Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Meri Sachi Kahani
Old
  (#1)
Dard-e-sush
Registered User
Dard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the rough
 
Dard-e-sush's Avatar
 
Offline
Posts: 605
Join Date: Jul 2003
Location: Moscow, Russia
Rep Power: 23
Arrow Meri Sachi Kahani - 27th September 2003, 12:27 AM

jane kyun khushi jesi cheez nahin aati zehen me, ek becheini si hei ghutan si.... ek soonapan.... ek adhoorapan... kuch purane kuch naye sheron ko jod ke banai hei mene apni kahani

----------->>>>>>>>>>>
KAUN HUN MEIN
Ab meri zindagi bas tod rahi hei mujhko,ye to bas aas hei marne nahin deti mujhko
roz lutta gaya is zindagi ke mele me, na kabhi soch saka kaun hun akele mein""

JEENE KI KOSHISH
""lab pe muskaan ko liye ae dil, kandhon pe laash apni dhote hein
is bhare sheher me ham dard-e-sush, jo na paaya use bhi khote hein""

ZINDAGI
"kyun jal rahe hein aise ke ab roshni nahin
sab hi to yahan jee rahe zinda koi nahin"

BHAG RAHA HUN
yahan soote hue zameer wo bikti hui ruhein
wo shei mei dhundh raha hun jaag raha ho koi

lut chuke hein karwan or lut chuki hei zindagi
hei khuda ka naam sacha mar chuki hei bandagi

tum batao kaun ho tum kaun hun mein ae khuda
kyun tadap hei is jahan mein kyun hein dil itne juda

DOSTON AAP HI KUCH MASHWIRA DIJIYE KAHAN LE JAUN IS ZAMEER KO IS ROOH KO IS REVOLTING HEART KO..... KAYAR HO JAYN?
zindagi kesi jeete hein koi samjhao hamko
kya hei kesi hei kese hua ehsaas tumko


लब पे मुस्कान को लिए ऐ दोस्त, काँधों पे लाश अपनी ढोते हैं,
इस भरे शहर में हम Dard-e-Sush, जो न पाया उसे भी खोते हैं!

lab pe muskaan ko liye ae dost, kandhon pe laash apni dhote hein
is bhare sheher me ham dard-e-sush, jo na paaya use bhi khote hein
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#2)
pari
Registered User
pari will become famous soon enoughpari will become famous soon enough
 
pari's Avatar
 
Offline
Posts: 687
Join Date: May 2003
Location: USA
Rep Power: 22
hi - 27th September 2003, 01:25 AM

Dard-e sush ji,
aap bahut hi achha likhte hai...aapki shayriyon mein aapka tajurbaa saaf jhalakta hai.....

mein umar mein aur tajurbe mein aapse bahut chotti hu....isliye kuch kehne laayak to nahi hu... phir bhi ye gustakhi karna chahti hoon.......

"Zindgi se kyu tum yu khafa hote ho
raahein bahut hai kyu badgumaa hote ho
aur bahut hai gum jamane mein ae "sush"
zameer ki aag mein jal ke kyu dhuaa hote ho...."

plzzz mujhe reply jaroor dijiyega.......kyuki mein aapki tarah bahut achhi shayri se apne jajbaat jaahir nahi kar paati...

take care..
pari


Chadha hai aaj bhi uska Rang, jisne kabhi Ranga hi nahi :-)
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
27th September 2003, 02:26 AM

