Intzaar............. -
6th September 2005, 05:35 PM
Doston...
Bahut pehele ek kavitha likhi thi.
Har kisi ko kisi ka intzaar reheta hey. Muje bhi hey.
Kis kadar muje kisi ka intzaar hey, aur kitna kathin hey yeh intzaar
yeh batane ki koshis ki hey maine...
Hope you all like it.
**************************
Intzaar, hai kisi ka intzaar.................................
Jaise chandni ko hai chanda ka intzaar,
Chanda ko hai raat ka intzaar,
Raat ko hai din ka intzaar,
Din ko hai suraj ka intzaar
Intzaar, hai kisi ka intzaar!!
Jaise khushub ko hai hava ka intzaar,
Hava ko hai baadal intzaar,
baadal ko hai pervat ka intzaar,
Pervat ko hai zharni ka intzaar,
Intzaar, hai kisi ka intzaar!!
Jaise koyal ko hai basanth ka intzaar,
Phool ko hai bhware ka intzaar,
Nadi ko hai samundar ka intzaar,
Leheron ko hai Kinareka intzaar,
Intzaar, hai kisi ka intzaar!!
Kisi se karna hai muje pyar!
Kehena hai a baath do sow baar!!
Isiliye hai intzaar!
Intzaar, mere pyar ka intzaar!!
Intzaar, mere pyar ka intzaar!!
***********************************
Vijay
----Vijay
----------------------------------------------
Tumse Hasna Seekha, na seekha rona!
Tumse Jeena Seekha, na seekha tum bin jeena!!
----------------------------------------------
|