Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Bekali bebasi dil me hai aajkal
Old
  (#1)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Bekali bebasi dil me hai aajkal - 10th June 2016, 04:46 PM


bekali bebasi dil me hai aajkal
lab laraj paye na ..ashq jayein nikal

tarq e talluq se aisa hua apna haal
Jism se jaan jaise gayi ho nikal

mujhse roothi rahi yuN khushi umra bhar
ban ke ek ajnabi bas mili pal do pal

Ja ke baithuN vahaaN ho jahaaN teri baat
naam hee sun sake dil to jaye bahal

Ye vajah thi ki mil ke na ham mil sake
thi muhabbat me thodi ana ki dakhal




अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..

Last edited by Madhu 14; 2nd July 2016 at 10:34 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
10th June 2016, 06:17 PM

Behad saadgi se labrez ye ghazal

Bohat pasand aaya mujhe
Likhtey rahiye
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
21st June 2016, 12:46 AM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post

Bekali bebasi dil me hai aajkal
Lab laraj paye na ..ashq jayein nikal

Tarq e talluq se aisa hua apna haal
Jism se jaan jaise gayi ho nikal

mujhse roothi rahi yun khushi umra bhar
ban ke ek ajnabi bas mili pal do pal

Ja ke baitun vahaan ho jahaan teri baat
Naam hee sun sake dil to jaye bahal

Ye vajah thi ki mil ke na ham mil sake
Thi muhabbat me thodi ana ki dakhal

waahhhh kyaa kahne......

Tarq e talluq se aisa hua apna haal
Jism se jaan jaise gayi ho nikal

Ja ke baitun vahaan ho jahaan teri baat
Naam hee sun sake dil to jaye bahal


bahut acche khayaal hain, aur gair muraddaf me aapki ye koshish laajawaab...

Shaad..


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
24th June 2016, 06:03 PM

Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post
Behad saadgi se labrez ye ghazal

Bohat pasand aaya mujhe
Likhtey rahiye
Sath dene ka dil se shukriya.......

Shaad rahein........



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
24th June 2016, 07:50 PM

Madhu ji maine gaur kiya aapne iss ghazal mai kuch ashaar mai aakhri rukn "Faa'ilaan" rakha hai

Maslan= 2nd & 4th sher ke Misra-e-oola mai

Toh Behar-e-mutadaarik mai ye aahang bhi hai kya

Faa'ilun Faa'ilun Faa'ilun Faa'ilun/Faa'laan

Zara bataiye na hamey bhi

Last edited by Mujahid Ali; 24th June 2016 at 07:53 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
sabaa kiyani
Registered User
sabaa kiyani will become famous soon enoughsabaa kiyani will become famous soon enough
 
sabaa kiyani's Avatar
 
Offline
Posts: 455
Join Date: May 2015
Rep Power: 10
24th June 2016, 09:48 PM

vah buhet khoob madhu jii
Daad qoobul kariye


sabaa kiyani
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
25th June 2016, 12:41 PM

Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post
Madhu ji maine gaur kiya aapne iss ghazal mai kuch ashaar mai aakhri rukn "Faa'ilaan" rakha hai

Maslan= 2nd & 4th sher ke Misra-e-oola mai

Toh Behar-e-mutadaarik mai ye aahang bhi hai kya

Faa'ilun Faa'ilun Faa'ilun Faa'ilun/Faa'laan

Zara bataiye na hamey bhi

Ji..bahut achcha laga aapne ye sawaal poocha...is behr me ye permission hai ki akhiri lafz ka vazan gira sakte hain...agar zaroorat pade to...

Isliye maine 2nd aur 4th sher me maine ye chhoot le li hai...

Ummeed hai jawab de payi hun main...

Aate rahiyega...
Aate rahiye..



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
25th June 2016, 03:58 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Ji..bahut achcha laga aapne ye sawaal poocha...is behr me ye permission hai ki akhiri lafz ka vazan gira sakte hain...agar zaroorat pade to...

Isliye maine 2nd aur 4th sher me maine ye chhoot le li hai...

Ummeed hai jawab de payi hun main...

Aate rahiyega...
Aate rahiye..

Shukriya aapka jo aapne mutmaein jawaab diya
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
25th June 2016, 04:30 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post

Bekali bebasi dil me hai aajkal
Lab laraj paye na ..ashq jayein nikal

Tarq e talluq se aisa hua apna haal
Jism se jaan jaise gayi ho nikal

mujhse roothi rahi yun khushi umra bhar
ban ke ek ajnabi bas mili pal do pal

Ja ke baitun vahaan ho jahaan teri baat
Naam hee sun sake dil to jaye bahal

Ye vajah thi ki mil ke na ham mil sake
Thi muhabbat me thodi ana ki dakhal

bahut khoob likha hai Madhu jee aapne
daad kubul farmaayen
likhte rahiye


Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
27th June 2016, 09:42 AM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post

Bekali bebasi dil me hai aajkal
Lab laraj paye na ..ashq jayein nikal

Tarq e talluq se aisa hua apna haal
Jism se jaan jaise gayi ho nikal

mujhse roothi rahi yun khushi umra bhar
ban ke ek ajnabi bas mili pal do pal

Ja ke baitun vahaan ho jahaan teri baat
Naam hee sun sake dil to jaye bahal

Ye vajah thi ki mil ke na ham mil sake
Thi muhabbat me thodi ana ki dakhal

Bahut Umdaa Madhu saath pal do pal nibhaane waale bhi ajnaabi nahi hote aur kabhi umr bhar saath chalne waale bhi ajnaabi lagte hai kitni gehri aur ajeeb hai daastaan-e-zindagi...

aapki bayaangi aur soch ko khaaksaar ka salaam, aage bhi yunhi bazm mein haal-e-dil bayaan karte rahiye taaki toote dilon ko sukoon mile...