Haar ek baat sahi likhha hein aapne. Mein aapka dilki haalat samajhsakti hu. Lekin yeh duniya wale achhe Insaano ko jeene nehi dete hein. Aapko meine pehle hi kaha. Ab aur keya kahu jo aapne nehi kaha? Mein bhi aise hi thi, lekin ab kuch samhaal gayi hu. Meri ek Aunti hein woh mujhe bohot samjhate the aur tab unki baatose laga ke yeh nehi hosakte hein, mein keise sehjau yeh sab kuch. Lekin kowshish karne se kuch kuch hum badal sakte hein. Aur hume thorisi badal na bhi chahiye.
Kyu ke nehi toh hum aise hi barbad hojayenge.
Koi galat kaam kare yea kuch galat horaha ho, hume kharab bohot hi lagte hein lekin kehne se hum khudh kharab ho jate hein dusre ki nazro meh, yehi hein ish duniya ki reet.
Meri duwao meh yeh bhi rahta hein ke Khuda, achhe insaan jo dilka saafh hein aise hi aur bhi bohot insaano se mulakat toh karaye. Fhir shayed kuch behtar mehsoosh ho.
Waqt ka intezar kijiyega, baas itna hi mein kehsakti hu.
Aap merese bhi bohot jante honge aur dekhe honge ish duniya ke Insaano ko, ish liye mein kahu toh aur keya kahu?
Ek aur baat zaroor kahungi ke aise Insaano ko baas ek hi sathi zaroor miljaye jishe dekhke woh ish duniya ko bhulja sake.
Ha, Yeh jo Pyaar hein yehi hein ek haal lekin kab kaha keise kisiko Pyaar hojaye keya pata. Umeed par duniya kayem hein. Aap bhi thorisi aapne aapko samhaal lijiyega. Hum bhi toh yeaha hein, jab bhi dil kare hume aap zaroor miljayenge.
Ek sachha dost se jiyada kisiko aur keya chahiye hoti hein?
Mere liye yehi sab kuch hein, lekin ishke liye bhi Naseeb ki bara zaroorat parti hein. Lekin yeh ek baat aap yaad rakhiyega ke Sachha aur achhe Insaano ko Khuda bhi shayed azmate hein.
Aur Khuda yeh bhi dekhte hein ke ish Insaan meh kitni sehne ki shakti hein! Sach kehti hu mein, mujhe chahe log pagal hi kyu na samjhe, mujhe koi problem nehi hein. Mujhe pata hein mein keya hu, baas mere liye yehi kafhi hein. So please do take care of yourself. I don't want to see you suffer in pain like this. I really feel bad. Aap chahe yaakin kare chahe na kare, yeh meri dilki baate kahi humne. Age aapka marzi.
Mujhe pata hein aapne azroor bohot dukh dard dekhe hong. But I know what I have seen I been through. I was same like you before, just believe in my word. Aapna khayal rakhiyega. God bless you.
Shimul.

Kuch yaad araha hein, likhrahi hu yeaha:
Dard se mera daman vharde yea Allah
fhir chahe deewana karde yea Allah.
Dard se mera daman vharde ...........................!
Above was a gazal, suna hoga.

Hota hein kabhi kabhi aisa bhi hota hein.

Aur ek kuch yu,

Aaina mujhse meri pehli si surat mange
mere aapne mere hone ki nishani mange
Gazal the yeh bhi, suna hoga aapne.

Mein toh aaj kaal jiyada se jiyada tak gazal hi sunti hu!!


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
27th September 2003, 02:28 AM

Dear Pari, aapki kalam bhi achha laga.
Aapna khayal rakhiyega.
Khuda Hafiz.
Shimul.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Dard-e-sush
Registered User
Dard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the rough
 
Dard-e-sush's Avatar
 
Offline
Posts: 605
Join Date: Jul 2003
Location: Moscow, Russia
Rep Power: 23
29th September 2003, 07:16 PM

Mashoor shayrin ne dard ko samjha,

I owe u a lot buddies. Thnx fr becoming part of my inspiration.


लब पे मुस्कान को लिए ऐ दोस्त, काँधों पे लाश अपनी ढोते हैं,
इस भरे शहर में हम Dard-e-Sush, जो न पाया उसे भी खोते हैं!

lab pe muskaan ko liye ae dost, kandhon pe laash apni dhote hein
is bhare sheher me ham dard-e-sush, jo na paaya use bhi khote hein
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
30th September 2003, 12:47 AM

dard e sush

mere bhai ; aap ke post kiye hue ashaar parhe, kuch andaazaa huaa aap ke jazbaat ka ehsaasaat ka.
voh ustaad ne kyaa khoob kaha hai
"RANJ KA KHOOGAR HUAA INSAAN TO MIT JAATA HAI RANJ"
MUSHKILEN MUJH PE PARHEEN ITNI KE AASAAN HO GAEEN"

Aap ek achchay, sachchay aur dardmand dil ke maalik ho.
mujhe yaqeen hai ke apni tamaam mushkilaat per aap qaaboo paa lo ge. kyunke aap ke paas yaqeen aur ikhlaas ki taaqat hai aur yeh aisi qoowat hai jo tamaam naakaamiyon aur mehroomiyon per haavi ho jaati hai.
bas aap yaqeen aur ikhlaas kaa daaman kabhi naa chorna.

ejazat chahta hoon is apne pan ke saath ke jahan bhi raho please apna bohat khayal rakho, tumhare jaise logon ki is duniya ko aur offcourse hamen bhi bohat zaroorat hai.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
...
Old
  (#7)
Dard-e-sush
Registered User
Dard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the roughDard-e-sush is a jewel in the rough
 
Dard-e-sush's Avatar
 
Offline
Posts: 605
Join Date: Jul 2003
Location: Moscow, Russia
Rep Power: 23
... - 12th October 2003, 11:41 PM

musharraf bhai....


