hain donon, koi haasil magar hota nahin
Mere pa-e-talab ki koshishen yun to kabhi kam na thin
Tammana ke sahare har safar mumkin magar hota nahin
Shukria teri inayat, teri dua ka shukria
Tooti kashti ko naseeb saahil magar hota nahin
Mujhe pathar bhi kehte ho, aur mujhse hai shikayat bhi
Main pathar hi sahi, patharon ka dil magar hota nahin
|
Waah Waah.............
Kya khub peshkash hai.................
Daad aapko Abhi ji.........