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#11)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
27th June 2016, 06:37 PM

hi Madhu

Bohut dino baad aayi hu.............aur aate hi nazar iss par padi.................bohut acha likha hai tumne................

magar ek sachi baat kahu....mera dil phir se be behr wali madhu ko padne ka karta hai jo jazbaat ki syaahi mein bhigo kar likhti thi.........kabhi hasaa deti thi to kabhi rula deti thi........

Matla bohut pasand aaya..........yunhi acha acha likhti raho...

Love you


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
28th June 2016, 07:01 AM

Quote:
Originally Posted by ISHK EK IBADAT View Post
bahut khoob likha hai Madhu jee aapne
daad kubul farmaayen
likhte rahiye
Bahut shukraguzar hun ishq sahab
Aate rahiyega...

Regards
Madhu.



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
2nd July 2016, 06:40 AM

Namaskaar Madhu Jee,

beher, kaThin thi lekin aapne apne hunar se koi na'iNsaafi nahiiN ki, mubarakbaad ki haqdaar haiN aap, tasleem farmaiiye

do ek misroN par kuch tabsiraa karna chaah raha tha lekin waqt ki qillat hai to ba-sad-mazrat kisi aur roz gustaaKhi karooNga

ek badi eham baat jo maiN nazar aNdaaz nahiiN kar paaya hooN aur aksar naye sho'ra ki posts meiN dekhta hooN us par aapki tavvajo zaroor chaahuNga

roman urdu/hindi script mein capital letters bohat mayiine rakhte haiN

for example :

saadhu ki kuTiyaa

yahaaN "t" ko capital likha gaya hai taaNke "Tee" ki aawaaz aaye yani "Topi" waali "Tee" ki awaaz, ab aap khud sochiye agar isko capital meiN na likha jaaye aur paDhne waala isko "tasveer" waali "tee"ki awaaz meiN paDhe to kya hoga!

aapse bin'tee hai ke capital letters wahiiN istemaal kijiye jahaaN inki zaroorat ho

aapko koi baat na'gawaar guzri ho to peshagii muaafi chaahta hooN

rab raakha
maikash


.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#14)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
2nd July 2016, 10:38 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
Namaskaar Madhu Jee,

beher, kaThin thi lekin aapne apne hunar se koi na'iNsaafi nahiiN ki, mubarakbaad ki haqdaar haiN aap, tasleem farmaiiye

do ek misroN par kuch tabsiraa karna chaah raha tha lekin waqt ki qillat hai to ba-sad-mazrat kisi aur roz gustaaKhi karooNga

ek badi eham baat jo maiN nazar aNdaaz nahiiN kar paaya hooN aur aksar naye sho'ra ki posts meiN dekhta hooN us par aapki tavvajo zaroor chaahuNga

roman urdu/hindi script mein capital letters bohat mayiine rakhte haiN

for example :

saadhu ki kuTiyaa

yahaaN "t" ko capital likha gaya hai taaNke "Tee" ki aawaaz aaye yani "Topi" waali "Tee" ki awaaz, ab aap khud sochiye agar isko capital meiN na likha jaaye aur paDhne waala isko "tasveer" waali "tee"ki awaaz meiN paDhe to kya hoga!

aapse bin'tee hai ke capital letters wahiiN istemaal kijiye jahaaN inki zaroorat ho

aapko koi baat na'gawaar guzri ho to peshagii muaafi chaahta hooN

rab raakha
maikash
Namaskaar maikash ji...

Awwal to dil se shukriya..aapne meri ghazal par vaqt diya yakeen maniye bahut khushi hasil huyi...

Aapki baat sahi hai aage se main is baat ka poora dhyaan rakhoongi....abhi correction kar diye hain..

Aur aage bhi aapki beshkeemti rai ka intzaar rahega mujhe..

Aate rahiyega...

Dil se shukriya...

Salamat rahein....

Madhu..



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
15th July 2016, 12:53 PM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
Bahut Umdaa Madhu saath pal do pal nibhaane waale bhi ajnaabi nahi hote aur kabhi umr bhar saath chalne waale bhi ajnaabi lagte hai kitni gehri aur ajeeb hai daastaan-e-zindagi...

aapki bayaangi aur soch ko khaaksaar ka salaam, aage bhi yunhi bazm mein haal-e-dil bayaan karte rahiye taaki toote dilon ko sukoon mile...
Aapki tawajjo ka shukriya janaab.......
Zindgi ke kai pahlu hain..unhe jitna jab mahsoos kar pati hun likh deti hun....khushi hai is qabil hai ki aapki daad mil saki...

Aate rahiyega
Takecare
Madhu..



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
17th October 2017, 02:05 PM

Quote:
Originally Posted by masti View Post
hi Madhu

Bohut dino baad aayi hu.............aur aate hi nazar iss par padi.................bohut acha likha hai tumne................

magar ek sachi baat kahu....mera dil phir se be behr wali madhu ko padne ka karta hai jo jazbaat ki syaahi mein bhigo kar likhti thi.........kabhi hasaa deti thi to kabhi rula deti thi........

Matla bohut pasand aaya..........yunhi acha acha likhti raho...

Love you
Bahot shukriya Sarika bahot deri se aayi mafi chahti hun...
Koshish karoongi kuch aisa likh paun ki tumhara Dil chhoo sake.....

Aati rahna achcha lagta Hai...



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com