Mera kuch saman tumhare pass pada hai.... -
4th October 2005, 10:56 PM
Mera kuch saman tumhare pass pada hai
Ho sawan k kuch bheege-2 din rakhe hai
Aur mere ek khat mein lipati raat padi hai
Wo raat bujha do
Mera wo saman lota do
Patjhad mein kuch patto k girane ki aahat
Kaano mein ek baar pehan k lotayi thi
Patjhad ki wo sakh abhi tak kaap rahi hai
Wo sakh gira do
Mera wo saman lota do
Ek akeli chhatri mein jab
aadhe-2 bheeg rahe the
Aadhe sukhe aadhe gile
Sukha to mein le aayi thi
geela mann sayad bistar k pass pada ho
Wo bhijwa do
Mera wo saman lota do
Ek 100 sola chand ki raatein
Ek tumhare kandhe kati
Geeli mehandi ki kushboo
Jhuth mut k shikwe kuch
Jhuth mut k waade bhi sab yaad kara du
Sab bhijwado
Mera wo saman lota do
Ek ezajat de do bas
Jab ishko dafnaungi
Main bhi wahi So jaungi
Navard-e-ishq mein kya hua kya bataye hum
kabhi humne yu khud ko harata naa dekha
Kaise Samjhau Dil-e-hasarat-nasiib Ko Apne
K Sab Kuch Milta Nahi Chah Lene Se Ish Zamane Mein..... "Diggaj"
|