mujhe ye chand lines yaad aa rahi hein jo mujhe choo gain andar tak--- kehte hein

saari basti ka khudaa hotaa hai
jis ka darwaazaa khulaa hotaa hai

main ne kab dekhaa tirey chahrey ko
sar to sajdey mein jhuka hotaa hai

aa ke dunyaa mein buraai paai
kokh se kaun buraa hotaa hai

main ne insaan bhi nahien dekhaa hai
log kahtey hain khudaa hotaa ha

Zinndagi ke saath bahut kam log insaaf kar pate hein mushi bhai.... dua hei ham sab shayarin milkar ek forum banayein ..... ik site banayein ... jahan mazhab ki deewarein na hon sarhadein na hon ... hon to darwaza khole hue dil or insan ......

kaash ham sab resolution lein ke ham sab ik revolution ko aage le jayenge ... jisme sirf duaein hon actions hon aisa kuch ho ke nafraton ki zahilpan ki deewarein gir jayein .... bas hon to Khud ke wo bande jo sirf Khuda ke bande hein ... na kisi mulk ke na kisi kaum ke.....


Aamin


Allah Hafiz


लब पे मुस्कान को लिए ऐ दोस्त, काँधों पे लाश अपनी ढोते हैं,
इस भरे शहर में हम Dard-e-Sush, जो न पाया उसे भी खोते हैं!

lab pe muskaan ko liye ae dost, kandhon pe laash apni dhote hein
is bhare sheher me ham dard-e-sush, jo na paaya use bhi khote hein
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
13th October 2003, 12:14 AM

Dard Jee, aaj aapne meri dilko bohot khushi pohchayi hein.
Dilki baat kehdiya.
jahan mazhab ki deewarein na hon sarhadein na hon ... hon to darwaza khole hue dil or insan ......

jisme sirf duaein hon actions hon aisa kuch ho ke nafraton ki zahilpan ki deewarein gir jayein .... bas hon to Khud ke wo bande jo sirf Khuda ke bande hein ... na kisi mulk ke na kisi kaum ke.

Haar ek dil meh Khuda hi toh baste hein aur hum nehi pehchan pate, kitni badnaseeb hein woh jo yeh nehi janpaye.

Bohot hi achha laga. Mujhe woh khushi mili jiska mere paas aur koi lafhj nehi milrahi hein ke kuch aur kahu.
Aapne toh sab kuch kehdiya hein.

Jagmeh keya tha sabse pehle
Pyaar tha shayed Rabse pehle!

Aapna khayal rakhiyega. God bless you.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
its really nice
Old
  (#9)
kishor
Darde Dil Ke Tukde
kishor is a jewel in the roughkishor is a jewel in the roughkishor is a jewel in the rough
 
kishor's Avatar
 
Offline
Posts: 1,035
Join Date: Mar 2003
Location: NEW PANVEL,NAVI MUMBAI,MAHARASHTRA,INDIA
Rep Power: 25
Sad its really nice - 13th October 2003, 03:52 PM

hello , jisne bhi yahhan post reply diya sabko mera slaam ,magar yahaan sabse accha hamein srimul ki baatein acchi lagi unhone jo bhi likha salaa diya hamein pasand aaya ,
magar ek baat hai ,bhagwaan kisi ke saath insaaf insaaf nahi kartha ,agar kartha tho woh hamein jarror mil gaye hote, .................... take care all drad e sush ,ka shayri bhi accha tha


******************************
Dil Itna Naazuk Hota Hai Ke,
Isski Tootne Ki Awaaz Bilkul Nahi Aathi,

******************************
MEIN TUJHKO BHOOL JAUN YE KISSS KITAAB MEIN LIKHA HAI.
------------------------------------------------
socha tha woh hame tut kar chahenge
par chaha bhi hami ne aur tute bhi hum

KISHOR R KARKERA
NEW PANVEL
NAVI MUMBAi,410206
PH:-09322764070
  Send a message via Yahoo to kishor  
Reply With Quote
Old
  (#10)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
13th October 2003, 04:25 PM

Kishore Jee, Dekhe aisi baate na kare.
Aapko vharosa karna parega Khuda Par.
Agar sab kuch aise hi miljate toh ushka qadar keya karte?
Sabar kare, Khuda Chaha toh zaroor miljayegi. Aur dilse agar chahte ho toh kabhi na kabhi zaroor milegi.

Hum jeise ke tarha agar intezar karsake toh kijiyega.
Hum toh qayamat tak intezar karsakte hein, aapka himmat hein toh aap bhi kijiyega.
Shukriya, aapko meri baate achha laga ish liye.
Aapna khayal rakhiyega. God bless you.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Agar mohabbat meri sachi hai to ek din zaroor mila degi silent-tears Shayri-e-Ishq 9 24th July 2010 09:47 AM
Agar mohabbat meri sachi hai to ek din zaroor mila degi silent-tears Shayri-e-Ishq 0 10th July 2010 02:23 PM
Aankhon Dekhi, Sachi Kahani... yoyosimran General Stories 3 19th April 2008 09:00 PM
Meri Kahani harmeetsahni Shayri-e-Ishq 1 8th January 2007 11:58 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com